pehli baar pyaar kiya aur dil par chott kha baithe,
haan hum ek pathar dil se apna dil laga baithe,
woh khud hai bewafaa phir bhi zamane se kehti hai ki
bewafaa tha woh jissse hum dil laga baithe,
tord di usne saari kasme, bhula diye saare waade,
hum yeh kis bewafaa se pyaar kar baithe,
aasan nahi hai usse bhul pana humare liye,
lekin ek woh hai jo humein bhool baithe,
bahut samjhaya humne usse ki na jee payenge tumhare bin,
lekin ab khabar huyi ki hum ek na-samajh ko dil de baithe,
bhari mehfil mein khud ko tannha paate hain,
dard aur gam charo taraf bikhre paate hain,
hum apni zindagi apne haatho barbaad kar baithe,
rote rahe raat bhar aur khud ko samjhaya,
ki ab na yaad karenge tumhein,
par phir raat din tumhein yaad kar baithe,
pyaar ko ek khel samjhne wale inssan ko hum,
aaj phir pyaar ke mayane samjha baithe,
usne basa le apni nayi duniya,
aur hum aaj bhi unke laut aane ke intzaar mein hain baithe.