chup chaap jab karti hain baatein teri yeh ankhiyaan

chup chaap jab karti hain, 
baatein teri yeh ankhiyaan.

chup chaap sunte rehte hain, 
hum teri yeh khamoshiyaan.

chup chaap armaan mere, 
lene lagte hai ab angdayiaan.

chup chaap jab kehti hain, 
kuch mujhse yeh tanhaiyaan.

chup chaap ab dhundhte hain, 
hum teri hi parchayiaaan.

chup chaap ab bajne lagi hai, 
dheemi dheemi shehnaayiaan.

chup chaap jab karti hain, 
baatein teri yeh ankhiyaan.

bol bhi nahi sakta.. bin tere main marr jaaunga

main khusi se roun ya ghum se chillau yaar,
bas raha hai ya phir chin raha hai mera pyaar.

kaise samjhau main usko, ki mera dil bhi toot raha hai,
tha jaisa bhi ek sahara, woh bhi mujh se choot raha hai.

kisse baat karunga, main nakhre kisko dikhlaunga..?
bol bhi nahi sakta.. bin tere main marr jaaunga.

ek khusi mili thi mujhe kabhi, aur ab usko bhi khona hai,
rakhni hai hootho par hasi, par usse chupkar roona hai.

ek apna tha par sapna tha, ek jhatke se woh toot gaya,
koi mujhse poochega to aapna kisko batlaunga..?
bol bhi nahi sakta.. bin tere main marr jaaunga.

ab bhookh nahi ab pyaas nahi.. zinda hone ka ehsaash nahi,
saari saanse de chuka tumhein, baki meri koi saash nahi,

tumse bharta tha pet mera, ab khana kaise khaunga,
peena hai bas neer mujhe so jee bhar ashq bahaunga,
bol bhi to nahi sakta.. bin tere main marr jaaunga.

ye jaroori to nahi

zindagi sabko mili ho ye jaroori to nahi,
sabke hoton pe hansi ho ye jaroori to nahi,

yun to log bahut se hain jo yaad aate hain,
sabki mehsoos kami ho ye jaroori to nahi.

neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai,
unke aagosh main sar hoye ye jaroori to nahi.

aag ko keet patangon ne samjh rakha hai,
sabko anjam ka dar ho ye jaroori to nahi.

pyar ek ibaadat hai

pyar koi kaam nahi jise niptaya jaye,
yeh koi waqt nahi jise guzara jaye,
yeh koi khel nahi jisse khela jaye,
yeh koi ahsaas nahi jissse jiya jaye,

yeh koi dard nahi jisse dawa di jaye.
yeh koi sheesha nahi jisse torda jaye.
yeh to bus ek ibaadat hai jise hamesha kiya jaye.

hamesa ek dussre k hakk mein dua karenge

hamesa ek dussre ke hakk mein.. dua karenge.. yeh tay hua tha,
mile ki bichhde.. magar tumhi se.. wafa karenge.. yeh tay hua tha,
hamesa ek dussre ke hakk mein, dua karenge.. yeh tay hua tha…!!

kahi raho tum.. kahi rahein hum.. magar mohabbat rahegi kayam,
jo yeh khata hai.. to umrr bhar yeh.. khata karenge.. yeh tay hua tha,
hamesa ek dussre ke hakk mein, dua karenge.. yeh tay hua tha…!!

udaasiya har ghadi hon lekin.. raastein kaate bhari hon lekin,
jis rah mein hum saath chale the.. sada chalenge.. yeh tay hua tha,
hamesa ek dussre ke hakk mein, dua karenge.. yeh tay hua tha…!!

jaha mukkadar milayega ab.. waha milenge.. yeh shart kaisi ??
jaha mile the wahi hamesa.. mila karenge.. yeh tay hua tha,
hamesa ek dussre ke hakk mein, dua karenge.. yeh tay hua tha…!!

lippat ke roo lenge, jab milenge.. gham apna apna.. bayan karenge,
magar zamane se muskura kar.. mila kerenge.. yeh tay hua tha,
hamesa ek dussre ke hakk mein, dua karenge.. yeh tay hua tha…
hamesa ek dussre ke hakk mein, dua karenge.. yeh tay hua tha…!!

kisi ke bahoon mein simmat rahi tum.. 
batawo kyu door.. ho rahi tum ??
ki jaan dekar bhi hakk wafa ka.. adda karenge.. yeh tay hua tha,
hamesa ek dussre ke hakk mein dua karenge.. yeh tay hua tha...!!


batao... aakhir kyu tumne mujhe baar baar dhokha diya??

All Time's Favourite Posts