tere bina khud ko benaam likhoon

apni har subah, har shaam likhun,
yeh meri zindagi, tere naam likhun,


bas jaaye jo dil mein pyaar ban ke,
sochun aisa koi tujhe paygaam likhun,

mera ho kar bhi jo har waqt dhadke tere liye,
iss gustakh dil ko tera ghulaam likhun,

jeete hain aur marte hain har roz hum,
teri judaai ko zehar ka jaam likhun,

aa ke laga lo seene se kabhi tum,
inn baahon ko apna mukaam likhun,

kitne khawaab aur armaan hain sajaaye,
ehsaas aye mohabbat tamaam likhun,

tere ishq se hoti meri pehchaan hai,
tere bina khud ko benaam likhun,

mere jazbaat kaho, ya kaho koi ghazal isse,
main to bas... tera hi naam likhun.

tumhare bin main adhooora sa lagta hoon

kabhi tumse keh naa paaye ki kitna chahte hain tumhe,
kabhi bata naa paaye kabhi jata naa paaye,

chahate hain tumhe zindagi ki tarah,
naa jaane kyon tumhare bin
aajkal zindagi ajnabee si lagti hai,

kyon tumhare bin
main adhooora sa lagta hoon,

khayaal banakar subah shaam
rehte ho tum mere khayalon mein,

to raat ko palkon ke band hone pe,
mere sapano mein chale aate ho,

ab to tai kar liya hai
chalna hai sang tumhare,
ab kadam se kadam milakar
hathon mein haath thaamkar.

zindagi kuch adhuri adhuri nazar aati hai,
tumhare bin naa meri koi pehchaan hai
naa mera koi astitva hai,

ab to bas tumhara pyaar hi
meri zindagi hai.. meri pehchaaan hai... mera astitva hai.

darta hoon kahi kho na doon unko

woh mere pass hain.. kya paas bulaun unko,
dil mein rehti hai.. kaha dhundne jaaun unko,

aaj phir pehli mulakaat se aaghaz karun,
aaj phir door se hi dekh ke aaun unko,

kaid kar loon unhein aankhon ke nihga khano mein,
chahata hoon ke kisi se na milaon unko,

unhein duniya ki nigahon se karun mein mehsoos,
woh wahan ho ke jahan hamesa dekh paun unko,

chalna chahe to rakhe paaon mere seene par,
baithna chahe to aankhon pe bithaon unko,

woh mujhe itne acche, itne pyare lagte hain,
kabhi gir bhi jaaye to palkon se uthaun unko,

yaad se unki nahi khaali koi bhi lammha,
phir bhi darta hoon kahi kho na doon unko.

I would cry forever

red are my eyes that wept all night
with your thoughts on my mind,
I would cry forever.


if you can find the glow of the sun
in the painful eyes,
red with tears flooding,

I would cry forever.

if the tears that flow from my eyes
could be the rain that you want to drench in,
I would cry forever.

the incarnadine heart beats in anguish
if it could be the beat that will keep you going,

I would cry forever.


the grunt of my soul crying in despair
if it could be the music that
you would cherish listening to,
I would cry forever.

itna mat socho

itna mat socho, soch nahi paogi,
meri yaad ki zanjeer se nikal nahi 
paogi,
aa jaao tum meri inn bahon mein,
hum tumhein dil mein chupa lenge,

tum mujh bacha lo duniya ki ruswai se
hum tum ko seene se laga lenge,

phir tum humko mohabat bhara jaam pila dena,
aur hum tere sanso se sabnam ko chura lenge,

mere tutte huye jism par marham laga doge,
apne nazuk hathon se pyas bujha doge,

yun mujh ko tum apna bana logi,
mujh ko tum mujh se chura logi.





tanhai hogi jab tum paas nahi hogi

tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi,
jism mein jaise mere saans nahi hogi.
tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi.

aayegi yeh hawaein tera aanchal bankar kabhi,
royegi yeh aankhein baadal bankar kabhi,
na duwayein hogi, na dawaa paas hogi,

tardpega yeh dil, ghaayal bankar kabhi,
jeene ki mujhe koi aas nahin hogi,
tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi.

khamoshiyon mein teri aawazein dhundha karenge,
mehfil mein bhi tere hi nagme jharenge,
ek baar marte hain log zindagi mein,
tere bin ek baar nahi, hum pal pal marenge,
kya tum bhi mere bin udaas nahin hogi?tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi,

hothon se meri yehi fariyaad aayegi,
sach kehta hoon janam teri bahot yaad aayegi,
gar poocho ki yaadein teri kab tak aayegi?
to kahenge din dhalne ke pehle
aur raat aane ke baad aayegi,
tere siwa kisi aur ki talaash nahi hogi,
tanhai hogi, jab tum paas nahi hogi..!

All Time's Favourite Posts