hum dil jalon ki subha kya aur shaam kya

gamzadon ko khushi ka paigaam kya,
gam ki duniya mein kushi ka kaam kya?

dil jab jab tuta waha andhera ho gaya,
hum dil jalon ki subha kya aur shaam kya?

aashk jab gire tab savera ho chala,
aisi zindagi ka doston aab anjaam kya?

dil ki kisi khushi pe muskurate nahi,
doston zindagani issi ka hai naam kya?

maut bhi aab to aati nahi aur hai tarsati,
zindagi hai zulm aur ruuh ka matam kya? 

mera har nagma ek hi aur ishara deti hai

sach hai zehar ko zehar marta hai,
roz teri yaadein marr ke
jeene ka sahara deti hai.

koi nahi puchega ki main shayar kyun hua,
mera har nagma ek hi aur ishara deti hai.

kuch aur gazalein likhne ko majbur ho jata hoon,
jab zindagi ki koi dhun saaz tumhara deti hai,

pehle bebas tha par ab aalam kuch yun hai,
ki har kashti khud sagar ko kinara deti hai.

jab kabhi zakhm-e-armaan bhar jata hai,
waqt ki hawa usse cherd dubara deti hai.

kuch hai mere pas to bas judai aur tannhai

tumhari aahat sunn kar
yun aise khush hota tha dil,
jaise chanda ko dekh kar
sara jaha khil uthta hai.

tumhare kareeb aate hi
aisa lagta tha jaise,
khoyi huyi manzil ko
rashta milne wala hai.

tumhari awaz sunne ke liye
aaise tardap te the hum,
jaise barish ki ek bund ke liye
zameen tardap ti hai.

ab na woh khushi milti hai,
na woh manzil-e-rashta ek hai,
aur na hi woh tardap rahi hai.
kuch hai mere pas to
sirf judai aur tannhai hai. 

bahut tanha hai yeh manzilon ka safar

bahut tanha hai yeh manzilon ka safar,
dua hain aaj phir ki koi saathi mile,

yeh suni raatein jo takrati hain jaam akele hi,
kehti hain koi shaksh…. koi saakhi mile,

mar-mar ke guzaari hain jo zindagi maine,
chahti hain aaj yeh ki nayi zindagi mile,

sajde main sar jhuka du aaj main bhi aye khuda..
jhoothi hi sahi mujhko bhi gar bandagi mile,

thorde sahme se hain dil ke halat aajkal,
khil uthe yeh bhi gar koi aashiqi mile,

rahne do duao’n ke is baazar mein humein,
khushi na sahi, aaj gum ka hi baazar mile.

kaise kahein hum kaise je rahe hain

ek ke baad ek musibat jhel rahe hain,
ek ho ke bhi tannha jee rahe hain,

kaun samjhe humare dil ka haal,
kaun jaane hum saans kaise le rahe hain,

juda ho ke to aadha jeevan kar liya apna,
bas uss aadhe ko poora karne ki koshish kar rahe hain,

mushkilein hain jo kabhi daman nahi chorti humara,
kya kahein ki kaise isse jhoojhl rahe hain,

saath ho ke bhi saath nahi mera humsafar,
kaise kahe kaise usse door hum reh rahe hain,

kathinaaiyan aati hain kabhi darr ki shakal mein,
kaise batayein hum ki kaise saamna kar rahe hain,

saath jeene marne ki kasmein kha ke bhi saath nahi aaj,
kaise kahein hum kaise je rahe hain,

bas marr rahe hain har pal har chann,
unhein yaad kar kar bas khud ko koss rahe hain,

kaise kahein ki hum kaise jee rahein hain,
bas saansein chal rahi hain aur wakt kaat rahe hain.

ban ban ke har umeed toot jaati hai

dard ka aalam jaate nahi jaata hai,
din raat bas mujhe sataata hai,

na samajh mein aaye ki yeh andhkaar kab mitega,
na yakeen aaye ki khushiyon ka daaman mujhe bhi milega,

ban ban ke har umeed toot jaati hai,
behlaati hai mujhe, kabhi mujhe tord jaati hai,

maayoos rehna meri aadat nahi doston,
par har mord pe zindagi maayoos chord jaati hai,

jab kabhi aati hai khushiyan nazar door kahin se,
na jaane kyun wahin se woh laut jaati hai,

dard ka aalam jaate nahi jaata hai..


sabrr toot raha hai har umeed ke saath,
na jaane chaah kyun ab bhi jee jaati hai,

na yakeen hoga marna ke baad bhi
ki marr gaye hain hum,
unki yaad kuch is kadar hi aati hai,

milan ki ghadiyan door ho jitni,
chaahat unhein dil se bulaati hai,

mitt jaayega yeh andhera,
khatam hoga dard ka aalam bhi,

yehi har roz dua mein meri chaahat dohraati hai,
dard ka aalam jaate nahi jaata hai.

kaunsa mukhauta tum apnaaoge

mukhaute to bahut mil jaate hain duniya mein,
kaunsa mukhauta tum apnaaoge?

iss zaalim bedard duniya mein,
aakhir kab tak tum dukh se til-bilaaoge?

iss anjaano ki duniya mein,
kab tak ghut ghut ke jee paaoge?
nahi samjhegi yeh kabhi iss dil ki gehraayi ko,
aakhir kab tak yun ashk bahaaoge?

naa samjha hai,
isne kabhi kisi ko apna nahi mana,
kab tak tum rote jaaoge? 

tum cheekhoge chillaaoge,
kab tak khud ko yun saza dilaaoge?
mukhaute to bahut milte hain duniya mein,
aakhir kaunsa mukhauta tum apnaaoge?

kab iss chehre pe khushi laaoge?
kab dil ki gehraayi se muskuraaoge?
jaao le ke aao woh hassi kaa mukhauta..
kha lo kasam usse hi jeevan bhar apnaaoge.

All Time's Favourite Posts