mujhko khud malum nahi ki,
ahsas se tumko chhuta hoon,
ek pyas bujhhane ko apni,
ek pyas se tumko chhuta hoon.
hawayon ka chehra le kar
jab sanson se sahlati ho,
main to mar hi jata hoon
tum kaise zinda paati ho.
tab apne bahon mein lekar,
phir shayed zinda karti ho,
sansein chalne lagti hain,
tum jab bhi hath pakardti ho.
kitana badal sa jata hoon,
bas tera ek sath pane se,
badal ordh leta hoon main,
tere bahon mein aane se.
sihar sa jata hai tann mann,
lab jab lab se kuch kahate hain,
duniya bhar ke khwaab sabhi,
in ankhon mein hi rahte hain.
hum kuch kah nahi pate hain,
lab ko lab se lete hain,
khamoshi mein kuch lamha,
teri baahon mein jee late hain.
ayeene se ab jaane kya
aksar main poochata rahta hoon,
itna kyon chahta hoon tujhko,
raaton main sochata rahta hoon.
mere seene par sar rakh ke
tere sapno ko sath le sona hai,
hath bardha ke mujh ko pa lo
ab tera hamesa ke liye hona hai.
tum jis bhi dunya mein ho,
main kahi bhi rahta hoon,
jahan hoon main bas tera hoon,
ab to itna hi kahta rahta hoon.
mere sanso ko jab tumane
apni khushboo se sajaya hai,
mere hisse ka sara dard,
aksar yoon hi churaya hai.
mere tumhare pyar ka
jo bhi koyi kissa hai,
main hi likhta hoon usko par
usmein tera bhi hissa hai.
jab bhi bheegegi aankh tumhari,
mere honth wahin ruk jee lenge,
tere har ansoo ko yeh
boond boond sab pee lenge.
main kya rokun tum kya roko,
ek dooje ko pas ab aane se,
yeh rooh ka rooh se rishte hai,
hum tum hain anjane se.
kadam kadam se antim saasn tak,
har kadam sath ab rahana hai,
maine tum ko ordh laya aur
tum ne mujh ko pahana hai.