kuch khaas hoga

jo shaks aankhon se baat karti hai,
jaane uske dil ke toofan ka aalam kya hoga,
kabhi paas to baithu do pal unke,
unke seene mein hosla kitna gehra hoga,

palkon pe lehrati boondon ka sagar jinke,
unki mohabbat ka andaaz jaane kitna nirala hoga,
kabhi ijazat jo de woh apna humko kehne ki,
unke naam se jurda mera naam bhi kuch khaas hoga.

kisi se mohabat lagta hai ho gayi hai

bardi mudatoon ke baad koi khwaish jaagi hai,
iss sune dil mein bhi armanon ki baraat saji hai,
dil ke darwaaze pe koi dastak de gayi hai,
anjaani koi aake dil ko choo gayi hai,

bejaan dil ki tamanna ab kuch aisi ho gayi hai,
kisi ki surat aankhon mein hamare bus gayi hai,
karwate badal badal ab raatein guzarne lagi hai,
din chote aur raatein lambi si nazar aane lagi hai,

mehfil mein bhi kisi ki yaad aane lagi hai,
labon pe muskurahat kisi ki rahne lagi hai,
hawa ke jhoke se bhi jalan ab hone lagi hai,
kisi ke intezaar ki aadat humein hone lagi hai,

kya kahen kya baat hamare saath ho gayi hai,
humein bhi kisi se mohabat lagta hai ho gayi hai,
har pal kisi ki yaad satane humein ab lagi hai,
humein bhi chahat ab rang apna dikhane lagi hai.

yeh baat humein maloum hai jana

yeh baat humein maloum hai jana,
hum aapko ache lagte hain,

aap kaho na kaho humse lekin,
yeh baat humein maloum hai jana,
hum aapko ache lagte hain.

woh baat baat pe kho jana,
kuch kahte kahte ruk jana,
bina kuch kahe bina lab khole,
dil ki har baat keh jana!

tum kaho na kaho hum se lekin,
yeh baat humein maloum hai jana.

aye dil tu kyu ghabra raha hai

teri tarah usse bhi raaton ko jagati hogi,
na koi khat na paigaam bheja usne,

par ek bar teri aawaz sunne ke liye,
uski bhi to dhardkan tez ho jati hogi.

khuli aankhon se kabhi
unhe bhi neend aati hogi,

tu kehta hai tu dhadkta hai sirf unke liye
phir kyu tardpe ja raha hai,

maana door hai tujh se woh,
par dekho to sahi ek baar,
ye waqt ka safar...

dheere dheere har ek faasla mita raha hai,
aye dil tu kyu ghabra raha hai.


kuch to zaroor dil mein hai unke

woh door se kareeb aate dikhayi dete hain,
phir dheere-dheere dil mein samaate dikhayi dete hain,

dekh lete hain jab hum unhein aate huye,
woh jhat se apna raah badalte dikhayi dete hain,

dekhte hain kayi baar hamari taraf woh ek tak,
nazrein uthaate hi mere, 
woh palke jhukaate dikhayi dete hain,

kuch to zaroor dil mein hai unke, 
ye to sach hai,
ye woh apni nazron se bataate dikhayi dete hain,

chaahat hai kisi ki unke dil mein, panap rahi,
ye chaahat hi woh dil mein chhupaate dikhayi dete hain.

khud se bhi jaada mujhe us se pyaar hai

main kehta hoon yeh meri mohabbat hai,
naa chhupa saku pyaar ab yeh meri halat hai,

aur kuch nahi zindagi ka yeh sawal hai,
khud se bhi jaada mujhe us se pyaar hai.

aata nahi mujhe ek pal bhi karaar,
ab main kya karu dil ka aisa haal hai,

aati hai uski yaad jo ki jaati nahi,
aati hai khawabon mein magar
haqikat mein aati nahi,

aur kuch nahi zindagi ka yeh sawal hai,
khud se bhi jaada mujhe us se pyaar hai.

leta hoon har pal ab main uska hi sirf naam,
intezar karte-kerte nikal naa jaaye ab yeh jaan,

hir kyu door hai mujhse.. mere pas kyu aati nahi?
aakar baahon mein mere, toot kar kyu mujhko chahati nahi?

aur kuch nahi zindagi ka yeh sawal hai,
khud se bhi jaada mujhe us se pyaar hai.

aakar mere kareeb woh chup rehti hai kyu,
chhupa kar apne pyaar ko ghut-ghut ke jeeti hai kyu?

woh apne pyaar ko mujh pe kyu lutati nahi,
apni aankhon mein mujh ko kyu basati nahi?

aur kuch nahi zindagi ka yeh sawal hai,
khud se bhi jaada mujhe us se pyaar hai.

gar tujhe aitraaz naa ho

ek khaamoshi banke tere dil mein utar jau,
gar tujhe aitraaz naa ho.

tum ban jaao chattaan aur main pighal jau,
gar tujhe aitraaz naa ho.

dil ke tukkdo se tere dil ko majboot bana jau,
gar tujhe aitraaz naa ho.

apne wajood ko khayaaal banake tujhmein sama jau,
gar tujhe aitraaz naa ho.

zindagi bahut takleefdeh hai bin tere monika,
naa paane ki ummeed hai naa khone ki himmat,

main ek lambi neend ke aagosh mein chala jau,
gar tujhe aitraaz naa ho.

maine dil se kaha mujh ko yeh to bata

maine dil se kaha.. aye deewane bata,
jab se koi mila.. tu hai khoya hua.

yeh kahani hai kya.. hai yeh kya sil sila,
aye deewane bata..!!

dhadkano mein chhupi.. kaisi aawaz hai,
kaisa yeh geet hai.. kaisa yeh shaaz hai,
kaisi yeh baat hai.. kaisa ye raaz hai.
aye deewane bata..!!

mere dil ne kaha.. jabse koi mila,
chand taare fiza.. phool bhawre hawa,
yeh hasin wadiyan.. neela yeh aashma,
sab hai jaise naya..  mere dil ne kaha,

maine dil se kaha.. mujh ko yeh to bata,
jo hai tujh ko mila.. us mein kya baat hai,
kya hai jaadugari, koun hai woh pari,
aye deewane bata..!!

mere dil ne kaha.. na woh koi pari,
na koi affsara,
na woh duniya mein sabse hai hassin,

sidhi-saadhi si hai.. bholi-bhali si hai,
lekin us mein adda.. ek nirali si hai,
uske bin mera jeena bhi bekaar hai,

mene dil se kaha.. baat itni si hai,
ki raaj tujhe pyar hai.

mere dil ne kaha.. mujh ko ikraar hai,
haan mujhe pyar hai, haan mujhe pyaar hai,
mujh ko ikraar hai.. haan mujhe pyar hai.

bus unko dekhte hi reh gaye

dekha jo unko humne bus dekhte hi reh gaye,
dil ke jazbaat lafz ban kar jubaan pe reh gaye,

hum sambhal bhi na paaye
aur unke saath beh gaye,

hum de naa sake koi jawaab
woh kayi swaal keh gaye.

raaz ye hum saari duniya ko batlaate chale aaye

dil mein armaan liye aapki zindagi mein aaye,
har taraf apni mohabbat ka chiraag jalaate aaye,

jab yaad aayegi meri mohabbat tab dhoond lena mujhe,
dil men intazaar ki seedhiyan chardhte huye aaye,

nazar aayenge hum aapke dil mein awaaz dedo mujhe,
dil mein aap ki sadaon ke dhol bajate huye aaye,

koi shikwa nahi hai iss zindagi se jab aapka saath hoga,
kadam kadam pe ruk jaayenge, hum wafa ke phool barsate aaye,

bahut muskhil ho rahi hai mujhe iss mohabbat ko chhupane mein,
raaz-e-dil apne hum saari duniya ko batlaate chale aaye.


All Time's Favourite Posts