mere humsafar tum jahan hum se chutte

wahin zindagi ke haseen khwaab tootte,
mere humsafar tum jahan hum se chutte,

sitaaron ne dekha, bahaaron ne dekha,
kabhi hum mile they, nazaaron ne dekha,

khabar kya thi hum ko, yeh waade hain jhoote,
mitaa kar tamannaon ke, har nishaan ko loote,

main hasrat se takta raha aasmaan ko,
chaman aarzuon ke fizaaon ne loote,

woh moti lutaati ghatayein na aatin,
kabhi phir woh gaati hawayein na aatin,

khafa ho gaye tum to, 
sab hum se roothe,
mere humsafar tum jahan hum se chutte.

insaa hi insaa ko mita dega

humne socha na tha ki waqt ka takaza yeh hoga,
ki koi meri wafa pe hi ungli utha dega,

humne pala tha hamesha se hi insaniyat ka jazba,
koi insaniyat pe mera vishwas hila dega,

yeh sach hai aaj har kadam pe dhokha aur fareb hai,
magar koi to sachai ko aage bardha dega,

yeh akhiri ummeed bhi ab to tutne si lagi hai,
yahan har koi aisa hai jo zami ko nark bana dega.

yeh khuda ne bhi socha na tha.. aye khuda ke bando,
ki insaan uske dariya dilon ko yun daga dega,

kitne armano se usne har ek insaa ko banaya tha,
usne socha nahi insaa hi insaa ko mita dega.

un sapano ko dhundhta hoon main

aankhon se door hai jo, 
un khwabon se darta hoon main,

gagan mein door hain jo, 
un sapano ko dhundhta hoon main.

tute phute yakino mein, 
roz sochta hoon main,

phir apni hi thakan mein,
doob ke so jaata hoon main.

roothi hai manzil, 
aur khushamad kar nahi paata hoon main,

jeene ki bhool karke,
marne se nahi darta hoon main. 

woh dost humara kaisa hai?

aye mouz-aye-hawa tu hi bata,
woh dost humara kaisa hai?
jo bhool chuka hai humein kab se,
woh jaan se pyara kaisa hai?

kya us ke jeewan lamhon mein,
koi lammha mera bakki hai?
kya us ki jaggti ankhoon mein,
meri yaad abhi bhi bakki hai?

agar aisa nahi to tu hi bata,
hum yaad usse kyun karte hain?
woh hum se bichard kar khush hai agar
to pal-pal hum kyun marte hain?


aye mouz-aye-hawa tu hi bata,
woh dost humara kaisa hai? 

dil ke armano ko kuch istarah mita leta hoon

dil ke armano ko, kuch istarah mita leta hoon,
ek khat likhta hoon, phir usko mita deta hoon.

phir ek jhooth bolta hoon, main kasam kha kar,
le aaj tujh ko.. apne dilse bhula deta hoon.

dekhte-dekhte jab, aankhein bhar aati hain meri,
teri tasveer ko, seene se laga leta hoon.

khudaya mujh ko maaf karna, haaye kya karoon mein,
sharab pitna nahi par maiykhane chala jata hoon.

aks yeh deta hai jawab.. khudkushi kar lo,
apni soorat ko jab, aaina dikha deta hoon.

nahi aati raas bul-bule ko meri dosti,
pani se bahar jab usse hathon mein utha leta hoon.

mere haalat hain kaise, yeh kya bataoon tumhein,
bas yeh jaan lo.. bahut majboor bana baitha hoon.

kuch bikhar gaye kuch toot gaye

zindagi ne kayi mauke diye par
kuch nikal gaye, 
kuch chhord diye,
kuch chhut gaye...

kitne hi khawab sajaye the meri aankhon ne,
kuch ujjard gaye, kuch bikhar gaye,
kuch toot gaye.

yeh bhi sach hai

tumhein yaad hum karte nahi par
bhool bhi nahi paayenge kabhi yeh sach hai.

tasweer tumhari dafan kar di kahi,
teri surat na bhool payenge kabhi yeh sach hai.

yun to iss zindagi mein kuch bhi nahi par
tumhein meri yaad jab tak aayegi nahi,
tab tak hum is duniya se
jayenge nahi yeh sach hai.

agar tum ab bhi yehi kahte ho ki
hum tumhein pyaar kerte hi nahi,
to is duniya mein pyaar hai hi nahi
yeh hi sach hai.

hum tum bichard gaye hamesha ke liye,
na jaane ismein tumhari galti hai ya nahi,
par ismein mera bhi kasur nahi 
yeh bhi sach hai.

iss zindagi se humein hai shikve kayi,
par shayad meri kismat hai yehi,
ab isse main aur seh sakta nahi
yeh bhi sach hai. 

All Time's Favourite Posts