bas ek baar

wo hawa jo tujhe chu ker gayi ,
mujhe chu jaaye ek baar.

ek baar teri khusbu,
mujh me simat jaaye…. ek baar.

ek baar to apne pallu se sehla,
ek baar tu apne rang faiyla.. ek baar,
ek baar phir se dewaana bana.. bas ek baar.

ek baar teri aanshu,
meri hateeli me tham jaaye,
ek baar teri hassi se,
mera aangan bhar jaaye.. ek baar.

ek baar tu apna haat barda,
ek baar tu mujhe lage se laga,

chu lu tujhe bas ek baar,
to ho jaaye rabb ka deedaar... ek baar.

tu hai to main hoon,
tu hai to to hi hai ye jaahaan,

ek baar…
ek baar bas ek baar..

ek baar pachtana chahata hoon

aaya hoon tere dar par,
jholi bhar kar jana chahata hoon,
pata nahi kya mangte honge log,
main to bus pyar pana chahata hoon,
naseeb me hai ya nahi,
par main ek baar jatana chahata hoon,
khwaaish hai meri ya hai sanjog,
main to bus aajmaana chahata hoon.

din- raat tere khayalo me,
par main ab rubaroo hona chahata hoon,
chahata hoon tera sahayog,
main to bus lipat jana chahata hoon,

suna hai ki pyar me hai tardap,
par main apne ko tardpana chahata hoon,
mujhe bhi lag gaya hai ye rog,
main to bus aise hi bitana chahata hoon.

suna hai k pyar buri hai balla,
par main isse gale lagana chahata hoon,
thokar mili to le lunga jog,
main to bus ek baar pachtana chahata hoon.

agar safar mein humara bhi humsafar hota

kisi ki yaad mein palkein zara bhigo lete,
udaas raat ki tanhaiyon mein ro lete,

dukhon ka bojh akele nahi sambhalta hai,
kahin woh milti to unse lipat ke ro lete,

agar safar mein humara bhi humsafar hota,
bardi khushi se inhi pattharon pe so lete,

tumhari raah mein shakhon pe phool sookh gaye,
kabhi hawa ki tarhan iss taraf bhi ho lete,

yeh kiya k roz wahi chandni ka bister ho,
kabhi to dhoop ki chaadar bicha ke so lete.

phir se sataane ke liye aa jaao

hum ruth gaye humko manaane ke liye aa jaao,
honthon pe lagi pyas bujhane ke liye aa jaao,

zindagi chain se kat rahi hai sanam yaadon mein tere,
aa jaao mujhko phir se sataane ke liye aa jaao,

hasrat-e-dard ne phir mujhko aa ghera hai,
aa jaao mere dil ko dukhane ke liye aa jaao,

tum mere ho.. ke zamaane mein tum hi ho mere,
mujhko seene se ek baar lagaane ke liye aa jaao,

humse hi pareshan ho, humse hi mohabbat hai,
hum kya hain tumhare, ye bataane ke liye aa jaao,

waqt rahte mujhe chehra dikhaya na gaya tumse,
mumkin hai to arthi uttane se pehle hi aa jaao,

hum marr gaye hain lekin, hum dard mein hain tere,
na sahi ishq magar phir bhi zamaane ke liye aao,

neend aati nahi.. sote hain, sote hain bahut rote hain,
kuch khwaab haseen dil ko dikhane ke liye aao,

tum meri jarurat ho, tum meri tamanna ho,
aa jaao mujhko zehar pilaane ke liye hi aa jaao,

tere intezaar mein hum thak chuke.. kasam se,
bhaahon mein humein apni sulaane ke liye hi aa jaao,

maana raaj buraa hai, ye tum bhi jaante ho,
ek baar mujhko accha banaane ke liye aa jaao..!!

zakhmon ko hanste-hanste seh jana pardta hai

majburi mein sun ke chup rah jana pardta hai,
aankhon se hi sara kuch keh jana pardta hai,

wafa ki raah mein aksar chattanon ko bhi,
jazbaaton mein be-sahara beh jana pardta hai,

barde-barde honsle wale pardte hain kamjor isme,
mohabbat ki aajmaish mein unhein bhi bikhar jana pardta hai,

aashkon ko gam ke payimane mein pi-pi kar,
zakhmon ko hanste-hanste seh jana pardta hai,

hoti hai jab sachhi chahat dil mein unke,
duniya ki sari deewaron ko dheh jana pardta hai.

woh to bhul gaye hain sab kuch

woh pal kabhi gujra tha mera,
gam ke saaye se door kahin,
aaj unhi meethe palo ki yaadein,
bhar laayein hain neer abhi...

kitna khush tha main sang unke,
na bichardne ka tha khauf kahin,
kabhi ruthta kabhi manaata tha unhein,
ujard gayi kyu ab wo duniya meri...

kuch kasmein thi kuch waade the,
aur kuch khel suhaane the,
beetein palon ki yaadein sanjone mein,
yun beet gayi zindagani meri...

wo to bhul gaye hain sab kuch,
aur mujhe unki har baat yaad rahi,
keh gaye the jis mord par laut aane ko,
ussi mord par khade meri umra beet gayi...

wo nahi aaye laut kar lekin,
unki yaadein mere saath rahi,
keh na saka jo bhawna unse lab se kabhi,
meri shayri ne us dard ki har kahaani kahi...

unki bewafai ka kaise sikwa karein

dekhte dekhte kai mausam badal gaye,
auron ki kya baat karein, sanam badal gaye.

ruswa mehfil mein is tarah se huye,
apnon ki bheed mein jaise, hum badal gaye.

kagaz pe kuch lakerein, haathon ki tarah,
mita sakta hai har koi, karam badal gaye.

unki bewafai ka kaise sikwa karein,
chhord de saath raaj, sitam badal gaye.

teri zarra nawazish ka dil se shukriya,
warna aye khuda jahaan mein, reham badal gaye.

All Time's Favourite Posts