kahaan dhoondhu main usko

aayi phir wohi pyaasi shaam hai,
phir wohi intezaar ka mukaam hai,

lut gaye yeh neend aur karaar ab,
aarzu mein tere dil hua nilaam hai,

karte hain sawaal yeh lab mujhse,
muskaan kis cheez ka naam hai,

kahaan dhoondhu main us shakhs ko,
lapata woh, shehar gumnaam hai,

aa ja ke saansein hain pareshaan,
tere bagair lage zindagi ilzaam hai,

sab paa kar bhi kuch nahi hai pass,
bas yeh jazba-aye-ishq nakaam hai.

ek bewafa se wafa hum nibhaate gaye

har raah par woh saath aate gaye,
dheere-dheere apna banaate gaye,

dost ban ke aaye zindagi mein mere,
aur pehchaan khud se karaate gaye,

dekhte hain duniya unki nazron se,
roshni aankhon mein sajaate gaye,

gunjta hai dil mein dhadkan ban ke,
aaisa nagma pyaar ka sunaate gaye,

unse mil kar samjhe dil ki lagi ko,
hume aashiqui woh sikhaate gaye,

kya misaal doon main us shakhs ki,
ek bewafa se wafa hum nibhaate gaye.

kyun tumse maine pyar kiya

tum kyun mujhe tannha chord ke chale gaye,
gum kya pehle kam the jo aur bada ke chale gaye?

socha tha sang tumhare zindagi basayenge apni,
meri duniya kyun ujaad ke chale gaye?

kya galti thi meri, ki maine tumse pyaar kiya?
ya phir yeh ki maine tum par khud se jada vishwas kiya?

kaha tha tumne ki sath nibhaoge mera har pal,
ab kya hua itni jaldi tum sab kuch bhool gaye?

nahi dena tha sath mera to kyun tum vaade karte the?
kyun apne wafadar hone ki kasmein khaya karte the?

waise galti tumhari nahi hamari hi thi,
humne ek ajnabi par vishwas kyun kiya?

jab socha tha nahi denge kisi ko dil apna,
to kyun tumse maine pyar kiya?

dil ke tukde pehle hi hue the,
badi mushkil se joda tha humne isse,

jane kya man mein aayi tumhare,
aur tum isse chaknachur kar ke chale gaye.

apne hi dhokha de jaate hain

apne to apne hain
phir bhi dhokha de jaate hain,

jinse khushi ki thi umeedein
wo humko bahut rulte hain,

jo apne na hote huye
phir bhi apne ho jaate hain,

jinke khawabo se hum
is duniya se kho jaate hain,

jism alag ho jaata hai
jab ashq lahu ke aate hain,

kya umeed hum unse kerte
woh isko pyaar batlate hain. 

in aankhon ki hai talaash anant

jeevan ek pyaas, pyaar hai saagar,
samandar gehra, pyaas anant.

pal bhar ka hai jeena mera,
jeene ki hai aas anant.

saaye mein jiske panapti zindagi,
meri dharti ka aakash anant.

nazar chitizz tak dekh rahi hai,
in aankhon ki hai talaash anant.

honge fanaa uski aagosh mein,
wo roz kayaamat ho kash anant.

naye zakham mile to puraane chuth jaate hain

marham bhi bechain dil ko raas nahi aate hain,
dard bardhta hai jab pyaar kisi ka paate hain,
dil ke zakhmon ki aadat hi kuch aise huyi,
naye zakham mile to puraane chuth jaate hain..

jisko pyar karo woh hi dhokha deta hai

jaruri nahi par aisa hua karta hai,
jisko bhi pyaar karo woh hi dhokha deta hai,
kasme khate hain wo pyar nibahne ki,
or kisi mord par rashta badal liya karte hain.

All Time's Favourite Posts