woh to bhul gaye hain sab kuch

woh pal kabhi gujra tha mera,
gam ke saaye se door kahin,
aaj unhi meethe palo ki yaadein,
bhar laayein hain neer abhi...

kitna khush tha main sang unke,
na bichardne ka tha khauf kahin,
kabhi ruthta kabhi manaata tha unhein,
ujard gayi kyu ab wo duniya meri...

kuch kasmein thi kuch waade the,
aur kuch khel suhaane the,
beetein palon ki yaadein sanjone mein,
yun beet gayi zindagani meri...

wo to bhul gaye hain sab kuch,
aur mujhe unki har baat yaad rahi,
keh gaye the jis mord par laut aane ko,
ussi mord par khade meri umra beet gayi...

wo nahi aaye laut kar lekin,
unki yaadein mere saath rahi,
keh na saka jo bhawna unse lab se kabhi,
meri shayri ne us dard ki har kahaani kahi...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts