Showing posts with label dosti. Show all posts
Showing posts with label dosti. Show all posts

majhdhaar mein banke rahe pattvaar pitaaji

duniya ko bataate rahe majhdhaar pitaaji,
majhdhaar mein banke rahe pattvaar pitaaji,

saaya bhi unhi se hai, sahaara bhi unhi ka,
bachchon ke liye dar hai aur deevaar pitaaji.

chullha na pade thanda kabhi isleye aksar,
hansakar gaye hain kaam par beemaar pitaaji,

maa ke bimaari mein bachche, roti aur baratan,
aksar nibhaate maa ka bhi kiradaar pitaaji.

hain dost, alaarm, guru, to pabandiyaan kabhi,
thappad, nasihatein, kabhi akhabaar pitaaji.

aise hain mere paa..

nariyal ko dekha hai na gaur se?
upar se sakkt, ander se kitna narm-mulayam,
ekdum malaayi sa, bilkul aise hain... mere paa.

maa ki tarah loori nahi sunaate,
meri aanshuon ko aachal nahi thamaate to kya?
anguli pakkad kar zindagi ke kathor dharatal par,
pehla kadam rakh chalna sikhate.. mere paa.

thokar khaa kar girne par
dard ko sehna sikhaate.. mere paa.

maa ki tarah parilok ki sair nahi karate,
duniya ki uchh-nichh bhi nahi samjhate to kya?
mere imhetaan mein mere sath raat bhar jaagte,
mere liye chaai banate.. mere paa.

mere behtar kal ke liye,
apna sunehara aaj kharch karte.. mere paa.

maa ki tarah gale nahi lagate,
meri yaad mein aanshu nahi bahate to kya?
chup-chaap mujhe niharate,
khaamosh nigaahon se sab kuch keh jaate.. mere paa.

mere jaane ke baad udaas akele 
mujhe mere kamare mein dhundate.. mere paa.

yaad hai sari mujhe.. teri mulakate

tera hasna, tera muskurana,
aankhein milte hi.. tera sharmana.

tera chalna, tera milna,
phoolo ki tarah.. tera khilna.

teri chaal, tere baal,
gulabo si rangat wale,
tere surkh gulaabi gaal.

tera baithna, tera uthna,
bina baat ke.. tera ruthna.

tera gussa, tera pyar,
chhoti chhoti baato pe.. teri takraar.

tera aana, tera jaana,
khud jhagad ke.. tera manaana.

tera gaana, tera rona,
mere aagosh mein aake.. tera khona.

teri aankhein, teri baatein,
yaad hai saari mujhe.. teri mulakate.

kahi kisi ka dil naa tute

chaahe kahin koi apna roothe,
chaahe kahin koi sapna tute. 

dil hai mandir, dil hain masjid,
dil hai shiwaala, dil naa tute. 

roothe to roothe saari duniya,
rab hai apna, rab naa roothe. 

sukhe chaahe darya-nadiyaan,
dil ka niraala, perd naa sukhe. 

meri manzil door bahut hai,
koi naa mera raasta roke. 

phool milenge kaise tum ko,
baithe ho tum kaante boh ke. 

sab ki manzil dil ki galiyaan,
jaana hai ab dil se hoke. 

dil ka rishta bilkul sachha,
iss ke aage saare jhuthe. 

khushbu wafa ki baandh ke rakhna,
khol naa dena, dil ke jharoke. 

hum ko sada hai pyaar ki chaahat,
khawab piroye hum ne shok se.

lafzoan ki hai mala lekin,
pesh kiya hai dil ko piro ke. 

jab bhi hum ne, dil ko dukhaaya,
deta hai dil, hum ko kacho ke. 

dhoond rahe ho, iss mein wafa tum,
khaaye jabke laakhon dhokhe. 

mere gazalon ko mere sath gaao ki andhera hatte

dil ko roshan banao ki andhera hatte,
nafraton ko bhagao ki andhera hatte,

aao dil ki mehfil mein, aao ki andhera hatte,
rukh se julfein hatao ki andhera hatte,

do pyar ke geet gaao aur muskuarao,
sare ghum ko bhulao ki andhera haate,

pyar ke noor se khaiyan pat do nafraton ki,
jahan ko jagmagao ki andhera hatte,

chand se mukhde ki tareef mein kuch kehne do,
mere gazalon ko mere sath gaao ki andhera hatte,

ek “raaj“ hi hai aapke nazaron mein kabse,
jaam-e-ulfat pilao ki andhera hatte.

apni to duniya hi doston se hai

khushi bhi doston se hai,
gham bhi doston se hai, 

takraar bhi doston se hai,
pyar bhi doston se hai, 

roothna bhi doston se hai,
manana bhi doston se hai, 

baat bhi doston se hai,
misaal bhi doston se hai, 

nasha bhi doston se hai,
shaam bhi doston se hai, 

zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai,
zindagi mein mulakaat bhi doston se hai, 

mohabbat bhi doston se hai,
inaayat bhi doston se hai, 

kaam bhi doston se hai,
naam bhi doston se hai, 

khyaal bhi doston se hai,
armaan bhi doston se hai, 

khwaab bhi doston se hai,
maahol bhi doston se hai, 

yaadein bhi doston se hai,
mulakaatein bhi doston se hai, 

sapne bhi doston se hain,
apne bhi doston se hain, 

ya yoon kahoon yaro,
apni to duniya hi doston se hai.

mera yeh kya jeewan hai, akelapan ek humsafar hai

mera yeh kya jeewan hai,
akelapan ek humsafar hai,

khoj hai mera jaari abhi,
mil jaaye ek dost agar…

dhoond liya rasta rasta,
gaya main har kis ke paas,

par laut aaya ek jawaab lekar,
ki dost nahi banayenge hum.

pata nahi kya hua sabko,
ya phir galthi mujh mein hai,

sochta hoon bas yehi,
par koi mujhe milta nahi. 

rehta hoon main unke paas,
karta hoon unki har madadh,

raktha hoon khayal unka,
kami nahi chhod tha kuch,

par jaane kya hua sabko,
ya phir accha nahi lagta main unko,

mere chehre se log nafrat karte hain,
ya mere pehchaan se,

jaanta nahi main abhi kuch,
dhoond raha hoon phir bhi kuch,

mil jaaye ek dost mujhe,
to ho jaun main bhi khush.

doston ke saath woh mastiyan phir kahan

doston ke saath wo mastiyan, badmashiyan, 
phir kahan, phir kahan... 

history ka wo class bunk karna, 

chemistry ke period mein sona, 
phir kahan, phir kahan...

teacher ke question puchne par 
chup-chup khade hona, 
teacher ke absent hone par jada khush hona, 
phir kahan, phir kahan... 

jee le iss pal ko jee bhar ke, 
yeh sab phir kahan, phir kahan... 

kisi anjaan safar par thame dosti kaa haath

mere dost main woh nahi jo dikhta hoon, 
jaan bujh kar maine ek libaas pehen rakha hai,

jo mujhe tumhare sawalon se bachata hai, 

aur tumhe mere takalluf se.

mere dost jab tum guzrti hui 
hawa ki aur ishaara karte ho, 
mera dil to kisi samunder ki gehraiyon mein khoya rehta hai. 

tumhare kehne par hi main apni gehraiyon se uthkar, 

guzarti hui in hawaon ko mehsus kar leta hoon, 

kyunki main jaanta hoon, 

tum mere samunder ko samajh nahi paoge, 
jab tumhara yaha kisi ujle din ki shuruat hoti hai, 
mere waha ek suni raat apna geet gungunati hai. 

tumahri nazro se main suraj ki kirno ko failte hue dekh leta hoon, 
jab ki tum taaron se pankh ladaati meri raat nahi dekh paate,

dost jab tum kisi jannat ki aur chal padte ho, 

main apne jahanum main simat jaata hoon,

tunhare saath main kabhi jannat ko dekh leta hoon, 

par hamesha main tumhe apne jahanum se door rakhta hoon,

kyunki main jaanta hoon yaha ki aag tumhara chehra jala dega, 

aur yaha ka dhua tumahari aankhon ko pighla dega.

jab tum hans padte ho main bhi hans leta hoon, 

tumahre khwabo ki duniya mein sang tumhare ho leta hoon,

meri jujlaati hui hakeeqat se tumhe bahut door le jaata hoon, 

kyunki tum meri deewani duniya se wakif nahi 
aur mujhe tumhare jaha se nahi koi wasta.

phir bhi aye dost, 

yuhi saath saath hum chal padte hain 
kisi anjaan safar par thame dosti kaa haath..

ek saccha dost aaj bhi hai tera

hum to sachi dosti rakhte the aap se, 
naa jaane kis rishte ki darr se dosti tord di mujh se? 

ab aap humein bhool jaane ko kahte ho? 
ab aap apni yaadein mitaane ko kahte ho? 

par kaise teri yaadein mitaun main? 
kaise tujh ko bhulaun main? 

jahan jaata hoon teri justaju rah jaati hai, 
kaise tera ehsas chipaoon main? 

iss zamane ke riti-riwazo mein, 
humara rishta kuch aisa uljha, 
lakh chaah kar bhi yeh na suljha. 

ab sab jankar bas yahi dua hai meri, 
sada kush raho tum, 
sari khushiyaan ho puri, 

yeh aakhri alvida hai mera, 
sada yaad rakhna.. 
ek saccha dost aaj bhi hai tera. 

wah gujra zamana yaad aata hai

woh masti aur hansi ka zamana yaad aata hai,
woh bachpan ka khud hasna-hasana yaad aata hai,

zamane ke har gham se anjaan tha woh pal,
ek pal mein ro ke phir muskana yaad aata hai,

har phikar se milon door thi woh zindagi apni,
khwahish-e-dil puri karne ka fasana yaad aata hai,

woh khilono ki basti aur khelon ke jahan,
khud ruthna aur manana yaad aata hai,

yeh kahan aa gaye hum un dinon ko bhool kar,
ret gharondhe banakar girana yaad aata hai,

aaj hamari zindagi ghamon se bhari hai,
woh haseen pal, woh khushiyan lutana yaad aata hai.

chalo aaj thoda ghoom aate hain

chalo aaj thoda ghum aate hain,
samandar mein kashti dubokar
tufaano se do-do haath kar aate hain,
chalo aaj phir thoda ghoom aate hain...

phise badalon ka nimantran
sweekar kar aate hain,
bijali ko phir kahi girne
ki salah de aate hain,
chalo aaj thoda ghoom aate hain...

zindagi ki rassa-kassi mein
khud ko bhi thoda dheela chord aate hain,
utta kar inke ehsaano ka tokara
phir samandar mein fekk aate hain,
chalo aaj phir thoda ghoom aate hain...

lekar apne sath thoda sa jwaar-bhata,
chaand ko bhi bula aate hain,
samandar mein chand-sitaron ke sath
aaj ek nayi mehfil sajate hain,
chalo aaj thoda ghoom aate hain...

dil yeh chota bacha hai

dil yeh masoom chota bacha hai,
yeh bada na hua to acha hai,
isspe pabandiyan nahi kuch bhi,
yeh to do saal ka mano bachcha hai.

iss ko koi fikar na faka hai,
yeh to har haal muskrata hai,
manta yeh nahi jahan ki rasmein,
yeh to bas pyaar chahata hai.

pyaar deta hai pyar chahata hai,
pyaar se bas iss ka nataa hai,
zindagi bhar rahe yeh bacha,
har ek insaan bas yeh hi chahta hai.

maine dekha phir woh sapna

maine dekha phir woh sapna,
haath mein uske haath apna,
chahat ki kuch baatein bhi,
chori chupke mulakaatein bhi,

woh sharmayi si thi kuch,
aur main bhi tha kuch behka sa,
jaane kyu kal soo kar bhi lage,
jaise mujhe neend na aaya tha,

pyaara pyaara tha mausam,
aur mehki thi kuch hawayein bhi,
raat akeli ne bhi thi ordhi,
chaandni ki chaadar bhi,

dekh mujhe kuch ghabraayi si,
usne liya baahon mein tha thaam
kaise keh paauon mein labzo mein,
kaise guzari thi kal ki raat,
maine dekha phir woh sapna. 

mohabbat ki nishaani dhundtaa hoon

mohabbat ki nishaani dhundtaa hoon,
main sarhaoon mein paani dhundtaa hoon,

nagar mein, gaanv mein, basti mein, ghar mein,
jahaan ho zindagani dhundtaa hoon,

jo patthar kaatke raasta banaa le,
ghazal mein woh ravaani dhundtaa hoon,

pahunchti ho jo diloon se diloon tak,
wahi boli purani dhundtaa hoon. 

milne aana kabhi-kabhi

raat jaagna kabhi-kabhi,
nazrein churaana kabhi-kabhi,

khubsurat ho tum, yeh kehkar,
itraana kabhi-kabhi,

chand ke saamne, sharmakar,
chali jana kabhi-kabhi,

khwaabon mein mujhko dekhkar,
muskurana kabhi-kabhi,

aaiyene mein husn dekhkar,
chandni mein jaana kabhi-kabhi,

kitaab ke panne palatte huye,
seene se lagana kabhi-kabhi,

nazrein churakar duniya se,
mujhse milne aana kabhi-kabhi.

2020 ho kuch aisa..

meri chah hai naya saal ho kuch aisa,
na ho jismein koi kisi ka dil dukhane wala,

duniya mein nahi hai jinka koi,
naye saal mein ho unko koi gale lagane wala,

ujadi huyi aankhein jinki zindagi mein hai andhera,
naya saal ho unhein dobara sapne dikhane wala,

tannha aur udaas logon ke aashiyano mein,
naya saal ho khushiyon ki baarish karne wala,

dukh, dard, dushmani sab ko mitakar,
naya saal ho sabse dosti karane wala.

bepanah chahat hai aaj bhi tumse

bepanah chahat hai aaj bhi tumse,
har roz teri yaadein aati hai mere dar par,

har raat tardapta rehta hoon main to mere ghar par,
har surkh labo ki laali tere jaise lagti hai,

milenge tumse kabhi na kabhi,
yeh dil ki dhadkan kehti hai.

takraar hoti rehti hai meri mere ghum se,
bepanah chahat hai aaj bhi tumse.

humne dosti ke liye apne duhsman chune hain

chord kar saath phoolon ka humne kante chune hain,
bhool kar khushiyan humne ghumon ke tarane chune hain,

bheed se ho kar juda humne tannha safar chune hain,
din ke ujjale jab chubhane lage tab inn raton ke saaye chune hain,

jee rahe hain jinake sahare humne un yaadon ke fasane chune hain,
duniya jise deti hai deewangi ka naam, humne har kadam aise sapne chune hain,

har lamha khud ki talash mein, hum duniya se door ho chale hain,
shikwa kare to bhi kare kiss se, humne hi dosti ke liye duhsman chune hain. 

mausmon ke aane jaane mein

mausmon ke aane mein mausmon ke jaane mein,
aur jaam tooteinge iss sharaabkhaane mein,

har dhadakte patthar ko log dil samajhte hain,
umr beet jaati hai dil ko dil banaane mein,

koi jaane-jaana bhi be-matlab nahi milta,
dosti nahi hoti aaj ke zamaane mein,

waqt ki majboori yeh bhi keh nahi sakte,
kaun saanp rakhta hai apne aashiaane mein?

doosri koi ladki zindagi mein aayegi,
kitni der lagti hai usko bhool jaane mein?

log toot jaate hain ek ghar banaane mein,
woh taras bhi nahi khaate bastiyan jalaane mein.

All Time's Favourite Posts