Showing posts with label adhura. Show all posts
Showing posts with label adhura. Show all posts

kaun aayega yahaan, koi na aaya hoga

kaun aayega yahaan, koi na aaya hoga,
mera darwaaza havaaon ne hilaaya hoga.

dil-e-naadaan na dhadak, aye dil-e-naadaan na dhadak,
koi khhat leke padosi ke ghar aaya hoga.

gul se lippti huyi titali ko giraakar dekho,
andhiyon tum ne sukhi drakhton ko giraaya hoga.

‘raaj’ pardesh mein mat yaad karo apana makaan,
ab ke baarish mein usse tord giraaya hoga.

majhdhaar mein banke rahe pattvaar pitaaji

duniya ko bataate rahe majhdhaar pitaaji,
majhdhaar mein banke rahe pattvaar pitaaji,

saaya bhi unhi se hai, sahaara bhi unhi ka,
bachchon ke liye dar hai aur deevaar pitaaji.

chullha na pade thanda kabhi isleye aksar,
hansakar gaye hain kaam par beemaar pitaaji,

maa ke bimaari mein bachche, roti aur baratan,
aksar nibhaate maa ka bhi kiradaar pitaaji.

hain dost, alaarm, guru, to pabandiyaan kabhi,
thappad, nasihatein, kabhi akhabaar pitaaji.

tanhaaiyon ka shikaar aadmi

har taraf har jagah beshumaar aadmi,
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi.

subah se shaam tak bojh dhota hua,
apni hi laash ka khud mazaar aadmi.

har taraf bhaagte-daudte raashte,
har taraf aadmi ka shikaar aadmi.

roz jeeta hua, roz marta hua,
har naye din naya intezaar aadmi.

zindagi ka mukaddar safar dar safar,
aakhiri shaans tak bekaraar aadmi.

har taraf har jagah beshumaar aadmi,
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi.

har pal dhoondta raha main thikhana maut ka

har pal dhoondta raha main thikhana maut ka,
na jaane kab ho iss zindagi mein saamna maut ka,

woh jo muhje jeene ke liye kehte the kabhi,
unhein to kab ka mila gharana maut ka.

meri bebasi dekho..
ki gaa bhi sakta tarana maut ka.

unki de zindagi to aamant hai mere paas varna,
kab ka ho gaya hota samana mera aur maut ka.

ab to na marne ka haqdaar, na hi jeene ke kaabil,
zindagi boojh si baan chuki hai,

marne se pehle hi mar chuki hai,
ab kis muh se ja kar karoon saamna maut ka.

har pal dhoondta raha main thikhana maut ka,
na jaane kab ho iss zindagi mein samna maut ka.

gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba

aankhein michh kar soone se pehle,
jazbaat pighal kar roone se pehle,
jab aalfaz sinne mein dafan ho jaate hain,
tab yaadon se palkein bhigone se pehle,
aapke ashk se baatein karne lagta hoon,
tashveeron ko mana kar, unhi se ruth leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba !

bin mausam ki barsaat mein kabhi bheegne lagta hoon,
raat chaadar lapet kar thand ke maare jab kappne lagta hoon,
tab lagta hai jaise apna chaadar aap mujhe ordha rahe ho,
aur garm haathon ki narm ungliyon se mere baalon ko sehla rahe ho,
aapke hone ka ehsaas bhar se hi, har dard mein sukkun paa leta hoon baba,
yaadon ki chaadar ordhe har raat... aapko dhund leta hoon baba !

kisi raat sapnon mein puraane school pahuch jata hoon,
shaam dhalne par jab khil-khilate baccho ki toliyan nikalne lagti hai,
tab naa jaane dil ko kaisi aas bandh jaati hai,
meri nigaahein un cheharon mein kuch dhundane lag jaati hai,
dhundata hoon un haathon ko jinme jhaalmudi ki thayali hogi,
mera intezaar karti huyi, apni priya scooter kahi kadi hogi,
jispar sawar hone par ke khayaal se hi main jhoom leta hoon baba,
har nukkad, gali, chauraahe mein, aapko dhund leta hoon baba !

bheed mein akelapan ka ehsaas aapke bin hota hai,
jab kabhi bhi pariwaar mein kisi ka janam-din hota hai,
sabse chupte-chupaate koi tauffa le aaoge,
jo humse naa bujhi, woh mom-battiyan aap bujhaaoge,
bas yehi sochkar jaan bujhkar, aankhein mund leta hoon baba,
kabhi na khatam hone wale intezaar mein.. aapko dhund leta hoon baba !

woh aakhri pal nahi bhoolta mujhse kisi bhi haal mein,
aap zindagi ki door thaame ashpataal mein,
mujhse tab yeh kaha gaya ki kuch hi pal ab sesh bachi hai,
laga jaise khusiyon ki duniya ab dher ho chuki hai,
lekin maut ke farishton se chupte-chupaakar,
rakha tha aapne kuch saansein bachaakar,
aapki pairon ko apne hatheliyon se malte huye,
maine haathon mein aapke pairon ko jakkad rakha tha,
kuch naa keh kar bhi kitna kuch keh rakha tha.

aapse thi saari muskuraahat, aap khusiyon ke jahan the,
mere aanshu tab sukh chuke the, jab aap be-jubaan the,
ab to bas aapki tasveeron se baatein kar leta hoon,
dil kaagaz ban jaata hai, jispar dard apna likh deta hoon,
ussi dard ki dabbi huyi aawaz mein, likhe huye har alfaaz mein,
aapko dhund leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein..
aapko dhund leta hoon baba !

jaani pehchani si, ek khoobsurat yaad

kabhi aati hai khamoshi se, chupke se,
sargoshi se, andheri raat mein,

bheegi barsaat mein, kabhi veerane mein,
kabhi anjaane mein, kabhi mehfil mein,

kabhi tanhai mein, koi khabar kyun aati hai,
yeah waqt ke kis wajah se, kis ke liye,

kis ki khatir, kis ke liye,
kya batane, yeah kya hai?

ek ehsaas hai, ek pyaas hai,
phir bhi acchi lagti hai,

anjani si, baygani si,
pehchani si, ek khoobsurat yaad.

chalte-chalte bheed ke sath phir tannha ho gaye

chalte chalte bheed ke sath,
phir tannha hum ho gaye,

dhundhte rahe manzil ko,
aur karvaan guzar gaye.

sapne jo haqeekat se the,
raat ke shaayon mein kanhi soo gaye,

khushiyan jo daman mein the,
phoolon ki tarah, kaante se ho gaye.

lamhein jo apne the kabhi,
banker yaadein fizaaon mein kanhi kho gaye.

hoton par naam aate hi, yaadein tazza ho jaati hain baba,

hoton par naam aate hi,
yaadein tazza ho jaati hain baba,

yaad tazza hote hi,
aankhein chalak jaati hai baba,

guzre dino ki tasveer
saaf nazar aati hai baba,

sab hote huye bhi aapki
kami nazar aati hai baba.

bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai

aapki kami khalti hai mujhe, yeh khaalipan tardpata hai,
bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai.

ab pata chalta hai ki.. yeh zimmedariyon ka bojh kitna bhaari hai,
khud se jyada apno ki khusiyan pyaari hai,

daurdne pardte hain kadam, pakadne ko zindagi ki raftaar,
aaj to gujar gaya jaise taise, kal bhi hai aane ko taiyaar.

aapki majbooriyon ka mujhe ab ehsaas hota hai,
duniya hoti hai matlabi, aur ghar ka har saksh khaas hota hai.

maa ke baad pita hi samajhta hai khamosi bachhon ki,
muskilon se bachane ke liye, pita himmat ki deewar hota hai.

har daat pe pyaar jo rahta hai, woh yaad bahut ab aata hai,
har beeta lammha ab to bas, aankhon mein aanshu laata hai.

tashveer basi hai dil mein jo, jeene ka hausla deti hai,
isse tarah se bas ab to, yeh waqt gujarta jata hai.

aapki kami khalti hai mujh mein, yeh khaalipan tardpata hai,
bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai.

Miss You Baba !!

waqt beet gaya lekin reh gayi hai waqt ki parchaai

zindagi ke andheron mein woh jalti mashaal the,
musibaton se bachhane ko woh pariwaar ki dhaal the.

kaha jee paaye the woh apni zindagi apne hisaab se,
pita hamare koi aam saksh nahi, tyaag ki ek misaal the.

waqt beet gaya lekin reh gayi hai waqt ki parchaai,
aapke jaane ke baad kuch bachhi hai to bas tanhaai.

nikal padte hain aankhon se aanshu aur dil baith jaata hai,
jab bhi yaad aati hain baatein jo aapne thi bataayi.

ek pita ki ahmiyat kya hai,
iska jawab waqt mere samane laya hai,
kin haalaton se gujaare honge humein paalane ke liye aap,
yeh aaj mujhe samajh aaya hai.

kabhi dar lagta tha aapke daat se,
aaj aapki khaamoshi mujhe satati hai,
mujhe maalum hai ki ab aap nahi aane waale,
phir bhi aapki yaad mujhe aksar rulaati hai.

jab bhi kami khilti hai aapki,
aapki yaadon se mulakaatein kar leta hoon,
ab aapse milna mumkin kaha isleye,
ab aapki tasweer se baatein kar leta hoon.

sudhaar loon main gushtakhiyan zindagi ki,
ab galti karne par mujhe kaha koi daat-ta hai,
akele hi jujhta hoon ab main zindagi se,
aapki tarah mere dard kaha koi baat-ta hai.

aise the mere pitah

bargad ki gehri chaav jaise,
zindagi ki dhup mein ghanne shaaye jaise,
the mere pitah.

ghar par ishwar ka roop jaise,
chubhati dhoop mein sahlaate,
mere pitah

bacchon sang bacche ban khelte,
unko uphaar dilla kar khushi dete,
bacchon ko yun hi muskuraao ki dua dete,
aise the mere pitah.

sankat mein pathwaar ban khade hote,
aashray sthal jaise the mere pitah.

bund bund sab ko sameet-te,
andhere mein de kar hausla,
kehte mere pitah,
tumko kiska dar hai?

ghumon ki bheed mein hasna sikhate,
mere pitah.
aur apne dum par tufaanon se lardna,

kisi ke aage tum nahi jhukna,
yeh sikhalaate mere pitah.

pariwaar ki himmat aur vishwas the,
umeed aur aas ki pehchaan the mere pitah.

ek puraani album

 yaadon ki khidkiyon par baitha, beete kal ko jhakk raha tha,
aaj puraani almaari mein, zindagi talaash raha tha.

bhoole bishre geeton ko aaj nayi sargam milli,
dhool se sanni, kone mein padi, ek puraani album mili.

kaale safed liwaz mein lipti, guzare daur ki kahani thi,
shabd nahi the jisme koi, tasweeron ki jubaani thi.

meri muskurahat par the sab nishaar,
main khusiyon ka humsaya tha,
iss tasweer mein woh pal kaid hain,
jab main duniya mein aaya tha.

aankhon mein yaadein bhar aayi, dil tardpar rooya hai,
ek tasweer mein kisi ne budhi daadi ko sanjoya hai.

kahi holi ke rang kaid hain, kahi diwali ki raat hai,
kahi janamdin mana raha hoon main, jaise kal hi hi baat hai.

woh school ka pehla din ho, ya collage mein ki shaitaani,
tasweeron mein simat kar rah gaya, bachpan aur jawaani.

apni har baat kehne se pehle izzajat liya kerta tha,
yeh tasweer tab ki hai,  jab main office jaaya kerta tha.

ghumon se uljhe zindagi ki khuli tab takkdeer thi,
tumhein dekh kar pasand kiya tha, yehi to woh tasweer thi.

aage kuch tasweeron mein kaid, har ek pal hain sunahare,
tum paas mere baithi the, haathon mein the haath hamare.

kuch tasweeron mein aawaz kaid hai, dhol nagade, sehnaai ki,
woh pehla ghar humene liya, woh scooty pehli kamayi ki.

kuch tasweeron mein aanshu hain, jab behno ki bedaai ki,
chote bhaai ke sahare humare ghar mein bhi ek bahu aayi thi.

humsab ko chordkar baba, kyu ek din safed liwaz mein lipat gaye,
haar lagi sunahari frame mein, kyu tum jaa kar simat gaye.

tumhare bhaaiyon ne baba gaao ke ghar ko baat diya,
mere kamjoor haat na pahuch sake, photo itne upaar tang diya.

sabhi pariwaar waalon ne diya mujhe itna pyaar hai,
ab aankho mein dikhata mere tasweer ho jaane ka itnezaar hai,

raakh bankar rah jaauga, baha denge mujhe sangam mein,
tasweer bana dhool khaaunga, kisi purani album mein.

guzre huye kal ki kitaab

apne guzre huye kal ki kitaab dekh raha hoon,
zindagi ke zulmon ke hisaab dekh raha hoon.

mujh ko jalaane tum bhi aaoge mere yaar..
sach kehte ho, ya main khwaab dekh raha hoon?

tere gham to seh liye, ab gairon ki baari hai,
aanshu pee chuka, sharaab dekh raha hoon.

aap kehte ho ke meri aankhein namm nahi,
main apne aayino mein sailaab dekh raha hoon.

nahi mujhko koi umeed unke aane ki,
bas youn hi raahon ko janaab dekh raha hoon.

bas yun hi haste haste chala jaaunga

bas yun hi haste haste chala jaaunga,
doston ab shayad main laut kar nahi aaunga.

par yeh bhi to ek sach baat hai, jo bithe aap sab ke saath,
woh mitthe pal main kabhi nahi bhool paaunga,

par aaj main bhi yahan se khali haath nahi jaaunga,
main jaroor apni yaadon ki mehek yahi chhord jaaunga.

jaanta hoon kahi dil tutte hain meri nadaaniyon se,
par aaj jaate jaate main aap sab se maafi maangna chahunga,

aap ko jo bhi ho mujhse sikhwe gile.. ser aankhon par,
main aaj aap sabhhi ko dua dete jaaunga.

aaj hoon kuch doston ke dilo mein,
par ek din unki yaadon se bhi mit jaaunga.

aaj hoon thoda mashoor aap doston ki badolat,
par waqt ke chalte hi issi bheed mein kahin kho jaaunga.

bas yun hi haste haste chala jaaunga,
doston ab shayad main laut kar nahi aaunga.

aaj bhi humein talaash hai

nikle the kuch door hum, 
azad panchi ki tarah,
mil jaaye kahin humein woh jagah,

khula aakash, apni zameen,
pankh failaye, hum the leen,

jag apna, khushiyaan apni,
laga jaise, kahin woh toh nahin,

aaj urdne ka mann tha,
kehna kuch bhi kam tha,
par pal har pal ek aas hai, 
aaj bhi humein talaash hai.

kabhi garmi, kabhi sardi, kabhi baarish hai zindagi mein

kabhi garmi, kabhi sardi, kabhi baarish hai zindgi mein,
gham hi gham hai meri zindagi mein,

bithe lamhon ki yaad dilata hai yeh badlata mausam,
kho chuki khushiyon ki yaad dilata hai yeh mausam,

itna kuch dekha hai zindagi mein
ub jaane nahi chahate hain hum,

kabhi rishton mein garmahat ka ahsas,
kabhi sard pade rishton ka ahsaas,

kabhi anshuon ki barish hoti inn aankoh se,
kabhi mayusi jalkti inn aankoh se,

jisko samja tha apna woh bhi badla sa najar aata hai,
jiske sahare jina chaha, khush rehna chaha, woh hi aaj rulata hai.

jo pyar ek misaal tha zindagi mein,
wahi aaj bikhra najar aaata hai humein,

naaz tha jinki mohabat par humein
aab wahi thukrate hain humein,

pyar bhi badlte mausam ki tarah badal jata hai,
sukh-dukh mein sath nibane ki khai thi jo kasmein,

aaj un par bhi aitbaar uthta jaata hai,
kabhi garmi, kabhi sardi, kabhi baarish hai zindagi mein.

maine poocha kaise ho

maine poocha kaise ho,
badle ho ya waise ho?

roop wohi andaaz wohi,
ya phir iss mein koi kami,

hijr ka kuch ehsaas to hoga,
koi tumhare pass to hoga,

main bichrra yaha majboor tha,
kab manzoor mujhe tujhse doori tha

saath humara kab chhoota hai,
rooh ka rishta kab toota hai,

aankh se jo aanshu behte hain,
tum ko khabar hai kya kehte hain?

maine kaha aawaz tumhari,
aaj bhi hai humraaz hamari,

phool wafa ke khil jaayenge,
ek din phir hum mil jaayenge.

udasi ka mausam kabhi humara na tha

dil to tere saath tha, tujhe hi yeh gawara na tha,
humne manga uss jahan ko, jo kabhi humara na tha.

tum kehte ho pyaar kamjor tha humara,
kya pyar dene ka kuch farz tumhara na tha?

jeene ki aas chordna bhi kaise chahein,
saans lene ka faisla akele humara na tha.

shiddhat se intezaar kiya har saans ne tera,
yeh baat aur hai, kabhi tumhe pukaara na tha.

iss kadar bikhre hain arsh par sapne meri jaan,
ek tere siva duniya mein koi humara na tha.

aa jana raahon mein kisi gaier ke sath bhi,
sochenge iss dil par kabhi hak humara na tha.

bahaaron ne kar diya bedakhal apni duniya se,
varna udasi ka mausam kabhi humara na tha.

ab toh tutt ke girne ko betaab hain,
akele sab sehne ka dum humara na tha.

koi apna nahi banta

koi apna nahi banta,
labon pe naam rakhne se,
dilon mein yaad karne se,
har ek dhardkan, har ek tardpan,
kisi ke naam karne se,
koi apna nahi banta.

tamam umar ki khushiyan,
mohabbat ki sabhi gheraiyan,
kisi ko daan karne se,
ke uspe maan karne se,
koi apna nahi banta.

woh pehle pyaar ki baatein,
saath nishta ki sabhi raatein,
woh chaahat ki sabhi rashmein,
mohabbat ki sabhi kashmein,
humesha yaad rakhne se,
koi apna nahi banta.

kisi tannha akeli raah guzar par,
purane se kisi perd k tanna par,
patthar se koi dil banane se,
uss mein apna aur kisi ka naam sajane se,
koi apna nahi banta.

ki jab aankhein hi marr jayein,
to phir sapna nahin banta,
yeh jeewan daan kar jayein,
to bhi apna nahi banta,
koi apna nahin banta.

maun ka rishta

mere ander jaise kisi bhaw ne karwat badli,
aur ek rishte ka janam hua.. maun ka rishta.

dhero baate le kar aaya hai yah maun,
din raat.. charo pahar..
bas yah mujse batiyata rahta hai,

aye dost.. keh kar mere aaspaas,
yeh ghumta phirta hai..

meri ungli pakad kar yeh rishta aage badha,
aur ek bindu… sa jo nazar aata tha,

paas aate-aate saaf nazar aane laga,
aur ban gaya mera sathi,

jab maine usse mera veham kahta hoon,
mera yeh rishta, 
khil-khila kar hans deta hai.

usse apne gale lagate yehi kahti hoon..

raah jab kathhin ho,
manzil bhi door lagae..
aur andhera bhi gehra ho..

har woh raah par jaha-jaha tum chalo,
har pal har kadam par sath.. tumhare,
mujhe bhi paaoge tum…

All Time's Favourite Posts