Showing posts with label bachpan. Show all posts
Showing posts with label bachpan. Show all posts

aise hote hain pitah

jeevan mila jinse, woh jeevandaan hai pitah,
pukara jaaye chaahe kisi bhi bhasha mein
kehkar papa, baba, babuji...
har boli mein inke liye hai 
wahi pyaar aur samman bhara.

thaame jinki ungli bachpan challa,
jinki majboot kandhon par baithkar duniya dekhi,
godh par baith kiye nakhere dher jinke,
jinhone apne sneh se hamein bada kiya,
woh hai pitah!

choti se choti jeet par bhi jinse shabashi mili,
har haar ko jinhone sikh bataya,
nirash ko door bhagaya,
jeevan ki sachaai se hamein rubaru karaya,
sahi aur galat mein antar samjhaya,
jinhone apne bachoon ke sukh mein hi apna sukh paya,
bachoon ke liye har pareshani haskar uthaaya,
jinki puri sansaar unke bachoon mein hi samaya,
woh hain pitah!

kabhi kadak ho jaate to kabhi naram bade,
lagate hain pabandiyan to kabhi dete hain choot puri,
kabhi hansaate hain to kabhi rulaate hain,
kabhi maa ki daat-maar se bachaate hain,
to kabhi khud hi chapat laga dete hain,
aise hote hain pitah!

pyaar se thapki dekar sulaate hain,
to kabhi khana banakar apne haathon se bhi khilaate hain,
jarurat ho to maa ke bhi saare kartavya nibhate hain,
din raat mehnat kar apne bachoon ke bhavishya ko sawarte hain,
har din, har pal unke ujjwal bhavishwa ke hi sapne bunte jaate hain,
apne har saans ko pitah apne bachoon par lutaaate hain,
kabhi kathor hokar to kabhi mom ki bhaati pighal jaate hain pitah!

aapki bhumika kayi roop se hai...
dhoop gar jalaye to chaao ban jaate hain,
wahi samay aane par ussi dhoop mein tapkar jeena sikhate hain,
baatein jinki hamesa maargdarshan karti hai,
kathinayion se lardte huye, viparit paristhithi mein bhi,
apne sidhanton par chalna sikhate hain,
sath mein ho yaa yaad mein,
inki upastithi hamesa mann ko sukun pohuchati hai,
aise hote hain pitah!

maa-baap ki sewa hi sabse badi puja hai

pitah jeewan hai, sambal hai, shakti hai,
pitah shristi ke nirmaan ki abhi-bhyakti hai,

pitah ungli pakkde bacche ka sahara hai,
pitah kabhi kuch khatta, khabhi khhara hai,

pitah paalan hai, poshan hai, pariwaar ka anushaashan hai,
pitah dhaus se chalne wala prem ka prashasan hai,

pitah rooti hai, kappda hai, makkan hai,
pitah chhote se parindon ka bada aashmaan hai,

pitah niswarth annant pyaar hai,
pitah hai to bachhon ka intezaar hai,

pitah se hi bachhon ke dher saare sapne hain,
pitah hai to baazar ke sab khilone apne hain,

pitah se pariwaar mein pratipal raag hai,
pitah se hi maa ka bindi aur suhaag hai,

pitah parmatama ki jagat ke prati aashakti hai,
pitah grihasta aashram mein uccha sthiti ki bhakti hai,

pitah apne ichhaon ka hannan aur pariwaar ki purti hai,
pitah rakt mein diya hua sanskaaron ki murti hai,

pitah ek jeewan ko jeewan ka daan hai,
pitah duniyan dikhaane ka ehsaan hai,

pitah suraksha hai, sar par haath hai,
pitah nahi to bachpaan anaath hai,

to pitah se bada tum apna naam karo,
pitah ka apmaan nahi, unn par abhimaan karo,

kyuki maa-baap ki kami koi bant nahi sakta,
aur ishwar bhi inki aashishon ko kaat nahi sakta,

vishwa mein kisi bhi devi-devta ka sthaan duja hai,
maa-baap ki sewa hi sabse badi puja hai,

vishwa mein kisi bhi tirtha ki yaatraein byarth hai,
yadi beta ke haathon mein maa-baap ashmartha hai,

woh khushnaseeb hain jo maa-baap ke sath hote hain,
kyuki maa-baap ki aashishon ke hazaron haath hote hain.

gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba

aankhein michh kar soone se pehle,
jazbaat pighal kar roone se pehle,
jab aalfaz sinne mein dafan ho jaate hain,
tab yaadon se palkein bhigone se pehle,
aapke ashk se baatein karne lagta hoon,
tashveeron ko mana kar, unhi se ruth leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba !

bin mausam ki barsaat mein kabhi bheegne lagta hoon,
raat chaadar lapet kar thand ke maare jab kappne lagta hoon,
tab lagta hai jaise apna chaadar aap mujhe ordha rahe ho,
aur garm haathon ki narm ungliyon se mere baalon ko sehla rahe ho,
aapke hone ka ehsaas bhar se hi, har dard mein sukkun paa leta hoon baba,
yaadon ki chaadar ordhe har raat... aapko dhund leta hoon baba !

kisi raat sapnon mein puraane school pahuch jata hoon,
shaam dhalne par jab khil-khilate baccho ki toliyan nikalne lagti hai,
tab naa jaane dil ko kaisi aas bandh jaati hai,
meri nigaahein un cheharon mein kuch dhundane lag jaati hai,
dhundata hoon un haathon ko jinme jhaalmudi ki thayali hogi,
mera intezaar karti huyi, apni priya scooter kahi kadi hogi,
jispar sawar hone par ke khayaal se hi main jhoom leta hoon baba,
har nukkad, gali, chauraahe mein, aapko dhund leta hoon baba !

bheed mein akelapan ka ehsaas aapke bin hota hai,
jab kabhi bhi pariwaar mein kisi ka janam-din hota hai,
sabse chupte-chupaate koi tauffa le aaoge,
jo humse naa bujhi, woh mom-battiyan aap bujhaaoge,
bas yehi sochkar jaan bujhkar, aankhein mund leta hoon baba,
kabhi na khatam hone wale intezaar mein.. aapko dhund leta hoon baba !

woh aakhri pal nahi bhoolta mujhse kisi bhi haal mein,
aap zindagi ki door thaame ashpataal mein,
mujhse tab yeh kaha gaya ki kuch hi pal ab sesh bachi hai,
laga jaise khusiyon ki duniya ab dher ho chuki hai,
lekin maut ke farishton se chupte-chupaakar,
rakha tha aapne kuch saansein bachaakar,
aapki pairon ko apne hatheliyon se malte huye,
maine haathon mein aapke pairon ko jakkad rakha tha,
kuch naa keh kar bhi kitna kuch keh rakha tha.

aapse thi saari muskuraahat, aap khusiyon ke jahan the,
mere aanshu tab sukh chuke the, jab aap be-jubaan the,
ab to bas aapki tasveeron se baatein kar leta hoon,
dil kaagaz ban jaata hai, jispar dard apna likh deta hoon,
ussi dard ki dabbi huyi aawaz mein, likhe huye har alfaaz mein,
aapko dhund leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein..
aapko dhund leta hoon baba !

woh bhi kya din the jab bas khilone tutta karte the

woh bhi kya din the jab bas khilone tutta karte the,
girte the aanshu, par do pal ko rutha karte the.

khil-khila kar hansti thi khushiyaan,
alvida keh kar bhi kahan chhuta karte the.

baras ke sawan humein hansaya karta tha,
pyara sa bachpan hardum khushiya lutaya karta tha,

baba ke kandhon par baith dekhte the duniya,
sara zamana hum par sar jhukaya karta tha.

woh din woh bachpan bahut yaad aata hai,
woh zindagi phir jeene ko dil lalchaata hai.

sawal tujhse aye bhagwan aur niyati se bhi,
kyon itni jaldi ek baccha bada ho jata hai?

bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai

aapki kami khalti hai mujhe, yeh khaalipan tardpata hai,
bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai.

ab pata chalta hai ki.. yeh zimmedariyon ka bojh kitna bhaari hai,
khud se jyada apno ki khusiyan pyaari hai,

daurdne pardte hain kadam, pakadne ko zindagi ki raftaar,
aaj to gujar gaya jaise taise, kal bhi hai aane ko taiyaar.

aapki majbooriyon ka mujhe ab ehsaas hota hai,
duniya hoti hai matlabi, aur ghar ka har saksh khaas hota hai.

maa ke baad pita hi samajhta hai khamosi bachhon ki,
muskilon se bachane ke liye, pita himmat ki deewar hota hai.

har daat pe pyaar jo rahta hai, woh yaad bahut ab aata hai,
har beeta lammha ab to bas, aankhon mein aanshu laata hai.

tashveer basi hai dil mein jo, jeene ka hausla deti hai,
isse tarah se bas ab to, yeh waqt gujarta jata hai.

aapki kami khalti hai mujh mein, yeh khaalipan tardpata hai,
bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai.

Miss You Baba !!

aise the mere pitah

bargad ki gehri chaav jaise,
zindagi ki dhup mein ghanne shaaye jaise,
the mere pitah.

ghar par ishwar ka roop jaise,
chubhati dhoop mein sahlaate,
mere pitah

bacchon sang bacche ban khelte,
unko uphaar dilla kar khushi dete,
bacchon ko yun hi muskuraao ki dua dete,
aise the mere pitah.

sankat mein pathwaar ban khade hote,
aashray sthal jaise the mere pitah.

bund bund sab ko sameet-te,
andhere mein de kar hausla,
kehte mere pitah,
tumko kiska dar hai?

ghumon ki bheed mein hasna sikhate,
mere pitah.
aur apne dum par tufaanon se lardna,

kisi ke aage tum nahi jhukna,
yeh sikhalaate mere pitah.

pariwaar ki himmat aur vishwas the,
umeed aur aas ki pehchaan the mere pitah.

baba.. aapko tahhe dil se sukariya

apne pitah ke kandhe mein baitha main,
jab unke kandhe par khada ho gaya,
maine kaha apne pitah se...
dekho baba, main tumse bada ho gaya.

baba ne tab kaha...
beta iss khubsurat galatfehmi mein bhale hi jakkade rahna,
lekin mera haath hamesa pakade rahna,

jis din yeh haath choot jaayega,
beta tera yeh hassin sapna tutt jaayega.

duniya vaastav mein itni haseen nahi hai,
dekh tere paau talle abhi zamin nahi hai,

main to baap hoon beta, bahut khush ho jaaunga,
jis din vaastav mein tu mujhse bada ho jaayega.

magar bete kahdhe par nahi,
jab tu zamin mein khada ho jaayega,
yeh baap tujhe apna sab kuch de jaayega,
aur tere kandhe par duniya se chala jaaunga.

pitah na ho to roti hain ziddhein,
khawaaishon ka dher hota hai,
pitah hai to hamesa bacchon ka dil sher hota hai.

iss matlab bhari duniya mein,
woh be-matlab ki kavitaon ka saar hai,
jinko apne sapnon ko chordkar,
bachhon ke sapnon se pyaar hai,

woh mere pitah mera pehla pyaar hai,
woh iss chhoti si duniya mein mere anant sansaar hai.

kandhon par jhullaaya, kandhon par ghumaaya,
uss pitah ki badolat hi, mera jeewan khubsurat ban paya hai.

kya kahun uss pitah ke baare mein,
jisne sochha nahi kabhi khud ke baare mein,
baba aapne mujhe zindagi bhar diya hai,
aapka tahhe dil se behad sukariya hai.


ek puraani album

 yaadon ki khidkiyon par baitha, beete kal ko jhakk raha tha,
aaj puraani almaari mein, zindagi talaash raha tha.

bhoole bishre geeton ko aaj nayi sargam milli,
dhool se sanni, kone mein padi, ek puraani album mili.

kaale safed liwaz mein lipti, guzare daur ki kahani thi,
shabd nahi the jisme koi, tasweeron ki jubaani thi.

meri muskurahat par the sab nishaar,
main khusiyon ka humsaya tha,
iss tasweer mein woh pal kaid hain,
jab main duniya mein aaya tha.

aankhon mein yaadein bhar aayi, dil tardpar rooya hai,
ek tasweer mein kisi ne budhi daadi ko sanjoya hai.

kahi holi ke rang kaid hain, kahi diwali ki raat hai,
kahi janamdin mana raha hoon main, jaise kal hi hi baat hai.

woh school ka pehla din ho, ya collage mein ki shaitaani,
tasweeron mein simat kar rah gaya, bachpan aur jawaani.

apni har baat kehne se pehle izzajat liya kerta tha,
yeh tasweer tab ki hai,  jab main office jaaya kerta tha.

ghumon se uljhe zindagi ki khuli tab takkdeer thi,
tumhein dekh kar pasand kiya tha, yehi to woh tasweer thi.

aage kuch tasweeron mein kaid, har ek pal hain sunahare,
tum paas mere baithi the, haathon mein the haath hamare.

kuch tasweeron mein aawaz kaid hai, dhol nagade, sehnaai ki,
woh pehla ghar humene liya, woh scooty pehli kamayi ki.

kuch tasweeron mein aanshu hain, jab behno ki bedaai ki,
chote bhaai ke sahare humare ghar mein bhi ek bahu aayi thi.

humsab ko chordkar baba, kyu ek din safed liwaz mein lipat gaye,
haar lagi sunahari frame mein, kyu tum jaa kar simat gaye.

tumhare bhaaiyon ne baba gaao ke ghar ko baat diya,
mere kamjoor haat na pahuch sake, photo itne upaar tang diya.

sabhi pariwaar waalon ne diya mujhe itna pyaar hai,
ab aankho mein dikhata mere tasweer ho jaane ka itnezaar hai,

raakh bankar rah jaauga, baha denge mujhe sangam mein,
tasweer bana dhool khaaunga, kisi purani album mein.

jisse hum papa kehte hain

har ghar mein hota hai woh insaan,
jisse hum papa kehte hain.

sabhi ki khushiyon ka dhyaan rakhte,
har kisi ki ichha puri kerte,
khud gareeb aur bachhon ko ameer banate,
jisse hum papa kehte hain.

badon ki sewa, bhai-behan se lagaao,
patni ko pyaar, bachhon ko dulaar,
kholte sabhi khawaishon ka dwaar,
jisse hum papa kehte hain.

beti ki shaadi, beton ko makaan,
bahuoon ki khushiyaan, damadon ka maan,
kuch aise hi safar mein gujaare woh har shaam,
jisse hum papa kehte hain.

o maai - o maai...

ambar ki uchaai, dharti ki yeh gehraari,
tere hridaay mein samayi.. o maai - o maai.
tere mann amrit ka pyaala, yehi kaaba yehi shivaala,
teri mamta paawan-daayi, o maai - o maai.

hamesa tere sath hi rahoon, main bankar tera humjoli,
tere pas naa jaaun.. chip jaaun, yuh kehlun main aankh micholi,
pariyon ki kahani suna de, koi mithi loori gaa de,
kar de sapna sukhdaayi, o maai - o maai.

sansaar ke taane baane se ghabrata hai mann mera,
inn jhuthe rishton-naaton mein, bas pyaar hai tera hi saccha,
sab sukh-dukh mein dhal jaaye, teri baahein jo mil jaaye,
mil jaaye mujhe khudaayi, o maai - o maai.

phir koi shararat ho mujhse, naaraz karun phir tujhko,
phir gale pe thappi maar ke, shinne se laga le mujhko,
bachpan ki pyaas bujha de, apne haath se phir khila de,
pallu mein band mithai, o maai - o maai.

HAPPY MOTHER'S DAY...!!

bebas hoker apne maa baap ko bimaar hota dekh raha hoon

chupke chupke mann hi mann mein,
khudko rotta dekh raha hoon,
bebas hoker apne maa-baap ko,
bimaaar hota dekh raha hoon.

rachha hai bachpan ki aankhon mein,
khilla-khilla sa maa baap ka rupp,
jaise jaade ke mausam mein ho,
naram-garam makhmal si dhoop.

dhire dhire sapnon ke iss rupp ko,
aankhon se ojhal hota dekh raha hoon,
iss covid ki maha-maari mein,
bebas ho kar unko bimaar hota dekh raha hoon.

kal tak tha jo sab sawra sa, ek chota sa apna bhi duniya,
chutt raha ho dhire dhire, maa baap ke saath ka saaya bhi,
chinn raha ho waqt jaise unke baaton bhara khazana bhi.

ghar ke malik ko aaj hospital ICU par 
bimaar tardpata dekh raha hoon,
bebas ho kar apne maa-baap ko bimaar hota dekh raha hoon.

chupke chupke mann hi mann mein,
khudko roota dekh raha hoon,
bebas ho kar apne maa-baap ko bimaar hota dekh raha hoon.

kabhi na bhool paau, woh kahani hai pitah

kabhi abhimaan to kabhi swabhimaan hai pitah,
kabhi dharti to kabhi aasmaan hai pitah,
janam diya hai agar maa ne,
jaanega jisse jag, woh pehchaan hai pitah.

kabhi kandhe par bitha kar mela dikhata hai pitah,
kabhi banke ghoda, ghumaata hai pitah,
maa agar pairon pe chalna sikhati hai,
to pairon pe khada hona sikhata hai pitah.

kabhi rooti to kabhi paani hai pitah,
kabhi budhaapa to kabhi jawani hai pitha,
agar maa hai maasum si loori,
to kabhi na bhool paau, woh kahani hai pitah.

kabhi hansi to kabhi anusaasan hai pitah,
kabhi maun to kabhi bhaasan hai pitah,
maa agar ghar mein rasooyi hai,
to chalta hai jisse ghar woh raashan hai pitah.

kabhi khawaab ko pura karne ki zimmedaari hai pitah,
kabhi aanshuon ke chippi lachaari hai pita,
maa agar bech sakti hai jarurat pe gehne,
to jo apne ko bech de woh baypaari hai pitah,

kabhi hansi aur khushi ka mela hai pitah,
kabhi kitna tannha aur akela hai pitah,
maa to keh deti hai apne dil ki baat,
sab kuch samet ke aasman sa failaa hai pitah.

bacche hi karne lage, maata-pita se ghaat

rishto ko yoon tordte, jaise kaccha sut,
batwara maa-baap ka, karne lage kapot.
kaise beto par kare, maat-pita abhimaan,
apne ghar mein hi bane, anchahe mehmaan.

maata-pita mein bas rahe, sakshaat bhagwaan,
mandir-maszid dhoondta, manav hai naadan.
mustandu ko poojte aur navaate shish,
paani maange baap to, nakhre karte bis.

hin-bhin sapne huye, taar-taar vishwas,
maat-pita ko de diya, beto ne vanvaas.
mandir mein pooja kare, ghar mein kare kalesh,
bapu tu bujha lage, patthar lage ganesh.

prem aastha tayaag huye, bite yog ki baat,
bacche hi karne lage, maata-pita se ghaat.
paani aankhon ka marra, marri sharm-o-laaz,
kahe bahu ab saans se, ghar mein mera raaj.

nayi shadi se mil rahi, dard bhari sugaat,
beta kehta baap se, kya teri aaukat.
kamaya akele baap ne, bete pale chaar,
ek akeli jaan ab, chaaro par hai bhaar.

marne lagi saveda, khatam huye sadbhav,
purab par bhi ho gaya, pacshim ka prabhav.

apni to duniya hi doston se hai

khushi bhi doston se hai,
gham bhi doston se hai, 

takraar bhi doston se hai,
pyar bhi doston se hai, 

roothna bhi doston se hai,
manana bhi doston se hai, 

baat bhi doston se hai,
misaal bhi doston se hai, 

nasha bhi doston se hai,
shaam bhi doston se hai, 

zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai,
zindagi mein mulakaat bhi doston se hai, 

mohabbat bhi doston se hai,
inaayat bhi doston se hai, 

kaam bhi doston se hai,
naam bhi doston se hai, 

khyaal bhi doston se hai,
armaan bhi doston se hai, 

khwaab bhi doston se hai,
maahol bhi doston se hai, 

yaadein bhi doston se hai,
mulakaatein bhi doston se hai, 

sapne bhi doston se hain,
apne bhi doston se hain, 

ya yoon kahoon yaro,
apni to duniya hi doston se hai.

woh hai meri maa Bhabani

mere sarwashwa ki pehchaan,
apne aanchal ki de chaaw,
mamta ki woh lori geet,
mere sapno ko sahlaati,
gaati rahti, muskaati jo,
woh hai meri maa Bhabani!

pyaar samete seene mein jo,
saagar sara aashkon mein jo,
har aahat par murd aati jo,
woh hai meri maa Bhabani!

dukh mere ho to samet jaati,
sukh ki khusbu bikher jaati,
mamta ki rash barsaati jo,
woh hai meri maa Bhabani!




मेरे सर्वस्व की पहचान,
अपने आँचल की दे छाँव,
ममता की वो लोरी गाती,
मेरे सपनों को सहलाती,
गाती रहती, मुस्कराती जो,
वह है मेरी माँ भवानी !

प्यार समेटे सीने में जो,
सागर सारा अश्कों में जो,
हर आहट पर मुड़ आती जो,
वह है मेरी माँ भवानी !

दुख मेरे हो तो समेट जाती,
सुख की खुशबू बिखेर जाती,
ममता की रस बरसाती जो,
वह है मेरी माँ भवानी !

wah gujra zamana yaad aata hai

woh masti aur hansi ka zamana yaad aata hai,
woh bachpan ka khud hasna-hasana yaad aata hai,

zamane ke har gham se anjaan tha woh pal,
ek pal mein ro ke phir muskana yaad aata hai,

har phikar se milon door thi woh zindagi apni,
khwahish-e-dil puri karne ka fasana yaad aata hai,

woh khilono ki basti aur khelon ke jahan,
khud ruthna aur manana yaad aata hai,

yeh kahan aa gaye hum un dinon ko bhool kar,
ret gharondhe banakar girana yaad aata hai,

aaj hamari zindagi ghamon se bhari hai,
woh haseen pal, woh khushiyan lutana yaad aata hai.

ek yeh din hai aur ek woh din tha

mujh ko yakin hai sach kehati thi, jo bhi maa kehati thi,
jab mere bachapan ke din the, chand mein pariyan rehati thi,

ek yeh din jab apno ne bhi humase rishta tord liya,
ek woh din jab perd ki shakhein bojh humara sehati thi,

ek 
yeh din jab lakhon ghum aur kaal parda hai anshuu ka,
ek 
woh din jab ek zara si baat pe nadiyaan behati thi,

ek 
yeh din jab saari sadkein ruuthi ruuthi lagti hain,
ek 
woh din jab ‘aao khelein’ saari galiyan kehati thi,

ek 
yeh din jab jaagi raatein, deewaron ko takkti hain,
ek 
woh din jab shakhon ki bhi palakein bojhal rehati thi,

ek 
yeh din jab zehan mein saari tension ki baatein hain,
ek 
woh din jab dil mein saari bholi baatein rehati thi,

ek 
yeh ghar jis ghar mein mera saz-o-samaan rehata hai,
ek 
woh ghar tha  jis mein meri budhi naani rehati thi.

maa jab bhi loori geet gati

ek thappki nind le aati hai, maa jab bhi loori geet gati hai,
chehre ke bhaw ko dekhte hi, har baat samajh woh jaati hai.

meri naadani, meri shaitaani, meri tothali baatein bachhkani,
yaad kar meri bachhpan ki, woh aaj bhi aksar muskaati hai,

bigde jara si halat to, chinta mein woh pard jaati hai,
dekh-bhaal mein aksar meri, woh saari raat bitaati hai,

ek thappki nind le aati hai, maa jab bhi loori geet gati hai,
chehre ke bhaw ko dekhte hi, har baat samajh woh jaati hai.

khud bhukhi reh jaati hai, par bhookha na mujhe sulati hai,
woh khaali pet basar kar bhi, mujhko bhar pet khilati hai,

hairran hoon main, maa padhi nahi hai,
aksharon se kabhi woh laddi nahi hai,
na jaane kaisa jaadu hai, woh meri har dhadkan pard jaati hai,

ek thappki nind le aati hai, maa jab bhi loori geet gati hai,
chehre ke bhaw ko dekhte hi, har baat samajh woh jaati hai.

woh tappti dhoop mein saaya hai, woh pyaar ki paawan maaya hai,
maa ki aisi mahima ko to, khud bhagwaan ne bhi gaaya hai,

uske aashirwaad se hi, har dukh takleef mitt jati hai,
maa ki mauzudagi se hi to, har khusiyan ghar mein aati hai,

ek thappki nind le aati hai, maa jab bhi loori geet gati hai,
chehare ke bhaw ko dekhte hi, har baat samajh woh jaati hai.




एक थपकी नींद ले आती है, माँ जब भी लोरी गाती है,
चेहरे के भाव को देखते ही, हर बात समझ वो जाती है।

मेरी नादानी, मेरी शैतानी, मेरी तोतली बातें बचकानी,
याद कर मेरे बचपन की, वो आज भी अक्सर मुस्काती है,

बिगड़े जरा सी हालत तो, चिंता में वो पड़ जाती है,
देखभाल में अकसर मेरी, सारी रात बिताती है,


एक थपकी नींद ले आती है, माँ जब भी लोरी गाती है,
चेहरे के भाव को देखते ही, हर बात समझ वो जाती है।

खुद भूखी रह जाती है, पर भूखा न मुझे सुलाती है,
वो खाली पेट बसर कर, मुझको भर पेट खिलाती है,

हैरान हूँ मैं.. वो पढ़ी नहीं है, अक्षरों से कभी वो लड़ी नहीं है,
न जाने कैसा जादू है, वो मेरी हर धड़कन पढ़ जाती है,


एक थपकी नींद ले आती है, माँ जब भी लोरी गाती है,
चेहरे के भाव को देखते ही, हर बात समझ वो जाती है।

वो तपती धूप में छाया है, वो प्यार की पावन माया है,
माँ की महिमा को तो, खुद भगवान ने भी गाया है,

उसके आशीर्वाद से ही, हर दुःख तकलीफ मिट जाती है,
“माँ” की मौजूदगी से ही तो, घर में खुशियां आती हैं,


एक थपकी नींद ले आती है, माँ जब भी लोरी गाती है,
चेहरे के भाव को देखते ही, हर बात समझ वो जाती है।

rim-jim barish ka gana yaad hai

savan ki pehli barish mein bachpan mein nahana yaad hai,
rim-jim rim-jim tap-tap tap-tap barish ka gana yaad hai,

woh badlon ke majme ko dekh kar, woh hum sabka shor machana,
woh bheeg-bheeg kar nach-nachna, ban kar deewana yaad hai,

badlon ka garajna, bijli ka chamakna, savan ki barsaat mein,
koyal ka metha-metha pyara-pyara, sundar tarana yaad hai,

masti mein doob jana, sab bandishe bhool khushiyan manana,
zameen pe gire paani mein sab dosto ko bheegana yaad hai,

baarish ke pani ko chhakhna, mausam ki pehli barsaat mein,
woh chote-chote haaton se kagaz ki kashti chalana yaad hai,

badlon ke piche daud lagana, badi zor-zor se shor machana,
woh pyare-pyare khel- khelna, bachpan ka aafsana yaad hai,

savan ki pehli barish mein, bachpan mein nahana yaad hai,
rim-jim rim-jim tap-tap tap-tap barish ka gana yaad hai.

aisi hoti hai maa

hamare har marrz ki dawa hoti hai maa,
kabhi daat-ti hai humein, to kabhi gale laga leti maa,

hamari aankhon ke aanshu, apni aankhon mein sama leti maa,
apne hoton ki hassi, hum par lutta deti hai maa.

hamari khusiyon mein shamil ho kar, apne ghum bhula deti hai maa,
jab bhi kabhi thakar laage, to humein turant yaad aati hai maa.

duniya ki tapish mein, humein aanchal ki sheetal chhaya deti hai maa,
khud chaahe kitni bhi thakki ho, humein dekh kar apni thakkan bhul jaati hai maa.

pyar bhare haathon se hamesa hamari thakkan mitta-ti hai maa,
baat jab bhi ho laziz khaane ki, to humein yaad aati hai maa.

har rishton ko khubsurati se, nibhana sikhati hai maa,
labzo mein jisse bayan na kiya jaa sake, aisi hoti hai maa.



हमारे हर मर्ज की दवा होती है माँ,
कभी डाँटती है हमें, तो कभी गले लगा लेती है माँ,


हमारी आँखोँ के आंसू, अपनी आँखोँ मेँ समा लेती है माँ,
अपने होठोँ की हँसी, हम पर लुटा देती है माँ,


हमारी खुशियोँ मेँ शामिल होकर, अपने गम भुला देती है माँ,
जब भी कभी ठोकर लगे, तो हमें तुरंत याद आती है माँ,

दुनिया की तपिश में, हमें आँचल की शीतल छाया देती है माँ,
खुद चाहे कितनी थकी हो, हमें देखकर अपनी थकान भूल जाती है माँ,


प्यार भरे हाथोँ से, हमेशा हमारी थकान मिटाती है माँ,
बात जब भी हो लजीज खाने की, तो हमें याद आती है माँ,


रिश्तों को खूबसूरती से निभाना सिखाती है माँ,
लब्जोँ मेँ जिसे बयाँ नहीँ किया जा सके ऐसी होती है माँ |

All Time's Favourite Posts