still loving you makes me fool

I close my eyes and see you there
in my dreams I wish you cared.

I did like to someday, be with you
share a love, that’s pure and true.

but the funny thing is that it can never be
a real good friend’s, all you want from me.

it hurts inside like a slap to the face
in my heart lies an empty space.

I have so much love, to share with you
but that’s the last thing you want me to do.

I am a good guy
I did never cause you pain,
yet you see my efforts as such a shame.

I express my love through my words
you mock what I do and call it absurd.

all I want is to make you smile
one second with you makes my day worth while.

you say I am stubborn, I just don’t give up
I offer all I have, and it’s not enough.

I give you my trust and my sweet time
all I ask in return is to call you mine.

you are sick of this and want it to end
so you now, you go out with my best friend.

that wasn’t nice, not even cool
but I still love you,
so I guess that makes me the fool!!

tumhari khushiyan dekhne ko jiye jaate hain

tumhari yaad mein bahate ashkon ko piye jaate hain,
iss taraha tumhare bagair hum jiye jaate hain,

gham-aye-yaar se kabhi shikayat nahi karenge hum,
khud apni hi kismat se shikwa kiye jaate hain,

tumhari sab majbooriyan jafa-e-kabul hai sanam,
isliye khud ko hi itna majboor kiye jaate hain,

mujhe to kuch hasil nahi ghum-aye-zindagi se,
bas tumhari khushiyan dekhne ko jiye jaate hain.

kyun uth rahi hai dil mein tujhe paane ki hasrat

kabhi maut ki tamanna, kabhi zindagi ki hasrat,
kabhi jashn-e-ranjish ghum ka to kabhi khushi ki hasrat,

jinhe daulat ki chahat, unhe daulat de de ya rab,
mujhe thi, hai aur rahegi bas uski hasrat.

main tauba kar chuka hu , main khud se mukar chuka hu,
kyun uth rahi hai dil mein, phir maikashi ki hasrat?

agar naamunkin hai use paana aur dekh ke bhul jaana,
dil kar raha hai kyon phir bhi us chandni ki hasrat.

main arthi se uth chuka hu, phir se zinda ho chuka hu,
ho gayi hai mujhko tumhein gale laggane ki hasrat.

bewafaai tune ki hai, badduayein tune di hai,
dil mein uth rahi hai phir bhi tujhko paane ki hasrat.

ye ishk nahi to kya hai, ki tu hi mera khuda hai,
teri chaukhat pe ho rahi hai apni chitta jalane ki hasrat.

in search for love

it's been a very long time.
I feel like curling the roads and bring you back to me.

and when you get back and when
the time fades away you will still be the one I love.

I will not know how long will it take for us to come undone.
but any day any time form now you will find your way back home.

we tried to drawn the line and tried to put our back on to others
but we found one day the we will surely drown in this very world
were we meet many faces who have control over us.

I tried to hide in my den for days and days but
all the boundaries that I never dreamed to cross I did.

and now I realize that life with all its conscious won over my lies.

I have countless times broken peoples trust and for now
when someone broke my trust I am bleeding and I wish you were here to heal.

like a winter dried rose you have stayed in my dreams like
your last smile to me was a perfect mystery.

I would like to ask you to promise me to take me
to places beyond my imagination and show me the colors of serenity
the time when you were with me has been lost as if it were a whirl,

and now I wish, I could go back in the past and breathe infinity to the air
when you were around your silence was like a blanket to me from
the noise of the world,

but I soon will have to step outside my mind and see the reality.
I have started my journey with bags held in my hands and eyes in search for you.

you are mine only mine

and here I am waiting for the sunlight,
that brightens my day,


I am waiting for the sparkle,
I am waiting for the glimmer,

to shine on my way.
without you I am all alone,


my heart calls out to you
please come home,
I beg the heavens to see you,

to touch you,
to kiss you,

the sky will break into two,
and the sea will weep in sorrow,
if our shadows don’t meet every tomorrow.
our souls are one yet we’re so apart,

the rhythm of your love, 
echoes in my heart,

you are mine speak to me,
you are mine together we will always be.

you are mine only mine,
and you will always stay mine.

haath mein tasweer hai unki aur main tannha hoon

saza raha hoga wahan koi daur-aye-mehfil aaj,
har taraf khushi ka aalam, aur main tannha hoon,


mausam ki tarah hi roz rang badalte hai woh,
waada kiya tha aaj aane ka aur main tannha hoon.


tannha hoon, tannha hoon, aaj main tannha hoon,
mehfil jawaan hai wahan aur main tannha hoon.

maikash hain udhar, idhar maikade ke bahar khada hoon,
haath mein jaam hai mere aur main tannha hoon.

shaam ki taraha dil mein andhera sa ghirne laga,
subah ke ujaale hain aur main tannha hoon. 


ek chehra hai jo dil mein bas gaya hai,
haath mein tasweer hai unki aur main tannha hoon.

ek din meri yaad tujhe rulaayegi zaroor

ek nayi subah zindagi mein aayegi zaroor,
maksad naya jeene ka laayegi zaroor,

andheron mein ghiri huyi meri zindaagi ko,
yeh manzil ka nazaara karwayegi zaroor,

ho sake to bachaale khud ko raat se aye dilbar,
mere chahat ki ghata tujh par chhayegi zaroor,

aaj bhale hi tujhe main yaad aata nahi,
ek din meri yaad tujhe rulaayegi zaroor,

tere zehen mein utar kar nas-nas mein samaayunga,
meri khushboo teri saanson ko mehkaayegi zaroor,

judaai ki aag se aaj tak kaun bach paaya,
yeh aag tere seene mein sholey bhardkayegi zaroor,

kamzor nahi main jo ek tinke se bikhar jaaun,
meri rooh ek din tujhme samaayegi zaroor,

tu ek baar dil se mera naam to pukaar ke dekh,
raaj yeh jahaan tere naam kar jayega zaroor,

ek shayar ki bebasi tu hai

pyaar hai tu zindagi tu hai,
ek aashiq ki aashiqi tu hai,
tujh bin kuch nahi nigahon mein,
meri aankhon ki roshini tu hai.

pyaar hai tu, zindagi tu hai,
zindagi gar hai andheron mein,
in andheron mein chandni tu hai,
pyaar hai tu, zindagi tu hai.

dard hi dard mila zamaane se,
dard-e-gum mein khushi tu hai,
pyaar hai tu, zindagi tu hai.


kahi bhi mera ab dil nahi lagta,
jabse iss dil mein rahti tu hai,
pyaar hai tu, zindagi tu hai

bhool ker bhi bhula na paye tujhe,
ek shayar ki bebasi tu hai,
pyaar hai tu, zindagi tu hai.

raaj ki malika, ghazal-e-mukammal,
kaun se shayar ki shayri tu hai,
pyaar hai tu, zindagi tu hai.

raaj ke nagmon ka rang hai tujhme,
usski baaton ki saadgi tu hai,
pyaar hai tu, zindagi tu hai.

yunhi nikal pade hain shayad tujhse mulakaat ho jaaye

bas yunhi nikal pade hain,
shayad tujhse mulakaat ho jaaye.

ke hum -tum ho chhat par,
aur phir woh barsaat ho jaaye,

din aanchal mein tere gujare,
zulf teri chandani raat ho jaaye,

saanse khusbu se lun teri aur
sulage sulage se jazbaat ho jaaye,

har gazal meri tere naam ki dua ho,
kuch is tarah dil ke khayaalat ho jaaye,

zikra khuda se kardu khuda ka,
aur hardum teri baat ho jaaye,

yeh mana ke tu mukaddar mein nahi,
phir bhi har rahgujar tere saath ho jaaye,

mere aksh main tu nazar aati rahe sada,
aise umr bhar mere haalaat ho jaaye.

yeh jaane kaisa daur hai, yeh tu hai ya koi aur hai

aadmi ki bhird mein mujhe aadmi ki talaash hai,
mujhe maut ne thukra diya zindagi ki talaash hai,

kuch manzile dikhla sake, kuch rasta batlaa sake,
koi aisi jagah le chalo mujhe roshni ki talash hai,

woh dekhkar roti rahi, main soch kar rota raha,
in ashko ko jo rok sake mujhe us khushi ki talaash hai,

yeh jaane kaisa daur hai, yeh tu hai ya koi aur hai,
naam uska bata na de tujhe jis kisi ki talaash hai,

jab ghar humare aayegi phir laut kar na jayegi,
kahi aarzu zinda mile, mujhe us ghadi ki talaash hai. 

ek shayar tha jo muskurana chaahta tha

soyi kismat ko jagaana chaahta tha,
ruthe dilbar ko manaana chaahta tha,

chaahti thi woh mujhe ek hadd se bhi jada,
phir mujhe woh kyun rulaana chaahti thi?

unke dil mein aa gaya tha soch kar
rehne ko main ek thikana chaahta tha,

pyaar mujhko na mila iss dhraa mein,
kehne ko mujhko zamaana chaahta tha,

meri yaadein unke dil ka tha sukun,
phir woh mujhko kyun bhulana chaahti thi?

marr gaya mujh mein woh jo ek shaks tha,
har haal mein unko main bachaana chaahta tha,

hai hakeeqat unhone mujhko tord daala,
main bhi shayad tut jaana chaahta tha,

kerke kinara mujhse mera humsafar,
jaane kya mujhse chupana chaahti thi?

mujh ko tannha jaanker woh hasina,
apne seene se lagaana chaahti thi,

hokar khada woh aaine ke saamne,
aaine ko kuch bataana chaahti thi.

chatpata-ta reh gaya dil ka kabutar,
teer teri aankhon se khana chaahta tha,

mujhse ho ker paraya mera naseeb,
dil ke rishte ko nibhaana chaahta tha.

unke seene mein dhadakna chaahta tha,
ruh mein usski main samaana chaahta tha,

saari duniya ko chala ker aa gaye hum,
aur woh humko chalaana chaahti thi?

thi iss tarah mujhko talab uss shaks ki,
har haal mein main unko paana chaahta tha,

mere kareeb aa raha tha unka har kadam,
woh jo door jaane ka bahaana chaahti thi.

zindagi mein apni itna hi likha hai raaj,
ek shayar tha jo muskurana chaahta tha. 

mujhko mere yaar ka pata de de

zamee na de aasmaa de de,
zindagi mujh ko aasraa de de,
pyaar na de sake to koi baat nahi,
aur kuch mujh ko pyaar sa de de.

aaj tak teri har baat maani hai,
uljhi uljhi si meri kahaani hai,
dil par meri teri hi nishaani hai,
chaar din ki bas meri jawaani hai.

yaar na de to koi baat nahi,
aur koi mujh ko yaar sa de de,
pyaar na de to koi baat nahi,
aur kuch mujh ko pyaar sa de de.

jalta diya hoon to bujha de mujhe,
koi yaad hoon to mita de mujhe,
koi hasrat hoon to dabaa de mujhe,
neend mein hoon agar to jaga de mujhe.

haansil na ho to koi baat nahi,
bas mujhe sapna bahaar ka de de,
pyaar na de sake to koi baat nahi,
aur kuch mujh ko pyaar sa de de.

khwaab na de neend bhi le le,
hasratein na de, fikr bhi le le,
chaand na de, raat bhi le le,
naam na de, zaat bhi le le.

par mujhe yaar ka pata de de,
zindagi mujhko aasraa de de.

kal khud ko becha kerte the ab khuda ko becha kerte hain

duniya ke saudon ki khaatir woh juba ko becha kerte hain,
jo kal khud ko becha kerte the, ab khuda ko becha kerte hain.

jinnke haathon mein church, mandir aur maszid ki chaabi hai,
jo sartaaz bane devalyon mein, woh log hi aisa kerte hain,
kal khud ko becha kerte the, ab khuda ko becha kerte hain.

subha se lekar shaam tak, jiss naam ko ratt-te rehte hain,
woh naam samaaj ke galiyaaron mein, yehi roz numaish kerte hain,
jo kal khud ko becha kerte the, ab khuda ko becha kerte hain.

pehle shahron ko bunte hain, kuch dharm ke jhuthe dhaagon se,
phir gharon ko torda kerte hain aur unnka safaaya kerte hain,
jo kal khud ko becha kerte the, ab khuda ko becha kerte hain.

jeete jee jiss shaks ko yeh pathar se mara kerte hain
marrne par uski laash ko yeh fulon se sajaaya kerte hain,
kal khud ko becha kerte the, ab khuda ko becha kerte hain. 

mujh ko mera chaand dilaa do

door gagan mein khada hua hai,
kitna akela pada hua hai,

woh bhi bechara meri tarah hai,
tannhai mein ghira hua hai,

ussko mere paas laa do,
ya mujhko usske paas bhijwa do,

mujh ko maa mera chaand dilaa do,
ghar mein mere chaand bulaa do,

door gagan mein baah pasaare,
mujhko mera chaand pukaare,

door hai mujhse saari duniya,
door hain usse saare taare,

woh mujhko awaaz lagaaye,
usse meri mulakaat karwa do,

mujh ko maa mera chaand dilaa do,
ghar mein mere chaand bulaa do,

gayi raat main soya nahi tha,
chaand gagan mein khada hua tha,

usse usske ghum main puchun,
itna bhi main bada nahi tha,

jab tak chaand nahi soyega,
mujh ko bhi saari raat jagaao,

maa mujh ko mera chaand dilaa do,
ghar mein mere chaand bulaa do.

koi marr jayega honthon par teri pyas liye

raaz ki baat hai raaz hi rehne de,
koi marr jayega honthon par teri pyas liye,
kayamat ke din tak tujhse milne ki aas liye,
raaz ki baat hai raaz hi rehne de.

etiyaatan tu bhi usse cum hi mila kar,
sunnte hain ishq ka koi imaan nahi hota,
yun to ishq har dil ka armaan nahi hota,

kaano mein teri awaaz ka ehsaas liye,
koi marr jayega honton par teri pyas liye,
raaz ki baat hai raaz hi rehne de.

zamana sunega to tujhe pather dil kahega,
issliye apni aadaton ko pardanashi kar de.

tujhe kya ere ghum mein koi khudkhushi ker le,
ek nakaam aashiqi ka itihaas liye,
koi marr jayega honthon par teri pyas liye,
raaz ki baat hai raaz hi rehne de.

tu inn sab baaton ko dil pe na liya kar,
apni mehfilon ki roshini mein kho ja,
apno ko chord ker kissi gair ki ho ja,

tere liye armaan dil mein kuch khaas liye,
koi marr jayega honthon par teri pyas liye,
raaz ki baat hai raaz hi rehne de.

zindagi ke maaron ko maut ka hi aasraa,
manzil to har ishq ka haansil nahi hota,
har shaks ishq ki nemat ke kaabil nahi hota,

raaj khwabon ki iss basti se sanyaas liye,
koi marr jayega honthon par teri pyas liye,
raaz ki baat hai raaz hi rehne de.

still when I think of love I think of you

listening to music
as I sit here thinking of you.

you being the one,
I dreamt of through the years
of being one which
we were two bodies with one soul,

which inspired me about us
even after gave up,
we did on the love we had,
together which has gone and lost.

far away from me
since you were the one
I had to share and care,
which we shared with love
for being together,

without an end given up
which is by me and you,
between the sharing and caring,

for we were one
who turned two,
and parted by giving up on love.

which wasn’t to be
with regrets and pain,
of what could be and isn’t,

since still when I think of love
I think of you,
which gave up we did
to leave pain
which I feel….not you.

dabe paanv chali aana zindagi meri kismat ko pata na chale

dabe paanv chali aana zindagi,
meri kismat ko pata na chale,
dabe paanv chali aana aye khushi,
meri kismat ko pata na chale,

tuta sa har ek khawaab mera hai,
sirf gumnamiyon ne ghera hai,
raah pathrili hai meri manzil ki,
door tak andhera hi andhera hai.

dabe paanv chali aana roshni,
meri kismat ko pata na chale,
dabe paanv chali aana zindagi,
meri kismat ko pata na chale.

khusk aankhein hain ghum se bhari,
haare chehare par umeedein khadi,
har khushi khwaab huyi jaati hai,
aur kismat bhi apni zidd pe ardi,

dabe paanv chali aana aye hassi,
meri kismat ko pata na chale,
dabe paanv chali aana zindagi,
meri kismat ko pata na chale.

aa mujhe aa ke kuch dawa de de,
jaam-e-mohabbat mein wafaa de de,
tu mujhe dil mein basa le humdum,
maut de de ya phir sazaa de de.

dabe paanv chali aana humnasheen,
meri kismat ko pata na chale,
dabe paanv chali aana zindagi
meri kismat ko pata na chale.

dil ki lagi ne mujh ko shayar banaa diya hai

tufaan ne iraadon ke sar ko jhuka diya hai,
shayad iss safar ne mujh ko thaka diya hai,

mere saamne bhi rehkar tu talaash kar na payi,
khud ko hi maine khud mein aise chupa diya hai,

tujhe bhulna bhi jaise ek haadsa tha mujh par,
tujhe bhulne ki khaatir, khud ko bhula diya hai,

jab zikr mehfilon mein teri wafaaon ka aaya,
maine jubaan pe apni talaa lagaa diya hai,

kismat mein yakin aye dost hota tha kabhi mujhko,
kismat ne mujhe lekin dhokha bada diya hai,

jab dost mujhse teri koi baat cherdhte hain,
kehta hoon maine tujhse piccha churda liya hai,

naraaz ho na jaaye kahi andhera bhi mujhse,
ye soch kar roshni ghar ka bujha diya hai,

ganimat hai ki mujh ko gum tujhse mil gayi hai,
varna teri wafaaon ne humein aur kya diya hai,

baat kerna bhi humein kahaan aata tha,
dil ki lagi ne mujh ko shayar banaa diya hai.

tera naam tha tera naam hai

tera naam tha tera naam hai,
jo main likh ker mitaya kerta tha,
tera naam tha, tera naam hai,
gali gali tere naam se ek shaks
badnaam tha, badnaam hai.

tera naam tha, tera naam hai,
woh jo ghul gaya mere jism mein,
tera ehsaas hai, mere paas hai,
kayamat se tujh bin bhi mujhko
aaraam tha, aaraam hai.

tera naam tha, tera naam hai,
mushkil tha ki kat-ti zindagi,
teri raah mein, teri chaah mein,
ek khawaab barso se aankhon ka
mehmaan tha, mehmaan hai.

tera naam tha, tera naam hai,
yehi mera andaaz-aye-zindagi tha,
kuch kho diya aur roo diya,
tamasha bazaar-e-mohabbat mein
sar-e-aam tha, sar-e-aam hai.

tera naam tha, tera naam hai,
jo bhi rahe hum bas unke hi rahe,
aashiq kaho ya paagal kaho,
intezaar humein unke aane ka
har shaam tha, har shaam hai.

tera naam tha, tera naam hai,
ek tere rishte ki khaatir main,
kabhi jhuk gaya aur ruk gaya,
tere pehlu mein zindagi guzare,
ye armaan tha, armaan hai.

tera naam tha, tera naam hai,
jo paas tha humare woh de diya,
wo wafaa kahein ya zafaa kahein
tujh par mar mitna...
aasaan tha, aasaan hai.

tera naam tha, tera naam hai...

din dhal raha hai shaayad

andhera ho raha hai
din dhal raha hai shaayad,
ek ghum-naam dard liye
dil jal raha hai shayad.

takleef hai iss badan mein,
aankhon mein nami nahi,
kuch ashq liye in hawaaon par
koi chal raha hai shayad.

askon se dhule palkein
yun takkraa rahe hain,
waqt ka lekar sahara
koi sambhal raha hai shayad.

ek ajab si halchal
ho rahi hai mann mein,
nindon mein koi karwat
badal raha hai shayad.

roz nikalti hai zindagi
jaise insaan ke wajud se,
armaan kayi iss dil ke,
nikal raha hai shayad.

keh du aaj aap sabse

kuch kehna hai mujhe aap sabse aaj,
keh du har baat dil ki aaj aap sabse,
zindagi ke har pehlu har woh jazbaat,
keh du aaj aap sabse.

dil mein chupaye har woh baat,
jo kisi ne na jane ab tak,
keh do aaj aap sabse.

bahut dard samete baitha hoon
bhari mehfil mein tanha
keh du aaj aap sabse.

apne bhi gair bane
har mord pe dhoka mila duniya mein,
keh du aaj aap sabse.

zakham diye bahut loogo ne
aaj tak woh bhare nahi,
keh du aaj aap sabse.

zindagi se jo manga woh mila nahi,
jisse pyar kiya woh bhi chord ke chali gayi,
darr lagta hai ki kahi kisi se,
phir pyar hua to kahi woh bhi naa chali jaye.

keh du aaj aap sabse,
jazbaat dil khushi dost mohabbat,
inn cheezu ka mere zindagi mein,
basera hi nahi shayad ab.

keh du aaj aap sabse
gum ruswaii dushmani judaai nafrat,
yehi hai mere zindagi ka hissa aaj.

keh do aaj aap sabse ab,
sab kehte hain ashk anmol hote hain,
magar mere yeh ashk befizul hain,
keh du aaj aap sabse.

ek daur aisa tha

tu akele milti thi
ek daur aisa tha,
dil bahut machalta tha,
ek daur aisa tha.

bekhudi ka woh mausam
kitna achha lagta tha,
har kadam behakta tha,
ek daur aisa tha.

kis tarha bhula doon
tere saath ke woh din raat,
chand hum se jalta tha,
ek daur aisa tha.

tu udaas lamhon mein
mujh ko ordh leti thi,
main tujhe pehanta tha,
ek daur aisa tha.

mujh se teri doori ka
ghum saha na jata tha,
sab se main ulajhta tha,
ek daur aisa tha.

tum to sab baharon
ko saath apne le gayi,
kabhi apna ghar bhi mehakta tha,
ek daur aisa tha.

sab andheri raaton ko
mera saath chord dete the,
tu nahi badalti thi,
ek daur aisa tha.

shatranj ke khiladi

shatranj ke khiladi agli chaar chaalein soch lete hain,
nadan hain wo jo aankh meech kar hi roo lete hain,

duniya ke iss jungal mein shikaariyo ke fande lage hain,
zinda wahi hain jo shikariyon ka shikaar kar lete hain.

aisi hoti hai maa

hamare har marrz ki dawa hoti hai maa,
kabhi daat-ti hai humein, to kabhi gale laga leti maa,

hamari aankhon ke aanshu, apni aankhon mein sama leti maa,
apne hoton ki hassi, hum par lutta deti hai maa.

hamari khusiyon mein shamil ho kar, apne ghum bhula deti hai maa,
jab bhi kabhi thakar laage, to humein turant yaad aati hai maa.

duniya ki tapish mein, humein aanchal ki sheetal chhaya deti hai maa,
khud chaahe kitni bhi thakki ho, humein dekh kar apni thakkan bhul jaati hai maa.

pyar bhare haathon se hamesa hamari thakkan mitta-ti hai maa,
baat jab bhi ho laziz khaane ki, to humein yaad aati hai maa.

har rishton ko khubsurati se, nibhana sikhati hai maa,
labzo mein jisse bayan na kiya jaa sake, aisi hoti hai maa.



हमारे हर मर्ज की दवा होती है माँ,
कभी डाँटती है हमें, तो कभी गले लगा लेती है माँ,


हमारी आँखोँ के आंसू, अपनी आँखोँ मेँ समा लेती है माँ,
अपने होठोँ की हँसी, हम पर लुटा देती है माँ,


हमारी खुशियोँ मेँ शामिल होकर, अपने गम भुला देती है माँ,
जब भी कभी ठोकर लगे, तो हमें तुरंत याद आती है माँ,

दुनिया की तपिश में, हमें आँचल की शीतल छाया देती है माँ,
खुद चाहे कितनी थकी हो, हमें देखकर अपनी थकान भूल जाती है माँ,


प्यार भरे हाथोँ से, हमेशा हमारी थकान मिटाती है माँ,
बात जब भी हो लजीज खाने की, तो हमें याद आती है माँ,


रिश्तों को खूबसूरती से निभाना सिखाती है माँ,
लब्जोँ मेँ जिसे बयाँ नहीँ किया जा सके ऐसी होती है माँ |

hum dil jalon ki subha kya aur shaam kya

gamzadon ko khushi ka paigaam kya,
gam ki duniya mein kushi ka kaam kya?

dil jab jab tuta waha andhera ho gaya,
hum dil jalon ki subha kya aur shaam kya?

aashk jab gire tab savera ho chala,
aisi zindagi ka doston aab anjaam kya?

dil ki kisi khushi pe muskurate nahi,
doston zindagani issi ka hai naam kya?

maut bhi aab to aati nahi aur hai tarsati,
zindagi hai zulm aur ruuh ka matam kya? 

mera har nagma ek hi aur ishara deti hai

sach hai zehar ko zehar marta hai,
roz teri yaadein marr ke
jeene ka sahara deti hai.

koi nahi puchega ki main shayar kyun hua,
mera har nagma ek hi aur ishara deti hai.

kuch aur gazalein likhne ko majbur ho jata hoon,
jab zindagi ki koi dhun saaz tumhara deti hai,

pehle bebas tha par ab aalam kuch yun hai,
ki har kashti khud sagar ko kinara deti hai.

jab kabhi zakhm-e-armaan bhar jata hai,
waqt ki hawa usse cherd dubara deti hai.

kuch hai mere pas to bas judai aur tannhai

tumhari aahat sunn kar
yun aise khush hota tha dil,
jaise chanda ko dekh kar
sara jaha khil uthta hai.

tumhare kareeb aate hi
aisa lagta tha jaise,
khoyi huyi manzil ko
rashta milne wala hai.

tumhari awaz sunne ke liye
aaise tardap te the hum,
jaise barish ki ek bund ke liye
zameen tardap ti hai.

ab na woh khushi milti hai,
na woh manzil-e-rashta ek hai,
aur na hi woh tardap rahi hai.
kuch hai mere pas to
sirf judai aur tannhai hai. 

bahut tanha hai yeh manzilon ka safar

bahut tanha hai yeh manzilon ka safar,
dua hain aaj phir ki koi saathi mile,

yeh suni raatein jo takrati hain jaam akele hi,
kehti hain koi shaksh…. koi saakhi mile,

mar-mar ke guzaari hain jo zindagi maine,
chahti hain aaj yeh ki nayi zindagi mile,

sajde main sar jhuka du aaj main bhi aye khuda..
jhoothi hi sahi mujhko bhi gar bandagi mile,

thorde sahme se hain dil ke halat aajkal,
khil uthe yeh bhi gar koi aashiqi mile,

rahne do duao’n ke is baazar mein humein,
khushi na sahi, aaj gum ka hi baazar mile.

kaise kahein hum kaise je rahe hain

ek ke baad ek musibat jhel rahe hain,
ek ho ke bhi tannha jee rahe hain,

kaun samjhe humare dil ka haal,
kaun jaane hum saans kaise le rahe hain,

juda ho ke to aadha jeevan kar liya apna,
bas uss aadhe ko poora karne ki koshish kar rahe hain,

mushkilein hain jo kabhi daman nahi chorti humara,
kya kahein ki kaise isse jhoojhl rahe hain,

saath ho ke bhi saath nahi mera humsafar,
kaise kahe kaise usse door hum reh rahe hain,

kathinaaiyan aati hain kabhi darr ki shakal mein,
kaise batayein hum ki kaise saamna kar rahe hain,

saath jeene marne ki kasmein kha ke bhi saath nahi aaj,
kaise kahein hum kaise je rahe hain,

bas marr rahe hain har pal har chann,
unhein yaad kar kar bas khud ko koss rahe hain,

kaise kahein ki hum kaise jee rahein hain,
bas saansein chal rahi hain aur wakt kaat rahe hain.

ban ban ke har umeed toot jaati hai

dard ka aalam jaate nahi jaata hai,
din raat bas mujhe sataata hai,

na samajh mein aaye ki yeh andhkaar kab mitega,
na yakeen aaye ki khushiyon ka daaman mujhe bhi milega,

ban ban ke har umeed toot jaati hai,
behlaati hai mujhe, kabhi mujhe tord jaati hai,

maayoos rehna meri aadat nahi doston,
par har mord pe zindagi maayoos chord jaati hai,

jab kabhi aati hai khushiyan nazar door kahin se,
na jaane kyun wahin se woh laut jaati hai,

dard ka aalam jaate nahi jaata hai..


sabrr toot raha hai har umeed ke saath,
na jaane chaah kyun ab bhi jee jaati hai,

na yakeen hoga marna ke baad bhi
ki marr gaye hain hum,
unki yaad kuch is kadar hi aati hai,

milan ki ghadiyan door ho jitni,
chaahat unhein dil se bulaati hai,

mitt jaayega yeh andhera,
khatam hoga dard ka aalam bhi,

yehi har roz dua mein meri chaahat dohraati hai,
dard ka aalam jaate nahi jaata hai.

kaunsa mukhauta tum apnaaoge

mukhaute to bahut mil jaate hain duniya mein,
kaunsa mukhauta tum apnaaoge?

iss zaalim bedard duniya mein,
aakhir kab tak tum dukh se til-bilaaoge?

iss anjaano ki duniya mein,
kab tak ghut ghut ke jee paaoge?
nahi samjhegi yeh kabhi iss dil ki gehraayi ko,
aakhir kab tak yun ashk bahaaoge?

naa samjha hai,
isne kabhi kisi ko apna nahi mana,
kab tak tum rote jaaoge? 

tum cheekhoge chillaaoge,
kab tak khud ko yun saza dilaaoge?
mukhaute to bahut milte hain duniya mein,
aakhir kaunsa mukhauta tum apnaaoge?

kab iss chehre pe khushi laaoge?
kab dil ki gehraayi se muskuraaoge?
jaao le ke aao woh hassi kaa mukhauta..
kha lo kasam usse hi jeevan bhar apnaaoge.

kash ki insaano ki tarah neend bikkti aur sukoon bikkta

kash ki har cheez ki tarah,
ishq bikkta, dil-e-nadan bikkta,
kash ki insaano ki tarah,
neend bikkti aur sukoon bikkta.
bazaaron mein taraasha hua husn bikk raha,
ruh naa bikk saki to kya, jism bikk raha,
kash ke kuch sapno ki tarah,
main bikkta mera junoon bikkta,
kash ki insaano ki tarah,
neend bikkti aur sukoon bikkta. 

na kar kisi aur dil ko ab barbaad

muskurate hain lab par aankhein kyun roti hai,
khone ka dard pane ki khushi se jada kyun hoti hai,

kyun hote nahi armaan pure dil ke sabhi,
puchenge khuda se agar mile unko kabhi,

milega kya aye khuda tujhe kisi ki takdeer aisa banakar,
tannha chord jaye humsafar do kadam saath nibhakar,

agar deni nahi puri khushi to uska ehasaas bhi na kara,
nafrat ki iss duniya mein mohobat ko har baar na hara,

cheekh uthegi ruh, karega tuta dil fariyaad,
beshak mita humein...
par ab na kar kisi aur dil ko barbaad.

why you play around with my head?

there are just so many reasons why
I sit outside and cry?

mostly its the sight of you,
that day you said “I love you”

can't you see that I am not your toy,
the one that always say “your my boy”

why if you love me like you say,
you sit there and play around with my head?

do you think I will come back?
because these feelings for some reasons won't go away.

but this time sweetie, I am not gonna stay,
I have taught myself not to cry,

and sit, wonder and ask “oh why”
I have grown up and realized that you

are not good enough, and will never do!
so just remember that from this day on,

I will survive so now go on and find someone
who will also cry, and ask himself why?

ek tha main ek thi zindagi

ek tha main ek thi zindagi,
zindagi meri nahi magar main zindagi ka tha,

woh shayad sapna hi to tha,
jo kabhi apna naa ho saka,

bas kuch khawaab the,
jo apni jeb mein bhara tha,

uske darwaze par bikhra tha,
kuch alag-alag se naam dekar,

soch meri jaise ghul gayi ho,
kisi veeraan se registan mein,

jahan na uski hansi thi,
na uska koi wazood tha,

na hi koi sapna naa koi khwab tha,
bas tha ek lamba intezaar,

ek mulaqaat ka,
pigaltee barsat ka,
ussi baat kaa, ussi saath kaa.

jise maine kabhi gale se lagaya tha,
sajaya tha apni zindagi mein,

saalon-saal jin ke liye main tardpa,
kya woh bhi kabhi mere liye tardpi hai,
ya yeh bas ek chalaawa tha,

kisi anchaahi dastak ka,
kuch kori yaadon ka,
andhera bhara hua hai,
woh kaala andhera shayad,

gehri raat ka suchak hai haan !
woh aaj khush hai ki unse,


na mili koi baat naa jazbaat,
naa koi barsaat naa mera saath.

wafa par tika rahu yeh muskil to nahi

bhulana teri aadat hai sahi,
par yaad rakhana muskil to nahi,

pyar kerna.. chord dena tera swabhav,
pyar ko pyar hi rakhna muskil to nahi,

mana woh bewfaa hai to kya hua,
khud wafa par tika rahu yeh muskil to nahi,

muskilein aayegi har daur mein,
samadhan ki koshis karu yeh muskil to nahi,

gar main marr bhi jaau to koi baat nahi,
apane path par rah ke jeena muskil to nahi.

wondering alone

wondering what to look for
I started to walk alone,
I walked and walked and walked
till I reached the quietness zone,

where things were surprising
and forever they’ll really be,
where in ignorable silence was
the only thing I could see,

where every where was present
the deep shades of the time,
that was truly dark
and was not on the flow of rhyme,

and there for sometime
I couldn’t really decide,
what is there to seek
what is there to hide,

and then I came out
from that quietness zone
and started walking again
wondering there alone.

ab mohabbat karne wala wafa ki shart se aazad hoga

sabak jis ko wafa ka yaad hoga,
mohabbat mein wahi barbad hoga,

suna hai ab mohabbat karne wala,
wafa ki shart se aazad hoga,

kafan mein hum bahot mehfuz honge,
ke pehre par khada sayyad hoga,

shaher ujda to bas jayega lekin,
humara ghar na phir abad hoga,

humara naam bhi lenge woh lekin,
humara zikr sab ke baad hoga.

All Time's Favourite Posts