Showing posts with label naseeb. Show all posts
Showing posts with label naseeb. Show all posts

kaun aayega yahaan, koi na aaya hoga

kaun aayega yahaan, koi na aaya hoga,
mera darwaaza havaaon ne hilaaya hoga.

dil-e-naadaan na dhadak, aye dil-e-naadaan na dhadak,
koi khhat leke padosi ke ghar aaya hoga.

gul se lippti huyi titali ko giraakar dekho,
andhiyon tum ne sukhi drakhton ko giraaya hoga.

‘raaj’ pardesh mein mat yaad karo apana makaan,
ab ke baarish mein usse tord giraaya hoga.

tanhaaiyon ka shikaar aadmi

har taraf har jagah beshumaar aadmi,
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi.

subah se shaam tak bojh dhota hua,
apni hi laash ka khud mazaar aadmi.

har taraf bhaagte-daudte raashte,
har taraf aadmi ka shikaar aadmi.

roz jeeta hua, roz marta hua,
har naye din naya intezaar aadmi.

zindagi ka mukaddar safar dar safar,
aakhiri shaans tak bekaraar aadmi.

har taraf har jagah beshumaar aadmi,
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi.

mann mein shree raam ka naam lo

zindagi bhar kisi ka na ehsaan lo,
baat hai yeh sahi, baat yeh maan lo. 

de-do, de-do mujhe apne runj-o-alam,
chaho badle mein to tum meri jaan lo. 

chaaho to cheen lo, mera sabr-o-karaar,
na kabhi cheen kar, mera emaan lo. 

jab kabhi, dil mein jaage koi vaasna
mann mein us ghadi,  shree raam ka naam lo. 

na kinaare pe reh kar nazaara karo,
gar hai himmat jo dil mein, to tufan lo. 

ho irrade atal, to aye dost khauf kyun,
jeetna hai yeh baazi, dil mein tum tthan lo.

jo hai himmat wala, wahi duniya mein jee paata hai

har woh din jo aata hai, hum se yeh keh jata hai,
jo hai himmat wala, wahi duniya mein jee paata hai. 

jo bhi kahil hai jug mein, peeche woh reh jata hai,
jo bhi uske saath chale, saath unhi ke aata hai. 

daulat, shoahrat aur iizzat, tuhfae mein de jata hai,
aane wale din ka tum, khushiyon se sawagat kerna. 

meri yaad mein haan lekin, apni aankhein na bharna,
rakh kar yaadon ka merhum, aage woh bardh jaata hai. 

waqt hai unka, jo iski khadr-o-kheemat rakhte hain,
nafrat se jo door hain aur sab se ulfat rakhte hain. 

jaate-jaate waqt hamein, baat yehi samjhata hai,
lamha, lamha yun hi yeh saansein ek din tehr jaata hai.

yeh pal jo hai, aaj yahan, laut ke phir na aayengein,
pathron ke soorakhon se, jaise kuch beh jaata hai. 

woh jo bujh-dil hai jag mein, raaz unhein samjhaye kaun,
uska apna hi chehra, usko hi batlaye kaun,

waqt badal kar roop naye, usko sab dikhlata hai,
jo hai himmat wala, wahi duniya mein jee paata hai. 

iss kalam ka kamaal to dekho

iss kalam ka kamaal to dekho,
isne jab mehboob ka naam likha,
mere dil ko aur bhi dhadkaya,
phir hal-e-dil paigaam likha,
mere dil ko baichain kiya. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
nazron ne jo waar kiya,
aur jubaan se jo na bayaan ho paya,
woh saare jazbaat dil ke,
shayari mein dil ka har paigaam likha. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
likha bhi naam uska aur pyaar se usse sajaya bhi,
utar kaagaz par tasveer usse pass apne paya bhi,
dil ki iss bechaini ko khoob shayari mein bayan kiya. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
juda huye jab woh humse,
saath isne mera nibhaya bhi
naam likha jab bewafa uska,
hazaar aanshu apne saath hamein rulaya bhi. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
kalam ke jariye aaj humne,
phir ek mukaam haasil kiya,
kho chuka tha jin lamhon ko,
phir kagaaz par aaj usse zinda kiya. 

kuch sapne adhure reh jaate hain

kuch khawab khawab reh jaate hain,
kuch sapne adhure reh jaate hain. 

chaahat ka wada, wafa ki kasmein,
kagaz pe chand tehrerein reh jaate hain. 

tujhse milna, tujhe paane ki aarzoo,
kuch khwahishein hasratein reh jaate hain. 

tere saath bitta waqt, tere sang guzare lamhein,
zindagi ke kuch khaas yaadein ban reh jaate hain.

aye zindagi tu bas undekhi manzilon ki raah hai

tanhai mein teri yaad ke siwa koi yaad nahi hota, 
ashko ke bhaar bekaran hai, iss ka koi kinar nahi hota, 

aye zindagi tu bas undekhi manzilon ki raah hai, 
iss mein har sath chalne wala kabhi bhi hamara nahi hota. 

mohabbat ke anjaane rashton mein, anjan manzilon ke safar mein, 
ek humrahi ke siwa koi bhi sahara nahi hota, 

jis ke humrahi hi hath churda le anjaan rahon mein, 
aise musafir ke liye siwa bhatakne ke koi chaara nahi hota. 

agar jurd bhi jaaye shesha jo kabhi tutne ke baad, 
to kabhi bhi iss mein woh phele sa nazara dobara nahi hota.

jo yaadon ke shaaye raat hi muhet ho jaye khayalon se, 
to iss mein kahi bhi chamakta hua koi jugno, koi taza nahi hota. 

na jaane kab zindagi kaha sath churda le, 
kismat ke badalne se yeh kabhi hamara tumhara nahi hota. 

jeewan mein humrahi ka sath, kab kismat se milta hai, 
aye dost.. mohabbat ke khel mein koi jeta koi hara nahi hota

mere pankh aakash ki taraf ude jaa rahe hain

band muthi ke juganu phir se chulbula rahe hain, 
mere pankh aakash ki taraf udde jaa rahe hain,

khwaabo ki duniya ajeeb basati hain aankhon mein,  

woh duniya haqikat mein bhi sama bana rahe hain,

yun to kayi baar aise pal aaye hain iss zindagi mein, 

par yeh pal ajeeb khushi sang laa rahe hain,

kashmash to dil mein hazaro hote hi hain, 

kuch kashamash kinaare chalate aa rahe hain.

daaman mein mere sambhaale naa sambhale, 

aisi khushi par pag badhate jaa rahe hain,

jhooma rahe julfein, jhoomata huwa pawan, 

maano meri khushi mein yeh lay bitha rahe hain.

phoolo ki mahak ho ya chidiyon ki chahak, 

dono hi sang mere meri khushi mana rahe hain.

dekho naa badal bhi mere sang khush ho kar, 

sang mere khushi ke aalap duhara rahe hain.

akela na pad jaaoon kahi iss khushi ke waqt, 

bunde mere sang kadam mila rahe hain.

andhera na ho mere raaste mein kahi, 

bijaliyan umad kar raasta dikha rahe hain.

kya kahe hum khushi khudki jubaani, 

har pehalu jo mere sang taal mila rahe hain.

hamne khud ko unka dushman hi bana diya

unke apnon ki bheed badi door tak faily thi, 
apne nishaan bhi door-door tak nazar aate na the, 

badi koshishein ki humne apne yeh haath hilaane ki, 
badi koshishein ki humne unhein cheekh cheekh kar sunane ki,

par dooriyaan aur shor itna tha ke,

woh hamein sunn bhi na paate the,

unkein paas jaane ke iraadon ne, 

unhein dil ki baat sunaane ke iraadon ne, 
hamein iss raah par pahuncha diya. 

unke dushmanon mein koi nazar na aata tha, 

so hamne khud ko unka dushman hi bana diya,

kam se kam iss bahaane hi sahi, 

woh hamein dekh to paayeinge…

chaahkar bhi to kuch haasil na tha, 

shaayad iss rishte ke chalte hi woh,
kuch kareeb aa jaayeinge.

ek umr udne ke baad ummeed ne dum tord diya

woh parinda apni choti si umr se, 
achhi udan bhar leta tha, 

nadi-pahad to choti baat thi, 
woh saagar tak paar kar leta tha, 

aksar apni chhamtaon ko dekhkar, 

woh foola nahi samata tha, 

aatmvishwas abhimaan ban-ne laga tha uska, 

ab woh zameen par panw na rakh paata tha, 

yun to aksar nazar aata tha woh, 

ek roz chaand usse bha gaya, 

chahat sirf nigaahon tak naa rahi, 
uska dil chaand par aa gaya, 

apni naadaan chaahat ke chalte, 

woh apne paroon par, 
kuch jada hi vishwas karne laga.

chaand ki doori se anjaan, 

woh apni udaan bharne laga,

ek umr udne ke baad uski, 
ummeed ne dum tord diya,

iraade to majboot the uske, 

par uske paroon ne saath chord diya,

apni iss naakaami ke chalte, 

usne paroon ko fad-fadana chord diya,

girne laga waapas zameen par, 

aur jeene ka khayal chord diya,

shayad uske naseeb mein, 

dard aur bhi paana tha,

mar naa saka iske baad bhi, 

woh  jaan gaya tha ab usse, 
dobaara naa urd paana tha.

aaj bhi takta hai chaand ko, 

woh ussi se nazrein bachakar,

phir moond leta hain palkon ko, 

shaayad apne aap pe sharmakar.

har raat ke baad ujli subeh ho 

yeh jaroori to nahi,

ghtaaein bhi chha sakti hai, 

ho sakta hai kuch haasil ho tere inetzaar se 
par zindaagi ka koi waada bhi nahi aye dost, 
mout kisi waqt bhi aa sakti hai...! 

rab ho kar bhi sab jaisa hai

tu kyun aisa hai? 
rab ho kar bhi sab jaisa hai. 

aisa hum ko lagta hai, 
tu bhi zaalim jag sa hai,

jab se tum ko jaana hai, 
bebasi ne loota hai, 
umeed ka daman chorda hai, 

dil ki ujjdi basti mein, 
patta-patta sookha hai, 
mujh ko kwahish hoti hai, 
meri guzaarish choti hai,

rok do gham ki baarish ko, 

kehte yeh mere aanshun hain. 

hum bin khata kiye gunnahgaar huye

bin kuch kiye, barbaad huye, 
na jaane kyun hum sab ke liye, 
sab ke baad huye..

hum bin khushi ke muskurate hain, 

chupa ke apne aanshun bahate hain, 
doosron ke gham mitta-te huye, 
hum bin khata kiye gunnahgaar huye.

hum ko yaad aata hai, 

aur zamana chala jaata hai, 
hum ko hi bhulate huye,

ab nahi aur jeena mere khuda, 

bula le humein aur na rakh juda, 
na humein samander mein yun jalaate huye.

kar gaye kyun hum kayi khatayein anjaane mein

chale aaye woh yaar aaj apne gareeb khane mein, 
aur hum kar gaye kayi khatayein anjaane mein, 

yeh kya nasha tha meri aankhon mein ja samaya? 

ruth gayi khushi woh, umra lagi jise kamane mein.

kya khabar thi woh bura maan jayenge iss kadar, 

ki humein lag jayeinge kayi baras manane mein,

na rok saka unhein main bebasi yeh kaisi chayi thi? 

yeh saza hai meri, gujar doon zindagi pachtane mein. 

kal ka kya bharosha, yakeen ho bhi jayega unhein, 

hum na rahein, kahin kar de itni deir batane mein,

wahi manzar wahi jism, na raha woh saccha pyar, 

ghar luta apna, duniya sajayi hai ghumkhane mein. 

aur na poocho dastaan-e-mohbbat aye zamane walo, 

hai yahi kahani meri, suna dala jisse iss tarane mein.

kyun aaye woh yaar aaj apne gareeb khane mein, 

kar gaye kyun hum kayi khatayein anjaane mein. 

pyaar kiya tumse to saza mein paayi tanhaai

pyaar kiya tumse to saza mein paayi tanhaai, 
toote dil ki hai parchchaayi.. tanhaai,  

yeh dil bewafa se wafaa chahta tha, 
kyon dil ke raaste mein aayi tanhaai? 

kabhi dikhaayi dete the jahan sapne beshumaar, 
ab in aankhon mein hai chhaayi tanhaai, 

manzil se pehle hi doob gayi khwabon ki kashti, 
ashkon ke samundar mein lehraayi tanhaai, 

jee lete hum sirf teri yaadon ke sahaare, 
par teri yaadein bhi sang apne laayi tanhaai. 

woh bhi kya din the

kya din the.. sote the tere aachal ke tale,
aaj kafan ko tarsi padi hai laash meri tere dar pe,

kya din the.. jab milke phir milne ko tarste the,
aaj beet gaya zamana, jhalak teri dekhe hue,

kya din the jab.. soti raaton mein jaaga karte the,
aaj sone ko tarsta hai dil, ke dekhun tujhe khawab mein,

woh bhi kya din the.. hansi teri misri ghol jaati thi,
aaj aawaz sune bhi teri... tarse bahithe hain.

woh bhi kya din the.. jab sang muskurate the,
aaj rone ko bhi kandha dhundhte hain. 

maa tujhse yeh duniya meri

mere wazood ki kahani woh, mere ser pe jiska saya hai,
maa tujhse yeh duniya meri, tujhse hi jeewan paya hai.

har ehsaas tujhse hi jana maine iss jahan mein aake,
hai karzdaar uska yeh beta, dhood jo tune pilaaya hai.

pehla lafz tu bani mere jeewan ka khuda ke karam se,
pakad mere hathon ko mujhe sambhalna shikaya hai.

mere ek chink pe tardapna tera, kitni raat tu soyi nahi,
khud ko jala dopehar bhar, har dhoop se bachaya hai.


hoon aaj main apne kadmon pe, jahan ko paar kar ke,
hoon par tere kadmon mein, jisse har seekh ko paya hai.


teri mamta ka pyasa hoon, luta de mujhpe pyar aapna,
poojta hoon tujhe aise ki bhagwan ki jagah biithaya hai.

hai dua upar wale se gar woh iss jahan mein kahin hai,
rakhe sada khush usse, jisne mujhe duniya mein laya hai.

mere wazood ki kahani, woh mere ser pe jiska saya hai,

maa tujhse yeh duniya meri, tujhse hi jeewan paya hai. 

kuch waadon ka bojh dhote dhote

kuch waadon ka bojh dhote dhote,
khushiyan meri khatm ho gayi,
khwahishein to baaki rahi par
duniya meri khatm ho gayi.

yaadon ka daaman chhota nahi kabhi,
ashkon ki shiyahi kahtm ho gayi,
chala tha jis par woh raah manzil se
pehle hi.. raahi kahtm ho gayi.

rona aaya iss dil e naakam par jiski
dhardkane saari kahtm ho gayi,
kuch tannha raatein baaki thi,
woh bhi baari baari kahtm ho gayi. 

apni dhun mein hum yunhi chalte gaye

raahein murdti gayi, hum bhi murdte gaye,
manzil nahi pata, magar chalte gaye,

thakne par kahin aaram kar lete the,
khud-bakhud apne haalaat sambhalte gaye,

pasine se hum hadd tak naha hi chuke the,
haalaat aise the ki hum chalte gaye,

mushkile aati rahin, magar pata na chala,
bas apni dhun mein hum, yunhi chalte gaye.

ek tannha safar par main chalta raha

raat bhar main apne dil ki guftgu sunta raha,
sar par na jaane kyun, khauf madrata raha,

khud hi afsana bana, afsos hai iss baat ka,
main hamesha dusro ko kisse sunata raha,

dusron ki khusiyon ko tarjeeh main deta raha,
aur khud ki khusiya main kaaton pe bichata raha,

khud hi apne haal pe aane lagi mujh ko hassi,
apni iss halat ke sabko sher sunata raha,

woh bane mehlon ki raunak, aur meri duniya luti,
umra bhar ke liye ek tannha safar par chalta raha. 

khwaab huye dhundle aur unhein khoya

yun hi zindagi ko sanjoya,
khwaab huye dhundle aur unhein khoya.

kalam ko shihayi mein duboya,
phir ek ek moti saath piroya,

halke se – kahi chub naa jaaye,
yeh kaanch ke tukro sa dil,
sab tukdo ko saath rakha to
dekho khud ko kabhi tannha naa paaya.

mein aur kuch soch.. gehri sagar si,
iski lehron par kaabu kaise paaun,
jo de iss dil ko sukoon,
woh saugaat aye dard kaha se laun?

ek ek moti se gharda bharta hai,
par daaman jo yeh bhara hi nahi,

jo mila.. usse chaha nahi,
jo chaha.. woh kabhi mila hi nahi,

yun hi zindagi ko sanjoya,
ek ek moti sang piroya.

All Time's Favourite Posts