Showing posts with label ruthna. Show all posts
Showing posts with label ruthna. Show all posts

har pal dhoondta raha main thikhana maut ka

har pal dhoondta raha main thikhana maut ka,
na jaane kab ho iss zindagi mein saamna maut ka,

woh jo muhje jeene ke liye kehte the kabhi,
unhein to kab ka mila gharana maut ka.

meri bebasi dekho..
ki gaa bhi sakta tarana maut ka.

unki de zindagi to aamant hai mere paas varna,
kab ka ho gaya hota samana mera aur maut ka.

ab to na marne ka haqdaar, na hi jeene ke kaabil,
zindagi boojh si baan chuki hai,

marne se pehle hi mar chuki hai,
ab kis muh se ja kar karoon saamna maut ka.

har pal dhoondta raha main thikhana maut ka,
na jaane kab ho iss zindagi mein samna maut ka.

woh bhi kya din the jab bas khilone tutta karte the

woh bhi kya din the jab bas khilone tutta karte the,
girte the aanshu, par do pal ko rutha karte the.

khil-khila kar hansti thi khushiyaan,
alvida keh kar bhi kahan chhuta karte the.

baras ke sawan humein hansaya karta tha,
pyara sa bachpan hardum khushiya lutaya karta tha,

baba ke kandhon par baith dekhte the duniya,
sara zamana hum par sar jhukaya karta tha.

woh din woh bachpan bahut yaad aata hai,
woh zindagi phir jeene ko dil lalchaata hai.

sawal tujhse aye bhagwan aur niyati se bhi,
kyon itni jaldi ek baccha bada ho jata hai?

o maai - o maai...

ambar ki uchaai, dharti ki yeh gehraari,
tere hridaay mein samayi.. o maai - o maai.
tere mann amrit ka pyaala, yehi kaaba yehi shivaala,
teri mamta paawan-daayi, o maai - o maai.

hamesa tere sath hi rahoon, main bankar tera humjoli,
tere pas naa jaaun.. chip jaaun, yuh kehlun main aankh micholi,
pariyon ki kahani suna de, koi mithi loori gaa de,
kar de sapna sukhdaayi, o maai - o maai.

sansaar ke taane baane se ghabrata hai mann mera,
inn jhuthe rishton-naaton mein, bas pyaar hai tera hi saccha,
sab sukh-dukh mein dhal jaaye, teri baahein jo mil jaaye,
mil jaaye mujhe khudaayi, o maai - o maai.

phir koi shararat ho mujhse, naaraz karun phir tujhko,
phir gale pe thappi maar ke, shinne se laga le mujhko,
bachpan ki pyaas bujha de, apne haath se phir khila de,
pallu mein band mithai, o maai - o maai.

HAPPY MOTHER'S DAY...!!

juda hone ka andesha, juda hone se pehle tha

juda hone ka andesha, juda hone se pehle tha,
woh mujh se intehai khush, khafa hone se pehle the,

junoon ka daur guzra to muje bhi bhool baithe woh,
ebatat-e ishq tha lekin, juda hone se pehle tha,

main kaise soch sakta tha, mujhe woh chord jayege,
bahut hi wafadar woh, bewafa hone se pehle the.

hamne khud ko unka dushman hi bana diya

unke apnon ki bheed badi door tak faily thi, 
apne nishaan bhi door-door tak nazar aate na the, 

badi koshishein ki humne apne yeh haath hilaane ki, 
badi koshishein ki humne unhein cheekh cheekh kar sunane ki,

par dooriyaan aur shor itna tha ke,

woh hamein sunn bhi na paate the,

unkein paas jaane ke iraadon ne, 

unhein dil ki baat sunaane ke iraadon ne, 
hamein iss raah par pahuncha diya. 

unke dushmanon mein koi nazar na aata tha, 

so hamne khud ko unka dushman hi bana diya,

kam se kam iss bahaane hi sahi, 

woh hamein dekh to paayeinge…

chaahkar bhi to kuch haasil na tha, 

shaayad iss rishte ke chalte hi woh,
kuch kareeb aa jaayeinge.

tum khafa kyon ho jaate ho

main apni hi zameen ko dhoondta hoon,
to tum khafa kyon ho jaate ho? 

main apne aasmaan par ghoomta 
hoon,
to tum khafa kyon ho jaate ho? 

mujhe mohabbat si ho gayi hai in baadlon se,
yeh tim-timaata aasmaan mujhe nahi bhaata,

jab main in baadlon mein kho jaata 
hoon,
to tum khafa kyon ho jaate ho?

main aksar lambi udaanon mein rehta 
hoon,
main aksar in hawaaon ke saath behta 
hoon, 

main jara pankh jo failaa loon apne,
to tum khafa kyon ho jaate ho?

mera yeh rookha sa aasmaan tumko to bhata hi nahi, 
aur tumhaari iss zameen par main, aashiyaan paata nahi,

tumhaare hi in daayron mein jab naa urd paaun main,
to tum khafa kyon ho jaate ho?

mere in nazuk paron ko naa pakkdo tum,
mujhe sirf apni hi hawaaon mein naa jakkdo tum,

meri gairat, jo chatpataati hai ispar,
to tum bura kyon maan jaate ho?

kar gaye kyun hum kayi khatayein anjaane mein

chale aaye woh yaar aaj apne gareeb khane mein, 
aur hum kar gaye kayi khatayein anjaane mein, 

yeh kya nasha tha meri aankhon mein ja samaya? 

ruth gayi khushi woh, umra lagi jise kamane mein.

kya khabar thi woh bura maan jayenge iss kadar, 

ki humein lag jayeinge kayi baras manane mein,

na rok saka unhein main bebasi yeh kaisi chayi thi? 

yeh saza hai meri, gujar doon zindagi pachtane mein. 

kal ka kya bharosha, yakeen ho bhi jayega unhein, 

hum na rahein, kahin kar de itni deir batane mein,

wahi manzar wahi jism, na raha woh saccha pyar, 

ghar luta apna, duniya sajayi hai ghumkhane mein. 

aur na poocho dastaan-e-mohbbat aye zamane walo, 

hai yahi kahani meri, suna dala jisse iss tarane mein.

kyun aaye woh yaar aaj apne gareeb khane mein, 

kar gaye kyun hum kayi khatayein anjaane mein. 

dil yeh chota bacha hai

dil yeh masoom chota bacha hai,
yeh bada na hua to acha hai,
isspe pabandiyan nahi kuch bhi,
yeh to do saal ka mano bachcha hai.

iss ko koi fikar na faka hai,
yeh to har haal muskrata hai,
manta yeh nahi jahan ki rasmein,
yeh to bas pyaar chahata hai.

pyaar deta hai pyar chahata hai,
pyaar se bas iss ka nataa hai,
zindagi bhar rahe yeh bacha,
har ek insaan bas yeh hi chahta hai.

aam-janta ko bargalaya jaa raha

chand ko suraj bataya jaa raha,
aam-janta ko bargalaya jaa raha,
rashtra-ghatak majhabi logo ko,
ekta ka swar bataya jaa raha.

dwesh, chhal, katu-ta, ghrina, aadhar jinka,
majhabi unmadh hi bypaar jinka,
ab humein insaaniyat samjha rahe.

pit-te hain chhatiyan, chhilla rahe hain,
bichaate hain muthiyan, jhalla rahe hain,
dosh mat dena humein baad mein logo,
dekho sehar ki aur gedard aa rahe.

majhabi chaadar yahan, hum tanne na denge,
dwesh ka darsan yahan chalne na denge,
vishdharo, bhaago hamari bhumi se,
aastin mein saap hum palne na denge.

yeh dil hai pyare bachana iss ko

yeh dil hai pyare, bachana iss ko,
chahat ke raaste na dikhana iss ko,

pyar karna buri baat nahi lekin,
kisi bewafaa se na lagana iss ko.

dushmanon se to tum bachte rahoge yakinan,
yaad rakh.. doston se bhi chupana iss ko,

agar koi thukraye to bhool jaana usse,
na maane to, pyar se samjhana iss ko.

kabhi iss par koi sitam na karna,
raaj ki tarha na tarsaana iss ko.

aye maut jara dhire se aa ek kam zara sa baki hai

aye maut jara dhire se aa, ek kam zara sa baki hai,
unko khat ek likhna hai, paigam zara sa baki hai,

woh samjhenge tha bewafa, intezaar bhi na kar saka,
marne se pehle ek baar, ikraar bhi na kar saka,

gujarish meri mann ke, thoda sa waqt aur de de khuda,
meri prem kahani ka, anjam zara sa baki hai,

apna dard batane de, ek nagma mujh ko gaane de,
sanam ke dard ka mausam, unko jara sunane de,

janta hoon waqt kareeb hai, ab na koi apna rakeeb hai par
jo har roz pite hai ghum ka, woh jaam zara sa baki hai,

unhein ab tak malum nahi ki apni sanse kuchh hi baki hai,
jo aate hai unhein dekhne ko, woh anshu kuch hi baki hai,

woh ab tak na aaye mehfil mein, ab tak deedar baki hai,
usne ab tak mujhe bewafa na kaha, ilzam zara sa baki hai.

chordh gaye mujhko chordhne waale

rukh hawaaon ke modne waale,
chordh gaye mujh ko chordne waale,

meri rangat ko peela kehte hain,
mere jism se khun nichodne waale,
chordh gaye mujh ko chordhne waale.

aksar woh picche se chott dete hain,
saamne haath jordne waale

taqdeer meri kis kalam se likhi khuda,
mujhe sab mile dil ko tordne waale,
chordh gaye mujhko chordhne waale.

ashk aankhon mein chupaaye rakhte hain,
muskurahat labhon par udhne wale,

hawaaon se fansla banaye rakhte hain,
tinko se ghar ko jordne waale,
chordh gaye mujhko chordhne waale.

woh chale gaye humein chord ke tannha,
ab nahi usske picche daudne waale,
chordh gaye mujhko chordhne waale.

jab dharti ki kokh mein soo jaaun tum mujhko jagaane matt aanaa

jab dharti ki kokh mein soo jaaun,
tum mujhko jagaane matt aanaa,
jab jeevan andhkaar mein dooba ho
tum diya jalaane matt aanaa,

mere din the tujh mein doobe huye,
meri raat thi tujh mein khoi huyi,
jab khuda se tujhko maanga tha,
meri kismat bhi thi soyi huyi.

teri raah se ab main guzar gaya,
tu mujh ko bulaane matt aana,
jab dharti ki kokh mein soo jaaun,
tum mujhko jagaane matt aanaa.

mujhe tujhse koi aas nahi,
mujhe tujhse koi gila nahi,
tujhe apna dil de paata main,
woh waqt mujhe kabhi mila nahi,

ab zakhm bane hain yaar mere
tum dawaa lagaane matt aana,
jab dharti ki kokh mein soo jaaun,
tum mujh ko jagaane matt aanaa.

jab jeevan andhkaar mein duba ho
tum diya jalaane matt aanaa.

phir woh aayenge aur mere dard duhaai denge

phir woh aayenge aur mere dard duhaai denge,
kab ke khaamosh raaz aankhon se sunaai denge,
ek baar chorde to behte hi chale jaayenge,
apne aanshun ko hum kuch aise rihaai denge.

puchenge kaise ho, to usse muskura kar dikhayenge,
aankhein chura kar apne yaar ko safaai denge,

phir woh aayenge aur mere dard duhaai denge,
kab ke khaamosh raaz aankhon se sunaai denge.


phir hum unke haal chaal se mukhaatib honge,
ghum dbaa kar khushiyon ki badhaai denge,

ek baar chorde to behte hi chale jaayenge,
apne aanshun ko hum kuch aise rihaai denge. 


jab unke rishte ko le kar duniya humse sawaal karegi,
buraai le kar bhi, hum ussko bhalaai denge,

phir woh aayenge aur mere dard duhaai denge,
kab ke khaamosh raaz aankhon se sunaai denge,
ek baar chorde to behte hi chale jaayenge,
apne aanshun ko hum kuch aise rihaai denge. 

tannhai ki yuh aadat ho gayi

tannhai ki yuh aadat ho gayi ki,
tannhai mein marna-tannhai mein jeena seekh liya,

tannhai mein khush rehna-hasna-rona seekh liya,
lekin dar lagta hai ki kahin yeh tan,hai humein kha na jaye,

tannhai mein rehkar ek baat ka sukh hai ki hamare,
marne par koi na aanshu bahayega logon ko dikhane ke liye,

hum par aanshu tapkayega issi aasha mein jiye ja rahein hain ki
kabhi to tannhai mein ghum hone ha mauka aayega.

magar hum kisse kahein

dil to tuta hai kayi baar
magar kisse kahein hum,
ghamon se ho rahe do-char
magar kisse kahein.

aap aayenge ujhe dil mein
jalane ko shama
magar kisse kahein.

aap aayenge pata to nahi par,
hai mujhe ab bhi intzaar
magar kisse kahein.

aarzo dil mein chaahat ki teri,
dil mera raha hamesa bekrar
magar kisse kahein.

pyar mein chahat nahi kuch bhi,
main sirf chahata  ek didaar,
magar kisse kahein.

zindgi ki daud mein khone-pane ki hord mein,
aakhir daav gaya hoon haar,
magar kisse kahein.. hum kisse! 

kya woh aaj bhi aisi hai aisa kal tak lagti thi

jhuthe the ya sache the,
mujhko ache lagte the,

aankhein unki kali thi,
aur chehra ujla ujla tha,

phool chaman mein khilte the,
jab woh khul ker hanste the,

keh deti thi sab kuch hi
dil mein kuch kab rakhti thi,

saitaani bahut kerti thi,
lekin dil ki woh achi thi,

ker leti thi jhagrda aur
foren maan bhi jati thi.

door bhi hum ho sakte hain
kab humne yeh socha tha,

kitne pyaare din the woh
har dum saamne rehte the,

begani thi lekin, woh
apna apna lagti thi,

gulshan uske chahat ka
mere dil mein mehka tha,

kya woh aaj bhi aisi hai,
jaisa kal tak lagti thi,

ya rab usko khush rakhna,
har dam jo khush rehti thi.

thorda hasna thorda rokar unko yaad karana

tannha tha safar humsafar ki talash thi,
barshon ki judaai mein milne ki aash thi,

woh bhool gaye humein chand lamhon mein,
dil to kya hum se zindagi bhi udash thi,

mayusi ke sang chale the do chaar kadam,
unki yaadon ki parchhai dil ke kuch yun paas thi,

thorda hasna, thorda rokar unko yaad karana,
zindagi bhi kya khubsurat ehsaash thi. 

haste raho aur hasaate raho

haste raho aur hasaate raho,
gham ke nishaan mitaate raho,
daggar mein aayenge lakhon patthar,
pyaar ke phool bichhaate raho.

suraaj ki kiran phaylate raho,
gham ki shama bujhaate raho,
kat jayegi raat pal do pal mein,
subah ke geet gungunaate raho.

jeevan aaj hai, kal kisne dekha,
baccho ki tarah khil-khilate raho,
mil jayengi khushiyan tumko bhi,
bas dusron ka gham ghatate raho.

aandhi aye, tufan aye, ya patjhad,
baagho mein kaliyan khilate raho,
hazaar gham bhale aa bhi jaaye,
chehre pe muskaan sajaate raho.
haste raho aur hasaate raho,
gham ke nishaan mitaate raho.


na milo to rooth jaati hai

na milo to rooth jaati hai,
milo to mushkilein barhati hai,

badi paagal hai yeh zindagi meri,
na khul ke milti hai,
na hum ko chhord hi pati hai.


khud hi bunti hai yeh rishte mujhse,
aur phir inmein fansa deti hai,
mujhse waada to nahi uska koi phirbhi,
ek ankahi si baat par,
ek ansuni si ummeed jaga deti hai.

humne sar aankhon pe bhitha rakha hai jisse,
in khayaalon mein dulhan sa saja rakha hai jisse,
jaane kya pardhti hai in aankhon mein woh,
khud hi deti woh haath mere haathon mein aur,
jaane kya soch ke phir haath chhuda leti hai. 

badi paagal hai yeh zindagi meri,
na khul ke milti hai,
na hum ko chhord hi pati hai.

All Time's Favourite Posts