Showing posts with label berehem. Show all posts
Showing posts with label berehem. Show all posts

nahi mili khushi na sahi par uska gham to mila

nahi mili khushi na sahi par uska gham to mila,
ke issi bahane hi sahi hume ek sanam to mila.

sahi hai ke mohabbat haqeekat se door hi rahi,
par issi dard se mohabbat ka humein bhram to mila. 

kaun jaane ke mil jaaye rahe kahi par jakar phir se
issi baat se doston jeene ka humein dum to mila.

mat roko mujhe likhne se mere chahne walo,
ke nagmon ke roop mein hume dil ka marhum to mila. 

iss kalam ka kamaal to dekho

iss kalam ka kamaal to dekho,
isne jab mehboob ka naam likha,
mere dil ko aur bhi dhadkaya,
phir hal-e-dil paigaam likha,
mere dil ko baichain kiya. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
nazron ne jo waar kiya,
aur jubaan se jo na bayaan ho paya,
woh saare jazbaat dil ke,
shayari mein dil ka har paigaam likha. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
likha bhi naam uska aur pyaar se usse sajaya bhi,
utar kaagaz par tasveer usse pass apne paya bhi,
dil ki iss bechaini ko khoob shayari mein bayan kiya. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
juda huye jab woh humse,
saath isne mera nibhaya bhi
naam likha jab bewafa uska,
hazaar aanshu apne saath hamein rulaya bhi. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
kalam ke jariye aaj humne,
phir ek mukaam haasil kiya,
kho chuka tha jin lamhon ko,
phir kagaaz par aaj usse zinda kiya. 

aisi bhi hoti hai khamoshiyaan

dhadkane jab badhne lage,
aur saansein bhi shor karne lage,
nazrein jab kisi ki nazaron mein rukne lage,
sare-alam ki hulchul jab thamne lage,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan. 

dil mein jab bechaini badhne lage,
bin kahe sab kuch samajh aane lage,
saari duniya ka hosh jab khone lage,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan.

koi apna jab khud se door hone lage,
kehne ko jab koi alfaaz bhi na rahein,
kuch hone ki umeed bhi khone lage,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan.

kisi ke sawaal mein har jawaab nagawaar hone lage
band aankhon se bhi tasveer dihayi dene lage
nazrein jab ahista ahista se nam si hone lagein
aisi bhi hoti hain khamoshiyaan.

koi kisi ke liye hai jeeta,
par kisi ko iski khabar bhi nahin,
ban ke hawa koi saansein hai deta,
aur kisi ko iski kadar bhi nahin. 

koi sajde lakh karke
kisi ke liye dua hai maangta,
aur kisi par asar bhi nahin,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan.

chahkar bhi keh nahin payein,
aur zara sa sabar bhi nahin,
bas samajhne ko hi reh jaaye,
aur kehne ko kuch bhi nahin,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan.

tardapta chordkar be-perwah, rawan ho jaate hain

dekhte-dekhte hawa ho jaate hain,
jane kab bachhe jawaan ho jaate hain. 

kal tak jo khelte the dhool-mitti mein be-khabar,
ab to chhune se khafa ho jaate hain. 

samajh na paya kabhi main inki fitrat ko,
kabhi khud marz.. kabhi khud dawa ho jaate hain. 

iss daure jawaani mein kahin fariyad.. kahin naaz,
kuch rote hain wafa ko, kuch bewafa ho jaate hain. 

jawaan dil ko behlane wali kisi kitab ka
dilchasp ek safa ho jaate hain. 

woh apne lutf mein kisi ki gujarish nahi sunte,
tardapta chordkar be-perwah, rawan ho jaate hain.

aisa ek samrajya hua karta tha

kabhi iss dharti par,
mera hi rajya hua karta tha,
har shakhs sukhi tha jahan,
aisa ek samrajya hua karta tha.

na koi jaat-paat tha,
na hi koi dharm-majhab tha,
us sundar-si duniya ka,
to har drishya hi gazab tha.

na rajniti thi,
na bhrastachar hi tha,
sab swakch sochte the,
kahin koi kuwichar na tha.

na dikhte the kahin par
saje-dhaje nange,
aur naa hi hote the,
kahin koi dange.

par ab dharti se,
mera wilop ho chuka hai,
sare manwi mulyon ka,
ab khatma ho chuka hai.

main koi aur nahi,
balki insaan hoon,
par ab main, main na raha,
ban chuka main haiwan hoon.

aur chahiye, aur chahiye, bahot kam hai mere paas abhi

takhto taaj ke safar mein, dushman baithe hain,
sone ki chaadar ordhe, durjan baithe hain,

heeron ke aaine mein dhundhe hai khud ko,
nazrein utha ke dekh samne, maut ke darpan baithe hain,

imaartein hai unchi, unche mahal hain,
sange mar-mar ke deewarein, farsh makhmal hain,

heere moti jade hain,  phir bhi bhukhe dhar hain,
lobh ke baadal mein vish ke saawan baithe hain,

bachpan mein jo aag lagi, budhape mein bhi bujhi nahi,
dhan sampatti ki jo lalsa thi, barson baad bhi mitti nahi,

aur chahiye, aur chahiye, bahot kam hai mere paas abhi,
ab to sambhal ja, intzaar mein tere jalte chandan baithe hai,

bhukhe daridra ko pet bharne ke liye do roti chahiye,
woh jab mil jaaye to gadi bangla heere moti chahiye,

par tujhe kya pata marne ke liye bas yam ki chunouti chahiye,
raaj kehta kuch nahi chahiye, yam to mere aangan baithe 
hain.

naye log hain naya zamana, chhord diya jo hua purana

beshak humne tarakki ki hai,
beshak humare kadam bardhe hai,
humse ooncha kaun yahaan hai?
hum havaniyat ke shikhar pe khade hain.

haan andhera mitne laga hai,
zara ujalaa dikhne laga hai,
kyun na andhere darr ke bhaage,
shahar ke shahar jo jale parde hain.

lashon ke parbat oonche hain itne,
asmaan ke badal hain jitne,
dharti par mushkil hai jeena,
isiliye log everest pe chadhe hain.

kehte hain humne chaand chhoo liya,
dusre jahaan mein kadam rakh diya,
prithvi ke tukde to kar diye,
ab woh chaand ke peechhe pade hain.

bam golo pe maan bada hai,
inhein chalana asaan bada hai,
isiliye junge hoti hain itni,
isiliye bhai bhai se larde hain.

naye log hain naya zamana,
chhord diya jo hua purana,
kapde makaan maa-baap bhi 

kehte hain woh bhi to hue budhe hain.

rahiso ki party

ek baar humme aya nyota rahiso ki party ka,
jhat taiyar hue hum pehan suit bhai ke sadi ka.

phate purane jooton ko dekar ke naya roop,
deo laga kar itminan se nikhara apna roop,

chala kar apna scooty hum club mein the padhare,
andar pahoonch kar humne jo nazara dekha,
samaj na aaya kaun thi ladki kaun tha ladka,

himmat kar kar hum kuch aur andar ko padhare,
ek joomti hui jawan mahila se takraye,

hum apni nadani se thar thar the kaape
lekin humme dekh kar woh kyoon kar ghabrate,

hothon ki lipstick unki aur adhik rang laayi,
do second ke andar mere chehre par jo chayi,

hayee re.. ghabra kar hum andar ki aur bhage,
dekh wanha ki raunak mann hi man sharmaye,

ke pi-kar sab masti mein aise jhoom rahe the,
kaise batayein kaun kissse kanha choom rahe the,

aage jo nazare dekhe wey kuch nahin the achey,
murder picture ka khel khel rahe the rahiso ke bache,

ek bana tha imraan hasmi aur ek bani thi mallika,
ithni si umar mein haathon par sharab tha chalka,

ladki ne ladke se kaha aisa kyoon na ho jaaye,
hum tum ho kamre mein band aur chabhi kho jaaye,

aisi raunak aaj tak humne kahi na dekhi,
sach to hai.. bharat kar raha kithni oonati,

aur adhik kuch dekhne ke liye hum na ruke the,
sach kehta hoon pal bhar ke liye bhi hum na tikke the,

bahar aakar hamari nazar jis aur uthi thi,
footpath par ek nirdhan maan ki kismat usse roothi thi,

baal the uske bikhre huye aur bahon mein thi uski mamta,
pata nahi aur kya dukh sehne usne janam liya tha,

ek taraf to chal raha tha masti ka hahakar,
ek taraf chilla rahi thi daridrata ki pukar,

hey bhagwan kaisa tune yeh sansar banaya,
kyun tune ek ko ameer aur ek ko nirdhan banaya?

lekar bozil mann hum wapas ghar ka laute,
sach kehta hoon raat bhar bilkool na so sake,

subah uth kar sabse pahle khayi yahi kasam,
aaj se aise partyaan kabhi na attend kare hum

doston ki hi mehfil mein ek dushman nazar aaya

doston ki hi mehfil mein ek dushman nazar aaya,
mehfil to bhari hi thi yeh dil bhi bhar aaya,

ordhe huye thi nakaab woh sharafat ka iss kadar,
ke pehchan pane ka usko na humein hunar aaya,

bardi chalaaki se kar diye kuch vaar usne,
ke mehfil mein tanha ho ke main bikhar aaya,

kabhi basta tha jo sapna ban ke aankhon mein doston ki,
aaj ban ke aanshon raaj ke aankhon se utar aaya.

chalna jara sambhal ke

yeh shehar hai zaalim bada, chalna jara sambhal ke,
milte hain log yahan, chehare badal-badal ke,

zindagi sasti hai bahut, maut ki sadkon par,
phirte hain kaatil yahan, iraadein liye katal ke,

mazloom loot-te hain yahan kanoon ke rakhwalon se,
khakhi wardion mein milte hain looterein chambal ke,

khoon se range hain haath safed-poshon ke to kya,
bichte hain dariche magar un kadmon par makhmal ke,

aabru ke shikariyon se sehma hua har aanchal hai,
sharmate hain in vehshiyon se, darinde bhi jungle ke,

khudgarz hua hai insaan tarakki ki andhi daud mein,
aage bardhte hain log yaha, ek duje ko kuchal ke.

har mord par humare liye mazbooriya kyu hain

har mord par humare liye mazbooriya kyu hain,
jaha tak bhi nazar uth-ti hai, har jagah mayoosiya kyu hain,

tere aagosh mein aane ko sisakta hai badan mera,
zindagi ki lau jali jaati hai tujhe paa lene ki chahat mein,

armaano ki baraat dil ki najuk naso ko tordti hain,
maun reh kar bhi bebasi sooni sadak si zindagi mein faily kyu hain,

zindagi ke kuch haseen pal beetane ki chahat mein,
til-til jalti yeh zindagi toot toot kar bikharti kyu hain,

hum marr jaane ki khwahish rakhte hain,
tere pehlu mein aaker zindaagi tabaah kar lene ki khwahish rakhte hain,

tamaam umar jeene ki tamanna nahi hai,
magar iss tabaahi ke badle bhi maut ko bewafai ki chaahat kyu hain,

har mord par humare liye mazbooriya kyu hain,
jaha tak bhi nazar ut-ti hain.. har jagah mayoosiya kyu hain.

aakhir kyun... aksar

kyun jeene ka humein dena pardta hai kar... aksar!
kyun papitton ki tarah kat-te hain logon ke sar... aksar!

kyun insaano mein insaniyat jati hai marr... aksar!
kyun jala diye jate hain garibon ke ghar... aksar!

kyun zulm dekh samay jata hain thehar... aksar!
kyun pariyon ke katar diye jate hain par... aksar!

kyun tabah ho jate hain sahar ke sahar... aksar!
kyun kanth tak aake ruk jate hain swar... aksar!

kyun jeevan mein peena pardta hai zehar... aksar!
kyun iss jahan mein jeena ho jata hai dubhar... aksar!

kyun bacchon ke badan ho jate hain budhon se jarjar... aksar
kyun aatank ban jata hai shanti ka sauhar... aksar!

kyun dil mein basa rehta hai koi darr... aksar!
kyun aashiqon ke hi tuta karte hain jigar... aksar!

kyun acche logon ko milta hai ghayal hone ka war... aksar!
sab dekh ke bhi khuda tu kyun naa barpaye kehar... aksar!

kuch gairon ne saatya tha kuch apno ne loota hai

kuch gairon ne saatya tha,
kuch apno ne sata kar dikhaya hai.

sikwa kare to kisse kare aye dost,
har saksh mein bewafaii ko paya hai.

kuch gairon ne loota tha,
kuch apnno ne lootkar dikhaya hai.

apni kisti ko lekar kaha jayein hum,
har shahil pe toofaan nazar aaya hai.

kuch gairon ne neki kiya tha,
kuch apno ne neki karke dikaya hai.

kal khud ko becha kerte the ab khuda ko becha kerte hain

duniya ke saudon ki khaatir woh juba ko becha kerte hain,
jo kal khud ko becha kerte the, ab khuda ko becha kerte hain.

jinnke haathon mein church, mandir aur maszid ki chaabi hai,
jo sartaaz bane devalyon mein, woh log hi aisa kerte hain,
kal khud ko becha kerte the, ab khuda ko becha kerte hain.

subha se lekar shaam tak, jiss naam ko ratt-te rehte hain,
woh naam samaaj ke galiyaaron mein, yehi roz numaish kerte hain,
jo kal khud ko becha kerte the, ab khuda ko becha kerte hain.

pehle shahron ko bunte hain, kuch dharm ke jhuthe dhaagon se,
phir gharon ko torda kerte hain aur unnka safaaya kerte hain,
jo kal khud ko becha kerte the, ab khuda ko becha kerte hain.

jeete jee jiss shaks ko yeh pathar se mara kerte hain
marrne par uski laash ko yeh fulon se sajaaya kerte hain,
kal khud ko becha kerte the, ab khuda ko becha kerte hain. 

kafan na mile to apna dupatta urdha dena

dil to tord diya mera ab chitta bhi jalaa dena,
kafan na mile to apna dupatta urdha dena,

koi puche rog kya tha kaise huyi maut meri,
bas nazar jhuka kar apna naam bata dena,

samajhne waalon ke yeh ishaara bahut hoga,
koi na koi in mein tujhe sahara jaroor dega,

sahara agar na mile to tum bas itna hi karna,
thoda si raakh meri apne saath hamesa rakhna.

jaan de di tere raaj ne

do ashq meri yaad mein
bahaa dete to kya jaata,
chaar phool meri laash par
chardha dete to kya jaata…?

aaye ho meri mayyat par
nakaab daal kar sanam,
murdon ko chaand ka tukda
dikha dete to kya jaata…?

poochte hain tumse log
kiska yeh arthi hai,
marne waala kaun tha ?
bataa dete to kya jaata…?

keh rahi hai sab kahani
tere haathon ki mehndi,
kisi aur din ye kissa
sunaa dete to kya jaata…?

mera saans rukta hai,
mera dam nikaalta hai,
meri duaa ko haath tum
utthaa dete to kya jaata…?

jaan de di tere raaj ne
tumhari hi mohabbat mein,
ek chiraag tum samadhi par
jalaa dete to kya jaata…?

afsoos hai mujhe

woh dil ko dukhaane aaye.. afsoos hai mujhe,
khud ko maine zinda paaya.. afsoos hai mujhe,

door ho gaye woh, yeh to koi bardi baat nahi,
dard ban kar dil mein samaye.. afsoos hai mujhe,

mujh pe karam naa ho, yeh munasib hai khuda,
dil taurd ke woh muskuraaye.. afsoos hai mujhe,

ek muddat beeti, chand alfaaz dhoodhne mein,
haal-e-dard phir bhi naa sunaya, afsoos hai mujhe,

gham nahi, kho jaau, yaa koi manzil na haasil ho,
maine raahguzar naa paaya, afsoos hai mujhe.

kitna badal gaya insaan

kal jo gale milte the,
aaj gale kaat-te hain,
kal jo saath muskuraate the,
aaj aashoon baant-te hain,

dekho, waqt ki rachna kaisi,
har koi baante hai agyaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.


badlaw hai fitrat inki,
ghamand ke nashe mein choor sabhi,
chand kaagaz ke tukde jahaa,
soch ka dairaa rukta wahi,

kal tak jo darta tha bure kaamo se,
aaj buraai hai sabka imaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.

charno mein maa ke swarg hai.
sunaa, seekha tha kabhi maine aisa,
aao dekho roti huyi budhi aakho ko,
zamaana aaya hai ya khuda kaisa,
jinhone paal-posh kar barda kiya,
ban ke reh gaye ghar mein mehmaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.

naari ke hain roop kitne,
labso mein kaun inhein bayaan kare,
tha pal – pal poojniye inka,
ek jeevan mein tha saat janamo ka balidaan,

sare aam bikte hain laaj sharam ke gehne ab,
dekho kaisi khuli hai yeh dukaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.


hai aatank chaaro aur,
nadiya hai khoon ki,
din dahade-bazaar hai,
aaj bouchaar goliyon ki,

band karo yeh khel laaso ka ab to,
maang suni ho rahi hai kitni doliyon ki,
kal tak jo poojte the geeta aur kuraan,
aaj pujte hain haiwaan saitaan,
dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan....

pal pal bikhar raha hoon main

zindagi ek aag hai
pal pal jal raha hoon main,

zindagi ek toofan hai
pal pal bikhar raha hoon main,

zindagi ek baddua hai
pal pal bhugat raha hoon main,

zindagi ek aashoon hai
pal pal sisak raha hoon main,

zindagi ek sailaab hai
pal pal doob raha hoon main,

zindagi ek dard hai
pal pal bilak raha hoon main,

zindagi ek ehsaas hai
pal pal tardap raha hoon main,

zindagi ek aas hai
pal pal tut raha hoon main,

zindagi ek pyaas hai
pal pal mitt raha hoon main,

zindagi ek kashmakash hai
pal pal pareshaaan hoon main,

zindagi ek gham-e-kissa hai
pal pal dohara raha hoon main,

zindagi ek mayus kahani hai
pal pal isse jee raha hoon main.

kya yahi zindagi hai

har saks paresaan hai,
har chehre pe udasi hai,
har aankh mein aashu hai,
har aatma pyaasi hai.
ke har chehre pe chehra hai, 
har hasrat pe pehra hai,
kya yahi zindgi hai??

yahan dil mein kuch hai,
aur juban pe kuch hai,
ki peeth mein khanjar
kyu bhokne ka daur hai,

kya mar gayi insaniyat
ya badli hai neeyat,
ki bas sochna apne baare mein,
sirf apne bare mein...
kya yahi zindgi hai??

pyar ke badle dhoka,
har kisi ko chahiye bas mouka,
paise ka khel, gareebo ko tardpana,

yeh badle badle se insaan,
yeh patther sa dil,
yeh dhoka.. yeh nafrat.. yeh lardai.. yeh siyast,
kya yahi zindgi hai??

All Time's Favourite Posts