Showing posts with label sapna. Show all posts
Showing posts with label sapna. Show all posts

aise hote hain pitah

jeevan mila jinse, woh jeevandaan hai pitah,
pukara jaaye chaahe kisi bhi bhasha mein
kehkar papa, baba, babuji...
har boli mein inke liye hai 
wahi pyaar aur samman bhara.

thaame jinki ungli bachpan challa,
jinki majboot kandhon par baithkar duniya dekhi,
godh par baith kiye nakhere dher jinke,
jinhone apne sneh se hamein bada kiya,
woh hai pitah!

choti se choti jeet par bhi jinse shabashi mili,
har haar ko jinhone sikh bataya,
nirash ko door bhagaya,
jeevan ki sachaai se hamein rubaru karaya,
sahi aur galat mein antar samjhaya,
jinhone apne bachoon ke sukh mein hi apna sukh paya,
bachoon ke liye har pareshani haskar uthaaya,
jinki puri sansaar unke bachoon mein hi samaya,
woh hain pitah!

kabhi kadak ho jaate to kabhi naram bade,
lagate hain pabandiyan to kabhi dete hain choot puri,
kabhi hansaate hain to kabhi rulaate hain,
kabhi maa ki daat-maar se bachaate hain,
to kabhi khud hi chapat laga dete hain,
aise hote hain pitah!

pyaar se thapki dekar sulaate hain,
to kabhi khana banakar apne haathon se bhi khilaate hain,
jarurat ho to maa ke bhi saare kartavya nibhate hain,
din raat mehnat kar apne bachoon ke bhavishya ko sawarte hain,
har din, har pal unke ujjwal bhavishwa ke hi sapne bunte jaate hain,
apne har saans ko pitah apne bachoon par lutaaate hain,
kabhi kathor hokar to kabhi mom ki bhaati pighal jaate hain pitah!

aapki bhumika kayi roop se hai...
dhoop gar jalaye to chaao ban jaate hain,
wahi samay aane par ussi dhoop mein tapkar jeena sikhate hain,
baatein jinki hamesa maargdarshan karti hai,
kathinayion se lardte huye, viparit paristhithi mein bhi,
apne sidhanton par chalna sikhate hain,
sath mein ho yaa yaad mein,
inki upastithi hamesa mann ko sukun pohuchati hai,
aise hote hain pitah!

majhdhaar mein banke rahe pattvaar pitaaji

duniya ko bataate rahe majhdhaar pitaaji,
majhdhaar mein banke rahe pattvaar pitaaji,

saaya bhi unhi se hai, sahaara bhi unhi ka,
bachchon ke liye dar hai aur deevaar pitaaji.

chullha na pade thanda kabhi isleye aksar,
hansakar gaye hain kaam par beemaar pitaaji,

maa ke bimaari mein bachche, roti aur baratan,
aksar nibhaate maa ka bhi kiradaar pitaaji.

hain dost, alaarm, guru, to pabandiyaan kabhi,
thappad, nasihatein, kabhi akhabaar pitaaji.

gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba

aankhein michh kar soone se pehle,
jazbaat pighal kar roone se pehle,
jab aalfaz sinne mein dafan ho jaate hain,
tab yaadon se palkein bhigone se pehle,
aapke ashk se baatein karne lagta hoon,
tashveeron ko mana kar, unhi se ruth leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba !

bin mausam ki barsaat mein kabhi bheegne lagta hoon,
raat chaadar lapet kar thand ke maare jab kappne lagta hoon,
tab lagta hai jaise apna chaadar aap mujhe ordha rahe ho,
aur garm haathon ki narm ungliyon se mere baalon ko sehla rahe ho,
aapke hone ka ehsaas bhar se hi, har dard mein sukkun paa leta hoon baba,
yaadon ki chaadar ordhe har raat... aapko dhund leta hoon baba !

kisi raat sapnon mein puraane school pahuch jata hoon,
shaam dhalne par jab khil-khilate baccho ki toliyan nikalne lagti hai,
tab naa jaane dil ko kaisi aas bandh jaati hai,
meri nigaahein un cheharon mein kuch dhundane lag jaati hai,
dhundata hoon un haathon ko jinme jhaalmudi ki thayali hogi,
mera intezaar karti huyi, apni priya scooter kahi kadi hogi,
jispar sawar hone par ke khayaal se hi main jhoom leta hoon baba,
har nukkad, gali, chauraahe mein, aapko dhund leta hoon baba !

bheed mein akelapan ka ehsaas aapke bin hota hai,
jab kabhi bhi pariwaar mein kisi ka janam-din hota hai,
sabse chupte-chupaate koi tauffa le aaoge,
jo humse naa bujhi, woh mom-battiyan aap bujhaaoge,
bas yehi sochkar jaan bujhkar, aankhein mund leta hoon baba,
kabhi na khatam hone wale intezaar mein.. aapko dhund leta hoon baba !

woh aakhri pal nahi bhoolta mujhse kisi bhi haal mein,
aap zindagi ki door thaame ashpataal mein,
mujhse tab yeh kaha gaya ki kuch hi pal ab sesh bachi hai,
laga jaise khusiyon ki duniya ab dher ho chuki hai,
lekin maut ke farishton se chupte-chupaakar,
rakha tha aapne kuch saansein bachaakar,
aapki pairon ko apne hatheliyon se malte huye,
maine haathon mein aapke pairon ko jakkad rakha tha,
kuch naa keh kar bhi kitna kuch keh rakha tha.

aapse thi saari muskuraahat, aap khusiyon ke jahan the,
mere aanshu tab sukh chuke the, jab aap be-jubaan the,
ab to bas aapki tasveeron se baatein kar leta hoon,
dil kaagaz ban jaata hai, jispar dard apna likh deta hoon,
ussi dard ki dabbi huyi aawaz mein, likhe huye har alfaaz mein,
aapko dhund leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein..
aapko dhund leta hoon baba !

woh bhi kya din the jab bas khilone tutta karte the

woh bhi kya din the jab bas khilone tutta karte the,
girte the aanshu, par do pal ko rutha karte the.

khil-khila kar hansti thi khushiyaan,
alvida keh kar bhi kahan chhuta karte the.

baras ke sawan humein hansaya karta tha,
pyara sa bachpan hardum khushiya lutaya karta tha,

baba ke kandhon par baith dekhte the duniya,
sara zamana hum par sar jhukaya karta tha.

woh din woh bachpan bahut yaad aata hai,
woh zindagi phir jeene ko dil lalchaata hai.

sawal tujhse aye bhagwan aur niyati se bhi,
kyon itni jaldi ek baccha bada ho jata hai?

aise hain mere paa..

nariyal ko dekha hai na gaur se?
upar se sakkt, ander se kitna narm-mulayam,
ekdum malaayi sa, bilkul aise hain... mere paa.

maa ki tarah loori nahi sunaate,
meri aanshuon ko aachal nahi thamaate to kya?
anguli pakkad kar zindagi ke kathor dharatal par,
pehla kadam rakh chalna sikhate.. mere paa.

thokar khaa kar girne par
dard ko sehna sikhaate.. mere paa.

maa ki tarah parilok ki sair nahi karate,
duniya ki uchh-nichh bhi nahi samjhate to kya?
mere imhetaan mein mere sath raat bhar jaagte,
mere liye chaai banate.. mere paa.

mere behtar kal ke liye,
apna sunehara aaj kharch karte.. mere paa.

maa ki tarah gale nahi lagate,
meri yaad mein aanshu nahi bahate to kya?
chup-chaap mujhe niharate,
khaamosh nigaahon se sab kuch keh jaate.. mere paa.

mere jaane ke baad udaas akele 
mujhe mere kamare mein dhundate.. mere paa.

o maai - o maai...

ambar ki uchaai, dharti ki yeh gehraari,
tere hridaay mein samayi.. o maai - o maai.
tere mann amrit ka pyaala, yehi kaaba yehi shivaala,
teri mamta paawan-daayi, o maai - o maai.

hamesa tere sath hi rahoon, main bankar tera humjoli,
tere pas naa jaaun.. chip jaaun, yuh kehlun main aankh micholi,
pariyon ki kahani suna de, koi mithi loori gaa de,
kar de sapna sukhdaayi, o maai - o maai.

sansaar ke taane baane se ghabrata hai mann mera,
inn jhuthe rishton-naaton mein, bas pyaar hai tera hi saccha,
sab sukh-dukh mein dhal jaaye, teri baahein jo mil jaaye,
mil jaaye mujhe khudaayi, o maai - o maai.

phir koi shararat ho mujhse, naaraz karun phir tujhko,
phir gale pe thappi maar ke, shinne se laga le mujhko,
bachpan ki pyaas bujha de, apne haath se phir khila de,
pallu mein band mithai, o maai - o maai.

HAPPY MOTHER'S DAY...!!

kabhi na bhool paau, woh kahani hai pitah

kabhi abhimaan to kabhi swabhimaan hai pitah,
kabhi dharti to kabhi aasmaan hai pitah,
janam diya hai agar maa ne,
jaanega jisse jag, woh pehchaan hai pitah.

kabhi kandhe par bitha kar mela dikhata hai pitah,
kabhi banke ghoda, ghumaata hai pitah,
maa agar pairon pe chalna sikhati hai,
to pairon pe khada hona sikhata hai pitah.

kabhi rooti to kabhi paani hai pitah,
kabhi budhaapa to kabhi jawani hai pitha,
agar maa hai maasum si loori,
to kabhi na bhool paau, woh kahani hai pitah.

kabhi hansi to kabhi anusaasan hai pitah,
kabhi maun to kabhi bhaasan hai pitah,
maa agar ghar mein rasooyi hai,
to chalta hai jisse ghar woh raashan hai pitah.

kabhi khawaab ko pura karne ki zimmedaari hai pitah,
kabhi aanshuon ke chippi lachaari hai pita,
maa agar bech sakti hai jarurat pe gehne,
to jo apne ko bech de woh baypaari hai pitah,

kabhi hansi aur khushi ka mela hai pitah,
kabhi kitna tannha aur akela hai pitah,
maa to keh deti hai apne dil ki baat,
sab kuch samet ke aasman sa failaa hai pitah.

mujhe teri aarzu rahi barson

chaand ki justju rahi barson,
mujhe teri aarzu rahi barson,

sadiyan judaai ke beetein to jana,
mere khwabon mein tu hi rahi 
barson,

main hi unko samajh nahi paya,
yun unse guftgu rahi 
barson,

woh gulbadan jab kabhi bhi aaye,
ghar mein khushbu rahi 
barson,

main apne aib kahan chhipata,
unki nazar har taraf rahi 
barson,

maut ke saye mein bhi dekho,
zindagi ru-b-ru rahi 
barson.

jo hai himmat wala, wahi duniya mein jee paata hai

har woh din jo aata hai, hum se yeh keh jata hai,
jo hai himmat wala, wahi duniya mein jee paata hai. 

jo bhi kahil hai jug mein, peeche woh reh jata hai,
jo bhi uske saath chale, saath unhi ke aata hai. 

daulat, shoahrat aur iizzat, tuhfae mein de jata hai,
aane wale din ka tum, khushiyon se sawagat kerna. 

meri yaad mein haan lekin, apni aankhein na bharna,
rakh kar yaadon ka merhum, aage woh bardh jaata hai. 

waqt hai unka, jo iski khadr-o-kheemat rakhte hain,
nafrat se jo door hain aur sab se ulfat rakhte hain. 

jaate-jaate waqt hamein, baat yehi samjhata hai,
lamha, lamha yun hi yeh saansein ek din tehr jaata hai.

yeh pal jo hai, aaj yahan, laut ke phir na aayengein,
pathron ke soorakhon se, jaise kuch beh jaata hai. 

woh jo bujh-dil hai jag mein, raaz unhein samjhaye kaun,
uska apna hi chehra, usko hi batlaye kaun,

waqt badal kar roop naye, usko sab dikhlata hai,
jo hai himmat wala, wahi duniya mein jee paata hai. 

new year ka intezaar

12 mahino ka intejaar,
phir tum aate ho har saal,
dilon ke beech dooriya,
kuch palon ke liye hi sahi,
mita dete ho har saal,

har koi ek dusre se,
happy new year,
kehne ko hai bekaraar,
mehfilein zama dete ho,
nacha dete ho har saal,

gujre waqt ka andhera,
mita dete ho har saal,
nayi ummeedein,
naye armaan sabke dilon mein,
jaga dete ho har saal,

ab aa bhi jaao na,
mat karwao intezaar,
tere swagat ko,
hum sab hai taiyaar.

hasrat hai dil mein ek arse se..

iss shehar ki bheed mein ghum-e-ishq ke maare,
zinda hain ab tak yahi badi baat hai pyaare.

yeh hansta hua chand, yeh tim-timate sitare,
magar yeh dil hai ek jarre ke sahare.

hasrat hai koi pyar se dekhe mujhe,
arman hai koi phool humein bhi dil se pukare.

har subah meri subah pe roti rahi shabnam,
har raat meri raat pe hanste rahe taare.

hasrat hai dil mein ek arse se,
koi mere uljhe naseeb ko saware.

mere gazalon ko mere sath gaao ki andhera hatte

dil ko roshan banao ki andhera hatte,
nafraton ko bhagao ki andhera hatte,

aao dil ki mehfil mein, aao ki andhera hatte,
rukh se julfein hatao ki andhera hatte,

do pyar ke geet gaao aur muskuarao,
sare ghum ko bhulao ki andhera haate,

pyar ke noor se khaiyan pat do nafraton ki,
jahan ko jagmagao ki andhera hatte,

chand se mukhde ki tareef mein kuch kehne do,
mere gazalon ko mere sath gaao ki andhera hatte,

ek “raaj“ hi hai aapke nazaron mein kabse,
jaam-e-ulfat pilao ki andhera hatte.

mere khwabon ki basti se

mere khwabon ki basti se,
arthi uthte jaate hain,

meri ankhein jise chhu lein,
woh sapna roz marta hai.

kuch sapne adhure reh jaate hain

kuch khawab khawab reh jaate hain,
kuch sapne adhure reh jaate hain. 

chaahat ka wada, wafa ki kasmein,
kagaz pe chand tehrerein reh jaate hain. 

tujhse milna, tujhe paane ki aarzoo,
kuch khwahishein hasratein reh jaate hain. 

tere saath bitta waqt, tere sang guzare lamhein,
zindagi ke kuch khaas yaadein ban reh jaate hain.

kitne hi log roz aate hain, chale jaate hain

kitne hi log roz aate hain, chale jaate hain,
jism mar jata hai, kaarnamein hi reh jaate hain, 

kuch khash karne ki koshish bhi lagi rehti hai,
kuch kiye hote hain, kuch kar jaate hain,
kuch karne ki tamanna dil mein leke hi mar jaate hain.

dooriyan kam jada hain, manjil to ek hi hai,
phir kyun jaane ka rasta alag-alag apnate hain?

jauhri ki talash mein ghumnamiyon mein kho gaye,
kuch bes-keemti heere bhi dhul mein mil jaate hain,

kisi ko pet bhar ke bhi takiye se chubhan hoti hai,
aur kuch bhukhe pet hi footpath pe so jaate hain.

ki fasana-e-zindagi insaan ka sunte-sunte,
aankh kya cheej hai, dil bhi bhar jaate hai.

aye zindagi tu bas undekhi manzilon ki raah hai

tanhai mein teri yaad ke siwa koi yaad nahi hota, 
ashko ke bhaar bekaran hai, iss ka koi kinar nahi hota, 

aye zindagi tu bas undekhi manzilon ki raah hai, 
iss mein har sath chalne wala kabhi bhi hamara nahi hota. 

mohabbat ke anjaane rashton mein, anjan manzilon ke safar mein, 
ek humrahi ke siwa koi bhi sahara nahi hota, 

jis ke humrahi hi hath churda le anjaan rahon mein, 
aise musafir ke liye siwa bhatakne ke koi chaara nahi hota. 

agar jurd bhi jaaye shesha jo kabhi tutne ke baad, 
to kabhi bhi iss mein woh phele sa nazara dobara nahi hota.

jo yaadon ke shaaye raat hi muhet ho jaye khayalon se, 
to iss mein kahi bhi chamakta hua koi jugno, koi taza nahi hota. 

na jaane kab zindagi kaha sath churda le, 
kismat ke badalne se yeh kabhi hamara tumhara nahi hota. 

jeewan mein humrahi ka sath, kab kismat se milta hai, 
aye dost.. mohabbat ke khel mein koi jeta koi hara nahi hota

koun sa hai dard woh jo irrd-gird rehta hai

kagaz par nazar aati hai yeh siskiyan kis ki, 
koun sa hai dard woh jo irrd-gird rehta hai? 

yeh shabad lete hain talashi kis ki aahat ki, 
ki koun hai lafzon mein jo yun khamosh rehat hai? 

ek kachchi khawaish hai justaju ki kaid mein, 
ki zubaan par koi adhpaka sa sawaal rehta hai, 

kerte hain aanshu guftagu lafzo ke nukhto se, 
ki koun hai jo boond mein yeh samaya rehta hai. 

udhde pade hai lafz kai khud tees se apni, 

phir koun hai jo charcha ye sar-e-aam karta hai? 

deti nahi mohlat yaha jeene ko zindagi, 
phir koun hai jo surat badal kar nayi shakal leta hai? 

lekin phir bhi tum aajana

ek aas ke sahare jee raha hoon, 
jaise sadiyon se rasta tak raha hoon, 
yeh khamosh raahein khushgavar to nahi, 
lekin phir bhi tum aajana.

woh rokenge, aane nahi denge, 

baat baat pe fikre kasenge, 
jaanta hoon mushilen kam to nahi, 
lekin phir bhi tum aajana. 

main hansta hoon ho tum hansi ho meri, 

jaanti nahi ho ke jaan ho meri, 
in dhadkanon ki awaaz na sunn paogi, 
lekin phir bhi tum aajana. 

tere bin to jaise har shaye mein udaasi hai, 

aaja ke saansein ab chand hi baaki hai, 
tere aane ki khushi mein mar na jaun kahin, 
lekin phir bhi tum aajana. 

trishna

jeewan mein sukh paane ki to sabko hain trishna, 
kaam ki trishna, daam ki trishna, naam ki hain trishna.

anokhi pyaas hai yeh trishna, manno ki aas hai yeh trishna, 
madhur vishwas hain yeh trishna, bandhi hai saans mein yeh trishna.

kaali-kali raat ko prabhat ki hai trishna, 

aaye jo prabhat usko saanjh ki hai trishna, 
saanjh ki laali ko phir kaali raat ki hai trishna.

mrig jaise dhoondhe jeevan bhar kya hai yeh trishna, 

anokhi pyaas hai yeh trishna, manno ki aas hai yeh trishna.
madhur vishwas hain yeh trishna, bandhi hai saans mein yeh trishna.

bhawaro mein phoolo ki trishna se pagalpan chhaya, 
laakh bujhayi pyaas magar na chain kabhi hai paaya, 
bhawar ke jaise ghoome phir bhi meete naa yeh trishna, 
saara jag bhoola hai, kis ki talaas mein hai yeh trishna?

anokhi pyaas hai yeh trishna, manno ki aas hai yeh trishna.
madhur vishwas hain yeh trishna, bandhi hai saans mein yeh trishna.

mere pankh aakash ki taraf ude jaa rahe hain

band muthi ke juganu phir se chulbula rahe hain, 
mere pankh aakash ki taraf udde jaa rahe hain,

khwaabo ki duniya ajeeb basati hain aankhon mein,  

woh duniya haqikat mein bhi sama bana rahe hain,

yun to kayi baar aise pal aaye hain iss zindagi mein, 

par yeh pal ajeeb khushi sang laa rahe hain,

kashmash to dil mein hazaro hote hi hain, 

kuch kashamash kinaare chalate aa rahe hain.

daaman mein mere sambhaale naa sambhale, 

aisi khushi par pag badhate jaa rahe hain,

jhooma rahe julfein, jhoomata huwa pawan, 

maano meri khushi mein yeh lay bitha rahe hain.

phoolo ki mahak ho ya chidiyon ki chahak, 

dono hi sang mere meri khushi mana rahe hain.

dekho naa badal bhi mere sang khush ho kar, 

sang mere khushi ke aalap duhara rahe hain.

akela na pad jaaoon kahi iss khushi ke waqt, 

bunde mere sang kadam mila rahe hain.

andhera na ho mere raaste mein kahi, 

bijaliyan umad kar raasta dikha rahe hain.

kya kahe hum khushi khudki jubaani, 

har pehalu jo mere sang taal mila rahe hain.

All Time's Favourite Posts