Showing posts with label dil. Show all posts
Showing posts with label dil. Show all posts

maa-baap ki sewa hi sabse badi puja hai

pitah jeewan hai, sambal hai, shakti hai,
pitah shristi ke nirmaan ki abhi-bhyakti hai,

pitah ungli pakkde bacche ka sahara hai,
pitah kabhi kuch khatta, khabhi khhara hai,

pitah paalan hai, poshan hai, pariwaar ka anushaashan hai,
pitah dhaus se chalne wala prem ka prashasan hai,

pitah rooti hai, kappda hai, makkan hai,
pitah chhote se parindon ka bada aashmaan hai,

pitah niswarth annant pyaar hai,
pitah hai to bachhon ka intezaar hai,

pitah se hi bachhon ke dher saare sapne hain,
pitah hai to baazar ke sab khilone apne hain,

pitah se pariwaar mein pratipal raag hai,
pitah se hi maa ka bindi aur suhaag hai,

pitah parmatama ki jagat ke prati aashakti hai,
pitah grihasta aashram mein uccha sthiti ki bhakti hai,

pitah apne ichhaon ka hannan aur pariwaar ki purti hai,
pitah rakt mein diya hua sanskaaron ki murti hai,

pitah ek jeewan ko jeewan ka daan hai,
pitah duniyan dikhaane ka ehsaan hai,

pitah suraksha hai, sar par haath hai,
pitah nahi to bachpaan anaath hai,

to pitah se bada tum apna naam karo,
pitah ka apmaan nahi, unn par abhimaan karo,

kyuki maa-baap ki kami koi bant nahi sakta,
aur ishwar bhi inki aashishon ko kaat nahi sakta,

vishwa mein kisi bhi devi-devta ka sthaan duja hai,
maa-baap ki sewa hi sabse badi puja hai,

vishwa mein kisi bhi tirtha ki yaatraein byarth hai,
yadi beta ke haathon mein maa-baap ashmartha hai,

woh khushnaseeb hain jo maa-baap ke sath hote hain,
kyuki maa-baap ki aashishon ke hazaron haath hote hain.

tanhaaiyon ka shikaar aadmi

har taraf har jagah beshumaar aadmi,
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi.

subah se shaam tak bojh dhota hua,
apni hi laash ka khud mazaar aadmi.

har taraf bhaagte-daudte raashte,
har taraf aadmi ka shikaar aadmi.

roz jeeta hua, roz marta hua,
har naye din naya intezaar aadmi.

zindagi ka mukaddar safar dar safar,
aakhiri shaans tak bekaraar aadmi.

har taraf har jagah beshumaar aadmi,
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi.

har pal dhoondta raha main thikhana maut ka

har pal dhoondta raha main thikhana maut ka,
na jaane kab ho iss zindagi mein saamna maut ka,

woh jo muhje jeene ke liye kehte the kabhi,
unhein to kab ka mila gharana maut ka.

meri bebasi dekho..
ki gaa bhi sakta tarana maut ka.

unki de zindagi to aamant hai mere paas varna,
kab ka ho gaya hota samana mera aur maut ka.

ab to na marne ka haqdaar, na hi jeene ke kaabil,
zindagi boojh si baan chuki hai,

marne se pehle hi mar chuki hai,
ab kis muh se ja kar karoon saamna maut ka.

har pal dhoondta raha main thikhana maut ka,
na jaane kab ho iss zindagi mein samna maut ka.

gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba

aankhein michh kar soone se pehle,
jazbaat pighal kar roone se pehle,
jab aalfaz sinne mein dafan ho jaate hain,
tab yaadon se palkein bhigone se pehle,
aapke ashk se baatein karne lagta hoon,
tashveeron ko mana kar, unhi se ruth leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba !

bin mausam ki barsaat mein kabhi bheegne lagta hoon,
raat chaadar lapet kar thand ke maare jab kappne lagta hoon,
tab lagta hai jaise apna chaadar aap mujhe ordha rahe ho,
aur garm haathon ki narm ungliyon se mere baalon ko sehla rahe ho,
aapke hone ka ehsaas bhar se hi, har dard mein sukkun paa leta hoon baba,
yaadon ki chaadar ordhe har raat... aapko dhund leta hoon baba !

kisi raat sapnon mein puraane school pahuch jata hoon,
shaam dhalne par jab khil-khilate baccho ki toliyan nikalne lagti hai,
tab naa jaane dil ko kaisi aas bandh jaati hai,
meri nigaahein un cheharon mein kuch dhundane lag jaati hai,
dhundata hoon un haathon ko jinme jhaalmudi ki thayali hogi,
mera intezaar karti huyi, apni priya scooter kahi kadi hogi,
jispar sawar hone par ke khayaal se hi main jhoom leta hoon baba,
har nukkad, gali, chauraahe mein, aapko dhund leta hoon baba !

bheed mein akelapan ka ehsaas aapke bin hota hai,
jab kabhi bhi pariwaar mein kisi ka janam-din hota hai,
sabse chupte-chupaate koi tauffa le aaoge,
jo humse naa bujhi, woh mom-battiyan aap bujhaaoge,
bas yehi sochkar jaan bujhkar, aankhein mund leta hoon baba,
kabhi na khatam hone wale intezaar mein.. aapko dhund leta hoon baba !

woh aakhri pal nahi bhoolta mujhse kisi bhi haal mein,
aap zindagi ki door thaame ashpataal mein,
mujhse tab yeh kaha gaya ki kuch hi pal ab sesh bachi hai,
laga jaise khusiyon ki duniya ab dher ho chuki hai,
lekin maut ke farishton se chupte-chupaakar,
rakha tha aapne kuch saansein bachaakar,
aapki pairon ko apne hatheliyon se malte huye,
maine haathon mein aapke pairon ko jakkad rakha tha,
kuch naa keh kar bhi kitna kuch keh rakha tha.

aapse thi saari muskuraahat, aap khusiyon ke jahan the,
mere aanshu tab sukh chuke the, jab aap be-jubaan the,
ab to bas aapki tasveeron se baatein kar leta hoon,
dil kaagaz ban jaata hai, jispar dard apna likh deta hoon,
ussi dard ki dabbi huyi aawaz mein, likhe huye har alfaaz mein,
aapko dhund leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein..
aapko dhund leta hoon baba !

jaani pehchani si, ek khoobsurat yaad

kabhi aati hai khamoshi se, chupke se,
sargoshi se, andheri raat mein,

bheegi barsaat mein, kabhi veerane mein,
kabhi anjaane mein, kabhi mehfil mein,

kabhi tanhai mein, koi khabar kyun aati hai,
yeah waqt ke kis wajah se, kis ke liye,

kis ki khatir, kis ke liye,
kya batane, yeah kya hai?

ek ehsaas hai, ek pyaas hai,
phir bhi acchi lagti hai,

anjani si, baygani si,
pehchani si, ek khoobsurat yaad.

woh bhi kya din the jab bas khilone tutta karte the

woh bhi kya din the jab bas khilone tutta karte the,
girte the aanshu, par do pal ko rutha karte the.

khil-khila kar hansti thi khushiyaan,
alvida keh kar bhi kahan chhuta karte the.

baras ke sawan humein hansaya karta tha,
pyara sa bachpan hardum khushiya lutaya karta tha,

baba ke kandhon par baith dekhte the duniya,
sara zamana hum par sar jhukaya karta tha.

woh din woh bachpan bahut yaad aata hai,
woh zindagi phir jeene ko dil lalchaata hai.

sawal tujhse aye bhagwan aur niyati se bhi,
kyon itni jaldi ek baccha bada ho jata hai?

bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai

aapki kami khalti hai mujhe, yeh khaalipan tardpata hai,
bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai.

ab pata chalta hai ki.. yeh zimmedariyon ka bojh kitna bhaari hai,
khud se jyada apno ki khusiyan pyaari hai,

daurdne pardte hain kadam, pakadne ko zindagi ki raftaar,
aaj to gujar gaya jaise taise, kal bhi hai aane ko taiyaar.

aapki majbooriyon ka mujhe ab ehsaas hota hai,
duniya hoti hai matlabi, aur ghar ka har saksh khaas hota hai.

maa ke baad pita hi samajhta hai khamosi bachhon ki,
muskilon se bachane ke liye, pita himmat ki deewar hota hai.

har daat pe pyaar jo rahta hai, woh yaad bahut ab aata hai,
har beeta lammha ab to bas, aankhon mein aanshu laata hai.

tashveer basi hai dil mein jo, jeene ka hausla deti hai,
isse tarah se bas ab to, yeh waqt gujarta jata hai.

aapki kami khalti hai mujh mein, yeh khaalipan tardpata hai,
bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai.

Miss You Baba !!

baba.. aapko tahhe dil se sukariya

apne pitah ke kandhe mein baitha main,
jab unke kandhe par khada ho gaya,
maine kaha apne pitah se...
dekho baba, main tumse bada ho gaya.

baba ne tab kaha...
beta iss khubsurat galatfehmi mein bhale hi jakkade rahna,
lekin mera haath hamesa pakade rahna,

jis din yeh haath choot jaayega,
beta tera yeh hassin sapna tutt jaayega.

duniya vaastav mein itni haseen nahi hai,
dekh tere paau talle abhi zamin nahi hai,

main to baap hoon beta, bahut khush ho jaaunga,
jis din vaastav mein tu mujhse bada ho jaayega.

magar bete kahdhe par nahi,
jab tu zamin mein khada ho jaayega,
yeh baap tujhe apna sab kuch de jaayega,
aur tere kandhe par duniya se chala jaaunga.

pitah na ho to roti hain ziddhein,
khawaaishon ka dher hota hai,
pitah hai to hamesa bacchon ka dil sher hota hai.

iss matlab bhari duniya mein,
woh be-matlab ki kavitaon ka saar hai,
jinko apne sapnon ko chordkar,
bachhon ke sapnon se pyaar hai,

woh mere pitah mera pehla pyaar hai,
woh iss chhoti si duniya mein mere anant sansaar hai.

kandhon par jhullaaya, kandhon par ghumaaya,
uss pitah ki badolat hi, mera jeewan khubsurat ban paya hai.

kya kahun uss pitah ke baare mein,
jisne sochha nahi kabhi khud ke baare mein,
baba aapne mujhe zindagi bhar diya hai,
aapka tahhe dil se behad sukariya hai.


ek puraani album

 yaadon ki khidkiyon par baitha, beete kal ko jhakk raha tha,
aaj puraani almaari mein, zindagi talaash raha tha.

bhoole bishre geeton ko aaj nayi sargam milli,
dhool se sanni, kone mein padi, ek puraani album mili.

kaale safed liwaz mein lipti, guzare daur ki kahani thi,
shabd nahi the jisme koi, tasweeron ki jubaani thi.

meri muskurahat par the sab nishaar,
main khusiyon ka humsaya tha,
iss tasweer mein woh pal kaid hain,
jab main duniya mein aaya tha.

aankhon mein yaadein bhar aayi, dil tardpar rooya hai,
ek tasweer mein kisi ne budhi daadi ko sanjoya hai.

kahi holi ke rang kaid hain, kahi diwali ki raat hai,
kahi janamdin mana raha hoon main, jaise kal hi hi baat hai.

woh school ka pehla din ho, ya collage mein ki shaitaani,
tasweeron mein simat kar rah gaya, bachpan aur jawaani.

apni har baat kehne se pehle izzajat liya kerta tha,
yeh tasweer tab ki hai,  jab main office jaaya kerta tha.

ghumon se uljhe zindagi ki khuli tab takkdeer thi,
tumhein dekh kar pasand kiya tha, yehi to woh tasweer thi.

aage kuch tasweeron mein kaid, har ek pal hain sunahare,
tum paas mere baithi the, haathon mein the haath hamare.

kuch tasweeron mein aawaz kaid hai, dhol nagade, sehnaai ki,
woh pehla ghar humene liya, woh scooty pehli kamayi ki.

kuch tasweeron mein aanshu hain, jab behno ki bedaai ki,
chote bhaai ke sahare humare ghar mein bhi ek bahu aayi thi.

humsab ko chordkar baba, kyu ek din safed liwaz mein lipat gaye,
haar lagi sunahari frame mein, kyu tum jaa kar simat gaye.

tumhare bhaaiyon ne baba gaao ke ghar ko baat diya,
mere kamjoor haat na pahuch sake, photo itne upaar tang diya.

sabhi pariwaar waalon ne diya mujhe itna pyaar hai,
ab aankho mein dikhata mere tasweer ho jaane ka itnezaar hai,

raakh bankar rah jaauga, baha denge mujhe sangam mein,
tasweer bana dhool khaaunga, kisi purani album mein.

aise hain mere paa..

nariyal ko dekha hai na gaur se?
upar se sakkt, ander se kitna narm-mulayam,
ekdum malaayi sa, bilkul aise hain... mere paa.

maa ki tarah loori nahi sunaate,
meri aanshuon ko aachal nahi thamaate to kya?
anguli pakkad kar zindagi ke kathor dharatal par,
pehla kadam rakh chalna sikhate.. mere paa.

thokar khaa kar girne par
dard ko sehna sikhaate.. mere paa.

maa ki tarah parilok ki sair nahi karate,
duniya ki uchh-nichh bhi nahi samjhate to kya?
mere imhetaan mein mere sath raat bhar jaagte,
mere liye chaai banate.. mere paa.

mere behtar kal ke liye,
apna sunehara aaj kharch karte.. mere paa.

maa ki tarah gale nahi lagate,
meri yaad mein aanshu nahi bahate to kya?
chup-chaap mujhe niharate,
khaamosh nigaahon se sab kuch keh jaate.. mere paa.

mere jaane ke baad udaas akele 
mujhe mere kamare mein dhundate.. mere paa.

o maai - o maai...

ambar ki uchaai, dharti ki yeh gehraari,
tere hridaay mein samayi.. o maai - o maai.
tere mann amrit ka pyaala, yehi kaaba yehi shivaala,
teri mamta paawan-daayi, o maai - o maai.

hamesa tere sath hi rahoon, main bankar tera humjoli,
tere pas naa jaaun.. chip jaaun, yuh kehlun main aankh micholi,
pariyon ki kahani suna de, koi mithi loori gaa de,
kar de sapna sukhdaayi, o maai - o maai.

sansaar ke taane baane se ghabrata hai mann mera,
inn jhuthe rishton-naaton mein, bas pyaar hai tera hi saccha,
sab sukh-dukh mein dhal jaaye, teri baahein jo mil jaaye,
mil jaaye mujhe khudaayi, o maai - o maai.

phir koi shararat ho mujhse, naaraz karun phir tujhko,
phir gale pe thappi maar ke, shinne se laga le mujhko,
bachpan ki pyaas bujha de, apne haath se phir khila de,
pallu mein band mithai, o maai - o maai.

HAPPY MOTHER'S DAY...!!

guzre huye kal ki kitaab

apne guzre huye kal ki kitaab dekh raha hoon,
zindagi ke zulmon ke hisaab dekh raha hoon.

mujh ko jalaane tum bhi aaoge mere yaar..
sach kehte ho, ya main khwaab dekh raha hoon?

tere gham to seh liye, ab gairon ki baari hai,
aanshu pee chuka, sharaab dekh raha hoon.

aap kehte ho ke meri aankhein namm nahi,
main apne aayino mein sailaab dekh raha hoon.

nahi mujhko koi umeed unke aane ki,
bas youn hi raahon ko janaab dekh raha hoon.

jaane kis roz hum yeh baat samajh paayenge

jhoote sapne aankhon mein kab tak hum sajaayenge,
tut jaane par unke.. phir aanshu hum bahaayenge,

hain hum insaan, insaan hona khud mein ek sazaa,
jaane kis roz hum yeh baat samajh paayenge.

jeena humko hai khokle rivaazon ko nibhaate huye,
dharm-o-mazhab ke issi bandhan mein jeeye jaayenge,

hote jo pancchi, naa baandh paati sarhadein bhi humein,
hain jo insaan, bebas bin pankhon ke kahaan jaayenge?

reh jaayegi yeh zindaagi bhi ek samjhauta bankar,
jaan kar bhi hum kuch naa kar paayenge.

na jaane kitna tannha ho gaya hoon

pattharon ki basti mein jo kho gaya hoon,
isliye bejubaan sa ho gaya hoon.

dum nikalta hai sans lene se,
zindagi se pareshan ho gaya hoon.

ab to zakhmon ka bhi ehsas nahi,
na jaane kitna tannha ho gaya hoon.

sabra ummeedon se nahi hota,
main khud bhi ek dilasa ho gaya hoon.

nigah khamosh itni ho gayi hai,
unhein lagata hai jaise soo gaya hoon.

yun halaat ke hathon mein aaj,
main toota ek khilouna ho gaya hoon.

maine poocha kaise ho

maine poocha kaise ho,
badle ho ya waise ho?

roop wohi andaaz wohi,
ya phir iss mein koi kami,

hijr ka kuch ehsaas to hoga,
koi tumhare pass to hoga,

main bichrra yaha majboor tha,
kab manzoor mujhe tujhse doori tha

saath humara kab chhoota hai,
rooh ka rishta kab toota hai,

aankh se jo aanshu behte hain,
tum ko khabar hai kya kehte hain?

maine kaha aawaz tumhari,
aaj bhi hai humraaz hamari,

phool wafa ke khil jaayenge,
ek din phir hum mil jaayenge.

maun ka rishta

mere ander jaise kisi bhaw ne karwat badli,
aur ek rishte ka janam hua.. maun ka rishta.

dhero baate le kar aaya hai yah maun,
din raat.. charo pahar..
bas yah mujse batiyata rahta hai,

aye dost.. keh kar mere aaspaas,
yeh ghumta phirta hai..

meri ungli pakad kar yeh rishta aage badha,
aur ek bindu… sa jo nazar aata tha,

paas aate-aate saaf nazar aane laga,
aur ban gaya mera sathi,

jab maine usse mera veham kahta hoon,
mera yeh rishta, 
khil-khila kar hans deta hai.

usse apne gale lagate yehi kahti hoon..

raah jab kathhin ho,
manzil bhi door lagae..
aur andhera bhi gehra ho..

har woh raah par jaha-jaha tum chalo,
har pal har kadam par sath.. tumhare,
mujhe bhi paaoge tum…

chahaat ko raakh hote dekh li

mohabbat ki sab rangat dekh li,
dil tordne ke sab harkat dekh 
li,
cheen li dillse dadkan kuch iss tarah,
dard mein jalne ki aag dekh li.

askh chalkengein tumari yaad mein,
jazbaat machlenge.. tardapkar,
toot kar chaahat ke andaaz sanam,
aaj kaise marrenge.. raah dekh li.

pyaar mein kabhi palat kar bulate,
har gham yunhi apne seene mein
sab ki nazron se chuppa late,
aaj lut jaane ki nazaakat dekh li.

dukhaya hai iss kadar mann ko,
sazaa dey bhi saanam magar
jaante hain.. lahu mera hi bahega,
khanzar ki dhaar aaj humne dekh li.

uth gaya hai aitbaar jahaan se sathi,
mit gayin hain sari tamannayein,
kho jaayengi saari hasratein khakh mein,
chahaat ko raakh hote dekh li.

zakhamon ko naa kuredo.. hare ho jayenge

zakhamon ko naa kuredo.. hare ho jayenge,
mil jaayenge ghum aur woh bahut yaad aayenge,

kitne gehre hain zakham iss dil ke,
miloge jo humse to hum batayenge,

darr hai kahi yeh zakham nasoor na banjayein,
karde unhein jo be-asar woh marham kahan se layenge,

humdard nahi milta zamane mein koi,
saahil par hamein mile agar koi.. 
dard-e-dastaan sunayenge.

teri basti mein dil lagana mushkil tha

teri basti mein dil lagana mushkil tha,
tujhe apni duniya mein lana mushkil tha,
tujh bin mar jana aassan hi lagta mujhe,
tujh bin tannha rehna mushkil tha.

tujh bin wapas aate bhi kaise yaadon ko liye,
yaadon ke kanto ko sath le ke chalna mushkil tha,
ashkon ke kuye se nikal to jaate,
honton pe hansi ki aag lagana mushkil tha.

har afsana teri adaaon pe hi likhte apne lahu se,
khanzaron se dastan likh paana mushkil tha,

hum phir bhi jeete hai sanse kabra mein dafna,
par apna “saccha pyar” dafan kar jaana mushkil tha.

dard ban, sholon mein pighalta raha hoon main

zindagi teri agnipath pe chalta raha hoon main,
tere nokhile teeron se lardta raha hoon main,

dost-dost nahi to kya, apne-apne nahi to kya?
saaya bhi mera saath nibhaaye nahi to kya?

insaaniyat ka dum hi, bharta raha hoon main,
meri manzil ek diye se dikhaayi deti hai,

raat mein raushan subah dikhaayi deti hai,
har imtehaan mein aag sa, bardhta raha hoon main.

mere dil tak pahunch kar, woh mujhse ruutha,
usko nahin pata ki mujhmein kya-kya hai tuuta,
dard ban, sholon mein pighalta raha hoon main,

dariya nahin, pyasa dil, ek katra chahta hai,
mujh mein bhi hai koi, jo jeena chaahta hai,
yeh kya ki ashkon ka jashn karta raha hoon main.

uske mandir se na karna mehroom mujhe,
dekho har roz ek naya sadma dena tum mujhe,
har aas ladh-khadaayi, par nikharta raha hoon main.

All Time's Favourite Posts