Showing posts with label wada. Show all posts
Showing posts with label wada. Show all posts

maa-baap ki sewa hi sabse badi puja hai

pitah jeewan hai, sambal hai, shakti hai,
pitah shristi ke nirmaan ki abhi-bhyakti hai,

pitah ungli pakkde bacche ka sahara hai,
pitah kabhi kuch khatta, khabhi khhara hai,

pitah paalan hai, poshan hai, pariwaar ka anushaashan hai,
pitah dhaus se chalne wala prem ka prashasan hai,

pitah rooti hai, kappda hai, makkan hai,
pitah chhote se parindon ka bada aashmaan hai,

pitah niswarth annant pyaar hai,
pitah hai to bachhon ka intezaar hai,

pitah se hi bachhon ke dher saare sapne hain,
pitah hai to baazar ke sab khilone apne hain,

pitah se pariwaar mein pratipal raag hai,
pitah se hi maa ka bindi aur suhaag hai,

pitah parmatama ki jagat ke prati aashakti hai,
pitah grihasta aashram mein uccha sthiti ki bhakti hai,

pitah apne ichhaon ka hannan aur pariwaar ki purti hai,
pitah rakt mein diya hua sanskaaron ki murti hai,

pitah ek jeewan ko jeewan ka daan hai,
pitah duniyan dikhaane ka ehsaan hai,

pitah suraksha hai, sar par haath hai,
pitah nahi to bachpaan anaath hai,

to pitah se bada tum apna naam karo,
pitah ka apmaan nahi, unn par abhimaan karo,

kyuki maa-baap ki kami koi bant nahi sakta,
aur ishwar bhi inki aashishon ko kaat nahi sakta,

vishwa mein kisi bhi devi-devta ka sthaan duja hai,
maa-baap ki sewa hi sabse badi puja hai,

vishwa mein kisi bhi tirtha ki yaatraein byarth hai,
yadi beta ke haathon mein maa-baap ashmartha hai,

woh khushnaseeb hain jo maa-baap ke sath hote hain,
kyuki maa-baap ki aashishon ke hazaron haath hote hain.

koi haar kar jeet jata hai, kisi ki jeet kar bhi haar hoti hai

kahin kisi par har taraf se gulon ki bauchhaar hoti hai, 
kahin kisi ki zindagi ke har pehalu mein haar hoti hai.

ajab riwaz hai teri duniya ka aye ashman waale, 
koi haar kar jeet jata hai, kisi ki jeet kar bhi haar hoti hai. 

har ek insaan apne sath liye phirta hai koi-na-koi zakham, 
koi marrta hai talwar se, kahin nigah dil ke paar hoti hai. 

har kisi ko raas nahi aate mausam baharan ke, 
aise bhi phool hain jo murjate hain jab bahar hoti hai.

barson ki chahat ko ek pal mein badalte dekha humne

barson ki chahat ko ek pal mein badalte dekha humne,
toot kar chahne waalon ko baat se mukarte dekha humne.

naaz karte the jo apni wafaon par,
unhi ko bewafai karte dekha humne.

kaise saja lein sapne apni udaas aankhon mein,
har khawab ko toot kar bikharte dekha humne.

karte the jo waade hamesha saath chalne ki,

phir unhi ko raasta badalte dekha humne.

waade pe aapne jab woh mukkar gaye

waade pe aapne yaaron, jab woh mukkar gaye,
lakhon hi zakhm mere, dil mein ubhar gaye,

jinpe tha humko khud se badhkar yakeen kabhi,
khanjar woh banke yaaron, dil mein uttar gaye,

bhaale lakh bachte yaaron, hona tha yeh magar,
gham peeche hi chale hai humare, hum jidhar gaye,

aauron ko chord jisne bhi, khud pe kiya yakeen,
mere khayal se woh, sab hi sawar gaye,

jo dusron ke ghamnon ko, samet-te rahe sada,
"raaj" jaise log yaaron, yun hi bhikar gaye.

aye dil-e-nadan, tu ek din yeh bhi samjh jaayega

jheel mein hota hai bas behta paani,
har koi ismein beh jaayega.

duniya ke rang hain kitne, tu kab samjh paayega,
jheel ka behta hua paani mein, sab kuch sama jaayega,

woh pal jiska intezaar hai, woh bhi aayega,
magar afsoos.. pani ki tarha nikal jaayega,

insaan ki zindagi mein khushi to ek din aayega,
suraj hai pyaasa bahot, sab pe jaayega,

jheel ki khubsurti dekh kar, har kisi ka dil machlega,
dhokhebazo ki duniya mein, har koi naya rang dikhlayega,

anshoon ki jheel bethe rahti hai yaha,
isse koi nahi chhutkara paayega,

dard badega mere dost.. bohat badega,
magar fitrat insaan ka, ye
h sab seh jaayega,

phir shaam ki wahi manzer, phir wahi tannhai,
sahil ke kinare yeh nishan chord jaayega,

pani ki leharon se yeh sab kuch mit jaayega,
tu ek bar phir mere dost.. khushi ki geet gaayega,

agar mil gayi phir gham-e-tanhai mere uss dost ko,
har jeewan apna yuh ro ro ke naya dariya bahayega,

ek bar phir waqt guzar jaayega, yaadein chord jaayega,
sahil ke iss kinaare, woh akela rah jaayega,

paane se jada, khone se hoti hai kadar,
aye dil-e-nadan, tu ek din yeh bhi samjh jaayega.

jeewan ke iss safar mein, kaun haara hai kaun jeeta,
yehi soch kar woh leharon ke shoor se mar jaayega,

insaan soch ka mohtaj hai, sochta reh jaayega,
sahil par ghar banayega to lehar ke sath mit jaayega,

dukh ke iss rang se insaan miti mein mil jaayega,
phool chard kar shardhanjali dega, phir turant bhool jaayega,

subah mein dariya ke chamkte taaron se bhi hasseen hai zindagi,
par maslah hai yeh paani taza hai bohat, sab kuch nikal jaayega. 

tannha-tannha hi zindagi mein kuch pane ki koshish karte hain

aankhon ke aanshoon ke sath muskarane ki koshish karte hain,
ghumon mein doob kar khud ko behlane ki koshish karte hain,

dukhon ke sath-sath chalte hue iss zindagi ki raah mein,
har waqt, har pal khushi ke geet gane ki koshish karte hain,

zindagi dubi hai meri nakamiyon ke andhere mein,
tannha lardte hue halat se, deep jalane ki koshish karte hain,

koi sath nahi deta, tannhai hi mukaddar ban gayi,
tannha-tannha hi zindagi mein kuch pane ki koshish karte hain.

nigaah bebas rahi aur woh aane se pehle laut gaye

nigaah bebas rahi, aur woh aane se pehle laut gaye,
yeh kya sitam hua, jo ghum jaane se pehle laut gaye,

sholon mein sulagte rahe, dard mein bilakhte rahe,
har baar yeh mausam, aag bujhane se pehle laut gaye,

mauhtaaj nahi khushiyon ke, naa hi parwah hai zindagi ki,
ke ab to humara naseeb khud humein apnaane se pehley laut gaya.

tera to sirf ek nishaan baaki hai dil mein humare,
haan yeh bhi hua hai, ke koi usse mitane se pehle laut gaya.
nigaah bebas rahi, aur woh aane se pehle laut gaye,
yeh kya sitam hua, jo ghum jaane se pehle laut gaye.


kisi din gar aisa ho

mere priye.. 
mere antarman mein jagah paane wale,
mere har ehsaas ko janne wale,

jab kahi..
duniya se be-jaar ho jaao,
aur rone ka man kare,
mere paas aa jana!

wada to nahi tumhein hasane ka,
par itna to jaroor karoonga,
tum sang ussi tarah ro doonga.

phir kisi din..
tum iss be-zaar zindagi se bhaagna chaho.
bina jhijhak, mujhe bulana jaroor!

main tumse wada to nahi kerta
ki tumhein main rok sakoon,
par itna wada jaroor kerta hoon,
ki tum sang bhaag chaloonga.

khuda na kare..
koi aisa waqt aaye,
tumhein koi sunna na chahe,
to iss shaks ko pukaar lena.

main tumse wada kerta hoon
main bilkul chup rahoonga,

lekin mere dost, mere dard ke sahil,
kisi din gar aisa ho..

tum mujhe pukaaro.
aur koi jawaab na aaye,
to jaldi chale aana,

shayad mujhe tumhaari jaroorat ho,
shayad mujhe tumhaari jaroorat ho.

tannha dil aur tannha hai safar

tannha dil aur tannha hai safar,
na kisi ko meri fikrr na meri kadar,


chal raha hoon gumnaam rahon par,
tannha dil aur tannha hai safar.

preshan hoon duniya ke rang dekh kar,
rula jaate hai sabhi mujhe,
 jaate hain hass kar,

na meri koi manzil, sirf andheri dagar,
tannha dil aur tannha hai safar.

tapp raha hoon, ajeeb yeh tapish hai magar,
naa jal jata hoon, na mit-ta hoon jaakar,

zindagi bhar sulagte rahna hai sahyed mera mukadar,
tannha dil aur tannha hai safar,

thoda dard, thodi hairaani, thodi tanhaai aur meri kahaani

yeh duuriyaan, khaamoshiyaan, berukhi, madhoshiyaan,
yeh bhi kuch andaaz hain meri chaahat ke.

thoda dard, thodi hairaani, thodi tanhaai aur meri kahaani,
yeh bhi kuchh pehlu hain meri muskurahat ke.

kaun in kitaabon ko padh ker kaabil ho jaayega,
kaun apni manzil per jaa ker manzil ho jaayega.

halaat ki lehron se dat ker lardna hi hai zindagi,
kaun in lehron se lard kar saahil ho jaayega.

thoda sa jhuth, thoda aadarsh, thoda aasmaan, thoda farsh,
yeh bhi kuch pehlu hain insaan ki banaawat ke.
thoda dard, thodi hairaani, thodi tanhaai aur meri kahaani,
yeh bhi kuch pehlu hain meri muskurahat ke.

itne nazaaron mein bhi yeh nazar tannha,
insaan ho gaya hai iss kadar tannha,

mitti ke chehre bas aks hi hain yaaron,
tay kerna hai sabko yeh safar tannha.

thodi jannat, thode apne, thodi si maang, thode sapne,
yeh bhi kuch pehlu hain khuda ki ibaadat ke.
thoda dard, thodi hairaani, thodi tanhaai aur meri kahaani,
yeh bhi kuch pehlu hain meri muskurahat ke.

khud se ek wadaa kar loon

socha khud se ek iradaa kar loon,
jo pura kar saku, khud se ek wadaa kar loon,
na rounga ab aur na ashk bhi koi bahaunga,
iss tarah khushi sang koi naata kar loon.

bhula doon ab se woh yaadein purani,
jinhein yaad kar aankh mein sirf aata hai paani,
likhe hue un khato ko bhi mein jalaa doon,
socha khud ko ek aakhiri mein sazaa doon.

ho jaauon khamosh odh kar phir kafan,
na uthuu phir kisi ki bhi aawaaz se main,
hai phir bhi aakhiri aarzoo ek dil mein
ki arthi uthe aur dekh le phir gaur se,

ki keh doon unhein woh alfaaz saare,
ki reh gaye hain kuch saaz mere adhure,
choom loon unhein, phir na rahoon kuch bhi main
ki unke bahon mein aakhiri phir saans loon main.

aag bistar hai aur main jalta hoon

raat bhar karvatein badalta hoon,
aag bistar hai aur main jalta hoon.

hukum unka hai mujh se mil tannha,
zid hai saaye ke saath chalta hoon.

mere haathon mein haath the unke,
chhord gaye haath, ab haath malta hoon.

dugni raunak hai unki mehfil ki,
shaamein jalti hain, main bhi jalta hoon.
aag bistar hai aur main jalta hoon.

zindagi ka pata nahi maalum

zindagi ka pata nahi maalum,
kuch bhi to tere siva nahi maalum,
jisne baksha hai dard, usko bhi..
dard-e-dil ki dawaa nahi maalum.

dhire hi sahi usne kuch kaha to tha,
hothon par koi baat aayi to thi,
zor-e-lab usne kuch kaha to tha,
bad-duaa thi ya duaa, nahi maalum.

us se jo bhi mili sazaa, seh liya..
humko apni khata nahi maalum,
raat phir neend meri khul gayi,
thi woh kiski sadaa nahi maalum.

jaan dena hi humko aata hai,
ishq ka falsafa nahi maalum,
zindagi ka pata nahi maalum,
kuch bhi to tere siva nahi maalum. 

aao wapis ghar jaaye

iss se pehle ki shaam ho jaaye
aur tu binn wajeh badnaam ho 
jaaye,

aao wapis ghar jaayein
aur gaaon ke bahar choraahe se
hum apne apne daggar 
jaaye,

phir itfaaq se kabhi zindagi ke safar par
jab hum tum apni apni rah par
humare raaste ek duje se takra 
jaaye,

to binn pehchane ek dusre ko
ban ke ajnabi hum gujar 
jaaye,

chaahe to aaj door bhi hum jaa sakte hain,
aur ek duniya nayi hum basaa sakte hain,

lekin woh jo dekh ke hum ko jeete hain,
aur jin ko chord ke hum chale hain,

unko bhi muh dikhana hai samaaj ko,
waqt badalta hai yeh mujh ko hai yakin,
lekin bebas aur majboor hain pyaar aaj to,

iss se pehle ki shaam ho jaaye,
aao wapis ghar 
jaaye.

zindagi tune mujhe kaha lakke chord diya

waqt beraham ho to apne bhi nahi milte,
sukhe perdon ko parinde bhi nahi milte,
zindagi tune mujhe kaha lakke chord diya,
jahan sunne ko ab wo latife bhi nahi milte..

tu apne kasme waade se mukar gayi lekin

pyar mein jeena pyar me marna,
yahi humne dost shikha hai,
tere liya naye shal ka tohpha bheja hai,


tere pyar mein humne sara jag thukaraya hai,
phir bhi maine kadam -kadam par tujhse dhokha khaya hai,

tu apne kasme waade se mukar gayi lekin,
humne to veerane mein yeh naya saal manaya hai,

duniya kya aab mera inshaap karegi,
meri maut hi mujhse wafa karegi,


bahut bardi -bardi kashmein khayi thi tune,
ab to meri tannhai hi hamesa mere pas rahegi.

waqt ke sath wo bhi badal gayi

teri intezaar mein humne naiyna bichaye rakhe tha,
shaam dhal gayi magar darwaza khulla rakha tha,

chiragon ko bujhne na diya humne kabhi,
unki rahon ko roushan sada rakha tha,

loog kehte hain waqt ke sath wo bhi badal gayi,
meri nazron mein tasveer thi uski,
humne waqt pe nazar kaha rakha tha.

kabhi kabhi

yaad tujhko ab bhi meri aati to hogi kabhi kabhi,
woh hawa ehsaas mera laati to hogi kabhi kabhi,

muskurati hogi tu bhi kabhi yaad kar woh lamhein,
aur yehi yaad palkon ko bhigaati to hogi kabh kabhi,

din hota tha sang mere, raat mein bhi sang main tha,
aankh teri ab bhi sapne mere sajaati to hogi kabhi kabhi,

aankhon hi aankhon mein kar lee kitni thi humne baatein,
doori in aankhon ki tujhko bhi sataati to hogi kabhi kabhi,

saansein meri mehakti hain tere pyaar ki khushboo se aaj bhi,
yaad meri ehsaas dil mein khaas jagaati to hogi kabhi kabhi.

zindagi tu bhi ajeeb hai

zindagi tu bhi ajeeb hai,
kabhi hassaye humein kabhi rulati hai,
kabhi lagti hai tu bahut door,
kabhi lagti tu kareeb hai!

kabhi khwabo ki duniya lagti hai,
kabhi lagti tu parchai si,
kabhi lagti to bemaani si,
kabhi lagti tujh mein geharai si!

kabhi humko tu satati hai,
kabhi aankhon mein ashk bhi laati hai,
kabhi khushiyo se daman bhar jati hai,
kabhi dard se humein milwati hai!

tu dard to humko deti hai,
pyar karna bhi sikhlati hai,
jab maut k pas chord jati,
teri kami humein satati hai!

kabhi lagti tu ek dhoka hai,
kabhi lagti tu naseeb hai,
koi samajh na paya ab tak,
zindagi tu bhi ajeeb hai!


zindagi aye zindagi

jeete rahne ki sazaa de,
zindagi aye zindagi,
ab to marane ki duaa de,
zindagi aye zindagi,

main to ab ubb gaya hun,
kya yahi hai kaayanaat?
bas ye aainaa hataa de,
zindagi aye zindagi,

dhundane nikala tha tujh ko,
or khud ko kho diya,
tu hi ab mera pata de,
zindagi aye zindagi,

mujhe ehasaas ki iss kaid se kar de rihaa,
warnaa diwaana banaa de,
zindagi aye zindagi.

All Time's Favourite Posts