Showing posts with label murda. Show all posts
Showing posts with label murda. Show all posts

ek aas lagaye baitha tha

ek roz musafir bhatka tha,
tanha tha udaas tha,
ek aas lagaye baitha tha.

na jaane aankhon se kitne,
sailaab bahaaye baitha tha.

uske haath mein kismat ki lakeerein hi na thi,
bas shayad, takdeer ke khayaal se hi,
jaan churaaye baitha tha.

kisi soch mein shayad gum tha woh,
bas tardapti chahon mein
maut ka intezar liye baitha tha.

main insaan hoon

kabhi iss dharti par
mera hi raajya hua karta tha,
har shakhs sukhi tha jahan,
aisa ek samraajya hua karta tha.

naa koi jaat-paat tha,
naa hi koi dharm-mazhab tha,
uss sundar-si duniya ka
to har drishya hi gazab tha.

naa rajniti thi,
naa bhrastachar hi tha.
sab swakch sochte the,
kahi koi ku-wichar naa tha.

naa dikhte the kahi par,
saje-dhaje nange,
aur naa hi hote the,
kahi koi dange.

par ab dharti se,
mera wilop ho chuka hai,
sare manavi mulyon ka,
ab khatma ho chuka hai.

main koi aur nahi,
balki insaan hoon,
par ab main main naa raha,
ban chuka main haiwan hoon.

kafan na mile to apna dupatta urdha dena

dil to tord diya mera ab chitta bhi jalaa dena,
kafan na mile to apna dupatta urdha dena,

koi puche rog kya tha kaise huyi maut meri,
bas nazar jhuka kar apna naam bata dena,

samajhne waalon ke yeh ishaara bahut hoga,
koi na koi in mein tujhe sahara jaroor dega,

sahara agar na mile to tum bas itna hi karna,
thoda si raakh meri apne saath hamesa rakhna.

yeh mera aakhri salaam..

paali khushiyan tune mera dil jala kar,
bol kya tu jee sakegi mujhe bhula kar?

tu khush reh har pal,
teri khushion ke liye mujhe gham se bhi pyaar hai
bata ek pal ke liye bhi kya tujhe mera intezaar hai?

apna ujjda ashiyana..
iss baat ka mujhe gila nahi,
main kya gila karun,
tujhe dusra koi mila nahi,

meri barbaadiyon par tune,
lakhon khushiyan manayi,
bata zindagi mein phir,
tu kitni muskurayi?

tu khush rehna sadaa.. yeh meri dua hai,
teri har khushi ke peeche meri hi sadaa hai,

kar gayi tu mujhse bewafai yeh mera naseeb hai,
magar khush rakhna tu usse jo tere dil ke kareeb hai,

yeh mera mukkaddar nahi ki,
paa sakoon mein zamaane se mohabbat,
khatam hogayi aaj duniya ko meri zaroorat,

aaj main jaa raha hoon duniya se,
mohabbat ko zindagi dene ke liye,
bujha raha hoon main apna chiraag,
zamaane ko roshni dene ke liye.

na samjh tha main ki har ek se aitbaar kiya,
jisne bhi mujhse muskuraake baatein ki usse pyaar kiya,

ab jaa raha hoon main duniya se haath chord kar,
arzoo hai yaad karna tum humein kabhi bhool kar,

khushiyan mubarak ho tumhein,
apna to yahi paigaam hai,


tumko aur saare zamaane ko,
yeh mera aakhri salaam hai..

mujhe bhool jaao tum

mujhe bhool jaao tum ab yehi khuda ki marzi hai,
wafa na kar sake to dosti ka pyar kafi hai,

ek pal mein bichard jaane se accha doori manjur hai,
is dil ke khel mein roz roz marne se ek pal ki judaai kafi hai,

aur nahi aayenge hum aapke raahon mein yeh dard hi kafi hai,
dil hi dil mein roye aur dard-e-tannhai iss dil mein kafi hai,

mujhe bhool jaao tum ab yeh kudrat ki marzi hai,
meri maut ke baad meri yaadein na sataye tumhein yeh ehsaas kafi hai.

aakhiri khawaish

ab bina gum ke zindagi ka guzara nahi hota,
ek khushi ke kareeb jaane se dar lagta hai,

aisi aadat huyi hai dil ko ab tannhai ki,
mehfil mein baat sunane se dar lagta hai,

sehmi aankhon mein neend sammet lene do,
inmein sukoon samaane se dar lagta hai,

dhokha khane ka yeh dil hai iss kadar kayal,
ek wada bhi nibhaane se ab dar lagta hai,

mujhe nafrat bhari aandhi ki jarurat doston,
mohabbat ko ab apnane se dar lagta hai.

koi taiyar karo saaz-o-saaman meri  arthi ka,
ab ye jehmat bhi utane se dar lagta hai.

aakhiri khawaish yahi ki dhardkane yeh tham jaye,
ab to saans liye jane se bhi dar lagta hai.

door jaane ka waqt hai aaya

aaj dosto se juda ho raha hoon,
jaane kyu itna udaas ho raha hoon,
kal ka suraj hoga tumhare saath,
humein na paaoge tum aapne saath.

aaj dosto se juda ho raha hoon,
kuch baatein tumse kahne aaya hoon,
kuch na kahe paun mein aaj ki raat,
humein na dekhoge tum aapne saath.

humara chehra na ab tum dekh paoogi,
sab ke nazaro se door ho jaaunga,
dil mein aapne yaadein chord jaauga,
sab ko aapne dil mein chhupa jaauga.

aaj dosto se juda ho raha hoon,
yaadon ki tasveer le jaa raha hoon,
dard akele dil mein sah raha hoon,
beetein lamhein liye jaa raha hoon.

aaj main sab se juda ho raha hoon,
phir tumse bichardne ka waqt aaya,
door jaane ka waqt paas aaya,
maut ne humein jeena sikhaya,
dard mein bhi sahana sikhaya


tum se juda hue the hum jis mord par

december ka ehsaas in sard hawaon mein hai,
mere aanshuon ki garmi phir in fizaon mein hai,

yaad hai mujhe woh baraste barish ki raatein,
kitni kasak un yaadon ki sadaon mein hai,

kuch nahi badla, bas mausam badlate rahe,
ab bhi tera intezaar basa, meri wafaon mein hai,

adhuri mohabbat hai meri tere bagair yahaan,
na jism mein jaan, na shokhi in adaon mein hai,

tum se juda hue the hum jis mord par kabhi,
uth-te mere haath aaj bhi wahi duaon mein hai.

kitna kuch diya hai teri bewafai ne

teri wafa mili hoti to sirf wafa mili hoti,
intezaar... zakhm... aanshu... tanhai...
kitna kuch diya hai teri bewafai ne.

tum mil gaye hote to sirf tum mile hote,
veeranapan... andhera... tuta hua ek dil...
kitna kuch diya hai teri judaai ne.

tumse agar guftugu hoti to sirf guftugu hoti,
naam... shorat... izzat... mehfil-e-gam...
bakshi hain meri dard bhari shayari ne.

murde parde jazbaat ko aakhir jagaye kaun

roothe huye ho khud se ya humse se ya zamane se,
pehle yeh faisla karo tumko manaye kaun,

aashu hai, dard hai har taraf, tannhai hai,
teri mehfil tujhe mubarak, aisi mehfil mein aaye kaun,

soya hua ho dil to jagana bhi ho mumkin,
murde parde jazbaat ko aakhir jagaye kaun,

har waqt mitha bole, woh khubiyan hai kisme,
kabhi mitha, kabhi kadwa ab unko samjaye kaun.

aakhir kya hai parmanu parikshan

charon aur phaili si kyon ashanti hai?
dhuan kyon aaj uth raha hai?

kya hua tha bahattar saal pahle?
kyon japan ke log rahte hain sehme sahme?

pahle to nishashtra ka shor macha,
lekin phir bhi bamon ka dhamaka hua,

mare gaye kyon itne log, kya tha inka dosh?
sirf ek parmanu ke piche manav kho raha apne hosh,

main poochun kya manav ke liye parmanu parikchan jaruri tha?
nahi, yah to america ka unchaa uthne ka hord hi tha.

maatam kyon chaya tha japan mein hi?
yaaron! parmanu parikchan hua bhi to japan mein hi.

maut ka tandav ho raha hai aaj manav jaati par,
parmanu yug aaj nacha raha hai manav jati ko apne hathon par,

sirf ek khilouna bankar rah gaya hai aaj manav,
jisko khata ja raha hai, parmanu bam bankar danav,

kyon insaan kho raha apni insaaniyat ko?
kyon apne mein utar raha haiwaniyat ko?

kyon hota hai shanti sammelan?
kyon khate hain yeh waqt ki belan?

aakhir kya hai parmanu parikshan,
jiska hota hai har waqt nirikshan..

toote khwab hain

hum dard bhare nigaha se unko doondte rahe,
woh na samjh the, humse door jaane lage,

dard zakhm bankar uttar gaye mere dil mein,
toot gaye khwab, bikar gaye aarman mere dil ke,

shiddat se hum unse mohabbat karte rahe,
woh humein unke dil se hadd-e-nazar karte rahe

khair dekhi hai humne unki mohabbat,
dekhi hai humne unka aithbaar,

na sikwa karenge unse na gilla karenge,
mohabbat ke rahon mein hum kurbaan ho jaayenge,

chahe jord do mere toote dil ke tukade,
ya pehenao humare pairo par zanjeer,

aur kya kar paayenge aap humare liye,
toote khwab hain, bangaye ho ghair humare liye,

ek guzarish karte rahe hum aapse,
yaadein sataye na meri maut ki khabar se.

All Time's Favourite Posts