Showing posts with label mahakaal. Show all posts
Showing posts with label mahakaal. Show all posts

iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai

jarre-jarre mein basta hai woh, uski yehi pehchaan hai, 
iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai.

din mein suraj, raaton mein jo chaand bankar hai chamkta, 

jo hai hawaaob mein charo dishao mein, jo chalata garidh-e-aam hai,
iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai. 

uski ibbadat mein hai kasish anokhi, jo aaya uska ho gaya, 
jo rakhta hai humein apne dil mein,
uske kadamon mein hamara makaam hai, 
iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai.

apne bando par reham hai karta, har mushkil hamari door woh karta, 

har marz uske naam se door ho, woh iss shristi ka sanchalak hai, 
iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai.

sirf woh hi iss duniya mein, tera usse rakh, 
har khushi tujhe bakhshega woh hi, aman aur khushhali jiska paigaam hai,
iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai.

jarre-jarre mein basta hai woh, uski yehi pehchaan hai, 
iss duniya mein sabse uncha, sirf mahadev ka naam hai.

Jail Mahakaal!

jinke dar par saare grah aaker dete hain dastak,
jinke aage kaal-kapaal bhi ho jaate hain nat mastak,

jinki jatta lehraane pe nadiyan apna rukh badalne lagti hai,
jinki ek hunkaar se sar sar hawayein chalne lagti hai,

woh umma-pati, kailash pati, woh mahadev, mahagyani hain,
shiv-shankar, shambhu-tripurari, bholanath prabhu, tri-netradhari hain,

dharti ambar bhi tharke jab woh tandav rudra-rup mein aate hain,
woh ardhanareshwar, woh bhasmadhari baba, mahakaal kehlate hain.

bhole ke deewane

yeh jeevan ek moh ka jaal hai, 
is se paar tu pa jayega, 

bas bhole ke rang mein rang ja deewane, 
bhole ke sath ko tu pa jayega, 

bhole ki bhakti dil se kari to, 
kaal ko bhi maat tu de jayega, 

aree mahadev ka bhakt hai tu pagle, 
kaal bhi tujhse ghabrayega. 

Jai mahakaal !!

jag hain yeh dushit, pag tere paavan

palke hain bheegi. chalke hain saawan,
jag hain yeh dushit, pag tere paavan.

keechad zameen par thoda sa jal hain,
kitne hain kaantein, thode kamal hain.

teri kripa se mehkenge kan kan,
jag hai yeh dooshit, pag tere paavan.

shamshaan bhumi, har ek nagar hain,
har ek path pe vish ke bhanwar hain.

apne madhu-ras se bhardo yeh aangan,
jag hain yeh dushit, pag tere paavan.

sneh ki jheelein sukhi padi hain,
paap ka saagar, dukh ki nadiyaan.

pyaase jagat pe, barsado saawan,
jag hai yeh dooshit, pag tere paavan.

mahadev ka naam jap japaunga

na punya hoon na paap hoon main,
andekha sa koi shrrap hoon main,

mujhe dar nahi hai mantro ka,
ha khudmein hi maha jaap 
hoon main,

na andhiya na tunfaan hai,
mujhmein kaha koi jaan hai,
main koyala ki khaanon mein
hoon palla bardha,
meri khud nahi koi pechaan hai.

tantra tana...yag jalana
hai kaam mera bas yahi,
rakh mein hoon lipta hua,
bhutaal meri naam sahi.

mahadev aur mahakaal ka,
main naam jap japaunga,
mujhe swarg ka koi moh nahi,
mahadev ke naam se main
yahi swarg banaunga.

neelkanta shiv harre

kaal mein, karaal mein… harre harre shiv harre,
samay ki tez chaal mein... 
harre harre shiv harre, 

pandavon ke dheer mein… neelkanta shiv harre,
karn daanveer mein… neelkant shiv harre,

kauravon ki bheerd mein… aadi dev shankarre,
bheem shourya veer mein… aadi dev shankarre,

aadi aur anth mein... basse basse ji shiv basse,
lekh aur granth mein… basse basse ji shiv basse,

harre harre shiv harre, aadi dev shankarre,
harre harre jo dukh harre… neelkant shiv harre.

tera deedaar karne ki hai ek hasrat baaki

tammana kuch haasil karne ki nahi hai baaki,
hasrat ek hi jo bachi hai baaki,
woh tera deedaar karne ki hai baaki,

aye bhole, hey shiv...
tu hota to hai ru-b-ru harr waqt sabke,
phirr bhi nazar se tu pehchaan mein aata nahi hai,

bas tujhe pehchaan sakoon,
wohi ek nighaah ko paanna hai baaki.

hey shiv shankar shambhu tripurari bholenath prabhu

jinke daar par saare grah aakar dete hain dastak,
jine aage kaal-kapal bhi ho jaate hain natt-mastak,

jinki jatta lehraane pe nadiyan apna rukh badalne lagti hai,
jinki ek hunnkaar se sar-sar hawayein chalne lagti hai,

woh umma-pati.. kailash-pati, woh mahadev maha gyaani hai,
shiv.. shankar.. shambhu.. tripurari.. bholenath prabhu, tri-netra dhari hai,

dharti ambaar bhi tharrati jab woh taandav rudra rup mein aate hain,
woh ardhanaariswar woh bhasmdhaari baba mahakaal kehlate hain.

mahakaal ka main naam japun

na punya hoon, na paap hoon main,
andekha sa koi shap hoon main,
mujhe dar nahi hai mantro ka,
ha khud mein hi maha jaap hoon main.

na andhiya na tunfaan hai,
mujh mein kahan koi jaan hai,
main pathrili ghati mein hoon palah,
meri khud nahi koi pechan hai.

tantra tana... yag jalana,
ha kaam mera bas yahi,
rakh mein hoon lipta hua.

bhu-tal mere naam sahi,
mahadev aur mahakaal ka
main naam jap japaunga..
mujhe swarg ka koi moh nahi...
mahadev ke naam se main
yehi swarg banaunga...

jai mahakaal

aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai, 
somya hai utna hi, woh jitna ki vikraal hai.

sish jatta-jut se prasphoothit hai gangotri,
lep hai bhasm ka aur vastra hai digambri, 

aur aabhusano ke naam pe bas saapon ka jaal hai, 
aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai.

kailash pe aashin jo, nishchal aur achal, 
lok hai jiska kahi, himgiri sam atal, 
patr ke roop mein sushojit kapaal hai, 
aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai.

khojte manik sabhi jab manthan ki loot mein,
yogi sara pee gaye, vish ek hi ghhut mein,
kant neelkant woh, chandra sushobhit bhal hai, 

aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai.

damru ki dhun mein mast, ganga ki dhar le,
jise sab tyaag de, usko bhi sweekar le, 
bhola hriday jiska, par nainyon mein jwaala hai, 
aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai.

grihast bhi, vairaag bhi, woh devo ke dev hain, 
bramhand ke niyata, jo syam mahadev hain, 
aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai...

bhasma hi satya aur satya hi shiv hai,
bhola bhi shiv aur shiv hi rudra hai,
devo ke hitkaari, yeh ashuron ke bhi east hain,

aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai...

shiv hai vishwesar aur anishwar bhi shiv hain,
nathon ke nath, gananath bhi shiv hain,
koi sath ho na ho par sath mere shiv hain..


!! Jai Mahakaal !
!! Har Har Mahadev......!!

All Time's Favourite Posts