Showing posts with label dillagi. Show all posts
Showing posts with label dillagi. Show all posts

tanhaaiyon ka shikaar aadmi

har taraf har jagah beshumaar aadmi,
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi.

subah se shaam tak bojh dhota hua,
apni hi laash ka khud mazaar aadmi.

har taraf bhaagte-daudte raashte,
har taraf aadmi ka shikaar aadmi.

roz jeeta hua, roz marta hua,
har naye din naya intezaar aadmi.

zindagi ka mukaddar safar dar safar,
aakhiri shaans tak bekaraar aadmi.

har taraf har jagah beshumaar aadmi,
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi.

teri basti mein dil lagana mushkil tha

teri basti mein dil lagana mushkil tha,
tujhe apni duniya mein lana mushkil tha,
tujh bin mar jana aassan hi lagta mujhe,
tujh bin tannha rehna mushkil tha.

tujh bin wapas aate bhi kaise yaadon ko liye,
yaadon ke kanto ko sath le ke chalna mushkil tha,
ashkon ke kuye se nikal to jaate,
honton pe hansi ki aag lagana mushkil tha.

har afsana teri adaaon pe hi likhte apne lahu se,
khanzaron se dastan likh paana mushkil tha,

hum phir bhi jeete hai sanse kabra mein dafna,
par apna “saccha pyar” dafan kar jaana mushkil tha.

iss kalam ka kamaal to dekho

iss kalam ka kamaal to dekho,
isne jab mehboob ka naam likha,
mere dil ko aur bhi dhadkaya,
phir hal-e-dil paigaam likha,
mere dil ko baichain kiya. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
nazron ne jo waar kiya,
aur jubaan se jo na bayaan ho paya,
woh saare jazbaat dil ke,
shayari mein dil ka har paigaam likha. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
likha bhi naam uska aur pyaar se usse sajaya bhi,
utar kaagaz par tasveer usse pass apne paya bhi,
dil ki iss bechaini ko khoob shayari mein bayan kiya. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
juda huye jab woh humse,
saath isne mera nibhaya bhi
naam likha jab bewafa uska,
hazaar aanshu apne saath hamein rulaya bhi. 

iss kalam ka kamaal to dekho,
kalam ke jariye aaj humne,
phir ek mukaam haasil kiya,
kho chuka tha jin lamhon ko,
phir kagaaz par aaj usse zinda kiya. 

mere gazalon ko mere sath gaao ki andhera hatte

dil ko roshan banao ki andhera hatte,
nafraton ko bhagao ki andhera hatte,

aao dil ki mehfil mein, aao ki andhera hatte,
rukh se julfein hatao ki andhera hatte,

do pyar ke geet gaao aur muskuarao,
sare ghum ko bhulao ki andhera haate,

pyar ke noor se khaiyan pat do nafraton ki,
jahan ko jagmagao ki andhera hatte,

chand se mukhde ki tareef mein kuch kehne do,
mere gazalon ko mere sath gaao ki andhera hatte,

ek “raaj“ hi hai aapke nazaron mein kabse,
jaam-e-ulfat pilao ki andhera hatte.

kyun tera har baar meri zindagi mein aana-jaana hai

kyun tera har baar meri zindagi mein aana-jaana hai,
kyun tera har baar dil ko rulaana-hasana hai?

beshak ghar mein hain mere tere gum ke andhere,
kyun roshani ko aandhiyon mein jalaana-bhujaana hai? 

mudat hui hai aaj husn- e- jaam piye huye,
magar mehkasho mein naam mera jaana-mana hai.

kitna tha gumaan mujhe teri mohobbat par,
aitbaar tha teri itni chahat par,

toota mera har woh khawaab jo tere saath dekha,
kya khabar thi raaj ne itna khona-paana hai.

kyu tera har baar meri zindagi mein aana-jaana hai,
kyu tera har baar dil ko rulaana-hasaana hai.

ek dafa maine uska haath jab apne haath mein liya

ek dafa maine uska haath jab
apne haath mein liya to woh muskara di,

usne kaha.. 
tumhara haath kitna garam hai,
aur garam haat wafa ki nishani hoti hai. 

main iss kadar khush hua ki... 
sab kuch bhool gaya,

magar aaj barso baad
mujhe iss baat ka ehsaas hua ki,
uska haat kitna thanda tha.

kuch namumkin sa karne ko dil chaahe

tang aakar zindagi se marne ko jee chaahe,
koshish -e- khudkushi karta hoon to jeene ko dil chaahe.

kab se koshis thi iss makam tak aane ki,
aaj pahuncha hoon to laut jaane ko dil ko chaahe.

jo kiya hai woh bhi mushkil tha, jo paya woh aasaan na tha,
phir bhi kuch namumkin sa karne ko dil chaahe.

woh shard hawa, woh khuli subah, 
woh kamshin, woh nayab haseen..
sach puchho to usse banhon mein bharne ko dil chaahe.

iss dil ka thikana samjh mein nahi aata

kabhi zami kabhi aasman, samjh mein nahi aata,
iss dil ka thikana bhi, samjh mein nahi aata,

meri aankhein uski yaadon ke chirag to nahi,
kyun bas wahi nazar, samajh mein nahi aata.

chahe anchahe mein usse yaad kiya karta hoon,
yeh lat hai ya aadat, samajh mein nahi aata.

kamabakhat aashiqi ne jeena haram kar diya,
usse bhoolun ya apni jaan doon, samajh mein nahi aata.

iss taraf mera ghar hai us taraf uska ghar,
idhar jaun ya udhar, samajh mein nahi aata.

pagal sa banke reh gaya sab soch soch kar,
pehle hansu ya roun, samajh mein nahi aata.

liffafa fat chuka, mamla bhi kafi purana ho gaya,
usse doon ya khat jala doon, samajh mein nahi aata.

uski wafa pe ab mujhe shaq hone laga hai,
usse yaar kahun ya gaddar, samajh mein nahi aata.

gairon ke sath baithe hain ajeej-o-mohtarma,
kaise karun dua-salam, samajh mein nahi aata.

iss uljhe dil ko yaaon, kuch aur na samajh,
phir khud samajh jayega, jo samajh mein nahi aata.

suno aisa nahi karte

safar tanha nahin karte,
suno! aisa nahin karte,
jise shaaf rakhna ho,
usse maila nahin karte.

teri aankhien izazat dein,
to hum kya kya nahin karte,
bohat ujde huye ghar par
bohat socha nahin karte.

safar jis ka mukaddar ho,
usse roka nahin karte,
jo mil kar khud se kho jaye,
usse ruswa nahin karte.

chalo tum raaz ho apna,
tumhein khafa nahin karte,
yeh unchahe peid kaise hain,
kahin chhaya nahin karte.

jo dhun ho kar guzarne ki,
to phir socha nahin karte,
kabhi hansne se darte hain
kabhi roya nahin karte.

subah se pooch lo yaaron,
ki hum soya nahin karte.

wah gujra zamana yaad aata hai

woh masti aur hansi ka zamana yaad aata hai,
woh bachpan ka khud hasna-hasana yaad aata hai,

zamane ke har gham se anjaan tha woh pal,
ek pal mein ro ke phir muskana yaad aata hai,

har phikar se milon door thi woh zindagi apni,
khwahish-e-dil puri karne ka fasana yaad aata hai,

woh khilono ki basti aur khelon ke jahan,
khud ruthna aur manana yaad aata hai,

yeh kahan aa gaye hum un dinon ko bhool kar,
ret gharondhe banakar girana yaad aata hai,

aaj hamari zindagi ghamon se bhari hai,
woh haseen pal, woh khushiyan lutana yaad aata hai.

kya yehi pyar hai?

jagana raaton ko,
ginna taro ko,
chando ko sanam kehna..
kya yehi pyar hai?

ghanto milna unse,
karna baatein unse,
phir bhi tardap..

kya yehi pyar hai?

sochna unko,
unki baatein
bebaat pe hasna..

kya yehi pyar hai?

lagta to aisa hi tha pehle,
jab main nadan tha,
nahi mila tha unse,
nahi hua tha pyar mujhe.

kehta tha sab bekaar hai,
koi kisi ke liye kyon tardpe,
kyon kar jaage raaton ko,
nadan tha tab main shayad.

judai ki tadap,
payar ki kasak,
na mil pane ki bebasi,
nadan tha tab main shayad.

aaye jab se zindagi mein tum ho,
ghante ka milna ek pal sa lagta hai,
ek pal judai ka ek sadi sa lagta hai,
pyar hua tha mujhe shayad.

yaad aate hai woh lamha,
jab dekha tumko pehli baar,
dil jaise bhool gaya tha dhadkana ek pal ko,
pyar hua tha mujhe shayad.

door hogaye ho tum mujhse aaj,
bhool gaye ho tum mujhko aaj,
koi aur hai zindagi mein tumhare aaj,
ab samjha hoon tannhai ka matlab.

rooti hain aankhein meri,
ruthi hai meri muskan,
na chah hai jeene ki,
na hi koi tamaana meri,

mangta hoon maut har pal,
mere bahgwan ko manzoor nahi,
ek jhalak ki hi dua shayad kabool hai usko,
tabhi zinda hoon shayad aaj tak, 

kya yehi pyar hai?

accha.. koi baat nahin

meri yaadein, meri sansein, meri dhardkan hai teri,
inhein apna naa banao.. to koi baat nahin.

dil mein palti hui khamosh mohabbat ki kasam,
mere khwaabon ko rula do
.. to koi baat nahin. 

ghum mein rote huye ashkon ke machalte sholey,
inhein paon se kuchal do
.. koi baat nahin. 

dil mein palti hui khamosh umangon ki kasam,
meri duniya mein naa aao
.. to koi baat nahin. 

zindagi aise mita doon ki wafa ho tujhse,
mujhe apna naa banao
.. to koi baat nahin. 

uljhe-uljhe se khayalon mein tumhe chaaha hai,
meri yaadon mein na aao
.. to koi baat nahin. 

har lamha tumhe chaha hai mere zakhmon ne,
inhein hans-hans ke rulaao
.. to koi baat nahin. 

teri yaadon mein tardapte huye giton ki kasam,
mere nagmon ko sula do
.. to koi baat nahin. 

tere ghum mein main subah-sham hans lunga,
meri raaton ko sazaa do
.. to koi baat nahin. 

meri hasti, meri kashti, tum hi meri daulat ho,
mujhe sahil pe duba do
.. to koi baat nahin. 

aaj na jane kis pahchane se shaher mein aagaye chalte chalte

aaj na jane kis pahchane se shaher mein aagaye chalte-chalte,
yaadon ke kuch kanch chubhe, lahu se ban gaye chehre kuch bante-bante,

nikalo in kanto ki mera dum na nikal jaye uun rote-haste,
woh bhigi raate, palash ke fool, suni sadke aur do saye sulge-sulge,

kabhi wada sath jeene ka , kabhi ro dena youn hi haste haste,
tammana ki kashti, ishq mein dub gaye sahil par hi bahte-bahte,

khwaishe kyon jawan ho uthi, 

yeh mere dil par kaun dastak deta hai uuun darte-darte,

lamba hai safar mar na jaye intezare judai ki aag mein jalte-jalte,
aa jaau ki sanse meri thak gayi hai, jism meinn
 tardpte-tardpte. 

bol do zubaan se, dil mein dabake mat rakhna

bol do zubaan se, dil mein basake mat rakhna,
yeh pyaar cheez aisi hai dabake mat rakhna.

koi laakh bachaye daaman pyaar ho jaata hai,
mehboob se dil ka ikraar ho jaata hai,
iss pyaar ki khalish ko chhupake mat rakhna.

aap chaho na chaho zamana sun leta hai,
ajeeb alfazon ke taane baane bun leta hai,
khushboo pyaar ki dil mein mehkake mat rakhna.

chand mulakaton mein woh apna sa lagta hai,
zindagi ab khoobsurat sapna sa lagta hai,
khawab yeh haseen dil mein banake mat rakhna,
bol do zubaan se, dil mein dabake mat rakhna. 

pyar to pyar hota hai

aapko har pal dil yaad karta hai,
dhardkan ban yeh sine mein dhardkta hai,

bas aapko hi yeh aankhein deke,
yeh fariyad karya hai,
na aoge yeh janata hai dil,

phir bhi aapse milne ki dua karta hai,
kyonki pyar to pyar hota hai.

yeh mumkin to nahi par kya pata aisa bhi ho jaaye

yeh mumkin to nahi par kya pata aisa bhi ho jaaye,
mera tujhse bichardna bas ek khawaab ho jaaye,

karishme bhi hua karte tabhi to yeh umeed hai,
kabhi sochein tujhe aur bas tera deedar ho jaaye,

kiya mehsoos kya tumne, kisi ki yaad mein humko,
kabhi chubhti hai loo, jaisi kabhi barsat ho jaaye,

takaza waqt ka hai ya yahi fitrat hai insaa ki,
gulon sa jo mehkta hai, wohi kyun khaar ho jaaye,

kaseede shaan mein apni hi pardhta ja raha hai jo,
dikhado aaeena, shayad sharminda yaar ho jaaye,

baccha hai sach.. kas ke pakdna tum isska haath,
kahin yeh jhoot ke iss waqt mein tannha na ho jaaye,

jatan bachne ke sare kar chuke hum,
karoge kya gar phirse tumko humse pyaar ho jaaye? 

dil ko apne bas youn dhoka dejiye

dil ko apne bas youn dhoka dejiye,
aayenge woh khawab dekha kejiye,

woh agar aaye nahin, to kya gila,
hogi mazboori, yeh socha kejiye,

kyun andhera hai, yeh pehle jaan lo,
chand ko youn hi, na kosa kejiye,

ji rahe tere bina, hai sach magar,
hausale aise na, parkha kejiye,

jante sab dushmano ko, hum magar
dil bana dushman, ho to kya kejiye,

chaah milne ki, chupani hai agar
raat mein sote, na chaunka kejiye,

jo nahaya rang mein tere,
uski holi roz, samjha kejiye.

huye humko bichade barson

pehle woh ghar jalayein,
phir barisheyein bulayein,
hum ko gale laga ke
kehte hain bhool jayein.

mausam ke yeh ishare,
samjho kabhi to pyare,
ab tord sab niyam hum,
bas jhoomein nachein gayein.

kheton mein phoole sarson,
huye humko bichade barson,
tanhaiyon ki mil kar
aa holi hum jalayein.

hai unka yeh bahana,
kehta hai kya zamana?
phir bhi jo darr lage to
sapno mein aayein jaayein.

kyun geet ga rahe ho,
humko bula rahe ho,
chahat ka hai takaza,
khud aap daude aayein.

apni yahi hai jannat,
hum mannte hain mannat,
julphon mein teri
bas ungliyan ghumayein. 

dil yeh chota bacha hai

dil yeh masoom chota bacha hai,
yeh bada na hua to acha hai,
isspe pabandiyan nahi kuch bhi,
yeh to do saal ka mano bachcha hai.

iss ko koi fikar na faka hai,
yeh to har haal muskrata hai,
manta yeh nahi jahan ki rasmein,
yeh to bas pyaar chahata hai.

pyaar deta hai pyar chahata hai,
pyaar se bas iss ka nataa hai,
zindagi bhar rahe yeh bacha,
har ek insaan bas yeh hi chahta hai.

jeene ke liye yahi kaafi hai

woh bewafaa ho gaye iska koi ghum nahi,
usne chaha tha kabhi humein,

jeene ke liye yahi kaafi hai.

aaj door hai nigahon se kisi aur ke aagosh mein,
usne thama tha mera bhi haath kabhi,
jeene ke liye yahi kaafi hai.

woh mukar gayi apne kiye har waade se koi gila nahi,
usne pochein the meri aankhon ke aanshu kabhi,
jeene ke liye yahi kaafi hai.

khush hai aaj woh barbaad kar ke humein koi ghum nahi,
tardpe the kabhi woh bhi intezaar mein mere liye,
jeene ke liye yahi kaafi hai.

aaj baras raha ho saawan aur
dil mein kyu na mere pyaas ho,
woh bhi tannha thi kabhi bin mere,
jeene ke liye yahi kaafi hai. 

All Time's Favourite Posts