Showing posts with label tardap. Show all posts
Showing posts with label tardap. Show all posts

kaun aayega yahaan, koi na aaya hoga

kaun aayega yahaan, koi na aaya hoga,
mera darwaaza havaaon ne hilaaya hoga.

dil-e-naadaan na dhadak, aye dil-e-naadaan na dhadak,
koi khhat leke padosi ke ghar aaya hoga.

gul se lippti huyi titali ko giraakar dekho,
andhiyon tum ne sukhi drakhton ko giraaya hoga.

‘raaj’ pardesh mein mat yaad karo apana makaan,
ab ke baarish mein usse tord giraaya hoga.

tanhaaiyon ka shikaar aadmi

har taraf har jagah beshumaar aadmi,
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi.

subah se shaam tak bojh dhota hua,
apni hi laash ka khud mazaar aadmi.

har taraf bhaagte-daudte raashte,
har taraf aadmi ka shikaar aadmi.

roz jeeta hua, roz marta hua,
har naye din naya intezaar aadmi.

zindagi ka mukaddar safar dar safar,
aakhiri shaans tak bekaraar aadmi.

har taraf har jagah beshumaar aadmi,
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi.

gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba

aankhein michh kar soone se pehle,
jazbaat pighal kar roone se pehle,
jab aalfaz sinne mein dafan ho jaate hain,
tab yaadon se palkein bhigone se pehle,
aapke ashk se baatein karne lagta hoon,
tashveeron ko mana kar, unhi se ruth leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba !

bin mausam ki barsaat mein kabhi bheegne lagta hoon,
raat chaadar lapet kar thand ke maare jab kappne lagta hoon,
tab lagta hai jaise apna chaadar aap mujhe ordha rahe ho,
aur garm haathon ki narm ungliyon se mere baalon ko sehla rahe ho,
aapke hone ka ehsaas bhar se hi, har dard mein sukkun paa leta hoon baba,
yaadon ki chaadar ordhe har raat... aapko dhund leta hoon baba !

kisi raat sapnon mein puraane school pahuch jata hoon,
shaam dhalne par jab khil-khilate baccho ki toliyan nikalne lagti hai,
tab naa jaane dil ko kaisi aas bandh jaati hai,
meri nigaahein un cheharon mein kuch dhundane lag jaati hai,
dhundata hoon un haathon ko jinme jhaalmudi ki thayali hogi,
mera intezaar karti huyi, apni priya scooter kahi kadi hogi,
jispar sawar hone par ke khayaal se hi main jhoom leta hoon baba,
har nukkad, gali, chauraahe mein, aapko dhund leta hoon baba !

bheed mein akelapan ka ehsaas aapke bin hota hai,
jab kabhi bhi pariwaar mein kisi ka janam-din hota hai,
sabse chupte-chupaate koi tauffa le aaoge,
jo humse naa bujhi, woh mom-battiyan aap bujhaaoge,
bas yehi sochkar jaan bujhkar, aankhein mund leta hoon baba,
kabhi na khatam hone wale intezaar mein.. aapko dhund leta hoon baba !

woh aakhri pal nahi bhoolta mujhse kisi bhi haal mein,
aap zindagi ki door thaame ashpataal mein,
mujhse tab yeh kaha gaya ki kuch hi pal ab sesh bachi hai,
laga jaise khusiyon ki duniya ab dher ho chuki hai,
lekin maut ke farishton se chupte-chupaakar,
rakha tha aapne kuch saansein bachaakar,
aapki pairon ko apne hatheliyon se malte huye,
maine haathon mein aapke pairon ko jakkad rakha tha,
kuch naa keh kar bhi kitna kuch keh rakha tha.

aapse thi saari muskuraahat, aap khusiyon ke jahan the,
mere aanshu tab sukh chuke the, jab aap be-jubaan the,
ab to bas aapki tasveeron se baatein kar leta hoon,
dil kaagaz ban jaata hai, jispar dard apna likh deta hoon,
ussi dard ki dabbi huyi aawaz mein, likhe huye har alfaaz mein,
aapko dhund leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein..
aapko dhund leta hoon baba !

bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai

aapki kami khalti hai mujhe, yeh khaalipan tardpata hai,
bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai.

ab pata chalta hai ki.. yeh zimmedariyon ka bojh kitna bhaari hai,
khud se jyada apno ki khusiyan pyaari hai,

daurdne pardte hain kadam, pakadne ko zindagi ki raftaar,
aaj to gujar gaya jaise taise, kal bhi hai aane ko taiyaar.

aapki majbooriyon ka mujhe ab ehsaas hota hai,
duniya hoti hai matlabi, aur ghar ka har saksh khaas hota hai.

maa ke baad pita hi samajhta hai khamosi bachhon ki,
muskilon se bachane ke liye, pita himmat ki deewar hota hai.

har daat pe pyaar jo rahta hai, woh yaad bahut ab aata hai,
har beeta lammha ab to bas, aankhon mein aanshu laata hai.

tashveer basi hai dil mein jo, jeene ka hausla deti hai,
isse tarah se bas ab to, yeh waqt gujarta jata hai.

aapki kami khalti hai mujh mein, yeh khaalipan tardpata hai,
bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai.

Miss You Baba !!

waqt beet gaya lekin reh gayi hai waqt ki parchaai

zindagi ke andheron mein woh jalti mashaal the,
musibaton se bachhane ko woh pariwaar ki dhaal the.

kaha jee paaye the woh apni zindagi apne hisaab se,
pita hamare koi aam saksh nahi, tyaag ki ek misaal the.

waqt beet gaya lekin reh gayi hai waqt ki parchaai,
aapke jaane ke baad kuch bachhi hai to bas tanhaai.

nikal padte hain aankhon se aanshu aur dil baith jaata hai,
jab bhi yaad aati hain baatein jo aapne thi bataayi.

ek pita ki ahmiyat kya hai,
iska jawab waqt mere samane laya hai,
kin haalaton se gujaare honge humein paalane ke liye aap,
yeh aaj mujhe samajh aaya hai.

kabhi dar lagta tha aapke daat se,
aaj aapki khaamoshi mujhe satati hai,
mujhe maalum hai ki ab aap nahi aane waale,
phir bhi aapki yaad mujhe aksar rulaati hai.

jab bhi kami khilti hai aapki,
aapki yaadon se mulakaatein kar leta hoon,
ab aapse milna mumkin kaha isleye,
ab aapki tasweer se baatein kar leta hoon.

sudhaar loon main gushtakhiyan zindagi ki,
ab galti karne par mujhe kaha koi daat-ta hai,
akele hi jujhta hoon ab main zindagi se,
aapki tarah mere dard kaha koi baat-ta hai.

ek puraani album

 yaadon ki khidkiyon par baitha, beete kal ko jhakk raha tha,
aaj puraani almaari mein, zindagi talaash raha tha.

bhoole bishre geeton ko aaj nayi sargam milli,
dhool se sanni, kone mein padi, ek puraani album mili.

kaale safed liwaz mein lipti, guzare daur ki kahani thi,
shabd nahi the jisme koi, tasweeron ki jubaani thi.

meri muskurahat par the sab nishaar,
main khusiyon ka humsaya tha,
iss tasweer mein woh pal kaid hain,
jab main duniya mein aaya tha.

aankhon mein yaadein bhar aayi, dil tardpar rooya hai,
ek tasweer mein kisi ne budhi daadi ko sanjoya hai.

kahi holi ke rang kaid hain, kahi diwali ki raat hai,
kahi janamdin mana raha hoon main, jaise kal hi hi baat hai.

woh school ka pehla din ho, ya collage mein ki shaitaani,
tasweeron mein simat kar rah gaya, bachpan aur jawaani.

apni har baat kehne se pehle izzajat liya kerta tha,
yeh tasweer tab ki hai,  jab main office jaaya kerta tha.

ghumon se uljhe zindagi ki khuli tab takkdeer thi,
tumhein dekh kar pasand kiya tha, yehi to woh tasweer thi.

aage kuch tasweeron mein kaid, har ek pal hain sunahare,
tum paas mere baithi the, haathon mein the haath hamare.

kuch tasweeron mein aawaz kaid hai, dhol nagade, sehnaai ki,
woh pehla ghar humene liya, woh scooty pehli kamayi ki.

kuch tasweeron mein aanshu hain, jab behno ki bedaai ki,
chote bhaai ke sahare humare ghar mein bhi ek bahu aayi thi.

humsab ko chordkar baba, kyu ek din safed liwaz mein lipat gaye,
haar lagi sunahari frame mein, kyu tum jaa kar simat gaye.

tumhare bhaaiyon ne baba gaao ke ghar ko baat diya,
mere kamjoor haat na pahuch sake, photo itne upaar tang diya.

sabhi pariwaar waalon ne diya mujhe itna pyaar hai,
ab aankho mein dikhata mere tasweer ho jaane ka itnezaar hai,

raakh bankar rah jaauga, baha denge mujhe sangam mein,
tasweer bana dhool khaaunga, kisi purani album mein.

bebas hoker apne maa baap ko bimaar hota dekh raha hoon

chupke chupke mann hi mann mein,
khudko rotta dekh raha hoon,
bebas hoker apne maa-baap ko,
bimaaar hota dekh raha hoon.

rachha hai bachpan ki aankhon mein,
khilla-khilla sa maa baap ka rupp,
jaise jaade ke mausam mein ho,
naram-garam makhmal si dhoop.

dhire dhire sapnon ke iss rupp ko,
aankhon se ojhal hota dekh raha hoon,
iss covid ki maha-maari mein,
bebas ho kar unko bimaar hota dekh raha hoon.

kal tak tha jo sab sawra sa, ek chota sa apna bhi duniya,
chutt raha ho dhire dhire, maa baap ke saath ka saaya bhi,
chinn raha ho waqt jaise unke baaton bhara khazana bhi.

ghar ke malik ko aaj hospital ICU par 
bimaar tardpata dekh raha hoon,
bebas ho kar apne maa-baap ko bimaar hota dekh raha hoon.

chupke chupke mann hi mann mein,
khudko roota dekh raha hoon,
bebas ho kar apne maa-baap ko bimaar hota dekh raha hoon.

bas yun hi haste haste chala jaaunga

bas yun hi haste haste chala jaaunga,
doston ab shayad main laut kar nahi aaunga.

par yeh bhi to ek sach baat hai, jo bithe aap sab ke saath,
woh mitthe pal main kabhi nahi bhool paaunga,

par aaj main bhi yahan se khali haath nahi jaaunga,
main jaroor apni yaadon ki mehek yahi chhord jaaunga.

jaanta hoon kahi dil tutte hain meri nadaaniyon se,
par aaj jaate jaate main aap sab se maafi maangna chahunga,

aap ko jo bhi ho mujhse sikhwe gile.. ser aankhon par,
main aaj aap sabhhi ko dua dete jaaunga.

aaj hoon kuch doston ke dilo mein,
par ek din unki yaadon se bhi mit jaaunga.

aaj hoon thoda mashoor aap doston ki badolat,
par waqt ke chalte hi issi bheed mein kahin kho jaaunga.

bas yun hi haste haste chala jaaunga,
doston ab shayad main laut kar nahi aaunga.

maine poocha kaise ho

maine poocha kaise ho,
badle ho ya waise ho?

roop wohi andaaz wohi,
ya phir iss mein koi kami,

hijr ka kuch ehsaas to hoga,
koi tumhare pass to hoga,

main bichrra yaha majboor tha,
kab manzoor mujhe tujhse doori tha

saath humara kab chhoota hai,
rooh ka rishta kab toota hai,

aankh se jo aanshu behte hain,
tum ko khabar hai kya kehte hain?

maine kaha aawaz tumhari,
aaj bhi hai humraaz hamari,

phool wafa ke khil jaayenge,
ek din phir hum mil jaayenge.

bacche hi karne lage, maata-pita se ghaat

rishto ko yoon tordte, jaise kaccha sut,
batwara maa-baap ka, karne lage kapot.
kaise beto par kare, maat-pita abhimaan,
apne ghar mein hi bane, anchahe mehmaan.

maata-pita mein bas rahe, sakshaat bhagwaan,
mandir-maszid dhoondta, manav hai naadan.
mustandu ko poojte aur navaate shish,
paani maange baap to, nakhre karte bis.

hin-bhin sapne huye, taar-taar vishwas,
maat-pita ko de diya, beto ne vanvaas.
mandir mein pooja kare, ghar mein kare kalesh,
bapu tu bujha lage, patthar lage ganesh.

prem aastha tayaag huye, bite yog ki baat,
bacche hi karne lage, maata-pita se ghaat.
paani aankhon ka marra, marri sharm-o-laaz,
kahe bahu ab saans se, ghar mein mera raaj.

nayi shadi se mil rahi, dard bhari sugaat,
beta kehta baap se, kya teri aaukat.
kamaya akele baap ne, bete pale chaar,
ek akeli jaan ab, chaaro par hai bhaar.

marne lagi saveda, khatam huye sadbhav,
purab par bhi ho gaya, pacshim ka prabhav.

kaun ho tum..

kaun ho tum..? 
kyon mujhse door nahi bhagti ho tum,
mere soone ke baad bhi kyon jaagti ho tum,
aakhir kis haq se pal-pal ka hisaab mangti ho tum?

mere paas uss khuda ki amanat ho tum,
mere seene ki sanso ki chhahat ho tum,
mujh par bewajha jo huyi woh inayat ho tum,
kyon mujhse har pal kayi sawal karti ho tum,
kyon mere liye pal-pal tardpti ho tum?

aakhir kab tak main kaid rahounga teri aagosh mein,
kis din meri ruh ko sakoon milega,
mere jism ko aakhir kab chhordoge tum,
meri sanso se nata kab tordoge tum?

mujhe tumse to aakhir koi gila nahi,
kya hai tere paas jo mujhe mila nahi,
na jaane bahar mein bhi kyon
mera chaman khila nahi,
shayad mere hi naseeb mein aakhir sila nahi,

tujhse bas yehi mujhe shikayat hai,
kyon ab tak mujh pe meharba ho tum,
mere sunne ghar mein aaj bhi mehma ho tum,
mere wajood ka bas aakhri nisha ho tum,

o zindagi aaj mujhe azaad kar de tu,
mere naseeb mein maut ka rang bhar de tu,
meri sansein chhinkar aakhri ehsaan kar de tu,
kyon mujhse waffa kiye jaa rahi ho tum?

jeene ki chhahat ab iss dil mein baki nahi,
iss maikhane mein koi bhi mera saki nahi,
tu ab humein koi nayi rah dikhati nahi,
aakhir kyon humse maut ka rishta nibhati nahi?

o zindagi jaa chhor de mera daman,
teri kaid main ab ghut raha hai mera mann,
tu mujhe azaad kar de...

mere naseeb mein maut ka rang bhar de.

jo mila uski khushi kaisa, jo khoya uska rona kaisa

jo mila uski khushi kaisa, jo khoya uska rona kaisa,
bahar mein ujrde chaman ko, patjhard se bachana kaisa,

tumhari inayaton ka zikar phir kabhi hoga mere dost,
zakham-e-dosti na ho jis mein, woh dil ka afsana kaisa,

manzil par pounch kar bhi karwa ki talash hi rahi,
acha tha hazum ke saath chalna, yun tannha chalna kaisa,

haath se haath kya milana, dil se dil milaao to jaane,
haath mein khanzar dil mein nafrat, yun yaaron se milna kaisa.

taaro ko chand ke paimanaye mein bhar kar kabhi to pilaao,
ashq bhari ankhon ke paimane mein roz-roz pilana kaisa,

khamoshi ki gunj mein cher ke dil ka saz gun-gunaya karo,
lab-e-khamosh se behron ki mehfil mein gun-gunana kaisa,

apne hi dil ke kone mein dhondho us talash ko,
yun tannha parbat-parbat mare-mare phirna kaisa.

mujhe teri aarzu rahi barson

chaand ki justju rahi barson,
mujhe teri aarzu rahi barson,

sadiyan judaai ke beetein to jana,
mere khwabon mein tu hi rahi 
barson,

main hi unko samajh nahi paya,
yun unse guftgu rahi 
barson,

woh gulbadan jab kabhi bhi aaye,
ghar mein khushbu rahi 
barson,

main apne aib kahan chhipata,
unki nazar har taraf rahi 
barson,

maut ke saye mein bhi dekho,
zindagi ru-b-ru rahi 
barson.

teri yaad bhi kya-kya dusprabhav kiya karti hai

teri yaad bhi kya-kya dusprabhav kiya karti hai,
bhar chuke zakhamon ko phir harra karti hai.

mujhe har saaya tera hi akas lagta hai,
dil ki jalan bhi yeh kaisa dhuuan karti hai.

jab kabhi dekhta hoon baithi gul pe titlii,
lagta hai jaise tu mujh ko chhua karti hai.

mausam-e-bahar hum ussi ko kehte hain,
chaman mein jab teri aahat hua karti hai.

fursat mile to kabhi dekhna aake mere ghar,
maut ke saaye mein kaise zindagi jiya karti hai.

ajab hai aankh-michouli mujh mein aur mritu mein,
dhundha hai usse jitna, woh utna chhipa karti hai.

raat dhalne laggi.. shamma bhujne laggi

raat dhalne laggi.. shamma bhujne laggi,
aaja mere sanam, saans thamne laggi,
aaja mere sanam, saans thamne laggi.

raat ka yeh sama.. hum akele yaha,
dhundhe aankhein tumhein, chhip gaye tum kaha?
dhadkane khamosh hain, hum bhi madhosh hain,

tera jalta badan meri aagosh hai,
har taraf pyaar ki aag jalne laggi,
aaja mere sanam, saans thamne laggi.

sard si chandni.. bikhri hai har kahin,
aa basa le sanam, aashiyan hum yahin,

raat saari sanam, aankhon mein jaayegi,
taare ginte sanam, subah ho jayegii,

subha ki pehli kiran dekh khilne laggi,
aaja mere sanam, saans thamne laggi.

raat dhalne laggi.. shamma bhujne laggi,
aaja mere sanam, saans thamne laggi.

dard ke samundar ko sene mein dabaye baitha hoon

dard ke samundar ko 
sene mein dabaye baitha hoon,
apne aankhon ke aanshuon ko 
muskaan mein chupaye baitha hoon.

yeh kaun kahta hai 
hansta hua chehra hai mera,
yeh to woh dard hai 
jisse apne chahre se chupaye baitha hoon.

woh lamha yaad aaya ek lamhein ke liye

woh tera muskurana, woh bahon mein mere aana,
woh pal-pal mein aana, woh har waqt mujhe satana,
woh lamha yaad aaya ek lamhein ke liye.

woh tera baat-baat par rooth jana,
woh tujh ko baaton-baaton mein manana,
woh tera pyaar karna, woh raaton ko intezar karna,
woh lamha yaad aaya ek lamhe ke liye.

woh chhup-chhup kar tera milna,
woh meri bechaniyon ko bardhana,
woh har lamhein mein khushiyan talash karna,
woh khushiyon ko samet kar daaman mein bharna,
woh lamha yaad aaya ek lamein ke liye,

woh tera yun hi chale jaana,
woh har kasam ko tord mujhe chord jaana,
woh mere aksh se bhi door na jaana,
woh chord kar mujh ko mere se door jaana,
woh lamha yaad aaya ek lamhe ke liye.

tannha main tha tannha safar tha

tannha main tha tannha safar tha,
aise mein dikh gaya chand.
jaha muda main jaha gaya main,
sath mere chal diya chand.

kyu laga o mujh ko apana sa,
shayad kahi main dekha tha,
gori ke ghooghat mein chhipe,
us chehare sa lag gaya chand.

raat bhi kali, kali badali,
jo bhi dikhata.. kala tha,
kaise kahu mujhe kitna bhaya,
aise mein haldiya chand.

shart lagayi maine usse,
dekhoge kya mera chand,
dekhate hi unki tashweer,
sharma ke chhip gaya chand.

tannha main tha tannha safar tha,
aise mein dikh gaya chand.
jaha muda main jaha gaya main,
sath mere chal diya chand.

kami kabhi ho ki usse khul ke yaad aaun main

yeh tajurba bhi karoon, yeh bhi gham uthaaun main,
ke khud ko yaad rakhoon, usko bhool jaaun main.

fareb karne mein kuch to hai, koi baat to hai,
ki jaan-boojh ke itne fareb kahan se laaun main.

woh shaqs hai ke naseeb-e-sahar ka jhonka hai,
bikhar hi jaaun jo usko gale lagaaun main.

kabhi to ho mere ehsaas ke matare mein kami,
kami kabhi ho ki usse khul ke yaad aaun main.

gar hota yeh dil kagaaz ka

hota yeh dil kagaaz ka
to dard itna phir hota na,
kaat ke hazaar tukdon mein
usko udaa deta havaa mein.

hota yeh dil patthar ka
to dukh mein itna jeeta na,
samundar mein phenk kar
usko doobte hue dekhta main.

hota yeh dil paani ka
na woh satata phir mujhe itna,
nadiya mein bahaa deta usko,
sahil se milaa deta main.

magar hota yeh dil tera to
udaas itna na rehta main,
mehsoos karta pyar tera
jiske liye tardapta hoon main.

All Time's Favourite Posts