Showing posts with label janamdin. Show all posts
Showing posts with label janamdin. Show all posts

hum khud ko shayar banaye baithe hain

dil ko ab intezaar nahi kisi khushi ka,
hum ashqon se hi dil behlaye baithe hain.

zindagi ke andhere ko mitane ke vaaste,
dil ke zakhmon ko jalaye baithe hain.

woh baatein jo tardpati hain mere dil ko,
unhein hi seene se lagaae baithe hain.

bewajah tu chhord ke gayi hai jab se,
hum khud ko hi bewafa banaae baithe hain. 

masoom dil ko behlaane ke vaaste,
chahat ko hi mohabbat bataye baithe hain.

mere jazbaaton ko to chura le gayi hai woh,
aur hum khud ko shayar banaye baithe hain. 

zindagi ka ek aur varsh kam ho chala

zindagi ka ek aur varsh kam ho chala,
kuch purani yaadein piche chord chala,

kuch khwaishein dil mein rah jaatin hain,
kuch bin mange mil jaatin hain,

kuch chord kar chale gaye,
kuch naye jurdenge iss safar mein,

kuch mujhse bohat khafa hain,
kuch mujhse bohat khus hain,

kuch mujhe mil kar bhool gaye,
kuch mujhe aaj bhi yaad kerte hain,

kuch shayed anjaan hain,
kuch bohot pareshan haiin,

kuch ko mera intezaar hai,
kuch ka mujhe intezaar hai,

kuch sahi hai,
kuch galat bhi hai,

kuch galti ho to maaf kegeye,
aur kuch accha lage to yaad kegeye.

happy birthday to you

I may have many friends,
but one above the rest,
that one is you,

you are simply the best.

it's a friend like you,
in good times and bad
who asks for nothing,
yet offers a hand.

wherever I go in life,
there's only one thing to do,
I must have a big heart,
and be a friend like you.

today is your birthday,
today is all about you.

may you always find joy,
north, south, east and west,

wishing you all the very best !

happy, happy, happy..

very happy birthday to you !!

tum acchayi ke deepak ban jagmagate rehna

har milne wale ki zindagi ko mehkate rehna,
kitna hi dard ho dil mein par muskarate rehna,

zindagi ki raat mein chahe amavas hi aa jaaye,
par tum aasha ke taron ki tarah timtimate rehna,

mushkilein to mehman ban kar aati rahengi,
tum bas un mushkilon mein bhi khilkhilate rehna,

jeevan ki ranbhumi ke har mord par tum bas,
aage bardh kar apni vijay pataka fahrate rehna,

iss paapi kaliyug ke is ghor andhakar mein,
tum acchayi ke deepak ban jagmagate rehna,

yeh raaj kabhi yahan rahe ya na rahe par,
tum usse yaad karne ko humesha aate-jate rehna. 

aaj bhi mujhe yaad hai

jab tu mere ghar aayi thi
maa ko kitani bhayi thi,

ek jhijhak thi mujh mein
par tu bahut muskurayi thi,

dil ke ek kone mein
teri tasweer samaai thi,

komal man ki woh tasveer
aaj bhi mujhe yaad hai,

jab hum car se jaa rahe the
pehali baar tere sath antakshari gaa rahe the,

pyar ke geet maine gaya tha
sab ke beech tumhein apana banaya tha

geet ki woh line
aaj bhi mujhe yaad hai

ghar ka woh hissa
baitha tha main tere hi pass

tu jab pair hilla rahi thi
mere dil ki dhadkan bardha rahi thi,

anhoni aahat aa rahi thi
meri dhardakno ka bardh jana,

chupke se tumhein samjhana
aur tera maan jana,

aaj bhi mujhe yaad hai,
teri meri pehali mulakat,

lab mein rahate the hum pass-pass
baate kerne ko man gudgudaya tha,

jhuuth hi maine bola tha
tum bahut achchi gaati ho,

boli thi tum kisne tumhe bataya
ek jhuth aur tumne hi to bataya tha,

woh tera sach maan lena
khud ko na jaan lena,

aaj bhi mujhe yaad hai...


tu jab mujhse lardati thi
mere seene per dono hatho se vaar kerti thi


teri woh meethi-meethi maar
jo deti thi mere jeevan ko dhar
aaj bhi mujhe yaad hai,
aaj bhi mujhe yaad hai...!

aaj ek message na unse likha gaya mere liye

aaj raat hogayi unki dua aane ke intezaar mein,
jinko hamare janamdin ka mahine pahle se intezaar hota tha,

aaj befikar hokar so rahe honge kisi ki baaho mein,
jinka dil kabhi iss din hamein milne ko bahut rota tha,

aaj bhi dost aate hain mubarak baad dene ko,
magar unki mubarkbaad ka maza hi kuch aur hota tha,

milo door jate the unse milne ke liye iss din,
wo bhi ghar se na jane kya kya bahane banate the,

aaj ek message na unse likha gaya mere liye,
jo kabhi lakh musibate utha kar mera janamdin mnane aate the,

maze ki baat hai ki iss din bhi sabse chip ke roye hain,
unke sath bitaye palo ka ehsaas kuch aur hi hua kerta tha.

janam din mubarak ho

aaj mera janam din tha,
main intezaar karta raha,
din se raat ho gayi,
aur main chalta raha,


barish mere badan ko bhigoti rahi,
aur tann andar hi andar jalta raha,
magar mein chalta raha,
intizar karta raha,

ki shayed…
kahin se koi jaani pehchani si awaz,
mujhe pyar se bulaa kar kahe,
janam din mubarak ho…!!

magar aaj to har taraf balaa ka sanaata tha,
pure mohalle ne mere janam ke shouk mein,
apne apne gharon mein roshni bhi nahi kiya,
har taraf khofnaak andhera tha,

iss andhere mein, 

barish ka shor,
patton ki khar kharahat,
hawaa ki siskiyaan,
aur bijli ki chamak ne,
mahol ajeeb daraawna sa bana diya tha,

mera dil ghabra gaya,
subah ka bhoola tha iss liye,
shaam ko ghar aagaya,

kya dekhta hoon ke ghar ki dehleez par hamesha ki tarah,
mere intezaar me meri tannhai thi,

us ne aa kar mujhe sahara diya,
phir apne naazuk bajuon mein samet kar,
mujhe mere bistar tak le gayi,

mera sar apni gaud mein rakh kar,
mere baalon mein ungliyan pher kar mujhe sulaney lagi,

phir dheere dheere mere kaan mein gungunane lagi,
janam din mubarak ho,
janam din mubarak ho,

duniya walon se kitni achi thi,
meri tannhai,
meri udaasi,
meri veerani,
meri mehbooba…!!

aaj khud ko hassaunga shayad

mera janamdin main tannha hi manaunga shayad,
logo ke bich na sahi per andhero mein banaunga shayad,
hume pata hai na to koi apna ayega na koi paraya,
isliye kosis karunga sab kuch bhulne ki or khud ko hassaunga shayad.

I want to say I love you on your birthday

I want to say I love you on your birthday,
though love is something you don’t want from me.

things didn’t go so well when I last said it,
and so I’ll keep it silent in my heart.

but how the words reverberate within me!
a song that I must struggle not to sing,

a music I must dance to without motion,
a poem that I must never read aloud.

your wishes are a wall I would not scale,
yet won’t abandon, loathe to leave behind.

I cannot have, and cannot bear to lose you,
and so I send you this in my despair.

tumhara pyaar hamesha mere sath rahe

kuch bhi kar jaau main tumhare liye,
yuhi tumhara mujhpe vishwas rahe,

pata nahi kya hoga aage zindagi me,
chahat to yuhi hai ki tuhi mera humsafar rahe,

bachi huyi yun aakhri palo ko kuch aise jiyun,
bas un aakhri palo me bhi tera sath rahe,

zindagi ki aakhri saans chale meri tab tak,
khuda kare mere sath tumhara pyaar rahe,

likhna chahta hun main ek aisa nagma,
jo marte dam tak tujhe woh yaad rahe,

bas tumhara pyaar hamesha,
mere sath rahe, mere sath rahe...

All Time's Favourite Posts