Showing posts with label maut. Show all posts
Showing posts with label maut. Show all posts

har pal dhoondta raha main thikhana maut ka

har pal dhoondta raha main thikhana maut ka,
na jaane kab ho iss zindagi mein saamna maut ka,

woh jo muhje jeene ke liye kehte the kabhi,
unhein to kab ka mila gharana maut ka.

meri bebasi dekho..
ki gaa bhi sakta tarana maut ka.

unki de zindagi to aamant hai mere paas varna,
kab ka ho gaya hota samana mera aur maut ka.

ab to na marne ka haqdaar, na hi jeene ke kaabil,
zindagi boojh si baan chuki hai,

marne se pehle hi mar chuki hai,
ab kis muh se ja kar karoon saamna maut ka.

har pal dhoondta raha main thikhana maut ka,
na jaane kab ho iss zindagi mein samna maut ka.

bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai

aapki kami khalti hai mujhe, yeh khaalipan tardpata hai,
bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai.

ab pata chalta hai ki.. yeh zimmedariyon ka bojh kitna bhaari hai,
khud se jyada apno ki khusiyan pyaari hai,

daurdne pardte hain kadam, pakadne ko zindagi ki raftaar,
aaj to gujar gaya jaise taise, kal bhi hai aane ko taiyaar.

aapki majbooriyon ka mujhe ab ehsaas hota hai,
duniya hoti hai matlabi, aur ghar ka har saksh khaas hota hai.

maa ke baad pita hi samajhta hai khamosi bachhon ki,
muskilon se bachane ke liye, pita himmat ki deewar hota hai.

har daat pe pyaar jo rahta hai, woh yaad bahut ab aata hai,
har beeta lammha ab to bas, aankhon mein aanshu laata hai.

tashveer basi hai dil mein jo, jeene ka hausla deti hai,
isse tarah se bas ab to, yeh waqt gujarta jata hai.

aapki kami khalti hai mujh mein, yeh khaalipan tardpata hai,
bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai.

Miss You Baba !!

waqt beet gaya lekin reh gayi hai waqt ki parchaai

zindagi ke andheron mein woh jalti mashaal the,
musibaton se bachhane ko woh pariwaar ki dhaal the.

kaha jee paaye the woh apni zindagi apne hisaab se,
pita hamare koi aam saksh nahi, tyaag ki ek misaal the.

waqt beet gaya lekin reh gayi hai waqt ki parchaai,
aapke jaane ke baad kuch bachhi hai to bas tanhaai.

nikal padte hain aankhon se aanshu aur dil baith jaata hai,
jab bhi yaad aati hain baatein jo aapne thi bataayi.

ek pita ki ahmiyat kya hai,
iska jawab waqt mere samane laya hai,
kin haalaton se gujaare honge humein paalane ke liye aap,
yeh aaj mujhe samajh aaya hai.

kabhi dar lagta tha aapke daat se,
aaj aapki khaamoshi mujhe satati hai,
mujhe maalum hai ki ab aap nahi aane waale,
phir bhi aapki yaad mujhe aksar rulaati hai.

jab bhi kami khilti hai aapki,
aapki yaadon se mulakaatein kar leta hoon,
ab aapse milna mumkin kaha isleye,
ab aapki tasweer se baatein kar leta hoon.

sudhaar loon main gushtakhiyan zindagi ki,
ab galti karne par mujhe kaha koi daat-ta hai,
akele hi jujhta hoon ab main zindagi se,
aapki tarah mere dard kaha koi baat-ta hai.

saaye ki tarah aap mere sath rahe

saaye ki tarah aap mere sath rahe,
mere hansne par hanse, mere roone par rooye the,
jab bhi darre huye honton se aawaz di maine,
aakar har uljhan par pehle se hi khade the aap.

ek saundhi khusbu thi aapki chuuan mein,
kitna bhi udaas rahta tha, 
aapki chuuan se dil jhum jhoom jata tha,
lav khil-khila uthtey the.

mere jeevan mein aap kya the.. kya hain,
yeh  lafzon mein bayan karna mumkin nahi,
aapko aag ke hawale kar aaj khud ko jala baitha,
lekin ab bhi jo saskh mujh mein jee raha hai,
woh koi aur nahi.. aap hi ho.

jab maine aapko kandha diya,
achanak ek dard uttha mere sinne mein,
ehsaas hua kya hota hai zimmedaari,

kappkapate huye haathon se jab main agni de raha tha,
kaise bataun ki meri geeli-dhundali aankhon ne,
kya-kya manzar dekha tha,

par haathon mein ek ajeeb si takkat mili thi uss chann,
laga.. muskuraate huye mere udaasi ke palon mein
mujhe aap sehla rahe ho,

ess ehsas ne phir meri aankhon mein
aanshuon ke sailaab laa diya,
main chikh-chikh kar roo raha tha
aapki chittah ke pas baith kar,

par hey pitah.. aapne phir chaturaai dikhaayi,
chitta ki aag ko thanda kar diya,
bas waha rakh hi raakh bachha tha.

maalum hai, madhya-raatri se pehle
aap mujhe ghar bhejna chahate the,

koi baat nahi, aap jaaha jaana chahate hain, jaaye.. lekin,
main aapko aawaz dunga har dishaon mein,
aapko aana hoga.. kam se kam mere khaawabon mein,

mere sapnon mein aakar 
aap mujhe ek baar beta keh kar pukaar lena,
mujhe gale se laga lena,

aapke bin kaise chalunga phirse ungli pakad kar,
thoda raasthe mein badha dena hey pitaji,
aap harpal mujhe itna ehsaas dilla dena,

main aapka beta hoon ~raj~ naam hai mera,
aakar mujhe mera naam, bata dena.

bas yun hi haste haste chala jaaunga

bas yun hi haste haste chala jaaunga,
doston ab shayad main laut kar nahi aaunga.

par yeh bhi to ek sach baat hai, jo bithe aap sab ke saath,
woh mitthe pal main kabhi nahi bhool paaunga,

par aaj main bhi yahan se khali haath nahi jaaunga,
main jaroor apni yaadon ki mehek yahi chhord jaaunga.

jaanta hoon kahi dil tutte hain meri nadaaniyon se,
par aaj jaate jaate main aap sab se maafi maangna chahunga,

aap ko jo bhi ho mujhse sikhwe gile.. ser aankhon par,
main aaj aap sabhhi ko dua dete jaaunga.

aaj hoon kuch doston ke dilo mein,
par ek din unki yaadon se bhi mit jaaunga.

aaj hoon thoda mashoor aap doston ki badolat,
par waqt ke chalte hi issi bheed mein kahin kho jaaunga.

bas yun hi haste haste chala jaaunga,
doston ab shayad main laut kar nahi aaunga.

kaun ho tum..

kaun ho tum..? 
kyon mujhse door nahi bhagti ho tum,
mere soone ke baad bhi kyon jaagti ho tum,
aakhir kis haq se pal-pal ka hisaab mangti ho tum?

mere paas uss khuda ki amanat ho tum,
mere seene ki sanso ki chhahat ho tum,
mujh par bewajha jo huyi woh inayat ho tum,
kyon mujhse har pal kayi sawal karti ho tum,
kyon mere liye pal-pal tardpti ho tum?

aakhir kab tak main kaid rahounga teri aagosh mein,
kis din meri ruh ko sakoon milega,
mere jism ko aakhir kab chhordoge tum,
meri sanso se nata kab tordoge tum?

mujhe tumse to aakhir koi gila nahi,
kya hai tere paas jo mujhe mila nahi,
na jaane bahar mein bhi kyon
mera chaman khila nahi,
shayad mere hi naseeb mein aakhir sila nahi,

tujhse bas yehi mujhe shikayat hai,
kyon ab tak mujh pe meharba ho tum,
mere sunne ghar mein aaj bhi mehma ho tum,
mere wajood ka bas aakhri nisha ho tum,

o zindagi aaj mujhe azaad kar de tu,
mere naseeb mein maut ka rang bhar de tu,
meri sansein chhinkar aakhri ehsaan kar de tu,
kyon mujhse waffa kiye jaa rahi ho tum?

jeene ki chhahat ab iss dil mein baki nahi,
iss maikhane mein koi bhi mera saki nahi,
tu ab humein koi nayi rah dikhati nahi,
aakhir kyon humse maut ka rishta nibhati nahi?

o zindagi jaa chhor de mera daman,
teri kaid main ab ghut raha hai mera mann,
tu mujhe azaad kar de...

mere naseeb mein maut ka rang bhar de.

tera ehsaas mujhse kabhi door naa ho

mere baad mat dhondhna mere kadmon ke nishan,
main to ek saaya hoon kali raat ka,
ek saaya jiska koi wajood nahi,

janmo se main bhatak raha hoon apni talaash mein,
dubba hua hoon na jaane kaise pyaas mein,

zindagi se khaffa maut ki talash mein,
anjaan se safar mein koi sathi nahi hai mera,
ek safed sa saaya jo shayad mera kafan hai,
roz mujhe dhakne ki firaq mein,

aata hai har raat mere soone ke baad,
lekin usse bach ke bhagne ki koshish mein,
roz thora thora sa mar raha hoon,
bass ussi kafan ka intezaar kar raha hoon,

lakin waise nahi jaise woh mujhh dhakna chhahta hai,
main jee to nahi saka apni marzi se,
lekin mera jism apni marzi se marna chhahta hai,

main maut ko jaise bulaun woh waise hi aaye,
marne ke baad mera dil bhi dharkta rahe,
kiyonki iss dil mein to tu bassi hai,

marne ke baad meri aankhain bhi khuli rahe,
kyonki inn mein tere khwaab sajaye hain,

marne ke baad mere hoonth bhi larzte rahe,
kyonki inko aaj bhi teri pyaas hai,

marne ke baad meri sanse bhi chalti rahe,
kyonki yeh sanse tera naam lekar chal rahi hain,

magar jab mujhe aakhri hichki aaye,
to teri goad naa ho tera anchal naa ho,

tere aanshu meri lash ko nehlatay naa ho,
tere hoonth mere bejaan jism ko chumtay naa ho,

mere rashton mein tujh se kiye waade naa ho,
mere phir zinda ho jaane ke iraade naa ho,

tere saath guzre pal mujh par bojh naa ho,
tera pyar mere paon ki zanjeer naa bane,

meri chhita ki rakh se teri tasveer naa bane,
kash yun zindagi kare bewafai to kitna acha ho,

tera surakh dupatta meri lash se lipta ho,
mera wajood chutki bhar rakh main simta ho,

aur woh rakh teri mang ka sindoor naa ho,
tera ehsaas mujhse kabhi door naa ho,
tera ehsaas mujhse kabhi door naa ho...........!!

teri yaad bhi kya-kya dusprabhav kiya karti hai

teri yaad bhi kya-kya dusprabhav kiya karti hai,
bhar chuke zakhamon ko phir harra karti hai.

mujhe har saaya tera hi akas lagta hai,
dil ki jalan bhi yeh kaisa dhuuan karti hai.

jab kabhi dekhta hoon baithi gul pe titlii,
lagta hai jaise tu mujh ko chhua karti hai.

mausam-e-bahar hum ussi ko kehte hain,
chaman mein jab teri aahat hua karti hai.

fursat mile to kabhi dekhna aake mere ghar,
maut ke saaye mein kaise zindagi jiya karti hai.

ajab hai aankh-michouli mujh mein aur mritu mein,
dhundha hai usse jitna, woh utna chhipa karti hai.

jab chaahne wala koi nahin, phir jeena kya.. marr jaana kya

jab chaahne wala koi nahin,
phir jeena kya.. marr jaana kya.

sao rang mein jis ko socha tha,
sao roop mein jis ko chaaha tha,
woh jaan-e-ghazal to ruth gayi,
ab uss ka haal sunaana kya.

aawaaz kisi ko dein lekin,
ek naam tumhara honton par,
har shaql se ubhron tum hi tum,
yun khud ko magar behlaana kya.

raaton ka safar hai din ke liye,
aur dil mein tamaanna raaton ki,
jab paaun mein raaste kho jaaye,
phir rukna kya, ghar jaana kya.

adatan tumne kiye vaade, adatan humne aitbaar kiya

hans rahi thi yeh duniya, 
jab mera janam hua tha,
ek din badla lunga.. 

mout ke samay hansta hua jaonga 
aur royegi yeh duniya.

adatan tumne kiye vaade,
adatan humne aitbaar kiya,

teri raho mein ruk-ruk ke, 
humne apna hi intezaar kiya. 

ab na mangege rabse dusri zindagi,
yeh khata humne ek baar kiya.

mujhe aaram karne do, mujhe abb mat jagaao tum

mujhe aaram karne do,
mujhe abb mat sataao tum, 
thakan sadiyon ki hai mujh ko,
mujhe abb mat jagaao tum.

meri khamosh aankhon se,
koi kissa na kehna tum, 
mere kahwbon ke sehra mein,
mujhe ab mat rulao tum. 

dukhon ki ek kahani thi,
ussi ka aakhri hissa,
bohat arrse se jaari tha,
usse ab mat dohraao tum. 

maire veeraan kamre mein,
teri tasveer abb bhi hai,
yeh abb kamre ka hissa hai,
isse abb mat hataao tum. 

mere jaane ki baaton par,
kabhi woh hanste rehte the,
mere jaane ki baaton par,
usse ab mat hansaao tum. 

tumhaari diary ke aakhri
panno mein main tha, 
panne yoon to na phado tum,
mujhe yoon na mitaao tum. 

kahin samandar, kahin sahil,
kabhi mitti, kabhi paani, 
mujhe jo cheezein bakhsin thi,
ussi se ghar banaao tum. 

wahin par hoon, main waisa hoon,
ab aaye ho to ruk jaana,
thakan ki dastaan apni,
mujhe abb mat sunaao tum. 

mujhe aram karne do,
mujhe ab maat jagaao tum.

kuch namumkin sa karne ko dil chaahe

tang aakar zindagi se marne ko jee chaahe,
koshish -e- khudkushi karta hoon to jeene ko dil chaahe.

kab se koshis thi iss makam tak aane ki,
aaj pahuncha hoon to laut jaane ko dil ko chaahe.

jo kiya hai woh bhi mushkil tha, jo paya woh aasaan na tha,
phir bhi kuch namumkin sa karne ko dil chaahe.

woh shard hawa, woh khuli subah, 
woh kamshin, woh nayab haseen..
sach puchho to usse banhon mein bharne ko dil chaahe.

teri yaad mere dil se jaaye bhi to sahi

koi shay humko bhaye bhi to sahi,
sukun aankhon ko aaye bhi to sahi.

tamam raat jaagne se fayda kya hai,
main janta hoon magar.. neend aaye bhi to sahi.

main khud bhi sochta hoon ki main bhula doon tujhko,
par teri yaad mere dil se jaaye bhi to sahi.

har waqt sochte rehne se bhala kya hasil,
nikal kar jehan khayalon se aaye bi to sahi.

kab se lete hain shamsaan ki taraf muh kiye hue,
kisi bahane humein maut aaye bhi to sahi.

jo kehte hain tumhein madhosh karke chhordenge,
mere labon tak woh jaam laaye bhi to sahi.

chhord dein ghar ko hum bhi lekin
lene koi humko aaye bhi to sahi.

kitne hi log roz aate hain, chale jaate hain

kitne hi log roz aate hain, chale jaate hain,
jism mar jata hai, kaarnamein hi reh jaate hain, 

kuch khash karne ki koshish bhi lagi rehti hai,
kuch kiye hote hain, kuch kar jaate hain,
kuch karne ki tamanna dil mein leke hi mar jaate hain.

dooriyan kam jada hain, manjil to ek hi hai,
phir kyun jaane ka rasta alag-alag apnate hain?

jauhri ki talash mein ghumnamiyon mein kho gaye,
kuch bes-keemti heere bhi dhul mein mil jaate hain,

kisi ko pet bhar ke bhi takiye se chubhan hoti hai,
aur kuch bhukhe pet hi footpath pe so jaate hain.

ki fasana-e-zindagi insaan ka sunte-sunte,
aankh kya cheej hai, dil bhi bhar jaate hai.

ki dekha hai humne har mausam ko badalte huye

ki dekha hai humne har mausam ko badalte huye,
kya maloom tha ki har rut yun bemaani ho jaayegi, 

thi jinhein parvaah kabhi hamari khud se bhi zyaada,
kya pata tha maut bhi uske haathon se aayegi, 

chalo achha hua ki katl usne kiya mera,
ki aur koi jaan leta meri to khud se khafa hota. 

yeh zindagi amanat thi tumhaari shauk se le lete,
magar mazaa aa jata agar 
tumhaari aakhon mein ek ashq hota. 

kisi par vishwaas karne se darr lagta hai

duniya mein mera dil nahi lagta, har koi paraya lagta hai, 
darr aur koi nahi mujhe par kisi ko apnane se darr lagta hai. 

duniya mein shaamil hokar bhi jaane kyu hoon duniya se door, 
ab to mujhe jaane kyu apne aap se bhi darr lagta hai. 

kaun deta hai yahan saath kisi ko barso ki doori tak, 
tannha sa rehta hoon ab main, bas bherd se darr lagta hai. 

har koi ek jaisa, jaise kisi ka koi imaan nahi, 

hai har shaks beyimaan, iss baat se darr lagta hai. 

himaat bhi itni nahi ab ki aur dhokhe bardaash kar le hum, 
pehle kehte the kaash sapne pure ho, 
ab to kaash kehne se bhi darr lagta hai. 

roo bhi nahi sakte duniya ke saamne, 
aur muskaan bhi raas aati nahi, 
chupaye kya muh apna tanhayo mein, 
mujhe ab har saath se darr lagta hai.

khud se hi ghabraata hoon, aur bechain bhi hua karta hoon,
aree dukhi hi rehne do yaaron, ab to chaain se bhi darr lagta hai.

dekhne wale bhi dete hain marne ki hi dua doston,
maut bhi apna le to shikwa na kare, 
mujhe to jeene se darr lagta hai.

khwaab kamiyaabi ko chhune ke, kabhi mere bhi hua karte the,
ab arzu rahi hi nahi, ab to tarrakki se bhi darr lagta hai.

dushman koi hai nahi aur dost bhi ab banata nahi,
kya nibhayun rashmein-riwajein, ab to inn juthi rashmon se darr lagta hai.

kisi ka na hai bharosa iss dil ko, kisi se na hi aas,
hua kuch aisa mere saath, 
kisi par vishwaas karne se darr lagta hai.

humein na pukaariye khuda se baat ho rahi hai

aaj daaman se ashkon ki mulakaat ho rahi hai, 
mera din roo raha hai meri raat roo rahi hai,

yeh zameen roo rahi hai mere kadmon se lipat kar, 

mere gale lag ke taaron ki baraat roo rahi hai,

aanshu pochhe haathon ki lakeeren mit gayi, 

aaj kaisi yeh anhoni mere saath ho rahi hai,

pardh raha hoon messages unki tasveer dekh kar, 

humein na pukaariye khuda se baat ho rahi hai,

kahin muskura rahi hai mehndi haathon mein, 

kahin maut ki baahon mein halaat ro rahi hai

mar jaaoonga main iss chupi se

jaan yeh meri, haazir hain jaanam,
le jaao isko, agar chaho tum.

dil hai yeh mera, khilona nahin hai,
khelo na aise, iss dil se tum.

pyar yeh mera, bikau nahin hai,
sacchai ko tum, jaan lo aaj.

resham si mulayam, phoolon si mehak hai,
pankhudi jaise, komal yeh dil hai.

na cheero tum isko, na cherd jaao,
na kehna isko, sanam bewafa…

doob jaaonga, mein dukhdha mein,
ubar na paaoonga, main kabhi.

kuch to kaho, aye zulmi mera pyar,
aise na chup ho, tum mooh phere.

mar jaaoonga main, iss chup chupi se,
kuch to kar ya, phir maar daal.

main teri yaad liye phirta hoon

main teri yaad liye phirta hoon, 
zakhmon ki baaraat liye phirta hoon. 

dekh ke zinda mujhe hairaan kyun ho, 

ek dil-e-barbad liye phirta hoon. 

un se ek mulaakaat abhi bhi hogi, 

be-wajah yeh aas liye phirta hoon. 

pyaar mein dil-o-jaan luta dete hain, 

yeh ajeeb se khayalaat liye phirta hoon.

meri haalat pe aanshu bahaate kyun ho, 

aye zamaane.. teri saugaat liye phirta hoon. 

yeh sher mere aakhiri afsaane hain, 

inhi mein dil ki aawaaz liye phirta hoon, 

agale janam mein hogi woh sirf meri, 

iss baat ka vishwaas liye phirta hoon.

hain itne waade, itni kashmein

majboor hain hum ab iss kadar
ki kuch kar nahi sakte,


maarna chaahte hain khudko
par maar bhi nahi sakte,

hain itne waade, 
itni kashmein judi hui humse,
jo chaahte hue bhi tord nahi sakte.

All Time's Favourite Posts