Showing posts with label ajnabi. Show all posts
Showing posts with label ajnabi. Show all posts

tanhaaiyon ka shikaar aadmi

har taraf har jagah beshumaar aadmi,
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi.

subah se shaam tak bojh dhota hua,
apni hi laash ka khud mazaar aadmi.

har taraf bhaagte-daudte raashte,
har taraf aadmi ka shikaar aadmi.

roz jeeta hua, roz marta hua,
har naye din naya intezaar aadmi.

zindagi ka mukaddar safar dar safar,
aakhiri shaans tak bekaraar aadmi.

har taraf har jagah beshumaar aadmi,
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi.

jaani pehchani si, ek khoobsurat yaad

kabhi aati hai khamoshi se, chupke se,
sargoshi se, andheri raat mein,

bheegi barsaat mein, kabhi veerane mein,
kabhi anjaane mein, kabhi mehfil mein,

kabhi tanhai mein, koi khabar kyun aati hai,
yeah waqt ke kis wajah se, kis ke liye,

kis ki khatir, kis ke liye,
kya batane, yeah kya hai?

ek ehsaas hai, ek pyaas hai,
phir bhi acchi lagti hai,

anjani si, baygani si,
pehchani si, ek khoobsurat yaad.

chalte-chalte bheed ke sath phir tannha ho gaye

chalte chalte bheed ke sath,
phir tannha hum ho gaye,

dhundhte rahe manzil ko,
aur karvaan guzar gaye.

sapne jo haqeekat se the,
raat ke shaayon mein kanhi soo gaye,

khushiyan jo daman mein the,
phoolon ki tarah, kaante se ho gaye.

lamhein jo apne the kabhi,
banker yaadein fizaaon mein kanhi kho gaye.

kabhi garmi, kabhi sardi, kabhi baarish hai zindagi mein

kabhi garmi, kabhi sardi, kabhi baarish hai zindgi mein,
gham hi gham hai meri zindagi mein,

bithe lamhon ki yaad dilata hai yeh badlata mausam,
kho chuki khushiyon ki yaad dilata hai yeh mausam,

itna kuch dekha hai zindagi mein
ub jaane nahi chahate hain hum,

kabhi rishton mein garmahat ka ahsas,
kabhi sard pade rishton ka ahsaas,

kabhi anshuon ki barish hoti inn aankoh se,
kabhi mayusi jalkti inn aankoh se,

jisko samja tha apna woh bhi badla sa najar aata hai,
jiske sahare jina chaha, khush rehna chaha, woh hi aaj rulata hai.

jo pyar ek misaal tha zindagi mein,
wahi aaj bikhra najar aaata hai humein,

naaz tha jinki mohabat par humein
aab wahi thukrate hain humein,

pyar bhi badlte mausam ki tarah badal jata hai,
sukh-dukh mein sath nibane ki khai thi jo kasmein,

aaj un par bhi aitbaar uthta jaata hai,
kabhi garmi, kabhi sardi, kabhi baarish hai zindagi mein.

maun ka rishta

mere ander jaise kisi bhaw ne karwat badli,
aur ek rishte ka janam hua.. maun ka rishta.

dhero baate le kar aaya hai yah maun,
din raat.. charo pahar..
bas yah mujse batiyata rahta hai,

aye dost.. keh kar mere aaspaas,
yeh ghumta phirta hai..

meri ungli pakad kar yeh rishta aage badha,
aur ek bindu… sa jo nazar aata tha,

paas aate-aate saaf nazar aane laga,
aur ban gaya mera sathi,

jab maine usse mera veham kahta hoon,
mera yeh rishta, 
khil-khila kar hans deta hai.

usse apne gale lagate yehi kahti hoon..

raah jab kathhin ho,
manzil bhi door lagae..
aur andhera bhi gehra ho..

har woh raah par jaha-jaha tum chalo,
har pal har kadam par sath.. tumhare,
mujhe bhi paaoge tum…

jo mila uski khushi kaisa, jo khoya uska rona kaisa

jo mila uski khushi kaisa, jo khoya uska rona kaisa,
bahar mein ujrde chaman ko, patjhard se bachana kaisa,

tumhari inayaton ka zikar phir kabhi hoga mere dost,
zakham-e-dosti na ho jis mein, woh dil ka afsana kaisa,

manzil par pounch kar bhi karwa ki talash hi rahi,
acha tha hazum ke saath chalna, yun tannha chalna kaisa,

haath se haath kya milana, dil se dil milaao to jaane,
haath mein khanzar dil mein nafrat, yun yaaron se milna kaisa.

taaro ko chand ke paimanaye mein bhar kar kabhi to pilaao,
ashq bhari ankhon ke paimane mein roz-roz pilana kaisa,

khamoshi ki gunj mein cher ke dil ka saz gun-gunaya karo,
lab-e-khamosh se behron ki mehfil mein gun-gunana kaisa,

apne hi dil ke kone mein dhondho us talash ko,
yun tannha parbat-parbat mare-mare phirna kaisa.

gar hai jeena to dard se kya darna

hamein ishq gar na hota, yeh dard phir bhi hota,
jo tumhari yaad ka hai, phir zamane bhar ka hota.

ehsaas yeh tera hai, kuch to diya hai tum ne,
gar tum na hum ko dete, koi aur hum ko deta.

gar hai jeena to dard se kya darna,
gar ishq ka na hota, koi aur phir bhi hota.

mera yeh kya jeewan hai, akelapan ek humsafar hai

mera yeh kya jeewan hai,
akelapan ek humsafar hai,

khoj hai mera jaari abhi,
mil jaaye ek dost agar…

dhoond liya rasta rasta,
gaya main har kis ke paas,

par laut aaya ek jawaab lekar,
ki dost nahi banayenge hum.

pata nahi kya hua sabko,
ya phir galthi mujh mein hai,

sochta hoon bas yehi,
par koi mujhe milta nahi. 

rehta hoon main unke paas,
karta hoon unki har madadh,

raktha hoon khayal unka,
kami nahi chhod tha kuch,

par jaane kya hua sabko,
ya phir accha nahi lagta main unko,

mere chehre se log nafrat karte hain,
ya mere pehchaan se,

jaanta nahi main abhi kuch,
dhoond raha hoon phir bhi kuch,

mil jaaye ek dost mujhe,
to ho jaun main bhi khush.

tanhai ke iss aalam mein ek tanha alfaaz yaad aaya

tanhai ke iss aalam mein ek tanha alfaaz yaad aaya,
us alfaaz ko dil ne ek saaz mein sajaaya, 

naa jaane phir bhi kyon uss raag ko maine adhoora paaya,
aur rukhe se uss lamhein mein khudko tannha paaya, 

dil mein pyaar ka ehsaas humne ek din paaya,
ikraar jab karna chaha to 
uski aankhon mein kisi aur ka naam paaya,

hataash iss dil ne phir ek alfaaz gun-gunaaya,
alfaaz ko isne ek naye saaz mein sajaaya, 

tanhai ko tab humne apna jeevan saathi banaya,
aur us saaz ko apne jeevan ka raag banaya.

batao tumhein kaisa lagega?

ban jaon agar tumsa to tumhein kesa lagega,
har pal main rahoon tumse khafa, to tumhein kaisa lagega?

padate ho jo tum mujhe mantra-jaap ki tarha,
ho jaaon agar tumse khafa, to tumhein kaisa lagega?

tum pyar mein khud ko mitane par ho raazi,
ban jaaye pyar saza, to kaisa lagega?

khud se bhi jada yakeen ho tume kisi par,
woh shaks hi agar de daga, to kaisa lagega?

jisne dil se humein bhulaya hai, ab bhi dil mein wahi samaya hai

jisne dil se humein bhulaya hai,
ab bhi dil mein wahi samaya hai, 

jaane woh kaise apne dil se mujhe bhula baithe,
maine jab bhi bhulana chaha unhein,
mujh ko bhoola bhi yaad aaya hai.

woh sunte nahi meri yeh alag baat hai,
yun to dil ne usse har ghadi bulaya hai,

unki bewafai ka kisi se gila kya karte,
apni hi wafaon ne bas humein rulaya hai.

chhurdale mujh ko aye maut kahin se aakar,
zindagi ne mujhe aaj bahut hi sataya hai.

abke baras ek shikayat mujh ko sawan se rahi,
chhod kar ghatayein meri aankhon mein utar aaya hai.

jisko bhi chaha wahi cheej na paayi humne

har jagah se teri pehchan hatayi humne,
be-sabab ghar ki har ek cheej sajayi humne.

jaan le leti teri yaad yakinan ek din,
yoon bhula ke tujhe yeh jaan bachayi humne .

humne ki thi kabhi jinki salamati ki dua,
umra bhar unke liye di hai duhayi humne.

jis taraf se bhi hua sikwa apni nazron se,
phir kabhi uss taraf na aankh uthayi humne.

bas burayi hi mili hai uski aur se,
jiske bhi saath ki hai bhalayi humne

teri firak mein kyu bhatke yeh ab sochte hain,
keemati zindagi kyun aise ganwayi humne.

bekarari mein jo likhe the kabhi tere liye,
unhin kahton ko aaj aag lagayi humne.

jo bhi milta hai yahan, nasibon se milata hai,
jisko bhi chaha wahi cheej na paayi humne.

yeh to ek din hona hi tha

mere jazbe se khelna hi tha,
unhein iss dil ko tordna hi tha.

kyun aayi meri zindagi mein tum,
jab mujhe tannha chordna hi tha?

kyun mujhe pyar ka dhokha diya hai,
jab tujhe gair ka hona hi tha?

rishte-rishte hain, kachhe dhage nahi,
jhute rishton ko to ek din chordna hi tha.

baat kuch aise puchh baithe woh ki,
na chahate huye bhi humein jhooth bolna hi tha.

anjam-e wafa dekh kar hairaan kyun ho,
yeh to ek din hona hi tha.

tardapta chordkar be-perwah, rawan ho jaate hain

dekhte-dekhte hawa ho jaate hain,
jane kab bachhe jawaan ho jaate hain. 

kal tak jo khelte the dhool-mitti mein be-khabar,
ab to chhune se khafa ho jaate hain. 

samajh na paya kabhi main inki fitrat ko,
kabhi khud marz.. kabhi khud dawa ho jaate hain. 

iss daure jawaani mein kahin fariyad.. kahin naaz,
kuch rote hain wafa ko, kuch bewafa ho jaate hain. 

jawaan dil ko behlane wali kisi kitab ka
dilchasp ek safa ho jaate hain. 

woh apne lutf mein kisi ki gujarish nahi sunte,
tardapta chordkar be-perwah, rawan ho jaate hain.

na to manzil na humsafer na koi karwan hai

na to manzil, na humsafer, na koi karwan hai,
raston mein bas dhuan-dhuan sa hai.

unke daman mein to chaand-taare hain,
mere hisse mein to khaali-aasman hain.

zakham pe zakham diye jaata hai,
dil ko lagta hai mera meherban hai.

kayi roz se yeh dil kahin lagta hi nahi,
din hai veeran-veeran, raatein gumzada hain.

zamane bhar ko hua unka deedar magar
udher se muh chhupa ke gujare, jidhar mera makan hai.

jabse bikhra hua saman sajaya hai maine,
ghar bada khali khali sa ho gaya hai.

jo pankh fad-fada ke reh jata hai akser,
dikhta nahi us par kahin mahoul ka rand,

iss shehar mein shayad woh naya-naya hai,
parinda woh abhi jara nadan sa hai.

padosi ka haal poonchun, yeh fursat kahan hai?
mera chulha khud abhi dhuan-dhuan hai.

apne dar-e-jehen pe kuch tikta hi nahi,
abhi zami thi abhi aasman hai.

kitne hi log roz aate hain, chale jaate hain

kitne hi log roz aate hain, chale jaate hain,
jism mar jata hai, kaarnamein hi reh jaate hain, 

kuch khash karne ki koshish bhi lagi rehti hai,
kuch kiye hote hain, kuch kar jaate hain,
kuch karne ki tamanna dil mein leke hi mar jaate hain.

dooriyan kam jada hain, manjil to ek hi hai,
phir kyun jaane ka rasta alag-alag apnate hain?

jauhri ki talash mein ghumnamiyon mein kho gaye,
kuch bes-keemti heere bhi dhul mein mil jaate hain,

kisi ko pet bhar ke bhi takiye se chubhan hoti hai,
aur kuch bhukhe pet hi footpath pe so jaate hain.

ki fasana-e-zindagi insaan ka sunte-sunte,
aankh kya cheej hai, dil bhi bhar jaate hai.

ki dekha hai humne har mausam ko badalte huye

ki dekha hai humne har mausam ko badalte huye,
kya maloom tha ki har rut yun bemaani ho jaayegi, 

thi jinhein parvaah kabhi hamari khud se bhi zyaada,
kya pata tha maut bhi uske haathon se aayegi, 

chalo achha hua ki katl usne kiya mera,
ki aur koi jaan leta meri to khud se khafa hota. 

yeh zindagi amanat thi tumhaari shauk se le lete,
magar mazaa aa jata agar 
tumhaari aakhon mein ek ashq hota. 

raaj hai mera naam

bakaiti thakur hoon main, raaj hai mera naam,
bhoole bhatako ko raah dikhana, hai mera kaam,

pade likhe bewakoof se, nit hoti mulakaat,
kosish kerne par bhi samjhe na meri baat,

mandir mein jaa ker log ebaadat kerte hain,
apne sukh samridhi ki wakalat kerte hain,

kalyug mein ishwar ko paana hai aasaan nahi,
prem bhaw se bhakti kerne wala hai insaan nahi,

guru-shisya ka nata aaj kalankit ho gaya,
naytikta ka pattan aaj sunischhit ho gaya,

mata-pita ki baani hoti annmol hai,
baccho ke liye jo kadvi besak ghol hai,

yoga yoga sab kahe, par kare na koi,
samay-samay par yog kerte to rog hoye na koi..

aye mere khuda mujhse aake tu mil

aye mere khuda mujhse aake tu mil,
tum meri saaz hai, meri aawaaz hai,
mere dil mein kuch sawaal hai, unka jawaab do..


kyun bani roshni ? 

jab har aur andhera hai,
zindagi ke liye kyun har raat sawera hai?


kyun bana yeh jahaan, kyun banaa aashma?
kyun bane khwaab hain? aaye hain kyun hum yahaan?
yeh duniya kyun kamaal hai, mujhko hisaab do...

mere parmatma mujhse aake tu mil,
tu meri saaz hai, meri aawaaz hai,
mere mann mein jo sawaal hain, unka jawaab do..


kyun yahaan dil se dil, tut kar na mile?
baaki reh jaate hain kyun yaadon ke kaafile?
kyun yeh raahein jawa, chorde aise nisha?

zindgi mein badalte mausamon ki tarah,
mere dil mein kuch sawaal hain, unka jawaab do..

na milo to rooth jaati hai

na milo to rooth jaati hai,
milo to mushkilein barhati hai,

badi paagal hai yeh zindagi meri,
na khul ke milti hai,
na hum ko chhord hi pati hai.


khud hi bunti hai yeh rishte mujhse,
aur phir inmein fansa deti hai,
mujhse waada to nahi uska koi phirbhi,
ek ankahi si baat par,
ek ansuni si ummeed jaga deti hai.

humne sar aankhon pe bhitha rakha hai jisse,
in khayaalon mein dulhan sa saja rakha hai jisse,
jaane kya pardhti hai in aankhon mein woh,
khud hi deti woh haath mere haathon mein aur,
jaane kya soch ke phir haath chhuda leti hai. 

badi paagal hai yeh zindagi meri,
na khul ke milti hai,
na hum ko chhord hi pati hai.

All Time's Favourite Posts