Showing posts with label pyar. Show all posts
Showing posts with label pyar. Show all posts

aise hote hain pitah

jeevan mila jinse, woh jeevandaan hai pitah,
pukara jaaye chaahe kisi bhi bhasha mein
kehkar papa, baba, babuji...
har boli mein inke liye hai 
wahi pyaar aur samman bhara.

thaame jinki ungli bachpan challa,
jinki majboot kandhon par baithkar duniya dekhi,
godh par baith kiye nakhere dher jinke,
jinhone apne sneh se hamein bada kiya,
woh hai pitah!

choti se choti jeet par bhi jinse shabashi mili,
har haar ko jinhone sikh bataya,
nirash ko door bhagaya,
jeevan ki sachaai se hamein rubaru karaya,
sahi aur galat mein antar samjhaya,
jinhone apne bachoon ke sukh mein hi apna sukh paya,
bachoon ke liye har pareshani haskar uthaaya,
jinki puri sansaar unke bachoon mein hi samaya,
woh hain pitah!

kabhi kadak ho jaate to kabhi naram bade,
lagate hain pabandiyan to kabhi dete hain choot puri,
kabhi hansaate hain to kabhi rulaate hain,
kabhi maa ki daat-maar se bachaate hain,
to kabhi khud hi chapat laga dete hain,
aise hote hain pitah!

pyaar se thapki dekar sulaate hain,
to kabhi khana banakar apne haathon se bhi khilaate hain,
jarurat ho to maa ke bhi saare kartavya nibhate hain,
din raat mehnat kar apne bachoon ke bhavishya ko sawarte hain,
har din, har pal unke ujjwal bhavishwa ke hi sapne bunte jaate hain,
apne har saans ko pitah apne bachoon par lutaaate hain,
kabhi kathor hokar to kabhi mom ki bhaati pighal jaate hain pitah!

aapki bhumika kayi roop se hai...
dhoop gar jalaye to chaao ban jaate hain,
wahi samay aane par ussi dhoop mein tapkar jeena sikhate hain,
baatein jinki hamesa maargdarshan karti hai,
kathinayion se lardte huye, viparit paristhithi mein bhi,
apne sidhanton par chalna sikhate hain,
sath mein ho yaa yaad mein,
inki upastithi hamesa mann ko sukun pohuchati hai,
aise hote hain pitah!

majhdhaar mein banke rahe pattvaar pitaaji

duniya ko bataate rahe majhdhaar pitaaji,
majhdhaar mein banke rahe pattvaar pitaaji,

saaya bhi unhi se hai, sahaara bhi unhi ka,
bachchon ke liye dar hai aur deevaar pitaaji.

chullha na pade thanda kabhi isleye aksar,
hansakar gaye hain kaam par beemaar pitaaji,

maa ke bimaari mein bachche, roti aur baratan,
aksar nibhaate maa ka bhi kiradaar pitaaji.

hain dost, alaarm, guru, to pabandiyaan kabhi,
thappad, nasihatein, kabhi akhabaar pitaaji.

maa-baap ki sewa hi sabse badi puja hai

pitah jeewan hai, sambal hai, shakti hai,
pitah shristi ke nirmaan ki abhi-bhyakti hai,

pitah ungli pakkde bacche ka sahara hai,
pitah kabhi kuch khatta, khabhi khhara hai,

pitah paalan hai, poshan hai, pariwaar ka anushaashan hai,
pitah dhaus se chalne wala prem ka prashasan hai,

pitah rooti hai, kappda hai, makkan hai,
pitah chhote se parindon ka bada aashmaan hai,

pitah niswarth annant pyaar hai,
pitah hai to bachhon ka intezaar hai,

pitah se hi bachhon ke dher saare sapne hain,
pitah hai to baazar ke sab khilone apne hain,

pitah se pariwaar mein pratipal raag hai,
pitah se hi maa ka bindi aur suhaag hai,

pitah parmatama ki jagat ke prati aashakti hai,
pitah grihasta aashram mein uccha sthiti ki bhakti hai,

pitah apne ichhaon ka hannan aur pariwaar ki purti hai,
pitah rakt mein diya hua sanskaaron ki murti hai,

pitah ek jeewan ko jeewan ka daan hai,
pitah duniyan dikhaane ka ehsaan hai,

pitah suraksha hai, sar par haath hai,
pitah nahi to bachpaan anaath hai,

to pitah se bada tum apna naam karo,
pitah ka apmaan nahi, unn par abhimaan karo,

kyuki maa-baap ki kami koi bant nahi sakta,
aur ishwar bhi inki aashishon ko kaat nahi sakta,

vishwa mein kisi bhi devi-devta ka sthaan duja hai,
maa-baap ki sewa hi sabse badi puja hai,

vishwa mein kisi bhi tirtha ki yaatraein byarth hai,
yadi beta ke haathon mein maa-baap ashmartha hai,

woh khushnaseeb hain jo maa-baap ke sath hote hain,
kyuki maa-baap ki aashishon ke hazaron haath hote hain.

gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba

aankhein michh kar soone se pehle,
jazbaat pighal kar roone se pehle,
jab aalfaz sinne mein dafan ho jaate hain,
tab yaadon se palkein bhigone se pehle,
aapke ashk se baatein karne lagta hoon,
tashveeron ko mana kar, unhi se ruth leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba !

bin mausam ki barsaat mein kabhi bheegne lagta hoon,
raat chaadar lapet kar thand ke maare jab kappne lagta hoon,
tab lagta hai jaise apna chaadar aap mujhe ordha rahe ho,
aur garm haathon ki narm ungliyon se mere baalon ko sehla rahe ho,
aapke hone ka ehsaas bhar se hi, har dard mein sukkun paa leta hoon baba,
yaadon ki chaadar ordhe har raat... aapko dhund leta hoon baba !

kisi raat sapnon mein puraane school pahuch jata hoon,
shaam dhalne par jab khil-khilate baccho ki toliyan nikalne lagti hai,
tab naa jaane dil ko kaisi aas bandh jaati hai,
meri nigaahein un cheharon mein kuch dhundane lag jaati hai,
dhundata hoon un haathon ko jinme jhaalmudi ki thayali hogi,
mera intezaar karti huyi, apni priya scooter kahi kadi hogi,
jispar sawar hone par ke khayaal se hi main jhoom leta hoon baba,
har nukkad, gali, chauraahe mein, aapko dhund leta hoon baba !

bheed mein akelapan ka ehsaas aapke bin hota hai,
jab kabhi bhi pariwaar mein kisi ka janam-din hota hai,
sabse chupte-chupaate koi tauffa le aaoge,
jo humse naa bujhi, woh mom-battiyan aap bujhaaoge,
bas yehi sochkar jaan bujhkar, aankhein mund leta hoon baba,
kabhi na khatam hone wale intezaar mein.. aapko dhund leta hoon baba !

woh aakhri pal nahi bhoolta mujhse kisi bhi haal mein,
aap zindagi ki door thaame ashpataal mein,
mujhse tab yeh kaha gaya ki kuch hi pal ab sesh bachi hai,
laga jaise khusiyon ki duniya ab dher ho chuki hai,
lekin maut ke farishton se chupte-chupaakar,
rakha tha aapne kuch saansein bachaakar,
aapki pairon ko apne hatheliyon se malte huye,
maine haathon mein aapke pairon ko jakkad rakha tha,
kuch naa keh kar bhi kitna kuch keh rakha tha.

aapse thi saari muskuraahat, aap khusiyon ke jahan the,
mere aanshu tab sukh chuke the, jab aap be-jubaan the,
ab to bas aapki tasveeron se baatein kar leta hoon,
dil kaagaz ban jaata hai, jispar dard apna likh deta hoon,
ussi dard ki dabbi huyi aawaz mein, likhe huye har alfaaz mein,
aapko dhund leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein..
aapko dhund leta hoon baba !

bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai

aapki kami khalti hai mujhe, yeh khaalipan tardpata hai,
bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai.

ab pata chalta hai ki.. yeh zimmedariyon ka bojh kitna bhaari hai,
khud se jyada apno ki khusiyan pyaari hai,

daurdne pardte hain kadam, pakadne ko zindagi ki raftaar,
aaj to gujar gaya jaise taise, kal bhi hai aane ko taiyaar.

aapki majbooriyon ka mujhe ab ehsaas hota hai,
duniya hoti hai matlabi, aur ghar ka har saksh khaas hota hai.

maa ke baad pita hi samajhta hai khamosi bachhon ki,
muskilon se bachane ke liye, pita himmat ki deewar hota hai.

har daat pe pyaar jo rahta hai, woh yaad bahut ab aata hai,
har beeta lammha ab to bas, aankhon mein aanshu laata hai.

tashveer basi hai dil mein jo, jeene ka hausla deti hai,
isse tarah se bas ab to, yeh waqt gujarta jata hai.

aapki kami khalti hai mujh mein, yeh khaalipan tardpata hai,
bas yun hi yaadein dil mein sametey, yeh waqt gujarta jata hai.

Miss You Baba !!

aise the mere pitah

bargad ki gehri chaav jaise,
zindagi ki dhup mein ghanne shaaye jaise,
the mere pitah.

ghar par ishwar ka roop jaise,
chubhati dhoop mein sahlaate,
mere pitah

bacchon sang bacche ban khelte,
unko uphaar dilla kar khushi dete,
bacchon ko yun hi muskuraao ki dua dete,
aise the mere pitah.

sankat mein pathwaar ban khade hote,
aashray sthal jaise the mere pitah.

bund bund sab ko sameet-te,
andhere mein de kar hausla,
kehte mere pitah,
tumko kiska dar hai?

ghumon ki bheed mein hasna sikhate,
mere pitah.
aur apne dum par tufaanon se lardna,

kisi ke aage tum nahi jhukna,
yeh sikhalaate mere pitah.

pariwaar ki himmat aur vishwas the,
umeed aur aas ki pehchaan the mere pitah.

baba.. aapko tahhe dil se sukariya

apne pitah ke kandhe mein baitha main,
jab unke kandhe par khada ho gaya,
maine kaha apne pitah se...
dekho baba, main tumse bada ho gaya.

baba ne tab kaha...
beta iss khubsurat galatfehmi mein bhale hi jakkade rahna,
lekin mera haath hamesa pakade rahna,

jis din yeh haath choot jaayega,
beta tera yeh hassin sapna tutt jaayega.

duniya vaastav mein itni haseen nahi hai,
dekh tere paau talle abhi zamin nahi hai,

main to baap hoon beta, bahut khush ho jaaunga,
jis din vaastav mein tu mujhse bada ho jaayega.

magar bete kahdhe par nahi,
jab tu zamin mein khada ho jaayega,
yeh baap tujhe apna sab kuch de jaayega,
aur tere kandhe par duniya se chala jaaunga.

pitah na ho to roti hain ziddhein,
khawaaishon ka dher hota hai,
pitah hai to hamesa bacchon ka dil sher hota hai.

iss matlab bhari duniya mein,
woh be-matlab ki kavitaon ka saar hai,
jinko apne sapnon ko chordkar,
bachhon ke sapnon se pyaar hai,

woh mere pitah mera pehla pyaar hai,
woh iss chhoti si duniya mein mere anant sansaar hai.

kandhon par jhullaaya, kandhon par ghumaaya,
uss pitah ki badolat hi, mera jeewan khubsurat ban paya hai.

kya kahun uss pitah ke baare mein,
jisne sochha nahi kabhi khud ke baare mein,
baba aapne mujhe zindagi bhar diya hai,
aapka tahhe dil se behad sukariya hai.


jisse hum papa kehte hain

har ghar mein hota hai woh insaan,
jisse hum papa kehte hain.

sabhi ki khushiyon ka dhyaan rakhte,
har kisi ki ichha puri kerte,
khud gareeb aur bachhon ko ameer banate,
jisse hum papa kehte hain.

badon ki sewa, bhai-behan se lagaao,
patni ko pyaar, bachhon ko dulaar,
kholte sabhi khawaishon ka dwaar,
jisse hum papa kehte hain.

beti ki shaadi, beton ko makaan,
bahuoon ki khushiyaan, damadon ka maan,
kuch aise hi safar mein gujaare woh har shaam,
jisse hum papa kehte hain.

saaye ki tarah aap mere sath rahe

saaye ki tarah aap mere sath rahe,
mere hansne par hanse, mere roone par rooye the,
jab bhi darre huye honton se aawaz di maine,
aakar har uljhan par pehle se hi khade the aap.

ek saundhi khusbu thi aapki chuuan mein,
kitna bhi udaas rahta tha, 
aapki chuuan se dil jhum jhoom jata tha,
lav khil-khila uthtey the.

mere jeevan mein aap kya the.. kya hain,
yeh  lafzon mein bayan karna mumkin nahi,
aapko aag ke hawale kar aaj khud ko jala baitha,
lekin ab bhi jo saskh mujh mein jee raha hai,
woh koi aur nahi.. aap hi ho.

jab maine aapko kandha diya,
achanak ek dard uttha mere sinne mein,
ehsaas hua kya hota hai zimmedaari,

kappkapate huye haathon se jab main agni de raha tha,
kaise bataun ki meri geeli-dhundali aankhon ne,
kya-kya manzar dekha tha,

par haathon mein ek ajeeb si takkat mili thi uss chann,
laga.. muskuraate huye mere udaasi ke palon mein
mujhe aap sehla rahe ho,

ess ehsas ne phir meri aankhon mein
aanshuon ke sailaab laa diya,
main chikh-chikh kar roo raha tha
aapki chittah ke pas baith kar,

par hey pitah.. aapne phir chaturaai dikhaayi,
chitta ki aag ko thanda kar diya,
bas waha rakh hi raakh bachha tha.

maalum hai, madhya-raatri se pehle
aap mujhe ghar bhejna chahate the,

koi baat nahi, aap jaaha jaana chahate hain, jaaye.. lekin,
main aapko aawaz dunga har dishaon mein,
aapko aana hoga.. kam se kam mere khaawabon mein,

mere sapnon mein aakar 
aap mujhe ek baar beta keh kar pukaar lena,
mujhe gale se laga lena,

aapke bin kaise chalunga phirse ungli pakad kar,
thoda raasthe mein badha dena hey pitaji,
aap harpal mujhe itna ehsaas dilla dena,

main aapka beta hoon ~raj~ naam hai mera,
aakar mujhe mera naam, bata dena.

o maai - o maai...

ambar ki uchaai, dharti ki yeh gehraari,
tere hridaay mein samayi.. o maai - o maai.
tere mann amrit ka pyaala, yehi kaaba yehi shivaala,
teri mamta paawan-daayi, o maai - o maai.

hamesa tere sath hi rahoon, main bankar tera humjoli,
tere pas naa jaaun.. chip jaaun, yuh kehlun main aankh micholi,
pariyon ki kahani suna de, koi mithi loori gaa de,
kar de sapna sukhdaayi, o maai - o maai.

sansaar ke taane baane se ghabrata hai mann mera,
inn jhuthe rishton-naaton mein, bas pyaar hai tera hi saccha,
sab sukh-dukh mein dhal jaaye, teri baahein jo mil jaaye,
mil jaaye mujhe khudaayi, o maai - o maai.

phir koi shararat ho mujhse, naaraz karun phir tujhko,
phir gale pe thappi maar ke, shinne se laga le mujhko,
bachpan ki pyaas bujha de, apne haath se phir khila de,
pallu mein band mithai, o maai - o maai.

HAPPY MOTHER'S DAY...!!

bebas hoker apne maa baap ko bimaar hota dekh raha hoon

chupke chupke mann hi mann mein,
khudko rotta dekh raha hoon,
bebas hoker apne maa-baap ko,
bimaaar hota dekh raha hoon.

rachha hai bachpan ki aankhon mein,
khilla-khilla sa maa baap ka rupp,
jaise jaade ke mausam mein ho,
naram-garam makhmal si dhoop.

dhire dhire sapnon ke iss rupp ko,
aankhon se ojhal hota dekh raha hoon,
iss covid ki maha-maari mein,
bebas ho kar unko bimaar hota dekh raha hoon.

kal tak tha jo sab sawra sa, ek chota sa apna bhi duniya,
chutt raha ho dhire dhire, maa baap ke saath ka saaya bhi,
chinn raha ho waqt jaise unke baaton bhara khazana bhi.

ghar ke malik ko aaj hospital ICU par 
bimaar tardpata dekh raha hoon,
bebas ho kar apne maa-baap ko bimaar hota dekh raha hoon.

chupke chupke mann hi mann mein,
khudko roota dekh raha hoon,
bebas ho kar apne maa-baap ko bimaar hota dekh raha hoon.

kabhi na bhool paau, woh kahani hai pitah

kabhi abhimaan to kabhi swabhimaan hai pitah,
kabhi dharti to kabhi aasmaan hai pitah,
janam diya hai agar maa ne,
jaanega jisse jag, woh pehchaan hai pitah.

kabhi kandhe par bitha kar mela dikhata hai pitah,
kabhi banke ghoda, ghumaata hai pitah,
maa agar pairon pe chalna sikhati hai,
to pairon pe khada hona sikhata hai pitah.

kabhi rooti to kabhi paani hai pitah,
kabhi budhaapa to kabhi jawani hai pitha,
agar maa hai maasum si loori,
to kabhi na bhool paau, woh kahani hai pitah.

kabhi hansi to kabhi anusaasan hai pitah,
kabhi maun to kabhi bhaasan hai pitah,
maa agar ghar mein rasooyi hai,
to chalta hai jisse ghar woh raashan hai pitah.

kabhi khawaab ko pura karne ki zimmedaari hai pitah,
kabhi aanshuon ke chippi lachaari hai pita,
maa agar bech sakti hai jarurat pe gehne,
to jo apne ko bech de woh baypaari hai pitah,

kabhi hansi aur khushi ka mela hai pitah,
kabhi kitna tannha aur akela hai pitah,
maa to keh deti hai apne dil ki baat,
sab kuch samet ke aasman sa failaa hai pitah.

udasi ka mausam kabhi humara na tha

dil to tere saath tha, tujhe hi yeh gawara na tha,
humne manga uss jahan ko, jo kabhi humara na tha.

tum kehte ho pyaar kamjor tha humara,
kya pyar dene ka kuch farz tumhara na tha?

jeene ki aas chordna bhi kaise chahein,
saans lene ka faisla akele humara na tha.

shiddhat se intezaar kiya har saans ne tera,
yeh baat aur hai, kabhi tumhe pukaara na tha.

iss kadar bikhre hain arsh par sapne meri jaan,
ek tere siva duniya mein koi humara na tha.

aa jana raahon mein kisi gaier ke sath bhi,
sochenge iss dil par kabhi hak humara na tha.

bahaaron ne kar diya bedakhal apni duniya se,
varna udasi ka mausam kabhi humara na tha.

ab toh tutt ke girne ko betaab hain,
akele sab sehne ka dum humara na tha.

tera ehsaas mujhse kabhi door naa ho

mere baad mat dhondhna mere kadmon ke nishan,
main to ek saaya hoon kali raat ka,
ek saaya jiska koi wajood nahi,

janmo se main bhatak raha hoon apni talaash mein,
dubba hua hoon na jaane kaise pyaas mein,

zindagi se khaffa maut ki talash mein,
anjaan se safar mein koi sathi nahi hai mera,
ek safed sa saaya jo shayad mera kafan hai,
roz mujhe dhakne ki firaq mein,

aata hai har raat mere soone ke baad,
lekin usse bach ke bhagne ki koshish mein,
roz thora thora sa mar raha hoon,
bass ussi kafan ka intezaar kar raha hoon,

lakin waise nahi jaise woh mujhh dhakna chhahta hai,
main jee to nahi saka apni marzi se,
lekin mera jism apni marzi se marna chhahta hai,

main maut ko jaise bulaun woh waise hi aaye,
marne ke baad mera dil bhi dharkta rahe,
kiyonki iss dil mein to tu bassi hai,

marne ke baad meri aankhain bhi khuli rahe,
kyonki inn mein tere khwaab sajaye hain,

marne ke baad mere hoonth bhi larzte rahe,
kyonki inko aaj bhi teri pyaas hai,

marne ke baad meri sanse bhi chalti rahe,
kyonki yeh sanse tera naam lekar chal rahi hain,

magar jab mujhe aakhri hichki aaye,
to teri goad naa ho tera anchal naa ho,

tere aanshu meri lash ko nehlatay naa ho,
tere hoonth mere bejaan jism ko chumtay naa ho,

mere rashton mein tujh se kiye waade naa ho,
mere phir zinda ho jaane ke iraade naa ho,

tere saath guzre pal mujh par bojh naa ho,
tera pyar mere paon ki zanjeer naa bane,

meri chhita ki rakh se teri tasveer naa bane,
kash yun zindagi kare bewafai to kitna acha ho,

tera surakh dupatta meri lash se lipta ho,
mera wajood chutki bhar rakh main simta ho,

aur woh rakh teri mang ka sindoor naa ho,
tera ehsaas mujhse kabhi door naa ho,
tera ehsaas mujhse kabhi door naa ho...........!!

chuukar teri ruuh ko mere ruuh ka yeh ishaara tha

woh shaam, woh masti, woh shokh nazara tha,
surkh sooraj se nahaya dariya ka kinaara tha.

dubte shams ki garmahat, hamare ishq ki shiddat,
jaise door chitiz pe hamari chahat ka sharaara tha.

jaise do dil mile ho, fiza mein kayi rang ghule ho,
mere lab-o-rukhsaar ko teri ulfat ne sanwara tha.

jaise sham ki khusbu, aanchal mein mehak gayi ho,
daaman mein samaya, tera chehra yaadgar tha.

matwaali, albeli, lehron ke badan pe woh cheeinte,
ret sane mere jism ne, teri khil-khilahat ko pukaara tha.

mere chehare par teri saanson ka machalna,
tere chuwan ki be-khudi mein, mera jism para para tha.

shabnami labon ki aanch se, saansein behak gayi,
mauz-o-masti ke aalam mein mera ruup awaara tha.

meri khwaab aur hasraton ki aandhi jo chal pardi,
mehboob teri baahon mein mera sab tumhara tha.

shafaq kirnein, woh sab fizaayein, dhadkanon ke nagmein,
woh bijli ki chamak, woh gul, inmein hua bebas yeh dil bechaara tha.

saare jahaan ki khushiyan tujhko main nichawar kar doon,
chuukar teri ruuh ko, ‘raaj’ ki ruuh ka yeh ishaara tha.

nahi mili khushi na sahi par uska gham to mila

nahi mili khushi na sahi par uska gham to mila,
ke issi bahane hi sahi hume ek sanam to mila.

sahi hai ke mohabbat haqeekat se door hi rahi,
par issi dard se mohabbat ka humein bhram to mila. 

kaun jaane ke mil jaaye rahe kahi par jakar phir se
issi baat se doston jeene ka humein dum to mila.

mat roko mujhe likhne se mere chahne walo,
ke nagmon ke roop mein hume dil ka marhum to mila. 

yaad hai sari mujhe.. teri mulakate

tera hasna, tera muskurana,
aankhein milte hi.. tera sharmana.

tera chalna, tera milna,
phoolo ki tarah.. tera khilna.

teri chaal, tere baal,
gulabo si rangat wale,
tere surkh gulaabi gaal.

tera baithna, tera uthna,
bina baat ke.. tera ruthna.

tera gussa, tera pyar,
chhoti chhoti baato pe.. teri takraar.

tera aana, tera jaana,
khud jhagad ke.. tera manaana.

tera gaana, tera rona,
mere aagosh mein aake.. tera khona.

teri aankhein, teri baatein,
yaad hai saari mujhe.. teri mulakate.

new year ka intezaar

12 mahino ka intejaar,
phir tum aate ho har saal,
dilon ke beech dooriya,
kuch palon ke liye hi sahi,
mita dete ho har saal,

har koi ek dusre se,
happy new year,
kehne ko hai bekaraar,
mehfilein zama dete ho,
nacha dete ho har saal,

gujre waqt ka andhera,
mita dete ho har saal,
nayi ummeedein,
naye armaan sabke dilon mein,
jaga dete ho har saal,

ab aa bhi jaao na,
mat karwao intezaar,
tere swagat ko,
hum sab hai taiyaar.

chahne par bhi na bhool paaye, lakh jo bhulaya humne

jinke-kan kan mein thi bewafaai ki khushbu,
dil ke aangan mein poudha aaisa mehkaya humne.

gir gaye woh khud hi aapni nazaroo se doston,
jab unka diya zakhm unhi ko dikhaya humne. 

bhale hi khud rote rahe hum sadda sitam se unke,
kabhi kissi baat par unko na rulaya humne. 

yaadein chali aati hain unki jab bhi tannha hote hain,
chahne par bhi na bhool paaye, lakh jo bhulaya humne. 

aaj woh hi sikhlate hain zamane mein tannha rehna,
jinhein kabhi yeh zaalim pyaar tha veeraan zindagi ka,
issliye baad unke saathi, mout ko banaya humne.

pucha jab kabhi humse raaz doston ne khamoshi ka,
aapni mohabbat ka ek alfaaz na batayaa humne.

sab loggo ne yahe jutai doulat zamane bhar ki,
khushiya ke baadle bas ghum hi tha jo jutaaya humne.

tum kabhi na karna mohabbat deewano ki tarha,
har aashiq ko iska kaaran bataya humne.

koi bhi ab wafadaar na raha

duniya mein sachha pyaar na raha,
koi bhi ab wafadaar na raha. 

vaade wafa ke karte hain sab,
nibhayein jo aisa yaar na raha. 

nazrein jhuki si, kap-kapate se lab,
pyaar ka aisa izhaar na raha. 

chudiya-kangan to khanakte hain sab,
par pehle jaisa jhankaar na raha. 

piya mann bhaaye bhala kaise jab,
karne ko koi shingaar na raha. 

pathjhad si lagti hai jeevan ab,
zindagi mein koi bahaar na raha. 

chale gaye wapas jaane woh kab,
unka ab koi intezaar na raha. 

hasratein hain adhuri, tutte sapne sab,
apna ab koi dildaar na raha. 

karu kya fariyaad.. sune jise rab,
ab aisa koi pukaar na raha. 

saasein to leta hai raaj
 ab bhi,
zindagi par koi aitbaar na raha.

All Time's Favourite Posts