Showing posts with label short shayari. Show all posts
Showing posts with label short shayari. Show all posts

dard ke samundar ko sene mein dabaye baitha hoon

dard ke samundar ko 
sene mein dabaye baitha hoon,
apne aankhon ke aanshuon ko 
muskaan mein chupaye baitha hoon.

yeh kaun kahta hai 
hansta hua chehra hai mera,
yeh to woh dard hai 
jisse apne chahre se chupaye baitha hoon.

ek bewafa ko bhoola naa jaaye to kya kare

kaam aa saki naa apni wafaye to kya kare,
ek bewafa ko bhoola naa jaaye to kya kare?

abb dil mein hai ki unko bhula kar hi dekh le,
woh baar-baar yaad jo aaye to kya kare,

come and sit, and hold my hand

come and sit, and hold my hand,
and pour yourself a glass of gin.

forget whatever else you have planned,
just come and sit, and hold my hand,

and let me stroke your silken skin,
and tell you how I did like to sin,

with you – so come and hold my hand,
and pour yourself a glass of gin.

kuch is tarah se toota dil apna

kuch is tarah se toota dil apna,
ke tordne waale ko bhi taras aa gaya,
jo tord kar dil mera
mujhe jeena seekha gaya,

woh samjh sakein to aanshu, na samjhe to paani

yeh inaayatein gazab ki,
yeh balaa ki meherbaani,
meri khairiyat bhi poocchi,
to kisi aur ki zubani,

meri be-zubaan aankho se,
gire hain chand katre,
woh samjh sakein to aanshu,
na samjh sakein to paani.

sab raaz nahi hote batane wale

kya hoon main aur kya samajhte hain,
sab raaz nahi hote batane wale,

kabhi tanhaiyon mein aakar dekhna,
kaise rote hain sabko hasane wale.

jeene ki chaah mein kya rakha hai

jeene ki chaah mein kya rakha hai?
dard-e-dil sunaane mein kya rakha hai?

woh to aadat pard gayi hai udaas rahne ki,
warnaa udaas rahne mein kya rakha hai.

mere khwabon ki basti se

mere khwabon ki basti se,
arthi uthte jaate hain,

meri ankhein jise chhu lein,
woh sapna roz marta hai.

khamosh yeh jaban hai

khamosh hum khamosh sa yeh saman hai,
khamosh lab khamosh yeh jahan hai,

kahin toot na jaaye mere sabra ka kinara,
isiliye khamosh yeh jaban hai.

ek tannha shaam thi, ek akeli raat thi

ek tannha shaam thi, ek akeli raat thi,
ek akele hum the, ek teri yaad thi.

shuru hua phir jo tanhaiyon ka aalam,
ki har tannhai pe ek yaad thi.

dard ko bhi ab dard hone laga hai

dard ko bhi ab dard hone laga hai,
dard khud hi hamare ghav dhone laga hai,

dard ke sath kabhi roye naa hum,
dard khud hi humko chu ke rone laga hai.

koi khawab in ankho mein sajaya hi nahi

koi khawab in ankho mein sajaya hi nahi,
humare dil ki gehrai ko koi samajh paya hi nahi,

kisi ko humari kami mehsoos ho,
khuda ne humein aisa banaya hi nahi.

ghazlein chura-churra ke mashhoor ho gaye

auron ki ghazle padh ke jo maghroor ho gaye,
woh panne shayari se bahut door ho gaye,

ustaad samajjhne lage woh apne aap ko,
ghazlein chura-churra ke,  jo mashhoor ho gaye,

ashaar khud ke likhe hue, to na the magar,
daad-e-sukhan mili to woh masroor ho gaye.

unki yaad chupke se chali aayi hai

iss kadar humare har taraf tanhai hai,
ujaalo mein bhi andhero ki parchai hai,

yeh kya hua jo gir gaye palkon par ruke anshu,
shayad unki yaad chupke se chali aayi hai.

jiss shaam baraste hain teri yaad ke badal

jiss shaam baraste hain teri yaad ke badal,
uss subah koi aam-e-khas ke tara nahi hota,

yun hi mere pehlu mein chala aata hai aksar,
woh dard jisse maine pukara nahi hota.

jinhein dhoop se hai parhez, woh chhau mein bhi jalte hain

mehez chhune se bikher jaayein, 
jinhein dhoop se hai parhez, 
woh chhau mein bhi jalte hain. 

isse pehle ke sham ho aye hawa, 
unke chadd tak le chal mujhe, 

suna hai woh akser raaton ko, 
ghar se chori chhipe nikalte hain.

jehan mein unki yaadein, juban pe unka naam rahe baki

gujar jaaye tamam zindagi,
aur yeh sham rahe baki,

jehan mein unki yaadein,
juban pe unka naam rahe baki,

bas itna karna aye khuda,
ke marte dum tak..

dil mein peene ki chah aur,
labon pe unki mohabbat ka jaam rahe baki.

kitne gumnaam the teri mohabbat mein ruswa hone se pehle

kitne gumnaam the teri
mohabbat mein ruswa hone se pehle,

ajnabi log bhi ab hanske
mera haal poochhte hain.

aaj ke daur mein umeedein wafa kisase karein

aaj ke daur mein 
umeedein wafa kisase karein? 

dhoop mein baitha hai 
khud pedh lagaane wala.

All Time's Favourite Posts