Showing posts with label kismat. Show all posts
Showing posts with label kismat. Show all posts

saaye ki tarah aap mere sath rahe

saaye ki tarah aap mere sath rahe,
mere hansne par hanse, mere roone par rooye the,
jab bhi darre huye honton se aawaz di maine,
aakar har uljhan par pehle se hi khade the aap.

ek saundhi khusbu thi aapki chuuan mein,
kitna bhi udaas rahta tha, 
aapki chuuan se dil jhum jhoom jata tha,
lav khil-khila uthtey the.

mere jeevan mein aap kya the.. kya hain,
yeh  lafzon mein bayan karna mumkin nahi,
aapko aag ke hawale kar aaj khud ko jala baitha,
lekin ab bhi jo saskh mujh mein jee raha hai,
woh koi aur nahi.. aap hi ho.

jab maine aapko kandha diya,
achanak ek dard uttha mere sinne mein,
ehsaas hua kya hota hai zimmedaari,

kappkapate huye haathon se jab main agni de raha tha,
kaise bataun ki meri geeli-dhundali aankhon ne,
kya-kya manzar dekha tha,

par haathon mein ek ajeeb si takkat mili thi uss chann,
laga.. muskuraate huye mere udaasi ke palon mein
mujhe aap sehla rahe ho,

ess ehsas ne phir meri aankhon mein
aanshuon ke sailaab laa diya,
main chikh-chikh kar roo raha tha
aapki chittah ke pas baith kar,

par hey pitah.. aapne phir chaturaai dikhaayi,
chitta ki aag ko thanda kar diya,
bas waha rakh hi raakh bachha tha.

maalum hai, madhya-raatri se pehle
aap mujhe ghar bhejna chahate the,

koi baat nahi, aap jaaha jaana chahate hain, jaaye.. lekin,
main aapko aawaz dunga har dishaon mein,
aapko aana hoga.. kam se kam mere khaawabon mein,

mere sapnon mein aakar 
aap mujhe ek baar beta keh kar pukaar lena,
mujhe gale se laga lena,

aapke bin kaise chalunga phirse ungli pakad kar,
thoda raasthe mein badha dena hey pitaji,
aap harpal mujhe itna ehsaas dilla dena,

main aapka beta hoon ~raj~ naam hai mera,
aakar mujhe mera naam, bata dena.

aise hain mere paa..

nariyal ko dekha hai na gaur se?
upar se sakkt, ander se kitna narm-mulayam,
ekdum malaayi sa, bilkul aise hain... mere paa.

maa ki tarah loori nahi sunaate,
meri aanshuon ko aachal nahi thamaate to kya?
anguli pakkad kar zindagi ke kathor dharatal par,
pehla kadam rakh chalna sikhate.. mere paa.

thokar khaa kar girne par
dard ko sehna sikhaate.. mere paa.

maa ki tarah parilok ki sair nahi karate,
duniya ki uchh-nichh bhi nahi samjhate to kya?
mere imhetaan mein mere sath raat bhar jaagte,
mere liye chaai banate.. mere paa.

mere behtar kal ke liye,
apna sunehara aaj kharch karte.. mere paa.

maa ki tarah gale nahi lagate,
meri yaad mein aanshu nahi bahate to kya?
chup-chaap mujhe niharate,
khaamosh nigaahon se sab kuch keh jaate.. mere paa.

mere jaane ke baad udaas akele 
mujhe mere kamare mein dhundate.. mere paa.

bebas hoker apne maa baap ko bimaar hota dekh raha hoon

chupke chupke mann hi mann mein,
khudko rotta dekh raha hoon,
bebas hoker apne maa-baap ko,
bimaaar hota dekh raha hoon.

rachha hai bachpan ki aankhon mein,
khilla-khilla sa maa baap ka rupp,
jaise jaade ke mausam mein ho,
naram-garam makhmal si dhoop.

dhire dhire sapnon ke iss rupp ko,
aankhon se ojhal hota dekh raha hoon,
iss covid ki maha-maari mein,
bebas ho kar unko bimaar hota dekh raha hoon.

kal tak tha jo sab sawra sa, ek chota sa apna bhi duniya,
chutt raha ho dhire dhire, maa baap ke saath ka saaya bhi,
chinn raha ho waqt jaise unke baaton bhara khazana bhi.

ghar ke malik ko aaj hospital ICU par 
bimaar tardpata dekh raha hoon,
bebas ho kar apne maa-baap ko bimaar hota dekh raha hoon.

chupke chupke mann hi mann mein,
khudko roota dekh raha hoon,
bebas ho kar apne maa-baap ko bimaar hota dekh raha hoon.

udasi ka mausam kabhi humara na tha

dil to tere saath tha, tujhe hi yeh gawara na tha,
humne manga uss jahan ko, jo kabhi humara na tha.

tum kehte ho pyaar kamjor tha humara,
kya pyar dene ka kuch farz tumhara na tha?

jeene ki aas chordna bhi kaise chahein,
saans lene ka faisla akele humara na tha.

shiddhat se intezaar kiya har saans ne tera,
yeh baat aur hai, kabhi tumhe pukaara na tha.

iss kadar bikhre hain arsh par sapne meri jaan,
ek tere siva duniya mein koi humara na tha.

aa jana raahon mein kisi gaier ke sath bhi,
sochenge iss dil par kabhi hak humara na tha.

bahaaron ne kar diya bedakhal apni duniya se,
varna udasi ka mausam kabhi humara na tha.

ab toh tutt ke girne ko betaab hain,
akele sab sehne ka dum humara na tha.

kaun ho tum..

kaun ho tum..? 
kyon mujhse door nahi bhagti ho tum,
mere soone ke baad bhi kyon jaagti ho tum,
aakhir kis haq se pal-pal ka hisaab mangti ho tum?

mere paas uss khuda ki amanat ho tum,
mere seene ki sanso ki chhahat ho tum,
mujh par bewajha jo huyi woh inayat ho tum,
kyon mujhse har pal kayi sawal karti ho tum,
kyon mere liye pal-pal tardpti ho tum?

aakhir kab tak main kaid rahounga teri aagosh mein,
kis din meri ruh ko sakoon milega,
mere jism ko aakhir kab chhordoge tum,
meri sanso se nata kab tordoge tum?

mujhe tumse to aakhir koi gila nahi,
kya hai tere paas jo mujhe mila nahi,
na jaane bahar mein bhi kyon
mera chaman khila nahi,
shayad mere hi naseeb mein aakhir sila nahi,

tujhse bas yehi mujhe shikayat hai,
kyon ab tak mujh pe meharba ho tum,
mere sunne ghar mein aaj bhi mehma ho tum,
mere wajood ka bas aakhri nisha ho tum,

o zindagi aaj mujhe azaad kar de tu,
mere naseeb mein maut ka rang bhar de tu,
meri sansein chhinkar aakhri ehsaan kar de tu,
kyon mujhse waffa kiye jaa rahi ho tum?

jeene ki chhahat ab iss dil mein baki nahi,
iss maikhane mein koi bhi mera saki nahi,
tu ab humein koi nayi rah dikhati nahi,
aakhir kyon humse maut ka rishta nibhati nahi?

o zindagi jaa chhor de mera daman,
teri kaid main ab ghut raha hai mera mann,
tu mujhe azaad kar de...

mere naseeb mein maut ka rang bhar de.

kya in halat mein hi jeena hoga umra bhar

kya khabar thi iss tarah hi jeena hoga umra bhar,
dard -e- dil seene mein lekar jeena hoga umra bhar,

socha tha kuch roz baad hum bhi muskurayenge,
socha na tha aanshuon ko peena hoga umra bhar.

maine bhi uff na kara aur woh bhi satate rahe,
socha tha ki yeh to unse bhi na hoga umra bhar.

soch badali hai kabhi na soch badalegi kabhi,
aadmi ko apni tarah jeena hoga umra bhar.

har din ke inteham par yeh sochta hoon,
kya in halat mein hi jeena hoga umra bhar.

har sakhs mujhse naraj sa kyun hai

har sakhs mujhse naraj sa kyun hai,
meri har baat se lagta tapish ka ahsas sa kyun hai? 

main nahi kehta kisi ko kuch bhi galat,
phir bhi sunai deta har kisi ko kadwa alfaj sa kyun hai? 

kabhi madhur tha laharo ka shor mere liye,
wahi chubhta kano mein aaj chitkar sa kyun hai? 

accha banne ki koshish karta hoon aab to har waqt main,
par samajh mujhme burai dhundta hua pareshan sa kyun hai? 

mann mein shree raam ka naam lo

zindagi bhar kisi ka na ehsaan lo,
baat hai yeh sahi, baat yeh maan lo. 

de-do, de-do mujhe apne runj-o-alam,
chaho badle mein to tum meri jaan lo. 

chaaho to cheen lo, mera sabr-o-karaar,
na kabhi cheen kar, mera emaan lo. 

jab kabhi, dil mein jaage koi vaasna
mann mein us ghadi,  shree raam ka naam lo. 

na kinaare pe reh kar nazaara karo,
gar hai himmat jo dil mein, to tufan lo. 

ho irrade atal, to aye dost khauf kyun,
jeetna hai yeh baazi, dil mein tum tthan lo.

new year ka intezaar

12 mahino ka intejaar,
phir tum aate ho har saal,
dilon ke beech dooriya,
kuch palon ke liye hi sahi,
mita dete ho har saal,

har koi ek dusre se,
happy new year,
kehne ko hai bekaraar,
mehfilein zama dete ho,
nacha dete ho har saal,

gujre waqt ka andhera,
mita dete ho har saal,
nayi ummeedein,
naye armaan sabke dilon mein,
jaga dete ho har saal,

ab aa bhi jaao na,
mat karwao intezaar,
tere swagat ko,
hum sab hai taiyaar.

yeh bodh sada jeewan mein ho

yeh deh alag hai, main hoon alag,
yeh bodh sada jeewan mein ho,

nirlipt rahe hum duniya se,
ke jaise kamal keechad mein ho.

apna parichay bhool gaye hain,
swany ko hi kaya maan rahe hain.

jad ki iss maaya ko chordo,
ke dhyaan sada chetan mein ho. 

nirlipt rahe hum duniya se,
ke jaise kamal keechad mein ho.

deh hain nashwar tu avinash,
kyu naa samjhe baat jara si.

aatam to amar hai deh nahi,
ke jalna isse marghat mein ho.

nirlipt rahe hum duniya se,
ke jaise kamal keechad mein ho.

hasrat hai dil mein ek arse se..

iss shehar ki bheed mein ghum-e-ishq ke maare,
zinda hain ab tak yahi badi baat hai pyaare.

yeh hansta hua chand, yeh tim-timate sitare,
magar yeh dil hai ek jarre ke sahare.

hasrat hai koi pyar se dekhe mujhe,
arman hai koi phool humein bhi dil se pukare.

har subah meri subah pe roti rahi shabnam,
har raat meri raat pe hanste rahe taare.

hasrat hai dil mein ek arse se,
koi mere uljhe naseeb ko saware.

ab tak iss nadan dil ko main samjha na paya

woh kuch palon ka hi saath main bhula na paya,
apne man ke aaine se unka chehra mita na paya,

maine wada kiya tha har lamha muskarane ka,
iss liye unki yaad mein aanshu bhi baha na paya,

dil dhakta hai mera ab bhi unke hi naam ke saath,
ab tak iss nadan dil ko main samjha na paya,

maksad-e-zindagi meri ban gayi hai woh,
woh chale gaye magar yeh baat apne dil ko bata na paya,

ussi mord pe tannha khada hai “raaj” intezaar mein,
jis mord pe kabhi main aarzu-e-dil dikha na paya.

kuch sapne adhure reh jaate hain

kuch khawab khawab reh jaate hain,
kuch sapne adhure reh jaate hain. 

chaahat ka wada, wafa ki kasmein,
kagaz pe chand tehrerein reh jaate hain. 

tujhse milna, tujhe paane ki aarzoo,
kuch khwahishein hasratein reh jaate hain. 

tere saath bitta waqt, tere sang guzare lamhein,
zindagi ke kuch khaas yaadein ban reh jaate hain.

kaal chakra ne unhein ek ehsaas bana diya

ret ke is dher mein,
koi gharaunda kabhi to bana hoga,
kabhi to kinhi payare haatho ne inhein,
chhua hoga, aakaar diya hoga.

chamakte ankhon mein khwaise liye hazar,
dil mein umnag liye, liye hue dher sara pyar,
ek sapne ko karne sakar,
kabhi to kisi ne inhein moort kiya hoga.

socha hoga ban kar kabhi yeh na tootega,
aur tootega bhi to kaise,
laharo ke aage woh khud honge,
hatho mein haat liye. 

ha yahi to socha hoga,
par kya yeh mumkin tha,
ki woh kaal chakra ko rok sake?

muskil waqt ne mita diya har woh nisaan,
jiske liye woh kabhi na soch sake.

ek lahar tha woh nahi,
sitam ka ek toofan,
kuchh bhi baki nahi waha,
mit gaye sare nisaan.

kya yahi anzamm tha
us pyar ke mandir ka
woh doobe, utraye, haath na chhode,
ek nazar feri aur mit gaye,
mit gaye? 

nahi, woh ek ehsaas ban gaye,
kaal chakra ne unhein ek ehsaas bana diya.

kuch namumkin sa karne ko dil chaahe

tang aakar zindagi se marne ko jee chaahe,
koshish -e- khudkushi karta hoon to jeene ko dil chaahe.

kab se koshis thi iss makam tak aane ki,
aaj pahuncha hoon to laut jaane ko dil ko chaahe.

jo kiya hai woh bhi mushkil tha, jo paya woh aasaan na tha,
phir bhi kuch namumkin sa karne ko dil chaahe.

woh shard hawa, woh khuli subah, 
woh kamshin, woh nayab haseen..
sach puchho to usse banhon mein bharne ko dil chaahe.

kitne hi log roz aate hain, chale jaate hain

kitne hi log roz aate hain, chale jaate hain,
jism mar jata hai, kaarnamein hi reh jaate hain, 

kuch khash karne ki koshish bhi lagi rehti hai,
kuch kiye hote hain, kuch kar jaate hain,
kuch karne ki tamanna dil mein leke hi mar jaate hain.

dooriyan kam jada hain, manjil to ek hi hai,
phir kyun jaane ka rasta alag-alag apnate hain?

jauhri ki talash mein ghumnamiyon mein kho gaye,
kuch bes-keemti heere bhi dhul mein mil jaate hain,

kisi ko pet bhar ke bhi takiye se chubhan hoti hai,
aur kuch bhukhe pet hi footpath pe so jaate hain.

ki fasana-e-zindagi insaan ka sunte-sunte,
aankh kya cheej hai, dil bhi bhar jaate hai.

jab tum hum se sare-baazar mil kar bicharde the

mere dua ke lafz tut-tut kar bicharde the, 
jab tum hum se sare-baazar mil kar bicharde the. 

judaai ke woh manzar aaj bhi hain nigahon mein, 
jab tum mere bann kar duniya se nikle the. 

tujhe apni kismat samjh kar dil se lagaya tha humne, 
sabab-a-bewafai kitne gunah faristo ne likhe the. 

kitna khush tha apna dil unke panahoo mein, 
jana dard tab jab phool ke patton ki tarha hum bicharde the. 

kis kadar kaid the uski nigahon mera mera dil, 
jaise wadiyon se duaae le kar nikle the, 

phoolon ki bistar mein mili hain ghum-e-tanahai, 
ajab shakas tha muskaraya tab jab kanton se mile the. 

kitna shaur tha kitni garmahat thi mahaul mein

kitna shaur tha, kitni garmahat thi mahaul mein, 
hans rahe the woh aur khushi thi hamare bol mein, 

ki ek angraai li zindagi ne, apni taakat dikhayi, 
dhamm se dhamak di, achanak khamoshi chaayi, 

chhayi aisi khamoshi ki phir naa koi dastak kaam aayi, 
thamm se gaye kadam, koi raah bhi samajh naa aayi, 

nazar lagi kisi-ki yaa yeh pehlu ek aur inn rahon ka, 
jisne bujha di lau woh jis pe thi kabhi zindagi jhilmilayi. 

doston ke saath woh mastiyan phir kahan

doston ke saath wo mastiyan, badmashiyan, 
phir kahan, phir kahan... 

history ka wo class bunk karna, 

chemistry ke period mein sona, 
phir kahan, phir kahan...

teacher ke question puchne par 
chup-chup khade hona, 
teacher ke absent hone par jada khush hona, 
phir kahan, phir kahan... 

jee le iss pal ko jee bhar ke, 
yeh sab phir kahan, phir kahan... 

mere pankh aakash ki taraf ude jaa rahe hain

band muthi ke juganu phir se chulbula rahe hain, 
mere pankh aakash ki taraf udde jaa rahe hain,

khwaabo ki duniya ajeeb basati hain aankhon mein,  

woh duniya haqikat mein bhi sama bana rahe hain,

yun to kayi baar aise pal aaye hain iss zindagi mein, 

par yeh pal ajeeb khushi sang laa rahe hain,

kashmash to dil mein hazaro hote hi hain, 

kuch kashamash kinaare chalate aa rahe hain.

daaman mein mere sambhaale naa sambhale, 

aisi khushi par pag badhate jaa rahe hain,

jhooma rahe julfein, jhoomata huwa pawan, 

maano meri khushi mein yeh lay bitha rahe hain.

phoolo ki mahak ho ya chidiyon ki chahak, 

dono hi sang mere meri khushi mana rahe hain.

dekho naa badal bhi mere sang khush ho kar, 

sang mere khushi ke aalap duhara rahe hain.

akela na pad jaaoon kahi iss khushi ke waqt, 

bunde mere sang kadam mila rahe hain.

andhera na ho mere raaste mein kahi, 

bijaliyan umad kar raasta dikha rahe hain.

kya kahe hum khushi khudki jubaani, 

har pehalu jo mere sang taal mila rahe hain.

All Time's Favourite Posts