Showing posts with label man. Show all posts
Showing posts with label man. Show all posts

aise hote hain pitah

jeevan mila jinse, woh jeevandaan hai pitah,
pukara jaaye chaahe kisi bhi bhasha mein
kehkar papa, baba, babuji...
har boli mein inke liye hai 
wahi pyaar aur samman bhara.

thaame jinki ungli bachpan challa,
jinki majboot kandhon par baithkar duniya dekhi,
godh par baith kiye nakhere dher jinke,
jinhone apne sneh se hamein bada kiya,
woh hai pitah!

choti se choti jeet par bhi jinse shabashi mili,
har haar ko jinhone sikh bataya,
nirash ko door bhagaya,
jeevan ki sachaai se hamein rubaru karaya,
sahi aur galat mein antar samjhaya,
jinhone apne bachoon ke sukh mein hi apna sukh paya,
bachoon ke liye har pareshani haskar uthaaya,
jinki puri sansaar unke bachoon mein hi samaya,
woh hain pitah!

kabhi kadak ho jaate to kabhi naram bade,
lagate hain pabandiyan to kabhi dete hain choot puri,
kabhi hansaate hain to kabhi rulaate hain,
kabhi maa ki daat-maar se bachaate hain,
to kabhi khud hi chapat laga dete hain,
aise hote hain pitah!

pyaar se thapki dekar sulaate hain,
to kabhi khana banakar apne haathon se bhi khilaate hain,
jarurat ho to maa ke bhi saare kartavya nibhate hain,
din raat mehnat kar apne bachoon ke bhavishya ko sawarte hain,
har din, har pal unke ujjwal bhavishwa ke hi sapne bunte jaate hain,
apne har saans ko pitah apne bachoon par lutaaate hain,
kabhi kathor hokar to kabhi mom ki bhaati pighal jaate hain pitah!

aapki bhumika kayi roop se hai...
dhoop gar jalaye to chaao ban jaate hain,
wahi samay aane par ussi dhoop mein tapkar jeena sikhate hain,
baatein jinki hamesa maargdarshan karti hai,
kathinayion se lardte huye, viparit paristhithi mein bhi,
apne sidhanton par chalna sikhate hain,
sath mein ho yaa yaad mein,
inki upastithi hamesa mann ko sukun pohuchati hai,
aise hote hain pitah!

bebas hoker apne maa baap ko bimaar hota dekh raha hoon

chupke chupke mann hi mann mein,
khudko rotta dekh raha hoon,
bebas hoker apne maa-baap ko,
bimaaar hota dekh raha hoon.

rachha hai bachpan ki aankhon mein,
khilla-khilla sa maa baap ka rupp,
jaise jaade ke mausam mein ho,
naram-garam makhmal si dhoop.

dhire dhire sapnon ke iss rupp ko,
aankhon se ojhal hota dekh raha hoon,
iss covid ki maha-maari mein,
bebas ho kar unko bimaar hota dekh raha hoon.

kal tak tha jo sab sawra sa, ek chota sa apna bhi duniya,
chutt raha ho dhire dhire, maa baap ke saath ka saaya bhi,
chinn raha ho waqt jaise unke baaton bhara khazana bhi.

ghar ke malik ko aaj hospital ICU par 
bimaar tardpata dekh raha hoon,
bebas ho kar apne maa-baap ko bimaar hota dekh raha hoon.

chupke chupke mann hi mann mein,
khudko roota dekh raha hoon,
bebas ho kar apne maa-baap ko bimaar hota dekh raha hoon.

mann mein shree raam ka naam lo

zindagi bhar kisi ka na ehsaan lo,
baat hai yeh sahi, baat yeh maan lo. 

de-do, de-do mujhe apne runj-o-alam,
chaho badle mein to tum meri jaan lo. 

chaaho to cheen lo, mera sabr-o-karaar,
na kabhi cheen kar, mera emaan lo. 

jab kabhi, dil mein jaage koi vaasna
mann mein us ghadi,  shree raam ka naam lo. 

na kinaare pe reh kar nazaara karo,
gar hai himmat jo dil mein, to tufan lo. 

ho irrade atal, to aye dost khauf kyun,
jeetna hai yeh baazi, dil mein tum tthan lo.

mere ateet ki parchayi mere aaj mein jhalakti hai

mere ateet ki parchayi aaj bhi
mere aaj mein jhalakti hai,
yaad kar un ujadi yaadon ko
aaj bhi aankhiyan sulagti hai.

aag hi aag bachi aankhon mein
aanshu bhi sare lapata hai,
mere gujre waqt ki ek khata
ban gayi umra bhar ki saza hai,

sochta hoon mera ateet
mera aaj se kyon jeeta hai,
poochta hoon bar bar
mann ateet mein kyon jeeta hai,

koyi bhi jawab nahi mera iss sawal mein,
sawalon mein hi sara jeewan beeta hai,
ghut raha hoon aaj sawaalo ke janjaal mein
ho gaya khud se laapata hai. 

yeh kaisa jadu tona hai

har rishta ek khilona hai,
tum ko bhi gumh hona hai,

tum oonche chand se aage ho,
mera pyar to bauna hai,

ehsaan kiya jo khawaab diye,
har sapna khoob salona hai,

tera daman bhi tab chord diya,
kya pata tha itana rona hai,

jab door huye tum pas mile,
yeh kaisa jadu tona hai,

yeh aankhon se anshoon jab aaye,
tab bhool gaye mann bhi dhona hai. 

mohabbat ek din to shayad dum tord hi deti hai

yeh mana ke zindagi mein woh humdum nahi hai,
ab is se bardhkar zindagi mein koi gham nahi hai,

be waqt mere jazbaato ka phir arthi utha hai,
afsos hai shayad magar maatam nahi hai,

chiraago ki jagah mandir par armaa jalenge,
gumnamiyo ke andhero se kaayal hum nahi hai

na dua, na dawaa dard-e-dil mein kaam aati hai,
waqt ne diye zakhmon ka koi marham nahi hai,

phool khilte hi nahi fizaa mein bhi is dil ki zamin par
ashq to hai teri yaadon ka woh mausam nahi hai,

mohabbat ek din to shayad dum tord hi deti hai,
bharose par wafaa par agar kaayam nahi hai,

na jaane kitne hi mausam meri nigaho se gujre,
tera wajood hi hai in mein jo aankhein nam nahi hai. 

kyun uth rahi hai dil mein tujhe paane ki hasrat

kabhi maut ki tamanna, kabhi zindagi ki hasrat,
kabhi jashn-e-ranjish ghum ka to kabhi khushi ki hasrat,

jinhe daulat ki chahat, unhe daulat de de ya rab,
mujhe thi, hai aur rahegi bas uski hasrat.

main tauba kar chuka hu , main khud se mukar chuka hu,
kyun uth rahi hai dil mein, phir maikashi ki hasrat?

agar naamunkin hai use paana aur dekh ke bhul jaana,
dil kar raha hai kyon phir bhi us chandni ki hasrat.

main arthi se uth chuka hu, phir se zinda ho chuka hu,
ho gayi hai mujhko tumhein gale laggane ki hasrat.

bewafaai tune ki hai, badduayein tune di hai,
dil mein uth rahi hai phir bhi tujhko paane ki hasrat.

ye ishk nahi to kya hai, ki tu hi mera khuda hai,
teri chaukhat pe ho rahi hai apni chitta jalane ki hasrat.

kitna badal gaya insaan

kal jo gale milte the,
aaj gale kaat-te hain,
kal jo saath muskuraate the,
aaj aashoon baant-te hain,

dekho, waqt ki rachna kaisi,
har koi baante hai agyaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.


badlaw hai fitrat inki,
ghamand ke nashe mein choor sabhi,
chand kaagaz ke tukde jahaa,
soch ka dairaa rukta wahi,

kal tak jo darta tha bure kaamo se,
aaj buraai hai sabka imaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.

charno mein maa ke swarg hai.
sunaa, seekha tha kabhi maine aisa,
aao dekho roti huyi budhi aakho ko,
zamaana aaya hai ya khuda kaisa,
jinhone paal-posh kar barda kiya,
ban ke reh gaye ghar mein mehmaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.

naari ke hain roop kitne,
labso mein kaun inhein bayaan kare,
tha pal – pal poojniye inka,
ek jeevan mein tha saat janamo ka balidaan,

sare aam bikte hain laaj sharam ke gehne ab,
dekho kaisi khuli hai yeh dukaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.


hai aatank chaaro aur,
nadiya hai khoon ki,
din dahade-bazaar hai,
aaj bouchaar goliyon ki,

band karo yeh khel laaso ka ab to,
maang suni ho rahi hai kitni doliyon ki,
kal tak jo poojte the geeta aur kuraan,
aaj pujte hain haiwaan saitaan,
dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan....

iss andheri nagari mein tu apna saath de maula

meri khwahish ab naa koi, bas ek teri jhalak de maula,
chand ki roshni na sahi, mann ka darpan saaf de maula,

kisko samjhu gair yaha par, kisko samjhu main apna,
yahi samjhne ke liye mujhe ek achi soch de maula,

aab-o-hawa bhi kuch aisi badli hai koi nahi hai apna,
iss andheri muskil nagari mein tu apna saath de maula,

har pal un lamho ko sochkar ghut-ghut kar main rota hoon,
khawab-e-guzishtan ki yaado se mujhe mukt kar de maula,

iss matlab parsat duniya mein bas tu hi hai sirf mera,
apne kadamo mein hi ab tu mujhko jagah de maula,

meri khwahish ab naa koi bas ab teri ek jhalak de maula,

chand ki roshni na sahi mann ka darpan saaf de maula.

badi hi jatan se palla hai maa ne

badi hi jatan se palla hai maa ne,
har ek mushkil ko talla hai maa ne,
ungli pakad kar chalna sikhaya,
jab bhi girra to samhala hai maa ne.

chaaro taraf se humko the ghere,
zaalim bade the mann ke andhere,
baithe huye the sab muh phere,

ek maa hi hai deepak mere jeewan mein,
andhakar mein dube huye the hum,
kisa aise mein ujjala hai meri maa ne.

milega na duniya mein maa sa koi,
meri aakhein badi to woh sath rooyi,
bina uski loori ke na aati thi nindiya,
jaadu sa kar dala hai maa ne.

badi hi jatan se palla hai maa ne,
har ek mushkil ko talla hai maa ne.



बड़ी ही जतन से पाला है माँ ने,
हर एक मुश्किल को टाला है माँ ने,
उंगली पकड़कर चलना सिखाया,
जब भी गिरे तो संभाला है माँ ने |

चारों तरफ से हमको थे घेरे,
जालिम बड़े थे मन के अंधेरे,
बैठे हुए थे सब मुंह फेरे,

एक माँ ही है दीपक मेरे जीवन में,
अंधकार में डूबे हुए थे हम,
किया ऐसे में उजाला है माँ ने |

मिलेगा ना दुनिया में माँ सा कोई,
मेरी आंखें बड़ी तो वो साथ रोई,
बिना उसकी लोरी के न आती थी निंदिया,
जादू सा कर डाला है माँ ने |

बड़ी ही जतन से पाला है माँ ने,
हर एक मुश्किल को टाला है माँ ने |

hum bhi akele aur tum bhi akele

tanahi door karne ka koi bahanna banna lo,
iss akele pann ko appna saathi banna lo,

hum bhi akele aur tum bhi akele,
iss mann ko jaisse chaho waisse manna lo.

tujhe apne paas bitha kar sabko bhulaana hai

hathon mein hath le kar tera sath nibhaana hai,
tujhko apni mohabbat ka jazbah dikhaana hai,

teri baahon mein aakar sukoon mil jaaye mujhe,
teri zulfon ko apne kaandhon pe bichaana hai,

tu azeez hai mujhe itni main keh nahi sakta,
tera deewaana hoon main bas itna bataana hai,

haseen nazaaron mein, ab mera mann lagta nahi,
tere chehare ko nigaahon ke saamne laana hai,

main kahi baith jaaun tanha, duniya ki fikr mein,
tujhe apne paas bitha kar, sabko bhulaana hai,

jab dekhe tu mujhko t0 chehra khil jaye mera,
har takleef ko apne dil se, mujhe mitaana hai,

main duaa mein maangta hoon, khuda se tujhko,
apna sab kuch kho kar bas tujhe hi paana hai,

khwaabon mein bhi aksar yeh sochta hai,
kya tujhe bhi kuch iss tarha mujhe sunaana hai. 

itna mat socho

itna mat socho, soch nahi paogi,
meri yaad ki zanjeer se nikal nahi 
paogi,
aa jaao tum meri inn bahon mein,
hum tumhein dil mein chupa lenge,

tum mujh bacha lo duniya ki ruswai se
hum tum ko seene se laga lenge,

phir tum humko mohabat bhara jaam pila dena,
aur hum tere sanso se sabnam ko chura lenge,

mere tutte huye jism par marham laga doge,
apne nazuk hathon se pyas bujha doge,

yun mujh ko tum apna bana logi,
mujh ko tum mujh se chura logi.





kitana badal sa jata hoon bas tera ek sath pane se

mujhko khud malum nahi ki,
ahsas se tumko chhuta hoon,
ek pyas bujhhane ko apni,
ek pyas se tumko chhuta hoon.

hawayon ka chehra le kar
jab sanson se sahlati ho,
main to mar hi jata hoon
tum kaise zinda paati ho.

tab apne bahon mein lekar,
phir shayed zinda karti ho,
sansein chalne lagti hain,
tum jab bhi hath pakardti ho.

kitana badal sa jata hoon,
bas tera ek sath pane se,
badal ordh leta hoon main,
tere bahon mein aane se.

sihar sa jata hai tann mann,
lab jab lab se kuch kahate hain,
duniya bhar ke khwaab sabhi,
in ankhon mein hi rahte hain.

hum kuch kah nahi pate hain,
lab ko lab se lete hain,
khamoshi mein kuch lamha,
teri baahon mein jee late hain.

ayeene se ab jaane kya
aksar main poochata rahta hoon,
itna kyon chahta hoon tujhko,
raaton main sochata rahta hoon.

mere seene par sar rakh ke
tere sapno ko sath le sona hai,
hath bardha ke mujh ko pa lo
ab tera hamesa ke liye hona hai.

tum jis bhi dunya mein ho,
main kahi bhi rahta hoon,
jahan hoon main bas tera hoon,
ab to itna hi kahta rahta hoon.

mere sanso ko jab tumane
apni khushboo se sajaya hai,
mere hisse ka sara dard,
aksar yoon hi churaya hai.

mere tumhare pyar ka
jo bhi koyi kissa hai,
main hi likhta hoon usko par
usmein tera bhi hissa hai.

jab bhi bheegegi aankh tumhari,
mere honth wahin ruk jee lenge,
tere har ansoo ko yeh
boond boond sab pee lenge.

main kya rokun tum kya roko,
ek dooje ko pas ab aane se,
yeh rooh ka rooh se rishte hai,
hum tum hain anjane se.

kadam kadam se antim saasn tak,
har kadam sath ab rahana hai,
maine tum ko ordh laya aur
tum ne mujh ko pahana hai. 

ban gaye gunehgaar hum

sard hawa, kaatil fiza, 
aisa tha raat ki tannhai ka asar
bikhre hum aagosh mein unke, 
huye khud se bekhabar.

bayaan ki aankhon ne jo khaamosh chaahtein,
bekarar huyi chutne ko daayron se betaab nazar,

tan bheega, mann bheega,
machalte rahe armaan,
pighalte rahe jism madhosh,
dono na soye raat bhar.

guzre ek tufaan se.
ek dooje mein khud ko samete huye,
aur ban gaye gunehgaar hum,
shokh raat ka safar

All Time's Favourite Posts