Showing posts with label jeevansathi. Show all posts
Showing posts with label jeevansathi. Show all posts

mujhe teri aarzu rahi barson

chaand ki justju rahi barson,
mujhe teri aarzu rahi barson,

sadiyan judaai ke beetein to jana,
mere khwabon mein tu hi rahi 
barson,

main hi unko samajh nahi paya,
yun unse guftgu rahi 
barson,

woh gulbadan jab kabhi bhi aaye,
ghar mein khushbu rahi 
barson,

main apne aib kahan chhipata,
unki nazar har taraf rahi 
barson,

maut ke saye mein bhi dekho,
zindagi ru-b-ru rahi 
barson.

tera ehsaas mujhse kabhi door naa ho

mere baad mat dhondhna mere kadmon ke nishan,
main to ek saaya hoon kali raat ka,
ek saaya jiska koi wajood nahi,

janmo se main bhatak raha hoon apni talaash mein,
dubba hua hoon na jaane kaise pyaas mein,

zindagi se khaffa maut ki talash mein,
anjaan se safar mein koi sathi nahi hai mera,
ek safed sa saaya jo shayad mera kafan hai,
roz mujhe dhakne ki firaq mein,

aata hai har raat mere soone ke baad,
lekin usse bach ke bhagne ki koshish mein,
roz thora thora sa mar raha hoon,
bass ussi kafan ka intezaar kar raha hoon,

lakin waise nahi jaise woh mujhh dhakna chhahta hai,
main jee to nahi saka apni marzi se,
lekin mera jism apni marzi se marna chhahta hai,

main maut ko jaise bulaun woh waise hi aaye,
marne ke baad mera dil bhi dharkta rahe,
kiyonki iss dil mein to tu bassi hai,

marne ke baad meri aankhain bhi khuli rahe,
kyonki inn mein tere khwaab sajaye hain,

marne ke baad mere hoonth bhi larzte rahe,
kyonki inko aaj bhi teri pyaas hai,

marne ke baad meri sanse bhi chalti rahe,
kyonki yeh sanse tera naam lekar chal rahi hain,

magar jab mujhe aakhri hichki aaye,
to teri goad naa ho tera anchal naa ho,

tere aanshu meri lash ko nehlatay naa ho,
tere hoonth mere bejaan jism ko chumtay naa ho,

mere rashton mein tujh se kiye waade naa ho,
mere phir zinda ho jaane ke iraade naa ho,

tere saath guzre pal mujh par bojh naa ho,
tera pyar mere paon ki zanjeer naa bane,

meri chhita ki rakh se teri tasveer naa bane,
kash yun zindagi kare bewafai to kitna acha ho,

tera surakh dupatta meri lash se lipta ho,
mera wajood chutki bhar rakh main simta ho,

aur woh rakh teri mang ka sindoor naa ho,
tera ehsaas mujhse kabhi door naa ho,
tera ehsaas mujhse kabhi door naa ho...........!!

yaad hai sari mujhe.. teri mulakate

tera hasna, tera muskurana,
aankhein milte hi.. tera sharmana.

tera chalna, tera milna,
phoolo ki tarah.. tera khilna.

teri chaal, tere baal,
gulabo si rangat wale,
tere surkh gulaabi gaal.

tera baithna, tera uthna,
bina baat ke.. tera ruthna.

tera gussa, tera pyar,
chhoti chhoti baato pe.. teri takraar.

tera aana, tera jaana,
khud jhagad ke.. tera manaana.

tera gaana, tera rona,
mere aagosh mein aake.. tera khona.

teri aankhein, teri baatein,
yaad hai saari mujhe.. teri mulakate.

kash tum kabhi mere sath hote

mohabbat bhare kuch lamhat hote,
kash tum kabhi mere sath hote,

na rahti yeh tannhai aas-paas mere,
agar hathon mein tere hath hote,

mil kar chalte hum raah-e-zindagi,
har kadam mohabbat ke saugat hote,

waadon ke dhor mein bandh jaate hum,
shayad kuch aise hi apne baat hote,

tere mohabbat ki roshni ke saath mein,
maine guzare apne sare din raat hote.

hasrat hai dil mein ek arse se..

iss shehar ki bheed mein ghum-e-ishq ke maare,
zinda hain ab tak yahi badi baat hai pyaare.

yeh hansta hua chand, yeh tim-timate sitare,
magar yeh dil hai ek jarre ke sahare.

hasrat hai koi pyar se dekhe mujhe,
arman hai koi phool humein bhi dil se pukare.

har subah meri subah pe roti rahi shabnam,
har raat meri raat pe hanste rahe taare.

hasrat hai dil mein ek arse se,
koi mere uljhe naseeb ko saware.

mere gazalon ko mere sath gaao ki andhera hatte

dil ko roshan banao ki andhera hatte,
nafraton ko bhagao ki andhera hatte,

aao dil ki mehfil mein, aao ki andhera hatte,
rukh se julfein hatao ki andhera hatte,

do pyar ke geet gaao aur muskuarao,
sare ghum ko bhulao ki andhera haate,

pyar ke noor se khaiyan pat do nafraton ki,
jahan ko jagmagao ki andhera hatte,

chand se mukhde ki tareef mein kuch kehne do,
mere gazalon ko mere sath gaao ki andhera hatte,

ek “raaj“ hi hai aapke nazaron mein kabse,
jaam-e-ulfat pilao ki andhera hatte.

apni gazlon se tera naam mitana aasan nahi

iss dil se teri yaad ko bhulana aasan nahi,
aur darde dil ko dil mein chupana bhi aasan nahi.

kahta hoon sabse koi naata nahi mera tumse,
aur apni gazlon se tera naam mitana bhi aasan nahi.

sochta hoon kyon chup hoon teri bekhabari par,
aur tumhi ko dil ka haal sunana bhi aasan nahi.

woh dard bankar meri aankhon mein rahti hai,
aur usse palkon se bahana bhi aasan nahi.

uski yaadein mere daaman mein nashtar chubhati hai,
aur duniya mein iss daulat ko lutana bhi aasan nahi.

apne dil se uske pyaar ko mitana mushkil hai magar,
aur uske dil mein apni mohabbat phir jagana aasan nahi. 

jehan mein unki yaadein, juban pe unka naam rahe baki

gujar jaaye tamam zindagi,
aur yeh sham rahe baki,

jehan mein unki yaadein,
juban pe unka naam rahe baki,

bas itna karna aye khuda,
ke marte dum tak..

dil mein peene ki chah aur,
labon pe unki mohabbat ka jaam rahe baki.

judaai mohabbat ki takdeer hai

judaai to mohabbat ki takdeer hai,
do dilon ko jo torde yeh woh lakeer hai, 

mohaabat agar hai aaina khud ka,
to yeh aaine ke peechhe ki tasveer hai, 

tujhe tardapna na pade meri tarah ishq mein,
tere saath meri khushiyon ki zaageer hai, 

meri maut pe aana ek rasm hi sahi,
yeh hamaari mohabbat ki aakhri zanzeer hai. 

aye zindagi tu bas undekhi manzilon ki raah hai

tanhai mein teri yaad ke siwa koi yaad nahi hota, 
ashko ke bhaar bekaran hai, iss ka koi kinar nahi hota, 

aye zindagi tu bas undekhi manzilon ki raah hai, 
iss mein har sath chalne wala kabhi bhi hamara nahi hota. 

mohabbat ke anjaane rashton mein, anjan manzilon ke safar mein, 
ek humrahi ke siwa koi bhi sahara nahi hota, 

jis ke humrahi hi hath churda le anjaan rahon mein, 
aise musafir ke liye siwa bhatakne ke koi chaara nahi hota. 

agar jurd bhi jaaye shesha jo kabhi tutne ke baad, 
to kabhi bhi iss mein woh phele sa nazara dobara nahi hota.

jo yaadon ke shaaye raat hi muhet ho jaye khayalon se, 
to iss mein kahi bhi chamakta hua koi jugno, koi taza nahi hota. 

na jaane kab zindagi kaha sath churda le, 
kismat ke badalne se yeh kabhi hamara tumhara nahi hota. 

jeewan mein humrahi ka sath, kab kismat se milta hai, 
aye dost.. mohabbat ke khel mein koi jeta koi hara nahi hota

lekin phir bhi tum aajana

ek aas ke sahare jee raha hoon, 
jaise sadiyon se rasta tak raha hoon, 
yeh khamosh raahein khushgavar to nahi, 
lekin phir bhi tum aajana.

woh rokenge, aane nahi denge, 

baat baat pe fikre kasenge, 
jaanta hoon mushilen kam to nahi, 
lekin phir bhi tum aajana. 

main hansta hoon ho tum hansi ho meri, 

jaanti nahi ho ke jaan ho meri, 
in dhadkanon ki awaaz na sunn paogi, 
lekin phir bhi tum aajana. 

tere bin to jaise har shaye mein udaasi hai, 

aaja ke saansein ab chand hi baaki hai, 
tere aane ki khushi mein mar na jaun kahin, 
lekin phir bhi tum aajana. 

us raat main so naa paaya

us raat tum to so gayi par main naa so paaya,
tumhein raat bhar sote huye dekhta raha,

dekhta raha ke tum neend mein,
kitni baar muskuraati ho,

dekhta raha ke paseene ki,
jhun-jhulaahat mein kitna chatt-pataati ho,

aahista-aahista leta tha saansein,
khalal na pad jaaye tumhaare khwaabon mein,

kyonki jaanta hoon ki halki awaaj se bhi,
tum aksar jaag jaati ho.

us raat main so naa paaya,
pehron tumhein dekhte jo rehna tha, 

yeh mauka main kho naa paaya,
kayi baar chaaha ke tumhein chhu kar dekhoon, 

kayi baar haath badhaaya,
par tumhein chhu naa paya,

tumhaare uthte-girte se badan par
main tumhaari saansein ginta raha,

tumnein to anjaane mein hi sahi,
haath rakh diya mere seene par,

lekin main chaahkar bhi,
tumhaari dhadkane naa sunn paaya.

raat bhar tumhaari saansien
mere jism se takraati rahi, 

raat bhar tumhaari yeh nazdikiyaan lekin..
ek doori ka ehsaas karwaati rahi,

kitni hi baar tumhaara woh dupat-ta bhi,
tumhaare badan se sarak jaata tha,

khidki se jhaankta woh chaand bhi shaayad, 
meri haalat pe taras khaata tha,

main kabhi moond leta palkein,
aur kabhi woh baadlon mein chhup jaata tha,

aaj jab bhi main un palo ko yaad karta hoon,
tumhein kuch simta aur sakuchaya sa paata hoon,

kyon bhool jaati ho ke tum mere nahi huye to kya..
main tumhara... tumhara... 
sirf tumhara raha..

silsila yeh jaari rahega

ashkon ko jane kaise pina sikha humne,
tere liye khudko gum dena sikha humne,

shayad mohabbat hi hai yeh,
jo humse aisa karwa raha hai,
varna kab kiya hai gairon ke liye aisa humne.

waise to jab dil dukhata hai koi,
hum usko yun chordte nahi,
par tum to dil tord kar chale gaye,
aur hum kuch kar sake nahi.

majboor the shayad dil ke hathon,
na apna dard bata sake,
yun to zindagi bhar chahte rahe,
par na kabhi jata sake.

aaj ho ya ho kal,
silsila yeh jaari rahega,
guzre zamaane to bhi,
mere dil parr haq sirf tera rahega.

teri mohobbat ki kasam,
mohabbat karte rahenge,
yun to diya hai kayion ne dil,
par hum apni saanse bhi
tujpe vaar jaayenge. 

pyar mein kabhi kabhi

mohabbat khoobsoorat hai,
lekin jab adhoori hoti hai,
pyar mein kabhi kabhi,
kaha suni jaroori hoti hai,

kuch es tarah se poocha usne,
ke zinda kaise ho hamare bina,
to humne kaha..

shayaad apko maloom nahi,
kabhi kabhi marne walon ke cheron
par bhi khushi hoti hai.

zindagi hamsafar ke bina adhuri nahi hoti

chaahat uska naam nahi,  jisse chaaho usse paa lo,
chaahat to woh dariya hai, 
jisme maujaun ke saath khud ko baha lo.

chaahat bhale hi sachhi ho, par kabhi puri nahi hoti,
aur zindagi hamsafar ke bina adhuri nahi hoti.

isliye hamne mohabbat ko apna dushman maan liya,
akele hi zindagi ko jeena seekh liya,

phir bhi hamari chahat ko, hum bhula nahi paaye,
chaahat unki sachhi ho ya joothi, hum uske bina reh nahi pate,

pyaar karke bhi hum tannha hue, 
bhari mehfil mein hum rusva hue,
dil se chaahat ko bhulakar bhi haum kabhi na aabad hue.

tum mere, baaki sab tumhara

chalo kaynaat banate hain,
tum mere, baaki sab tumhara,

chalo ek nazm sunate hain,
shabad mere, lekin ehsaas tumhara,

chalo ek aashiyaana banate hain,
armaan mere, khawaab bas tumhara,

chalo kuch ilzaam uthate hain,
wafa meri, saath bas tumhara.

kya yehi pyar hai?

jagana raaton ko,
ginna taro ko,
chando ko sanam kehna..
kya yehi pyar hai?

ghanto milna unse,
karna baatein unse,
phir bhi tardap..

kya yehi pyar hai?

sochna unko,
unki baatein
bebaat pe hasna..

kya yehi pyar hai?

lagta to aisa hi tha pehle,
jab main nadan tha,
nahi mila tha unse,
nahi hua tha pyar mujhe.

kehta tha sab bekaar hai,
koi kisi ke liye kyon tardpe,
kyon kar jaage raaton ko,
nadan tha tab main shayad.

judai ki tadap,
payar ki kasak,
na mil pane ki bebasi,
nadan tha tab main shayad.

aaye jab se zindagi mein tum ho,
ghante ka milna ek pal sa lagta hai,
ek pal judai ka ek sadi sa lagta hai,
pyar hua tha mujhe shayad.

yaad aate hai woh lamha,
jab dekha tumko pehli baar,
dil jaise bhool gaya tha dhadkana ek pal ko,
pyar hua tha mujhe shayad.

door hogaye ho tum mujhse aaj,
bhool gaye ho tum mujhko aaj,
koi aur hai zindagi mein tumhare aaj,
ab samjha hoon tannhai ka matlab.

rooti hain aankhein meri,
ruthi hai meri muskan,
na chah hai jeene ki,
na hi koi tamaana meri,

mangta hoon maut har pal,
mere bahgwan ko manzoor nahi,
ek jhalak ki hi dua shayad kabool hai usko,
tabhi zinda hoon shayad aaj tak, 

kya yehi pyar hai?

main us din mar hi jaounga jab tum milne aaogi

main taaron se ghar ko sajounga jab tum milne aaogi,
main chaand ko payal pehnaounga jab tum milne aaogi.

main raat ki aankh mein kajal lagounga jab tum milne aaogi,
main suraj ko chiraag dikhaounga jab tum milne aaogi.

main phoolon se khushboo churaounga jab tum milne aaogi,
main sehra mein nadiya bahaounga jab tum milne aaogi.

main aakash ko zamin pe laounga jab tum milne aaogi,
main sare dardon ko bhool jaounga jab tum milne aaogi.

main tere kadmon mein bicch jaounga jab tum milne aaogi,
main us din mar hi jaounga jab tum milne aaogi.

aa jaao.. dil tumhein bulata hai

aa jaao.. dil tumhein bulata hai,
dard-e-judai ab na saha jata hai,
sardiyon ki gun guni dhup mein,
humein tera saath lubhata hai.

chaman mein khile gulabon ko,
palkon mein kaid khaabon ko,
meri chhahat ke sailaabon ko,
tu kyon samajh nahi pati hai.

sard chandni raaton mein,
dil ke bheege jazbaaton mein,
pal do pal ki mulakaaton mein,
tu chhipke mujhe satati hai.

jab meri aagosh mein hoge tum,
mujhe adhron se chhu loge tum,
ek ehsaas suhana doge tum,
raaj umeedon ka jahan sajata hai,

aa jaao dil tumhein bulata hai,
dard-e-judai ab na saha jata hai. 

kyonki tum aaj bhi mere saath ho

yaddon ke mausam mein dil ki kori zameen pe,
kuch beej chhahat ke boyie the maine kabhi,
unko seencha tha apne khoon-e-jigar se maine kabhi,


aaj sadiyon ke intezaar ke baad,
kuch ankur safeed rang ke foot parde hain,
jinko dekh ke main hairat main hoon,

aur man hi man yeh soach raha hoon,
yeh kaisi fasal uggi hai meri chhahat ki,
kori zameen mein se kore se ankur!

in mein bhi meri tarha koi rang nahi,
koi khushbu nahi koi harkat nahi,

in ankuro ke paude banne ke intezaar mein,
main baitha hoon iss aas pe ki shayad,
inka rang kuch hara ho jaaye,

in par bhi laal rang ke phool khile,
lekin main yeh bhool gaya hoon,

aakhir to yeh uuge hain mere dil ki zameen pe,
inko seencha hain apne khoon-e-jigar se maine,

phir kyon joothi umeed sajaye baitha hoon,
ki yeh hare honge aur in par laal rang ke phool khilenge,

phir aachanak mere jhaen main yeh baat aayi,
ki haan inko tere komal haathon ka saparsh mila hai,

woh ek lamha jab tu mere samne aayi thi,
aur tune mujhse nazar milayi thi,

shayed woh anmol lamha hi inko hara kar de,
inki har dallyi laal phoolon se bhar de,

mera dil yeh manta hai ki tum bahar ho,
iss bekraar dil ka karaar ho,

meri wafa ho mera pehla pyar ho,
mere man mandir ki devi ho tum,

janmo se meri talaash ho tum,
meri pyasi dhardkno ki pyaas ho tum,

haan mujko yakeen hai ki yeh paude hare honge,
aur in par laal rang ke phool bhi khilenge,
kyonki tum aaj bhi mere saath ho.

All Time's Favourite Posts