Showing posts with label dost. Show all posts
Showing posts with label dost. Show all posts

aise hain mere paa..

nariyal ko dekha hai na gaur se?
upar se sakkt, ander se kitna narm-mulayam,
ekdum malaayi sa, bilkul aise hain... mere paa.

maa ki tarah loori nahi sunaate,
meri aanshuon ko aachal nahi thamaate to kya?
anguli pakkad kar zindagi ke kathor dharatal par,
pehla kadam rakh chalna sikhate.. mere paa.

thokar khaa kar girne par
dard ko sehna sikhaate.. mere paa.

maa ki tarah parilok ki sair nahi karate,
duniya ki uchh-nichh bhi nahi samjhate to kya?
mere imhetaan mein mere sath raat bhar jaagte,
mere liye chaai banate.. mere paa.

mere behtar kal ke liye,
apna sunehara aaj kharch karte.. mere paa.

maa ki tarah gale nahi lagate,
meri yaad mein aanshu nahi bahate to kya?
chup-chaap mujhe niharate,
khaamosh nigaahon se sab kuch keh jaate.. mere paa.

mere jaane ke baad udaas akele 
mujhe mere kamare mein dhundate.. mere paa.

kahi kisi ka dil naa tute

chaahe kahin koi apna roothe,
chaahe kahin koi sapna tute. 

dil hai mandir, dil hain masjid,
dil hai shiwaala, dil naa tute. 

roothe to roothe saari duniya,
rab hai apna, rab naa roothe. 

sukhe chaahe darya-nadiyaan,
dil ka niraala, perd naa sukhe. 

meri manzil door bahut hai,
koi naa mera raasta roke. 

phool milenge kaise tum ko,
baithe ho tum kaante boh ke. 

sab ki manzil dil ki galiyaan,
jaana hai ab dil se hoke. 

dil ka rishta bilkul sachha,
iss ke aage saare jhuthe. 

khushbu wafa ki baandh ke rakhna,
khol naa dena, dil ke jharoke. 

hum ko sada hai pyaar ki chaahat,
khawab piroye hum ne shok se.

lafzoan ki hai mala lekin,
pesh kiya hai dil ko piro ke. 

jab bhi hum ne, dil ko dukhaaya,
deta hai dil, hum ko kacho ke. 

dhoond rahe ho, iss mein wafa tum,
khaaye jabke laakhon dhokhe. 

new year ka intezaar

12 mahino ka intejaar,
phir tum aate ho har saal,
dilon ke beech dooriya,
kuch palon ke liye hi sahi,
mita dete ho har saal,

har koi ek dusre se,
happy new year,
kehne ko hai bekaraar,
mehfilein zama dete ho,
nacha dete ho har saal,

gujre waqt ka andhera,
mita dete ho har saal,
nayi ummeedein,
naye armaan sabke dilon mein,
jaga dete ho har saal,

ab aa bhi jaao na,
mat karwao intezaar,
tere swagat ko,
hum sab hai taiyaar.

chahne par bhi na bhool paaye, lakh jo bhulaya humne

jinke-kan kan mein thi bewafaai ki khushbu,
dil ke aangan mein poudha aaisa mehkaya humne.

gir gaye woh khud hi aapni nazaroo se doston,
jab unka diya zakhm unhi ko dikhaya humne. 

bhale hi khud rote rahe hum sadda sitam se unke,
kabhi kissi baat par unko na rulaya humne. 

yaadein chali aati hain unki jab bhi tannha hote hain,
chahne par bhi na bhool paaye, lakh jo bhulaya humne. 

aaj woh hi sikhlate hain zamane mein tannha rehna,
jinhein kabhi yeh zaalim pyaar tha veeraan zindagi ka,
issliye baad unke saathi, mout ko banaya humne.

pucha jab kabhi humse raaz doston ne khamoshi ka,
aapni mohabbat ka ek alfaaz na batayaa humne.

sab loggo ne yahe jutai doulat zamane bhar ki,
khushiya ke baadle bas ghum hi tha jo jutaaya humne.

tum kabhi na karna mohabbat deewano ki tarha,
har aashiq ko iska kaaran bataya humne.

koi bhi ab wafadaar na raha

duniya mein sachha pyaar na raha,
koi bhi ab wafadaar na raha. 

vaade wafa ke karte hain sab,
nibhayein jo aisa yaar na raha. 

nazrein jhuki si, kap-kapate se lab,
pyaar ka aisa izhaar na raha. 

chudiya-kangan to khanakte hain sab,
par pehle jaisa jhankaar na raha. 

piya mann bhaaye bhala kaise jab,
karne ko koi shingaar na raha. 

pathjhad si lagti hai jeevan ab,
zindagi mein koi bahaar na raha. 

chale gaye wapas jaane woh kab,
unka ab koi intezaar na raha. 

hasratein hain adhuri, tutte sapne sab,
apna ab koi dildaar na raha. 

karu kya fariyaad.. sune jise rab,
ab aisa koi pukaar na raha. 

saasein to leta hai raaj
 ab bhi,
zindagi par koi aitbaar na raha.

hasrat hai dil mein ek arse se..

iss shehar ki bheed mein ghum-e-ishq ke maare,
zinda hain ab tak yahi badi baat hai pyaare.

yeh hansta hua chand, yeh tim-timate sitare,
magar yeh dil hai ek jarre ke sahare.

hasrat hai koi pyar se dekhe mujhe,
arman hai koi phool humein bhi dil se pukare.

har subah meri subah pe roti rahi shabnam,
har raat meri raat pe hanste rahe taare.

hasrat hai dil mein ek arse se,
koi mere uljhe naseeb ko saware.

mere gazalon ko mere sath gaao ki andhera hatte

dil ko roshan banao ki andhera hatte,
nafraton ko bhagao ki andhera hatte,

aao dil ki mehfil mein, aao ki andhera hatte,
rukh se julfein hatao ki andhera hatte,

do pyar ke geet gaao aur muskuarao,
sare ghum ko bhulao ki andhera haate,

pyar ke noor se khaiyan pat do nafraton ki,
jahan ko jagmagao ki andhera hatte,

chand se mukhde ki tareef mein kuch kehne do,
mere gazalon ko mere sath gaao ki andhera hatte,

ek “raaj“ hi hai aapke nazaron mein kabse,
jaam-e-ulfat pilao ki andhera hatte.

apni to duniya hi doston se hai

khushi bhi doston se hai,
gham bhi doston se hai, 

takraar bhi doston se hai,
pyar bhi doston se hai, 

roothna bhi doston se hai,
manana bhi doston se hai, 

baat bhi doston se hai,
misaal bhi doston se hai, 

nasha bhi doston se hai,
shaam bhi doston se hai, 

zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai,
zindagi mein mulakaat bhi doston se hai, 

mohabbat bhi doston se hai,
inaayat bhi doston se hai, 

kaam bhi doston se hai,
naam bhi doston se hai, 

khyaal bhi doston se hai,
armaan bhi doston se hai, 

khwaab bhi doston se hai,
maahol bhi doston se hai, 

yaadein bhi doston se hai,
mulakaatein bhi doston se hai, 

sapne bhi doston se hain,
apne bhi doston se hain, 

ya yoon kahoon yaro,
apni to duniya hi doston se hai.

mera yeh kya jeewan hai, akelapan ek humsafar hai

mera yeh kya jeewan hai,
akelapan ek humsafar hai,

khoj hai mera jaari abhi,
mil jaaye ek dost agar…

dhoond liya rasta rasta,
gaya main har kis ke paas,

par laut aaya ek jawaab lekar,
ki dost nahi banayenge hum.

pata nahi kya hua sabko,
ya phir galthi mujh mein hai,

sochta hoon bas yehi,
par koi mujhe milta nahi. 

rehta hoon main unke paas,
karta hoon unki har madadh,

raktha hoon khayal unka,
kami nahi chhod tha kuch,

par jaane kya hua sabko,
ya phir accha nahi lagta main unko,

mere chehre se log nafrat karte hain,
ya mere pehchaan se,

jaanta nahi main abhi kuch,
dhoond raha hoon phir bhi kuch,

mil jaaye ek dost mujhe,
to ho jaun main bhi khush.

doston ke saath woh mastiyan phir kahan

doston ke saath wo mastiyan, badmashiyan, 
phir kahan, phir kahan... 

history ka wo class bunk karna, 

chemistry ke period mein sona, 
phir kahan, phir kahan...

teacher ke question puchne par 
chup-chup khade hona, 
teacher ke absent hone par jada khush hona, 
phir kahan, phir kahan... 

jee le iss pal ko jee bhar ke, 
yeh sab phir kahan, phir kahan... 

kisi anjaan safar par thame dosti kaa haath

mere dost main woh nahi jo dikhta hoon, 
jaan bujh kar maine ek libaas pehen rakha hai,

jo mujhe tumhare sawalon se bachata hai, 

aur tumhe mere takalluf se.

mere dost jab tum guzrti hui 
hawa ki aur ishaara karte ho, 
mera dil to kisi samunder ki gehraiyon mein khoya rehta hai. 

tumhare kehne par hi main apni gehraiyon se uthkar, 

guzarti hui in hawaon ko mehsus kar leta hoon, 

kyunki main jaanta hoon, 

tum mere samunder ko samajh nahi paoge, 
jab tumhara yaha kisi ujle din ki shuruat hoti hai, 
mere waha ek suni raat apna geet gungunati hai. 

tumahri nazro se main suraj ki kirno ko failte hue dekh leta hoon, 
jab ki tum taaron se pankh ladaati meri raat nahi dekh paate,

dost jab tum kisi jannat ki aur chal padte ho, 

main apne jahanum main simat jaata hoon,

tunhare saath main kabhi jannat ko dekh leta hoon, 

par hamesha main tumhe apne jahanum se door rakhta hoon,

kyunki main jaanta hoon yaha ki aag tumhara chehra jala dega, 

aur yaha ka dhua tumahari aankhon ko pighla dega.

jab tum hans padte ho main bhi hans leta hoon, 

tumahre khwabo ki duniya mein sang tumhare ho leta hoon,

meri jujlaati hui hakeeqat se tumhe bahut door le jaata hoon, 

kyunki tum meri deewani duniya se wakif nahi 
aur mujhe tumhare jaha se nahi koi wasta.

phir bhi aye dost, 

yuhi saath saath hum chal padte hain 
kisi anjaan safar par thame dosti kaa haath..

ek tanhai hi sougat mili mujhe har rishte se

kise karun bayan dil ke iss dard ko, 
har apne mein dikhayi deta, 
mujhe beganapan hai,

duniya mein bahut hai rang dosti ke, 

par jaane kyun mere liye, 
har rang mein samaya ek soonapan hai, 

chand taaro ko paane ki chahat, 

to kabhi na ki maine, 
ek pyar hi chaaha har kisi se, 
par mila jaane kyun sirf gham hai, 

bahut hai iss duniya mein saath nibhane wale, 

jaane kyun phir bhi bhari duniya mein, 
mere paas akelapann hai,

ghame-e-dard ki dastaan kab tak, 

mann mein chipa paunga sabse, 
toot kar bikhar jayega 
aakhir yeh to ek najuk sa mann hai, 

ek tanhai hi sougat mili mujhe har rishte se, 

yahi mere jeene ki wajah aur 
issne hi diya mujhe apnapan hai.

raaj teri bas yahi aadat buri hai

milega kabhi sachcha dost mujhe,
ab to chodd chuka hoon us aas ko,
jis pe bhi kiya khud se jada bharosa,
ussi ne toda sada mere vishwas ko.

mera kasoor sirf itna hai ki,
maine sada dil se dosti nibhayi hai,
milti hai saza burayi ki kisi ko,
maine to shareef hone ki saza paayi hai.

kabhi dil kisi ka maine toda nahi,
phir dil mera kyun har baar toota hai?
kya koi nahi jis par vishwas kar sakoon?
kyun mujhe mere hi apno ne loota hai?

yahan sab ke chehron par nakab hai,
inki baaton mein meethi chhuri hai,
na kiya kar itni jaldi vishwas,
ki raaj, teri bas yahi aadat buri hai…

maa tujhse yeh duniya meri

mere wazood ki kahani woh, mere ser pe jiska saya hai,
maa tujhse yeh duniya meri, tujhse hi jeewan paya hai.

har ehsaas tujhse hi jana maine iss jahan mein aake,
hai karzdaar uska yeh beta, dhood jo tune pilaaya hai.

pehla lafz tu bani mere jeewan ka khuda ke karam se,
pakad mere hathon ko mujhe sambhalna shikaya hai.

mere ek chink pe tardapna tera, kitni raat tu soyi nahi,
khud ko jala dopehar bhar, har dhoop se bachaya hai.


hoon aaj main apne kadmon pe, jahan ko paar kar ke,
hoon par tere kadmon mein, jisse har seekh ko paya hai.


teri mamta ka pyasa hoon, luta de mujhpe pyar aapna,
poojta hoon tujhe aise ki bhagwan ki jagah biithaya hai.

hai dua upar wale se gar woh iss jahan mein kahin hai,
rakhe sada khush usse, jisne mujhe duniya mein laya hai.

mere wazood ki kahani, woh mere ser pe jiska saya hai,

maa tujhse yeh duniya meri, tujhse hi jeewan paya hai. 

chalo aaj thoda ghoom aate hain

chalo aaj thoda ghum aate hain,
samandar mein kashti dubokar
tufaano se do-do haath kar aate hain,
chalo aaj phir thoda ghoom aate hain...

phise badalon ka nimantran
sweekar kar aate hain,
bijali ko phir kahi girne
ki salah de aate hain,
chalo aaj thoda ghoom aate hain...

zindagi ki rassa-kassi mein
khud ko bhi thoda dheela chord aate hain,
utta kar inke ehsaano ka tokara
phir samandar mein fekk aate hain,
chalo aaj phir thoda ghoom aate hain...

lekar apne sath thoda sa jwaar-bhata,
chaand ko bhi bula aate hain,
samandar mein chand-sitaron ke sath
aaj ek nayi mehfil sajate hain,
chalo aaj thoda ghoom aate hain...

maine dekha phir woh sapna

maine dekha phir woh sapna,
haath mein uske haath apna,
chahat ki kuch baatein bhi,
chori chupke mulakaatein bhi,

woh sharmayi si thi kuch,
aur main bhi tha kuch behka sa,
jaane kyu kal soo kar bhi lage,
jaise mujhe neend na aaya tha,

pyaara pyaara tha mausam,
aur mehki thi kuch hawayein bhi,
raat akeli ne bhi thi ordhi,
chaandni ki chaadar bhi,

dekh mujhe kuch ghabraayi si,
usne liya baahon mein tha thaam
kaise keh paauon mein labzo mein,
kaise guzari thi kal ki raat,
maine dekha phir woh sapna. 

milne aana kabhi-kabhi

raat jaagna kabhi-kabhi,
nazrein churaana kabhi-kabhi,

khubsurat ho tum, yeh kehkar,
itraana kabhi-kabhi,

chand ke saamne, sharmakar,
chali jana kabhi-kabhi,

khwaabon mein mujhko dekhkar,
muskurana kabhi-kabhi,

aaiyene mein husn dekhkar,
chandni mein jaana kabhi-kabhi,

kitaab ke panne palatte huye,
seene se lagana kabhi-kabhi,

nazrein churakar duniya se,
mujhse milne aana kabhi-kabhi.

2020 ho kuch aisa..

meri chah hai naya saal ho kuch aisa,
na ho jismein koi kisi ka dil dukhane wala,

duniya mein nahi hai jinka koi,
naye saal mein ho unko koi gale lagane wala,

ujadi huyi aankhein jinki zindagi mein hai andhera,
naya saal ho unhein dobara sapne dikhane wala,

tannha aur udaas logon ke aashiyano mein,
naya saal ho khushiyon ki baarish karne wala,

dukh, dard, dushmani sab ko mitakar,
naya saal ho sabse dosti karane wala.

bepanah chahat hai aaj bhi tumse

bepanah chahat hai aaj bhi tumse,
har roz teri yaadein aati hai mere dar par,

har raat tardapta rehta hoon main to mere ghar par,
har surkh labo ki laali tere jaise lagti hai,

milenge tumse kabhi na kabhi,
yeh dil ki dhadkan kehti hai.

takraar hoti rehti hai meri mere ghum se,
bepanah chahat hai aaj bhi tumse.

duniya wale raaj the shayar ko humesa yaad karenge

arre aaj ka insaan kya iss dharti ko aabaad karenge,
woh to iss dharti ki sewa bhi apne baad karenge.

inn insaano ka bas chale to sirf paison ke liye,
yeh kambakht apni zindagi khud barbaad karenge.

insaano mein aa jaaye sochne samajhne ki shakti,
hum to ab khuda se bas yahi fariyaad karenge.

jo jeete hain khud ke liye na ki dusaron ke liye,
arre woh kis liye iss zindagi ka swaad karenge,

main agar mar bhi gaya to yeh wada raha ki,
duniya wale iss raaj the shayar ko humesa yaad karenge. 

All Time's Favourite Posts