Showing posts with label dar. Show all posts
Showing posts with label dar. Show all posts

mann mein shree raam ka naam lo

zindagi bhar kisi ka na ehsaan lo,
baat hai yeh sahi, baat yeh maan lo. 

de-do, de-do mujhe apne runj-o-alam,
chaho badle mein to tum meri jaan lo. 

chaaho to cheen lo, mera sabr-o-karaar,
na kabhi cheen kar, mera emaan lo. 

jab kabhi, dil mein jaage koi vaasna
mann mein us ghadi,  shree raam ka naam lo. 

na kinaare pe reh kar nazaara karo,
gar hai himmat jo dil mein, to tufan lo. 

ho irrade atal, to aye dost khauf kyun,
jeetna hai yeh baazi, dil mein tum tthan lo.

andekhi khushi ki gar chahat na hoti

gar mukamal jahan hi mil jata,
to tere bina main behal hi kyon hota.

tu chhord ke hamein na jati sangdil,
to khuda se mera yeh sawal hi kyon hota.

andekhi khushi ki gar chahat na hoti,
to mera jeena phir muhaal hi kyon hota.

teri chahaton se gar muh mord leta,
mere naam se duniya mein bawal hi kyon hota.

maaloom hoti agar badkismati hamari,
to tujhe paane ka khayal hi kyon hota.

mere haale tabaahi ko gar duniya na dekhti,
to tu bewafaai ka misaal hi kyon hota…

ab kya kare?

jab dard nikal naa paaye, sukh jaaye.. to kya kare?
ashk paani ki jagah lahoon barsaaye.. to kya kare?

dhadkan aur zindagi ka kitna hota gehara naata,
dhadkan hi kaanto sa chubhta jaaye.. to kya kare?

rim-jhim barish ka paani pallavit kare har dil ko,
woh jab tufaan ka aagaz kar chaaye.. to kya kare?

andhere se dara mann chikh kar bulaata apane ko,
jo apani chaaya ko bhi dekh na paaye.. to kya kare?

ek apana ek sapana zindagi ke do rukh ban gaye,
sapne ki khushi bhi bichhadane aaye.. to kya kare?

aalam yeh aisa ghir raha, dard ko tannha sahane ka,
dar se maut bhi apane saath na le jaaye.. to kya kare?

aanshuon ko jalaakar, khush hote rahein kai dino se,
ab yeh ashk bhi mera mazaak udaaye.. to kya kare?

apni hi talaash mein ghoomate rahe kaanto mein bhi,
khood ka wajood hi prasshn uthaaye.. to kya kare?

yeh insaan hai andheron ka, roshni se draa draa rehta hai

baadal ki unchaaiyon ke kareeb kahi chaand chupa baitha hai,
zameen ki gehraaiyon mein door kaheeni insaan chupa baitha hai,
apne chehre par samaaj-numa nakaab dale huye,
sehma-sehma sa lagta hai bahar kaise nikle, 
badla badla sa lagta hai.

yeh insaan hai andheron ka, roshni se draa draa rehta hai,
kaan to hai.. phir bhi behra hai, aankh to hai.. phir bhi andha hai,

apne ird-gird faile samaaj ke daayre ko tordna chaahta hai,
apne raaste, apni haqeekat se jordna chaahta hai,
haath aur pair salaamat hain, phir bhi apaahiz hai,
apne dil ki aawaaz sunta nahi hai, woh hi kerta hai jo jamaana kehta hai
iss duniya mein shaamil ho ker bhi woh jraa jraa rehta hai.

yeh insaan hai andheron ka, roshni se draa draa rehta hai,
jaane kabse apni aazaadi ki aas lagaaye baitha hai,
koi aaker saath dega yeh kayaash lagaaye baithaa hai,
rota hai akser, magar hansta bhi hai kabhi kabhi.

kabhi apne haal par kabhi apne sawaal par hairaan ho jaata hai,
badaa hi bechaara hai yeh insaan jo,
door kahi jameen ki gehraaiyon mein chupa baitha hai,
sab kuch paas hoker bhi kuch admarra sa rehta hai ,
yeh insaan hai andheron ka, roshni se draa draa rehta hai.

tujhe yaad kerna raaj ka kaam hai

sanj savere surmayi shaam hai,
labon pe bas tera hi naam hai,
adaa, haya, khusboo aur nazakat,
tera hi tasweer tamaam hai,

pagal kahe koi deewana pukare,
kitna masoom sa yeh ilzaam hai,
tujhse hi jurde hain her lafz mere,
iss dil mei tera hi kalaam hai,

nachez se hain yeh lekin har lafz,
kerte bas tujh hi ko salaam hai,
har pal teri yaad ko naya rang diya,
tujhe yaad kerna raaj ka kaam hai.

sansaar se ab dar lagta hai

ab mujhe pyaar se dar lagta hai,
uske izhaar se dar lagta hai,
waqt ka kya hai, guzarr hi jayega,
uski raftaar se dar lagta hai,

jo piye hain dusron ke hisse ke,
aise aanshuon se dar lagta hai,
unse mile dard me bhi meri khushi hai,
unke pyaar se ab dar lagta hai,

sunn ke akalmandi ke afsaane,
har samajhdaar se ab dar lagta hai,
humpe iss kadar huye hain dhoke
saare sansaar se ab dar lagta hai

aaj unki yaadon se

aaj unki yaadon se mera ye dil pareshaan hai,
sochta hoon kya likhoon kalam bhi hairaan hai.

meri deewangi me to ussi sangdil ka haanth tha,
aaj pahchanti tak nahi kis kadar be-imaan hai.

khudaya ye khwaab kabhi tootein na to behtar,
yahin mere ghar wo do ghadi ka mehmaan hai.

aaj jo teri nishaaniyaan dhundhne nikle hum,
khamoshi hai bikhri huyi har raah soonsaan hai.

kabhi wo haalat the ki junoon ki kami na thi,
aaj mere palkoon me be-intehaan intezaar hai.

wo jab rukh se parda hata dete hain to yaaron,
farishte bahek jaate hain, hum to phirbhi insaan hai…

dil mere tu kiske liye dhadakta hai

dil mere tu kiske liye dhadakta hai,
tere ehsaaso ko kaun yaha samajhta hai,

tu kyu kisi pe yun marta hai,
har koi is matlabi duniya me jeeta hai,

khusi k liye kyu har pal tarasta hai,
yaha toh gam hi khubsurat lagta hai,

armaano ko liye kyu machalta hai,
unko adhura rehte dekh jeeya jalta hai,

tut kar bhi kyu tu sambhalta hai,
yaha tujhe phir bikharna pardhta hai,

bharosa kyu itna karta hai,
yaha har ghardi insaan chehara badalta hai,

tu kyu jaan yun chidakta hai,
woh to tera katil bana phirti hai,

pagal dil, tu kyu nahi samajhta hai,
teri halat dekh har koi hassta hai,

tere liye kisika nafrat hi acha hai,
yaha toh pyar bhi bahut sasta hai..

ye zaruri to nahi

behisab baat bardhaayein ye zaruri to nahi,
tu na maane to manaayein ye zaruri to nahi,

ye bhi sach hai ke tere bin nahi aaraam humein,
phir bhi hum tujh ko sataayein ye zaruri to nahi,

tere dam se meri duniyaa ka bharam kaayam hai,
baat ye tujh ko bataayein ye zaruri to nahi,

ab ke milne pe koi aur baat kar lenge,
roz dil tera dukhaayein ye zaroori to nahi,

dil se jab dil ko koi khaas tallukh na rahe,
haath se haath milaayein ye zaruri to nahi,

bewafaai ka sabab kya hai ye maloom to hai,
haan wafa sab hi nibhaayein ye zaroori to nahi,

tune jo phoonk diya mere aashiyaane ko,
hum bhi ghar tera jalaayein ye zaroori to nahi ,

mere toote huye dil se ye aawaz aati hai,
wo bhi yun aashk bahaayein ye zaroori to nahi,

laut aayegi shama kha ke wo reham lekin,
unko awaaz lagaayein ye zaroori to nahi

baithe baithe yunhi achanak

baithe baithe yun hi achanak kahin,
main khone lagta hoon,
khud hi se khafa khafa sa main hone lagta hoon,
sochta hoon jab bhi uske dard ka aalam,
ho ke bekaraar palkein main bhigone lagta hoon..


ek unki naam, unki yaad, unhi ka khayal rehta hai aas paas,
jab bhi aankhein kholta hoon subha,
raat jab bhi main sone lagta hoon,

ek baar unhone kaha to tha...
unhe bhi shayed mujhse pyar hai,
aaj bhi us shabd ko karke mehsoos,
bechain sa main hone lagta hoon...

duaon pe apni mujhe bharosa bouhat tha sadiyon se,
ek yehi bharm dil mein liye,
khwaab uske main sanjhone lagta hoon..

ek sheeshe ka ghar sang uske maine bana to liya hai..
dekh kar duniya ke haath mein pathar,
khauf sa main hone lagta hoon..

dard chupate hain jab woh,
dil se nahin labon se muskurate hain jab wo,
jaane kaun se ehsaas se main tardap jaata hoon,
bebasi me phir main rone lagta hoon..

baithe baithe yunhi achanak kahin,
main khone lagta hoon,
khud hi se khafa khafa sa main hone lagta hoon..

ek pyaar ka dariya tha

chalta ja raha tha,
umr ki sunsaan andheri sadak per,
thak chuke the paun,
sukh raha tha kanth,
paseene mein lath path,
door kahi dikhayi diya jal.

bataya kisi ne….
pyaar ka dariya hai yeh,

pagal sa ho gaya main,
dubbna chaha usme,
chaha sheetalta uski,
pyaas thi bujhani man ki,
per keh utha main…

ek baar soch lo raj,
inn uunchi neechi leheron mein,
kab tak tair paoge?
kahin thak naa jana tum.

khud se kaha maine…
shayad raah mein kashti mil jaye,
ya koi ban jaaye sahara mera.

per phirse keh utha main..
agar naa mila koi,
ya tumhein sahara dene wala,
khud duub gaya to?
kya keroge tum?

fass gaya bhawar mein,
ya baard baha le gaya to..
kya keroge tum?

jal ke thande thapedde,
kaise sahoge akele,
takara ker kisi chataan se,
tuut gaye to kya keroge tum?

darr gaya ye sun ker main..
chal parda tay kerne baki kaa safar,
akela…
buss akela,
maan li man ki baat,
magar pyaasa hi laut aaya,
ek bhi ghunt naa piya,
uss pyaar ke dariya se.

kal agar mil jaaye tumhein koi pyaar ka dariya,
to meri tarah pyaase mat laut aana,
ek ghunt naa bhi pi paaye to,
apna anchal to bhigo aana..

aur mera tardapna kuch bhi nahi

tere waade.. waade hain,
mere waade kuch bhi nahi,
tere sapne.. sapne hain,
mera apna kuch bhi nahi??

sapno ki ret per,
talash kare hum boondon ki,
teri khawaish.. khawaaish hai,
meri tamanna kuch bhi nahi??

ess murda jism mein,
kuch jaan abhi tak hai baki,
teri saanse.. saanse hain,
aur mera dhardkna kuch bhi nahi??

tannhaiyon ki mehfil mein,
shor utha jasbaaton ka,
teri duniya.. duniya hai,
aur mera ujardna kuch bhi nahi??

band deewaron mein,
chillane ki taakat nahi hai ab mujh me,
teri cheekhein.. cheekhein hain,
aur mera sisakkna kuch bhi nahi??

mat do hawa inn shollon ko,
ki sara chaman hi jal jaaye,
teri aahein.. aahein hain,
aur mera tardapna kuch bhi nahi?

chand sitare denge gawahi meri jaagti raaton ki,
teri neendein neendein hain,
mera jaagna kuch bhi nahi

sabne kaha bhul ja usse

sab ne kaha tu badal sa gaya hai,
maine kaha waqt badala hai...

sab ne kaha kaun yaad aata hai udasi me...
maine kaha...  kuch purani galiya, purane kissey aur ek ladki...

sab ne kaha tum me pehle jaisi ab baat nahi...
maine kaha zindagi me uska jo sath nahi...

sab ne kaha ab bhi kisi ki aankho me doob sakte ho?
maine kaha ab kisi aankh me wo baat nahi...

sab ne kaha kyu itna toot kar chaha usse?
maine kaha insaan hun, koi  pathar nahi...

sabne kaha kya bewafa hai woh?
maine kaha mujhe ab wafa ki talash nahi...

sabne kaha bhul ja usse ab?
maine kaha woh hakiqat hai koi khwab nahi...

main darta hoon

chahat ki raah mein thokar khane se darta hoon,
haseen khawab ke bikhar jane se darta hoon,

mohabbat karta hoon unhe dil ki gehraiyon se,
zakhmon ke dil par ubhar jane se darta hoon,

bahut door hai wo dil ke kareeb rehne wale,
safar mein mausam ke badal jane se darta hoon,

jeewan ki bagiya mein ek phool khila jo,
kisi ki nazar lag jane se darta hoon..

All Time's Favourite Posts