maa ne kaha beta ek bahu laado

meri maa ne kaha hai mujhse beta mujko bahu la do,
maine kaha maa kaha milti hai bus itna bata do.

mere baba mujse bole beta shadi karle tu jawan ho gaya hai,
maine kaha baba baat kehne ki nahi hai yeh to mujhe bhi pata hai.

dada bole lado beta mujhko ab iss lathi ka ek sahara
maine kaha koi aaye to mile ishara aur mujhko mile kinara.

dadi boli jaldi shadi karle ab nahi raha jata hai,
maine kaha tum to bol deti ho mujhe se to bola bhi na jata hai.

behen boli bhaiya ab to bhabhi lado
maine bola munni.. shadi ka laddo pehle tujhe na khila doon?

bhai bola bhaiya tum fatafat karlo phir mera number lagado,
maine kaha deepak.. teri baatein maa ko bata dun?

mere dost mujhse bole raaj tu kar le aashiqi,
maine kaha yaro koi milti nahi.. koshish to bahut ki.

mera boss bola beta settle ho jaao,
maine kaha uncle itne paise kaha se lau?

bus yaaro kisi ne kaha hai time har kutte ka ata hai,
main to phir bhi insaan ki category me aata hoon.

par waqt se pehle aur bhagye se adhik kisi ko kya mil pata hai,
bus raaj sahi waqt ka intzaar farmata hai.

"I Love You" in 100 languages

english – I love you

afrikaans – ek het jou lief

albanian – te dua

arabic – ana behibak (to male)

arabic – ana behibek (to female)

armenian – yes kez sirumen

bambara – mbi fe

bangla – aamee tuma ke bhalo aashi

belarusian – ya tabe kahayu

bisaya – nahigugma ako kanimo

bulgarian – obicham te

cambodian – soro lahn nhee ah

cantonese chinese – ngo oiy ney a

catalan – testimo

cheyenne – ne mohotatse

chichewa – ndimakukonda

corsican – ti tengu caru (to male)

creol – mi aime jou

croatian – volim te

czech – miluji te

danish – jeg elsker dig

dutch – ik hou van jou

esperanto – mi amas vin

estonian – ma armastan sind

ethiopian – afgreki

faroese – eg elski teg

farsi – doset daram

filipino – mahal kita

finnish – mina rakastan sinua

french – je taime, je tadore

frisian – ik hld fan dy

gaelic – ta gra agam ort

georgian – mikvarhar

german – ich liebe dich

greek – sagapo

gujarati – hoo thunay prem karoo choo

hiligaynon – palangga ko ikaw

hawaiian – aloha wau ia oi

hebrew – ani ohev otah (to female)

hebrew – ani ohev et otha (to male)

hiligaynon – guina higugma ko ikaw

hindi – hum tumhe pyar karte hae

hmong – kuv hlub koj

hopi – nu umi unangwata

hungarian – szeretlek

icelandic – eg elska tig

ilonggo – palangga ko ikaw

indonesian – saya cinta padamu

inuit – negligevapse

irish – taim i ngra leat

italian – ti amo

japanese – aishiteru

kannada – naanu ninna preetisuttene

kapampangan – kaluguran daka

kiswahili – nakupenda

konkani – tu magel moga cho

korean – sarang heyo

latin – te amo

latvian – es tevi miilu

lebanese – bahibak

lithuanian – tave myliu

malay – saya cintakan mu / aku cinta padamu

malayalam – njan ninne premikunnu

mandarin chinese – wo ai ni

marathi – me tula prem karto

mohawk – kanbhik

moroccan – ana moajaba bik

nahuatl – ni mits neki

navaho – ayor anoshni

norwegian – jeg elsker deg

pandacan – syota na kita!!

pangasinan – inaru taka

papiamento – mi ta stimabo

persian – doo-set daaram

pig latin – iay ovlay ouyay

polish – kocham ciebie

portuguese – eu te amo

romanian – te iubesc

russian – ya tebya liubliu

scot gaelic – tha gra\dh agam ort

serbian – volim te

setswana – ke a go rata

sign language – ,\,,/ (represents position of fingers when signing I love you)

sindhi – maa tokhe pyar kendo ahyan

sioux – techihhila

slovak – lu`bim ta

slovenian – ljubim te

spanish – te quiero / te amo

swahili – ninapenda wewe

swedish – jag alskar dig

swiss-german – ich lieb di

tagalog – mahal kita

taiwanese – wa ga ei li

tahitian – ua here vau ia oe

tamil – nan unnai kathalikaraen

telugu – nenu ninnu premistunnanu

thai – chan rak khun (to male)

thai – phom rak khun (to female)

turkish – seni seviyorum

ukrainian – ya tebe kahayu

urdu – mai aap say pyaar karta hoo

vietnamese – anh ye^u em (to female)

vietnamese – em ye^u anh (to male)

welsh – rwyn dy garu di

yiddish – ikh hob dikh

yoruba – mo ni fe

pyaar toh pyaar hai.. bas yunhi ho jata hai

pyaar to pyaar hai.. bas ho jata hai,
nazar milti hai unse.. aur dil kho jata hai,

bekarar karti hai phir unki har ek adda,
na dil rehta hai apna.. unka ho jata hai,

shama rangin phir har ek lagta hai,
mehboob pass jab.. kabhi bhi aati hai,

machal uthati hai nigahein unhe dekhne ko,
unhe dekhte hi nazar ko karar aata hai,
pyaar toh pyaar hai.. bas yunhi ho jata hai.

hoti hai bechainiayan unke intezaar mein,
usse dekh dekh ke khumar chata hai,

na aati hai raaton ko phir need kabhi,
na hi kabhi phir din mein chain aata hai,

mehek uthati hai fizaaein unhe chukar,
unki muskurahat se phoolon pe nikhar aata hai,
pyaar toh pyaar hai.. bas yunhi ho jata hai.

you who has left footprints in my hearts

it's the deepest of emotions,
igniting a candle of love
a flame forever burning,
so deep for only you and I.

it is the happiness you have
fulfilled inside my heart,
that has truly caused heavens angels
to never again cry.

it's your kind heart that has captured mine darling
it's you who holds my heart deep in your hands.

it's you, who is beautiful as a sunset over the horizon
and it is you, who has left footprints in my hearts sand.

it's the way you have expressed your love for me,
that has made me fall deeper in love with you.

it is the way you show your affection towards me,
that made me realize your love is so pure and true.

it's your love, written in the pages of my heart darling...
a chapter that will never end as long as you love me,

it's with you, where I truly know my heart belongs,
you are the treasure forever be.

tum meri har raat ko khwabon mein aaogi

tum meri har raat ko khwabon mein aaogi,
khwabon mein aake mujh ko shubh bhar jagaogi,

aanchal ko apne tum haule se utaogi,
gesuoon ko apne phir tum lehraogi,

honton pe ho hulchul tardpaane ko mujhko,
in honton ki lardish se mujh ko tardpaogi,

main chahta hoon tumhein duniya ko bata dunga,
tum chahti ho mujh ko kaise bataogi?

hai sharm aankhon mein, chehre par laaz hai,
apna humein chehra kaise dikhaogi? 

tum mera aaj aur tum hi mera kal ho

tum mere liye kya ho yeh main keh nahi sakta,
par tumhare bina main zinda reh nahi sakta,

tum din ho, tum raat ho, tum bhigi barsat ho,
tum sangeet ho, tums abki priy meet ho,

mere dil ki preet ho, tum grishm ho, tum seet ho,
mere rom-rom mein bas, tum hi tum nihit ho,

tum thal ho, tum jal ho, tum galib ki ghazal ho,
tum pani ki kamal, ho tum bhagwan ki sabse badi chal ho,

mere liye to tum aaj aur tum hi mera kal ho,
tum dhoop ho, tum chaanu ho, 

tum koop ho, tum nau ho,
tum gau ho, tum shehar ho,
tum nadi ho tum nehar ho,
tum din ki pahar ho,

sagar ki lahar ho, bhagwan ki mohabbat,
par tum sabse bari kahar ho.

us raat main so naa paaya

us raat tum to so gayi par main naa so paaya,
tumhein raat bhar sotey huye dekhta raha,

dekhta raha ke tum neend mein
kitni baar muskuraati ho,

dekhta raha ke paseene ki
jhun-jhulaahat mein kitna chat-pataati ho,

aahista-aahista leta tha saansein
khalal na pad jaaye tumhaare khwaabon mein,

kyonki jaanta hoon ki halki awaaj se bhi
tum aksar jaag jaati ho,

us raat main so naa paaya,
pehron tumhein dekhte jo rehna tha.

yeh mauka main kho naa paaya,
kayi baar chaaha ke tumhein chhu kar dekhoon,

kayi baar haath bardhaaya par tumhe chhu naa paya,
tumhaare uthte-girte se badan par
main tumhaari saansein ginta raha.

tumne to anjaane mein hi sahi haath rakh diya mere seene par,
lekin main chaahkar bhi tumhaari dhardkanein naa sunn paaya,

raatbhar tumhaari saansien, mere jism se takraati rahi,
raat bhar tumhaari yeh nazdikiyaan lekin,
ek doori ka ehsaas karwaati rahi,

kitni hi baar tumhaara woh dupat-ta bhi,
tumhaare badan se sarak jaata tha,

khirdki se jhaankta woh chaand bhi shaayad,
meri haalat pe taras khaata tha,

main kabhi moond leta palkein,
aur kabhi woh, baadlon mein chhup jaata tha,

aaj jab bhi main tumhaare kareeb aata hoon,
tumhein kuch simta aur sakuchaya sa paata hoon,

kyon bhool jaati ho ke tum ganga ho iss deewane raaj ki,
tumhaari nazdikiyon mein main aksar paap rahit ho jaata hoon.

meri har ek saans mein ho tum

dil ke har ehsaas mein ho tum,
meri har ek saans mein ho tum,

tujhe bhool ne ab jaaon kahaan,
in hosh-o-hawaas mein ho tum,

ban gaye ho dhadkan zindagi ki,
mere dil-e-udaas mein ho tum,

ki hai jis ki justuju maine barson,
us manzil-e-khaas mein ho tum,

meri har baat mein teri baat hai,
honthon ki mithaas mein ho tum,

ho tum jism-o-jaan ki tamanna,
meri rooh ki pyaas mein ho tum.

apni khushiya loota kar uspe kurban ho jaaun

apni khushiya loota kar uspe kurban ho jaaun,
kash kuch din us shehar mein mehman ho jaaun,

woh apna nayab dil mujhko de de aur phir mange,
main mukar jaon aur beiman ho jaaun,

woh mujh par sitam kare har kisi ki tarha,
main iss ada par bhi mehrban ho jaaun,

woh mere paon ke neche se zameen kheench le,
aur phir main uska ashman ho jaaun,

ab to mujhe itni mohabbat ho gayi hai usse,
khuda koi muaza kare aur main us ke naam ho jaaun.

hum ek shaaye ke sang karwate badalte rahe

chand ki madham madham roshni mein,
hum ek shaaye ke sang karwate badalte rahe,

machalte rahe angoor jaise labon pe sanam ke,
aur unglion se unke gore badan par naam likhte rahe,

kabhi pucha raat ne humse,
ki yeh tera hum shaaya kya hai,
kyu hai yeh barood tere seene mein,
tu yeh kismat mein apni likhwa ke laya hai?

aatishon ke dehekte angaaron mein ab hum pighalne lage,
jism bann raha hai dariya sanam ke,
dekho tere ashique ab doobne lage.

chand ki madham madham roshni mein,
hum ek shaaye ke sang karwate badalte rahe.

waqt ke sath sath ye pyaar aur bhi gehra hota jayenga

waqt ka kuch pata nahi, kal kise woh kaha le jayenga,
banke in phulo ki mehek, pyaar iss dil me sama jayenga,

chand ki roshni ke tale, pyaar hamara roshan ho jayega,
zindagi ke is nazuk safar me, pyaar yuhi bardhta jayenga,

sath sath chalte hain hum, pyaar dono ko samjh jayega,
do dil juda nahi hamare, pyaar dono ko ek kar jayenga

koi pal dard bhara nahi honga, woh khamoshi ko mitayega,
yeh pyaar hontho pe sada, muskaan banke chha jayenga,

pyaar hamara duniya me, hamesha amar kehlayega,
waqt ke sath sath ye pyaar, aur bhi gehra hota jayenga.

har ghadi hoti hai mehsoos jaroorat uski

dil ko bechain kiye jati hai chahat uski,
har ghadi hoti hai mehsoos jaroorat uski,

tum bhi dekhoge to dekhte hi reh jaoge,
khwabon ka hi jadu hoga.. dube rah jaoge,

ek nazar dekh li tumne agar surat uski,
ruke to chand, chale to hawaon jaisi hai,

woh dhup mein mere liye chaon jaisi hai,
tardpati hai din-raat chahat uski,

ghataon sa julf aankhein kamal jaisi hai,
meri mano woh “raaj” ki ghazal jaisi hai,

meri shayari badal gayi aisi hai mohabbat uski,
har ghadi hoti hai mehsoos jaroorat uski.

All Time's Favourite Posts