let nothing bother you

let nothing ever bother you
don't ever be afraid,
for everything you see each day
is only what man made.

don't listen to the stories
from people who would scare,
and anything that worries you
with friends be sure to share.

look not for ghosts or monster
where spiderweb fill a house,
if anything moves by its self
it might just be a mouse.

the darkness hides no terrors
only what's within your head,
what you believe will do no harm
but check beneath your bed.

kuch aankh mein aanshu baaki hai

sheene mein sulagte hain armaan, 
aankhon se aanshu behte hain,
jab yaad tumhari aati hai,
kuch aankh mein aanshu baaki hai.

jo mere gum ke saathi hain,
kuch sine mein saanse baaki hain,
jo teri yaad mein jeene ko kafi hai.


ab dil hai na koi dildaar hai,
bas mein hoon aur meri tanhaayi hai,
shine mein sulagte hain armaan,
aankhon se aanshu behte hain,
jab yaad tumhari aati hai.

ek aisi aag lagi hai
mann hai ke jeene bhi na de,
aur marne bhi na de.
chup rahun to kaleja jalta hai,
aur boloon to teri rushwayi hai.

na tujhse gila hai humko,
na iss duniya se shikayat hai humko.
ke do char kadam par jab manzil thi apni,
ke tabhi kismat ne khayi hai thokkar apni.

sine mein sulagte hain armaan,
aankhon se aanshu behte hai,
jab yaad tumaari aati hai.

apni zindagi ko bas yun hi guzarte huye dekhta hoon

kabhi chadte to kabhi dhalte huye suraj ko dekhta hoon,
main apni zindagi ko bas yun hi guzarte huye dekhta hoon,

waqt ke haatho ho chala, ek majboor shakhsh hoon main,
har roz yun hi apni tamannann ko marte huye dekhta hoon.

dard aur gum ke milne par koi bhi ranz nahi hai mujhe,
bas ek inhein hi to apne bure waqt main saath dekhta hoon.

har woh cheez jo mujhe lagi kabhi pyaari woh door ho gayi,
ab jo bhi lagta hai pyaara bas usse door se hi dekhta hoon.

aaj har mord pe khudko tannha tannha sa mehsoos karta hoon,
iss duniya mein har rishtey ko rang badalte huye dekhta hoon. 

bepanah chahat hai aaj bhi tumse

bepanah chahat hai aaj bhi tumse,
har roz teri yaadein aati hai mere dar par,

har raat tardapta rehta hoon main to mere ghar par,
har surkh labo ki laali tere jaise lagti hai,

milenge tumse kabhi na kabhi,
yeh dil ki dhadkan kehti hai.

takraar hoti rehti hai meri mere ghum se,
bepanah chahat hai aaj bhi tumse.

aaj bhi main tujhse pyaar karta hoon

jin raaho mein kabhi humari mulaakatein hoti,
aaj bhi un raahon se main roz gujarta hoon.

tu kare naa kare tujhse koi gila nahi, 

par aaj bhi main tujhse pyaar karta hoon.

tere bin zindagi sookha talaab hai jaise,
aaj bhi isse apne aashuon se bharta hoon.

khuda se maut kabhi nahi chahi maine,
dil ke saath tu bhi naa jal jaaye main darta hoon.

tu kare na kare tujhse koi gila nahi par..
aaj bhi main tujhse pyaar karta hoon.

mar gaya to bhi laut kar aaunga tere liye

mere dil mein hai surat uski,
uske siwa koi aur mujhe bhata nahi,

nahi so paata hoon raaton ko,
teri tarah koi pyaar se mujhe sulaata nahi.

pehle hans padta tha baaton par teri,
ab koi mazaak bhi mujh ko hansata nahi,

sookh gaye hain aanshoo bhi mere,
koi gham bhi ab mujhe rulaata nahi,

nahi milta kissi se tevhaaron par main,
aur deepavali par koi deep jalata nahi.

tu saath thi to jeevan mein the kitne rang,
ab to holi bhi main manata nahi,

bin tere mere jeevan mein andhera hai,
koi raasta bhi mujhe nazar aata nahi,

jab se saath chord gayi hai tu,
tabse koi aur mera saath nibhata nahi,

jab se tune thukraya hai jaan,
tabse koi aur mujhe apnata nahi,

lagta tha amrit tere haathon ka paani,
pyasa hoon koi paani bhi ab pilaata nahi,

tere jaane ke baad ho gaya hoon bahut akela,
par yeh dukh mein kissi ko batata nahi.

pyar mein tukde tukde ho gaya dil,
darta hai jas, ab kissi aur se dil lagata nahi,

yoon keh dene se khatam nahi hote rishtey,
kissi ke keh dene se koi mar jaata nahi,

mar gaya to bhi laut kar aaunga tere liye,
kya hua jo us jahan se koi waapis aata nahi.

aye dard chahata rahunga main tujhko

aye dard tu kabhi mere paas naa aana,
kahin tu ho naa jaaye mera deewana.

mere dil ko tukdon mein bikher de,
kuch bhi ho tu apna yeh wada nibhana.

aye dardon ka kafila kahin aur naa jaa,
mera dil hi to hai tera asli thikana.

yeh khushi kis bala ka naam hai,
jara kabhi humko bhi tum batlana.

kuch yun tardpaao mujhko tum aye dard,
ki naa reh paye mere dard ka koi payimana.

aye dard chahata rahunga main tujhko,
chahe ho jaaye dushman tera yeh zamana.

tu to mil jaaye kam se kam mujhko nahi to,
kismat mein hi nahi meri, apni chahat ko pana.

mujhe to yahi chahat hai ki aye dard tu,
mujhko apni kasak se ghayal kar jana.

kuch yun raaj ko aap satate rahiye

humare dil mein aake kaante chubhate rahiye,
issi bahane humse milne aap aate rahiye,

aapka koi dosh nahi tha humare dard mein,
hum hi the bewafa, duniya ko batate rahiye.

hum bhi aapke aashiq the kisi zamane mein,
humne ki yeh galti, humein aap jatate rahiye.

aankhon mein aanshu nahi, muskurat liye sahi,
humare maut ki rasm aap nibhate rahiye.

humare sapno aur yaadon mein jaroor aaiye,
askon ke samundar mein humein dubate rahiye.

apne us nayab andaaz mein hi sahi humein,
aap duniyadari ke gun sikhate rahiye.

kaun jaanta hai hum kal rahein naa rahein,
par saath likhe nagmein aap gungunate rahiye.

haiwan ki bhi rooh kaanp uthe dekh hume,
kuch yun iss raaj ko aap satate rahiye.

duniya wale raaj the shayar ko humesa yaad karenge

arre aaj ka insaan kya iss dharti ko aabaad karenge,
woh to iss dharti ki sewa bhi apne baad karenge.

inn insaano ka bas chale to sirf paison ke liye,
yeh kambakht apni zindagi khud barbaad karenge.

insaano mein aa jaaye sochne samajhne ki shakti,
hum to ab khuda se bas yahi fariyaad karenge.

jo jeete hain khud ke liye na ki dusaron ke liye,
arre woh kis liye iss zindagi ka swaad karenge,

main agar mar bhi gaya to yeh wada raha ki,
duniya wale iss raaj the shayar ko humesa yaad karenge. 

aisa ek samrajya hua karta tha

kabhi iss dharti par,
mera hi rajya hua karta tha,
har shakhs sukhi tha jahan,
aisa ek samrajya hua karta tha.

na koi jaat-paat tha,
na hi koi dharm-majhab tha,
us sundar-si duniya ka,
to har drishya hi gazab tha.

na rajniti thi,
na bhrastachar hi tha,
sab swakch sochte the,
kahin koi kuwichar na tha.

na dikhte the kahin par
saje-dhaje nange,
aur naa hi hote the,
kahin koi dange.

par ab dharti se,
mera wilop ho chuka hai,
sare manwi mulyon ka,
ab khatma ho chuka hai.

main koi aur nahi,
balki insaan hoon,
par ab main, main na raha,
ban chuka main haiwan hoon.

ghuspaithion par rok lagana bhi apni laachari hai

naagrikta kanoon sabhi ke hith mein hi pass hua,
aao sabhi hum yeh samjhe ki kaise hai yeh khaas hua,

ghuspaithi ho kisi desh ke, ghuspaith mein leen rahe,
pak, bangal, mayanmaar ya desh bhale woh chin rahe,

ek bhale samuday tumhara, ek bhale hi jeen rahe,
bharat mein aaker woh sabka, rozgaar to chin rahe,

bharat ka har ek naagrik, har hakk ka adhikaari hai,
ghuspaithion par rok lagana bhi apni laachari hai.

bharat mein yadi sabhi ghuspaithi, yun hi bardte jaayenge,
simmit apne sab sansadhan, kya shuvida de paayenge,

nirlaz hain kuch neta jo, manavta ke hatyaare hain,
fook rahein ghar gadi jinki, woh bhi tumhare bhaai hain,

sardi-garmi har mausam, 24 ghante taiyaar rahe,
rakshak hain jo bharat maa ke, un par patthar maare hain,

wardi apna farz nibhati, unka koi dosh nahi,
hinsa ko har haal mein rokna, reh sakte khaamosh nahi,

47 wala kala itehas, nahi ab dohraana tum,
desh tordne walon ke, behkaave mein mat aana tum,

jaane kab tumko itni si baat samajh mein aayegi,
bharat jaisi izzat tumko, kahi nahi mil paayegi.

sirf juban par bharat maata, dhadkan dhadkan sindhu ho,
ho sakta hai rahe purwaz kabhi tumhare hindu ho,

iss mitti mein pale barde ho, paya tumne pyaar yahan,
samvidhaan mein rahe aastha, sabka hai aadhikaar yaha,

holi ka tevhaar lage  jyun bin rangon ke fikki hai,
kisi ek ki nahi amaanat, bharat desh sabhi ki hai..

naa jane log pyaar kyon karte hai

naa jane log pyaar kyon karte hai?
apna jeena khud dushwar kyun karte hain?
hum to aaj bhi yahi sochte hai ki
bewafaa humesa yaar kyon hote hain?

hothon pe hansi dilon mein khwaab liye rehte hain

hothon pe hansi, dilon mein khwaab liye rehte hain,
shayar to bandh aankhon mein bhi sailab liye rehte hain.

dil zakhmon se chhalni hua rehta hain inka humesha,
jise bhulane ke liye labo pe sharab liye rehte hain.

kitna bhi dard ho jehan mein shayar ke par ,
chehare pe mushkan ek nayaab liye rehte hain.

shayaron ka dil to sagar jaisa aapar hota hai,
dushmanon ke liye bhi woh uphaar liye rehte hain.

yeh raaj to shayar bana hai kyonki,
shayar har sawal kaa jawab liya rehte hain.

kuch taumar mushafir hi rehte hain

kaante hi chubhan de jaroori to nahi,
phool bhi nashtar chubhote hain.

barish hi bhigoye tan-mann jaroori to nahi,
aanshu bhi daaman bhigote hain.

toofan hi duboye kashti jaroori to nahi,
maajhi bhi naau dubote hain.

humesa saath ho karwaan jaroori to nahi,
rashte bhi humsafar hote hain.

har mushafir ko mile manzil jaroori to nahi,
kuch taumar mushafir hi rehte hain.

dil ki baat pahunche labon tak jaroori to nahi,
khamosh lamhe bhi to bolte hain.

murtiyon ki hi ho pooja jaroori to nahi,
neew ke patthar bhi ibadat ke kabil hote hain.

kaise keh doon ki tujhe bhulaata jaa raha hoon

dil ke tukde teri galiyon mein lutaata jaa raha hoon,
har tukde mein teri ek adaa chipaata jaa raha hoon,

tere bina saanson se jism ko sataata jaa raha hoon,
ashq bana ke lahoo aankhon se bahaata jaa raha hoon,

apne janaze pe tera naam gungunaata jaa raha hoon,
andaaz-e-aashiqi jahaan ko sikhaata jaa raha hoon.

har saans mein teri khusbu, har sher teri yaad dilaaye,
to kaise keh doon ki tujhe bhulaata jaa raha hoon,

lakh koshishein ki tune khud ko mujhse chipaane ki,
har guzarte lamhein, main tujhme samaata jaa raha hoon,

teri diye zakhmon ko khud pe sajaata jaa raha hoon,
raaj ko thoda aur ghayal banaata jaa raha hoon.

aam-janta ko bargalaya jaa raha

chand ko suraj bataya jaa raha,
aam-janta ko bargalaya jaa raha,
rashtra-ghatak majhabi logo ko,
ekta ka swar bataya jaa raha.

dwesh, chhal, katu-ta, ghrina, aadhar jinka,
majhabi unmadh hi bypaar jinka,
ab humein insaaniyat samjha rahe.

pit-te hain chhatiyan, chhilla rahe hain,
bichaate hain muthiyan, jhalla rahe hain,
dosh mat dena humein baad mein logo,
dekho sehar ki aur gedard aa rahe.

majhabi chaadar yahan, hum tanne na denge,
dwesh ka darsan yahan chalne na denge,
vishdharo, bhaago hamari bhumi se,
aastin mein saap hum palne na denge.

I was different

as I stood that night, at some height,
having nothing to do, I put my mind at ease,

little did I know that, I would soon feel,
how it feels to watch a drama.

I was a part of a moment ago,
for that while I just,

felt I was different, don’t know why,
but sure I was different,

for that moment I stood breathless,
to hear others drawin breath.

for that moment I remained still,
to see the restlessness around me,

for that moment I put emotions at bay,
to see the smiles or tears of other,

around me and finally I realised in this life,
I been so preoccupied that,

I could never see from a different perspective,
the drama going on around me.

deewaron se nahin to kisase baatein karun

sunane ko to bahut kuch hai
magar kahan se shuruvat karun?

bahut dhokhebaaz duniya mein aaye
kiski baat mein pehle karun?

yeh duniya to bahut badi hai
kiske aage apni fariyad karun?

aanshu to bahut aate hain
kyon in motiyon ko barbaad karun?

iss akelepan mein deewaron se nahin
to phir kisase baatein karun?

sabhi begane hain
kisi apne ko main kya yaad karun? 

jaane kiski aas mein

jaane kiski aas mein,
aaj hoon udaas main,
baitha uske pass mein,
aata usko raas main,
hota uska kaash main,
magar yeh ho na saka...


jaane aisa kya hua,
mujhe ek dard sa hua,
mangi maine ek dua,
le na paaya saans main,

jaane kiski aas mein...

kaash ke aisi baat ho,
ek chandani raat ho,
aur woh mere saath ho,

bas do hi ho hum,
aur na ho koi ghum,
sochta raha yeh baat main

jaane kiski aas mein...

hum nahi koi karz rakhte hain

hum nahi kisi se koi harz rakhte hain,
dil mein sab ke liye pyaar darz rahkte hain.

hum har kaam samay par nibhate hain,
kyunki dil se aage hum farz rahte hain.

jaise ko taisa pe yakeen rakhte hain,
kyunki hum nahi koi karz rakhte hain.

sab ke saath hum wafadar rehte hain,
kyunki nahi shikwa-e-marz rakhte hain.

yeh raaj hindustani hai aur rahega,
kyunki hum sirf pyar darz rakhte hain.

when the sun fades away and darkness leads the way

when the sun fades away,
and darkness leads the way,

you look at me and smile,
all the fears have gone away by a mile,

I am afraid this was just a dream and not real,
I don't know why, fate is so cruel,

here I lie brooding up on your thoughts in solitude,
why can't you feel my love is sanctitude,

as I have many things to ponder,
silence just kills me, and its no wonder,

I try to forget you to go on without, a strife
and that is when I miss you the most in my life.

chalo ek sham aur sahi

ajab si hai zindagi,
jaane kyu tujhe jiye ja rahe hain,
zustzu ab baaki nahi,
jaane kyu behke jaa rahe hain.


aa rahi hai saans jitni,
sochte hain chalo ek sham aur sahi,
kya hai hakikat aur kya fasana,
yehi aaj tak dhunde jaa rahe hain.


kya hai iss zindagi ke mayine,
shayad humein pata ho na ho,
yehi janane ke liye dekho,
hum zindagi tere bagain bhi jiye jaa rahe hain.



roz tu mujhko aajmaati rahi,
aaj hum bhi aajma kar dekh le jara,
zor kitna hai tujhme ya mujhme aye dost,
aaj hum bhi dekhe jaa rahe hain.


tardpaya hai kitna humko,
kya hai mera kasur batla de zara?
tere nashemann mein dekho hum bhi,
thoda jiye thoda marre jaa rahe hain.


ajab si hai zindagi,

jaane kyu tujhe jiye jaa rahe hain,
aa rahi hai saanse aur jitni,
sochte hain chalo ek shaam aur sahi.

door chal kahin veeranon mein raaj

main uska raha, woh begana raha,
meri nazron mein uska hi afsana raha,
pyar uski bewafai pe aaya humesha,
kuch aisa main pagal deewana raha.

jalta raha door shamma se umar bhar,
ek aisa bhi yaaron parwana raha,
kismat hi apni sitamger rahi,
ki nishane pe sar kabhi, sar pe nishana raha.

jisko chaaha wahi na mil saka bas,
yun to kadmon mein sara zamana raha.
kushoor tha raaj ka ki badnam tha woh,
sabab-e-barbadi mein baharon ka aana raha.

door chal kahin veeranon mein raaj,
ab iss shaher mein tera na thikana raha.

jurm itna hai ke sirf unhein chaha

jaate lamhon ko rokna chaaha
phir tera haal puchhna chaaha.

wafa manga tha wafa ke badle,
sochta hoon yeh maine kya chaaha.

barish -e- khayalon mein
ek murakh ne bheegna chaha.

kitni umeedein, kitni hasratein hain,
humne tujhe kya na dilana chaaha.

main tere jaise naamwar to nahi,
par tujhko chaaha to kya bura chaaha?

bichhard ke tujhse agar jee na saka,
marna chaaha to kya bura chaaha?

nakami jawan kholne nahi deti,
kya bataun ke maine kya chaaha.

saza yeh hai ke umra bhar tardpoon,
jurm itna hai ke humne sirf unhein chaha.

rehne de teri wafaaon ka ab hisaab nahi karna

tere jhuthe sawaalon ka jawaab nahi dena,
rehne de teri wafaaon ka hisaab nahi karna,

khafaa hoon tujhse magar itni hi iltezaa hai,
gairon se to milkar mujhpe waar nahi karna,

zidd karta hai dil-e-naadan milne ko tujh ko,
magar aankhon ko tera deedaar nahi karna,

jo tum bhi naa samjhe woh baat samjhaate ho,
ab aise to waqt kisi ka barbaad nahi karna. 

a missing person in my life

sometimes we are lucky enough
to meet a person who stands out,

among all the other people
as being extremely special,

who knows what we
are thinking about,

who is happy for us at all times,
who is always there to talk to us,

who cares about us selflessly,
who is always truthful with us,

sometimes we are lucky enough
to meet someone who is
extremely wonderful,

for me that person
is missing from my life.

gar tu meri yaad mein tardapti to kya hota

tu meri yaad mein tardapti to kya hota,
mere liye tu aanshu bahaati to kya hota?

kabhi koi puchhe tere tutte dil ka haal,
bewafaa bhi tu mujhe kehti to kya hota?

karti tu kisi ko mohobbat dil-o-jaan se,
aur woh tujhko thukraata to kya hota?

yuh nazrein chura ker woh guzrna tera,
mujhse nazrein mila bhi leti to kya hota?

tannha bhi guzar jaayegi yeh zindagi meri,
gar tuu mujhko mil hi jaati to kya hota? 

humein tannha jeene ko majboor kar gaye

gham ke saagar mein hum doob gaye,
armaan humare toot ke bikhar gaye.

khud ko woh jootha saabit kar gaye,
humein tannha jeene ko majboor kar gaye,

aanshoo to unki aankhon se bhi nikal gaye,
haalat dekh taras kha ke woh chale gaye.

mujhe majboor kar ke aabaad woh ho gaye,
meri kahani mein naam apna woh likh gaye.

tum apni yaadein le jaao

tum apni yaadein le jaao,
nind humari tut gayi hai, khawab humare tut gaye,
badal jo gher kar aaye the, bin barse hi laut gaye,
rait pe humne likhi jo kahani thi.. aaker usse mita jaao...
tum apni yaadein le jaao... 
tum apni yaadein le jaao.

jo tasveerein maine banayi, tumne usme kabhi the rang bhare,
yaadein teri rah-rah ke, karti hai mere zakhm hare,
inn tasvieeron mein jo rang hain.. aaker unhein bhi mita jaao,
tum apni yaadein le jaao... tum apni yaadein le jaao.

main apne zakhmon ko saja lu, ya unmein marham bhar du,
apne dil ko main bahla lu, ya isko patthar kar du,
yaadein ab dassti hain tumari.. aaker inhein mita jaao..

tum apni yaadein le jaao... tum apni yaadein le jaao.

duniya walon ne sapno par pehra laga diya

ek garm hawa ke jhoke ne, kal raat achaanak jaga diya,
soye the kayi armaan abhi, usne unko bhi jaga diya.

shayed woh sapno mein aayein, yeh soch ke main soya tha magar,
lagta hai duniya walon ne, sapno par pehra laga diya. 

woh morde siskate hain ab bhi, hum sath-sath chalte the jahan,
unko bhi duniya waalon ne, apna yeh kissa suna diya.

phir goonji thi sehnai kahi, jodde mein saja tha koi kahin,
apni kismat ka khyaal aaya, maine ek aanshu baha diya. 

aisa bhi to ho sakta hai

woh saare ehsaas bhula dein, aisa bhi ho sakta hai,
woh apne vaadon ko bhula dein, aisa bhi ho sakta hai.

yaaron bhari mahfil mein usko, kaise bewafa main kaeh doon,
huyi koi mujhse bhi khata ho, aisa bhi ho sakta hai.

koi roshni ki khatir, ek ghar mein diya le aata hai,
wahi diya aashiyan jala de, aisa bhi ho sakta hai.

kahte hain ek tanha musafir bhi, manzil pa jaata hai,
kisi ko manzil hi thukra de, aisa bhi ho sakta hai.

koi hatheli par chahat mein, apna likh de naam kabhi,
aur usse woh khud hi jala de, aisa bhi ho sakta hai. 

kismat ka kasoor nahi ki safar bhi dard ka tha

kismat ka kasoor nahi, ki safar bhi dard ka tha,
tardpti rait mein chala hoon, ki chhale to aaye honge,

unki pyaas ne khada kiya hoga uska imtihaan,
ki apne haathon apna lahu bhi, khud hi ne chord laaye honge,

apni mohabbat pe dekhe honge jab kisi aur ke aashun,
khud ki barbaadi ke raaste, khud hi bata aaye honge,

jab kabhi kiya hoga uski yaadon ne pareshan bahut,
khamosh andheron mein, ashkon se dil behla aaye honge,

kahi maut baad, na charcha zamane mein tum ban jaao,
apni kismat pe ek anjaan naam likhwa aaye honge. 

tut jaaye dil to kherat mein milti hai tannhai

manzil chord deta hai nav, to sahil nahi milta,
pyar ki kashti ko koi kinara nahi milta,

agar tut jaaye dil to kherat mein milti hai tannhai,
par inn anshuon ko samjhne wala khuda kahi nahi milta.

gar ulfat kuch bhi baaki hai to mujhse milne aa jaao

badi gehari udasi hai, mohabbat aaj pyasi hai,
gar ulfat kuch bhi baaki hai, to mujhse milne aa jaao,

jab tere yaad aati hai, to ek tufaan laati hai,
magar tumko nahi laati, yeh khaali hath aati hai,

meri ujadi mohabbat par, kabhi khushiya mana jaao,
gar ulfat kuch bhi baaki hai to mujhse milne aa jaao. 

ek tannha safar par main chalta raha

raat bhar main apne dil ki guftgu sunta raha,
sar par na jaane kyun, khauf madrata raha,

khud hi afsana bana, afsos hai iss baat ka,
main hamesha dusro ko kisse sunata raha,

dusron ki khusiyon ko tarjeeh main deta raha,
aur khud ki khusiya main kaaton pe bichata raha,

khud hi apne haal pe aane lagi mujh ko hassi,
apni iss halat ke sabko sher sunata raha,

woh bane mehlon ki raunak, aur meri duniya luti,
umra bhar ke liye ek tannha safar par chalta raha. 

kal sunege phir wohi awaaaz aisa socha tha

kal karenge tumse kuch haseen baat, aisa socha tha,
aur kal sunege phir wohi awaaaz, aisa socha tha,

woh tumhara intezaar humko paane ka,
ki woh kashish, woh aitbaar tumko chahane ka,
karenge phir se woh hi baat aisa socha tha,

kal karenge tumse kuch haseen baat, aisa socha tha,
aur kal sunege phir wohi awaaaz, aisa socha tha..!

ke waqt le gaya hai phir tumhari baaton mein,
kamosh pal guzar rahe tumhari yaadon mein,

jaha tardap hai tere dil mein.. pyas woh meri hai,
jaha sukoon nahi dil ko.. yaad woh teri hai,
kahenge tumse yehi baat.. aisa socha tha,
kal karenge tumse kuch haseen baat, aisa socha tha,
aur kal sunege phir wohi awaaaz, aisa socha tha..!!

tumhari aur humhari baat aaj na hogi,
yeh doorian rahengi, doori paas na hogi,

karenge doorion ko paas, aisa socha tha,
kahenge tumse yehi baat, aisa soch tha,

kal karenge tumse kuch haseen baat, aisa socha tha,
aur kal sunege phir wohi awaaaz, aisa socha tha..!!

life changes so much, make it count

life changes so much.
at times we want it to speed up,
others we want it to slow down.

but time always goes just the same,
one second after the other,
turning into minutes, turning into hours.

but in this time we learn, love, laugh, and change.
sometimes slowly, other times drastically.

then there are the times, we wish we could go back,
and do things over…
but if we did, we wouldn't be where we are now.

time is such a delicate thing,
so easily are time can come to an end
or a new begining.

we need to take that time and use to the best,
dont spend it miserable and upset
you only get one shot at it,
make it count.

All Time's Favourite Posts