Showing posts with label ghaw. Show all posts
Showing posts with label ghaw. Show all posts

tanhaaiyon ka shikaar aadmi

har taraf har jagah beshumaar aadmi,
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi.

subah se shaam tak bojh dhota hua,
apni hi laash ka khud mazaar aadmi.

har taraf bhaagte-daudte raashte,
har taraf aadmi ka shikaar aadmi.

roz jeeta hua, roz marta hua,
har naye din naya intezaar aadmi.

zindagi ka mukaddar safar dar safar,
aakhiri shaans tak bekaraar aadmi.

har taraf har jagah beshumaar aadmi,
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi.

ek puraani album

 yaadon ki khidkiyon par baitha, beete kal ko jhakk raha tha,
aaj puraani almaari mein, zindagi talaash raha tha.

bhoole bishre geeton ko aaj nayi sargam milli,
dhool se sanni, kone mein padi, ek puraani album mili.

kaale safed liwaz mein lipti, guzare daur ki kahani thi,
shabd nahi the jisme koi, tasweeron ki jubaani thi.

meri muskurahat par the sab nishaar,
main khusiyon ka humsaya tha,
iss tasweer mein woh pal kaid hain,
jab main duniya mein aaya tha.

aankhon mein yaadein bhar aayi, dil tardpar rooya hai,
ek tasweer mein kisi ne budhi daadi ko sanjoya hai.

kahi holi ke rang kaid hain, kahi diwali ki raat hai,
kahi janamdin mana raha hoon main, jaise kal hi hi baat hai.

woh school ka pehla din ho, ya collage mein ki shaitaani,
tasweeron mein simat kar rah gaya, bachpan aur jawaani.

apni har baat kehne se pehle izzajat liya kerta tha,
yeh tasweer tab ki hai,  jab main office jaaya kerta tha.

ghumon se uljhe zindagi ki khuli tab takkdeer thi,
tumhein dekh kar pasand kiya tha, yehi to woh tasweer thi.

aage kuch tasweeron mein kaid, har ek pal hain sunahare,
tum paas mere baithi the, haathon mein the haath hamare.

kuch tasweeron mein aawaz kaid hai, dhol nagade, sehnaai ki,
woh pehla ghar humene liya, woh scooty pehli kamayi ki.

kuch tasweeron mein aanshu hain, jab behno ki bedaai ki,
chote bhaai ke sahare humare ghar mein bhi ek bahu aayi thi.

humsab ko chordkar baba, kyu ek din safed liwaz mein lipat gaye,
haar lagi sunahari frame mein, kyu tum jaa kar simat gaye.

tumhare bhaaiyon ne baba gaao ke ghar ko baat diya,
mere kamjoor haat na pahuch sake, photo itne upaar tang diya.

sabhi pariwaar waalon ne diya mujhe itna pyaar hai,
ab aankho mein dikhata mere tasweer ho jaane ka itnezaar hai,

raakh bankar rah jaauga, baha denge mujhe sangam mein,
tasweer bana dhool khaaunga, kisi purani album mein.

guzre huye kal ki kitaab

apne guzre huye kal ki kitaab dekh raha hoon,
zindagi ke zulmon ke hisaab dekh raha hoon.

mujh ko jalaane tum bhi aaoge mere yaar..
sach kehte ho, ya main khwaab dekh raha hoon?

tere gham to seh liye, ab gairon ki baari hai,
aanshu pee chuka, sharaab dekh raha hoon.

aap kehte ho ke meri aankhein namm nahi,
main apne aayino mein sailaab dekh raha hoon.

nahi mujhko koi umeed unke aane ki,
bas youn hi raahon ko janaab dekh raha hoon.

waqt ke sath dayarein badaltein logg

waqt ke sath dayarein badaltein logg,
jab jee chaaha anjaan ho jaatein yeh logg.

jab marrzi padein dil-daar ho jaatein logg,
waqt be waqt sanngdil ho jaatein yeh logg.

apni marzii ke maalik hain yahan sabhi logg,
patharr ko bhi tord kar khush ho jaatein yeh logg.

kisi ki kamazori ko garz samajh kar muskuraatein logg,
nafraton ke shehar banatein aur 
uss mein basar kartein yeh sabhi logg.

na jaane kitna tannha ho gaya hoon

pattharon ki basti mein jo kho gaya hoon,
isliye bejubaan sa ho gaya hoon.

dum nikalta hai sans lene se,
zindagi se pareshan ho gaya hoon.

ab to zakhmon ka bhi ehsas nahi,
na jaane kitna tannha ho gaya hoon.

sabra ummeedon se nahi hota,
main khud bhi ek dilasa ho gaya hoon.

nigah khamosh itni ho gayi hai,
unhein lagata hai jaise soo gaya hoon.

yun halaat ke hathon mein aaj,
main toota ek khilouna ho gaya hoon.

maine poocha kaise ho

maine poocha kaise ho,
badle ho ya waise ho?

roop wohi andaaz wohi,
ya phir iss mein koi kami,

hijr ka kuch ehsaas to hoga,
koi tumhare pass to hoga,

main bichrra yaha majboor tha,
kab manzoor mujhe tujhse doori tha

saath humara kab chhoota hai,
rooh ka rishta kab toota hai,

aankh se jo aanshu behte hain,
tum ko khabar hai kya kehte hain?

maine kaha aawaz tumhari,
aaj bhi hai humraaz hamari,

phool wafa ke khil jaayenge,
ek din phir hum mil jaayenge.

koi apna nahi banta

koi apna nahi banta,
labon pe naam rakhne se,
dilon mein yaad karne se,
har ek dhardkan, har ek tardpan,
kisi ke naam karne se,
koi apna nahi banta.

tamam umar ki khushiyan,
mohabbat ki sabhi gheraiyan,
kisi ko daan karne se,
ke uspe maan karne se,
koi apna nahi banta.

woh pehle pyaar ki baatein,
saath nishta ki sabhi raatein,
woh chaahat ki sabhi rashmein,
mohabbat ki sabhi kashmein,
humesha yaad rakhne se,
koi apna nahi banta.

kisi tannha akeli raah guzar par,
purane se kisi perd k tanna par,
patthar se koi dil banane se,
uss mein apna aur kisi ka naam sajane se,
koi apna nahi banta.

ki jab aankhein hi marr jayein,
to phir sapna nahin banta,
yeh jeewan daan kar jayein,
to bhi apna nahi banta,
koi apna nahin banta.

maun ka rishta

mere ander jaise kisi bhaw ne karwat badli,
aur ek rishte ka janam hua.. maun ka rishta.

dhero baate le kar aaya hai yah maun,
din raat.. charo pahar..
bas yah mujse batiyata rahta hai,

aye dost.. keh kar mere aaspaas,
yeh ghumta phirta hai..

meri ungli pakad kar yeh rishta aage badha,
aur ek bindu… sa jo nazar aata tha,

paas aate-aate saaf nazar aane laga,
aur ban gaya mera sathi,

jab maine usse mera veham kahta hoon,
mera yeh rishta, 
khil-khila kar hans deta hai.

usse apne gale lagate yehi kahti hoon..

raah jab kathhin ho,
manzil bhi door lagae..
aur andhera bhi gehra ho..

har woh raah par jaha-jaha tum chalo,
har pal har kadam par sath.. tumhare,
mujhe bhi paaoge tum…

bacche hi karne lage, maata-pita se ghaat

rishto ko yoon tordte, jaise kaccha sut,
batwara maa-baap ka, karne lage kapot.
kaise beto par kare, maat-pita abhimaan,
apne ghar mein hi bane, anchahe mehmaan.

maata-pita mein bas rahe, sakshaat bhagwaan,
mandir-maszid dhoondta, manav hai naadan.
mustandu ko poojte aur navaate shish,
paani maange baap to, nakhre karte bis.

hin-bhin sapne huye, taar-taar vishwas,
maat-pita ko de diya, beto ne vanvaas.
mandir mein pooja kare, ghar mein kare kalesh,
bapu tu bujha lage, patthar lage ganesh.

prem aastha tayaag huye, bite yog ki baat,
bacche hi karne lage, maata-pita se ghaat.
paani aankhon ka marra, marri sharm-o-laaz,
kahe bahu ab saans se, ghar mein mera raaj.

nayi shadi se mil rahi, dard bhari sugaat,
beta kehta baap se, kya teri aaukat.
kamaya akele baap ne, bete pale chaar,
ek akeli jaan ab, chaaro par hai bhaar.

marne lagi saveda, khatam huye sadbhav,
purab par bhi ho gaya, pacshim ka prabhav.

dard ban, sholon mein pighalta raha hoon main

zindagi teri agnipath pe chalta raha hoon main,
tere nokhile teeron se lardta raha hoon main,

dost-dost nahi to kya, apne-apne nahi to kya?
saaya bhi mera saath nibhaaye nahi to kya?

insaaniyat ka dum hi, bharta raha hoon main,
meri manzil ek diye se dikhaayi deti hai,

raat mein raushan subah dikhaayi deti hai,
har imtehaan mein aag sa, bardhta raha hoon main.

mere dil tak pahunch kar, woh mujhse ruutha,
usko nahin pata ki mujhmein kya-kya hai tuuta,
dard ban, sholon mein pighalta raha hoon main,

dariya nahin, pyasa dil, ek katra chahta hai,
mujh mein bhi hai koi, jo jeena chaahta hai,
yeh kya ki ashkon ka jashn karta raha hoon main.

uske mandir se na karna mehroom mujhe,
dekho har roz ek naya sadma dena tum mujhe,
har aas ladh-khadaayi, par nikharta raha hoon main.

teri yaad bhi kya-kya dusprabhav kiya karti hai

teri yaad bhi kya-kya dusprabhav kiya karti hai,
bhar chuke zakhamon ko phir harra karti hai.

mujhe har saaya tera hi akas lagta hai,
dil ki jalan bhi yeh kaisa dhuuan karti hai.

jab kabhi dekhta hoon baithi gul pe titlii,
lagta hai jaise tu mujh ko chhua karti hai.

mausam-e-bahar hum ussi ko kehte hain,
chaman mein jab teri aahat hua karti hai.

fursat mile to kabhi dekhna aake mere ghar,
maut ke saaye mein kaise zindagi jiya karti hai.

ajab hai aankh-michouli mujh mein aur mritu mein,
dhundha hai usse jitna, woh utna chhipa karti hai.

raat dhalne laggi.. shamma bhujne laggi

raat dhalne laggi.. shamma bhujne laggi,
aaja mere sanam, saans thamne laggi,
aaja mere sanam, saans thamne laggi.

raat ka yeh sama.. hum akele yaha,
dhundhe aankhein tumhein, chhip gaye tum kaha?
dhadkane khamosh hain, hum bhi madhosh hain,

tera jalta badan meri aagosh hai,
har taraf pyaar ki aag jalne laggi,
aaja mere sanam, saans thamne laggi.

sard si chandni.. bikhri hai har kahin,
aa basa le sanam, aashiyan hum yahin,

raat saari sanam, aankhon mein jaayegi,
taare ginte sanam, subah ho jayegii,

subha ki pehli kiran dekh khilne laggi,
aaja mere sanam, saans thamne laggi.

raat dhalne laggi.. shamma bhujne laggi,
aaja mere sanam, saans thamne laggi.

dard ke samundar ko sene mein dabaye baitha hoon

dard ke samundar ko 
sene mein dabaye baitha hoon,
apne aankhon ke aanshuon ko 
muskaan mein chupaye baitha hoon.

yeh kaun kahta hai 
hansta hua chehra hai mera,
yeh to woh dard hai 
jisse apne chahre se chupaye baitha hoon.

na gila tumse hai na khudaya tujhse ranjjish

diye hain apno ne humein ghum itne,
ki har ajnabi se lipat kar roote rahe hain hum.

khuli aankhon in ashqon pe na jaana doston,
ek umr ek sadi se bas soote rahe hain hum.

hai rahi mehfil-e-dil mein kahi jeene ki kwaaish,
kwaashishon ko kabhi seh-seh kar bhi jeete rahe hain hum.

na gila tumse hai na khudaya tujhse ranjjish,
bas aapne hi gile shikwoh ko kuch seete rahe hain hum.

paani se aangan yunhi bhigote rahe hain hum,
ke har ajnaabi se lipat kar roote rahe hain hum.

bewafai kar gaye woh jo wafa ka dawa kiya karte the

veeran si ho gayi rahe wafa meri,
kuch log yahan se bhi guzra karte the,

ab kabhi nazar hi nahi aate hain woh sitare,
jo kabhi chaand ke irrd-gird ghooma karte the,

dhardkan ki tarah iss dil mein the,
woh jo khoon ki gardish mein raha karte the,

saaya mera ban ke woh, 
tanhai main mere saath chala karte the,

aaj kya batayein daastan apni
bewafai kar gaye woh,
jo wafa ka dawa kiya karte the.

kaho kab sath mere isse gungunaaoge

roo-b-roo dar, chale jaane ke baad aaoge,
koun kehta hai ki, ab umra bhar sataoge?

naazron ki adaoun ka kya bayaan karoon,
har lamhein nain tokate hain, ki kab jaaoge?

khud bulaya tha, kai baar bhej kar khabar,
dar pe haazir hoon, kya patah, ki kab bulaoge?

maanta hoon ki, khata mujhse ho gayi hogi,
dour-e-ulfat hai, kab tak wahi duhraaoge?

saath taahashra rahega, yeh zarooree to nahin!
kab talak saath ho, yeh bhi nahin bataaougey?

ruk bhi jaayega agar chaand to, kitne lamahein,
gar marr  jaau main kahi par,  patah lagaaoge?

tamaam dar khule hain dil ke na jaane kab se,
khade rahoge door yaa kadam bardhaaoge?

badalon ne aaj chhupa liya hai chaand seene mein,
ruke rahoge ki baahoun mein aa samaaoge?

sadaayein laakh zehan mein panaah letin hain,
gazal likha hai ek aur tumhare liye, 
kaho kab sath mere isse gungunaaoge?

bahut dino se mera dil udaas rehta hai

bahut dino se mera dil udaas rehta hai,
main kya karu bas ek hi shaks yaad rehta hai.

kabhi khayal hi nahi aata ki main aakela hoon,
ab to mera pyaar saath bhi nahi rehta hai.

kisi se baat karte huye halat aajeeb hota hai,
mujhe to kuch bhi na hosh-o-hawaas rehta hai

kahi woh badal na jaaye, kahi woh mujhe bhool na jaaye,
naa jaane kyu mujhe ab yeh khauff har waqt rehta hai.

naa jane mere dil ko kya ho gaya hai,
kyu ab yeh har waqt udaas rehta hai.

woh lamha yaad aaya ek lamhein ke liye

woh tera muskurana, woh bahon mein mere aana,
woh pal-pal mein aana, woh har waqt mujhe satana,
woh lamha yaad aaya ek lamhein ke liye.

woh tera baat-baat par rooth jana,
woh tujh ko baaton-baaton mein manana,
woh tera pyaar karna, woh raaton ko intezar karna,
woh lamha yaad aaya ek lamhe ke liye.

woh chhup-chhup kar tera milna,
woh meri bechaniyon ko bardhana,
woh har lamhein mein khushiyan talash karna,
woh khushiyon ko samet kar daaman mein bharna,
woh lamha yaad aaya ek lamein ke liye,

woh tera yun hi chale jaana,
woh har kasam ko tord mujhe chord jaana,
woh mere aksh se bhi door na jaana,
woh chord kar mujh ko mere se door jaana,
woh lamha yaad aaya ek lamhe ke liye.

jab chaahne wala koi nahin, phir jeena kya.. marr jaana kya

jab chaahne wala koi nahin,
phir jeena kya.. marr jaana kya.

sao rang mein jis ko socha tha,
sao roop mein jis ko chaaha tha,
woh jaan-e-ghazal to ruth gayi,
ab uss ka haal sunaana kya.

aawaaz kisi ko dein lekin,
ek naam tumhara honton par,
har shaql se ubhron tum hi tum,
yun khud ko magar behlaana kya.

raaton ka safar hai din ke liye,
aur dil mein tamaanna raaton ki,
jab paaun mein raaste kho jaaye,
phir rukna kya, ghar jaana kya.

kami kabhi ho ki usse khul ke yaad aaun main

yeh tajurba bhi karoon, yeh bhi gham uthaaun main,
ke khud ko yaad rakhoon, usko bhool jaaun main.

fareb karne mein kuch to hai, koi baat to hai,
ki jaan-boojh ke itne fareb kahan se laaun main.

woh shaqs hai ke naseeb-e-sahar ka jhonka hai,
bikhar hi jaaun jo usko gale lagaaun main.

kabhi to ho mere ehsaas ke matare mein kami,
kami kabhi ho ki usse khul ke yaad aaun main.

All Time's Favourite Posts