gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba

aankhein michh kar soone se pehle,
jazbaat pighal kar roone se pehle,
jab aalfaz sinne mein dafan ho jaate hain,
tab yaadon se palkein bhigone se pehle,
aapke ashk se baatein karne lagta hoon,
tashveeron ko mana kar, unhi se ruth leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein.. aapko dhund leta hoon baba !

bin mausam ki barsaat mein kabhi bheegne lagta hoon,
raat chaadar lapet kar thand ke maare jab kappne lagta hoon,
tab lagta hai jaise apna chaadar aap mujhe ordha rahe ho,
aur garm haathon ki narm ungliyon se mere baalon ko sehla rahe ho,
aapke hone ka ehsaas bhar se hi, har dard mein sukkun paa leta hoon baba,
yaadon ki chaadar ordhe har raat... aapko dhund leta hoon baba !

kisi raat sapnon mein puraane school pahuch jata hoon,
shaam dhalne par jab khil-khilate baccho ki toliyan nikalne lagti hai,
tab naa jaane dil ko kaisi aas bandh jaati hai,
meri nigaahein un cheharon mein kuch dhundane lag jaati hai,
dhundata hoon un haathon ko jinme jhaalmudi ki thayali hogi,
mera intezaar karti huyi, apni priya scooter kahi kadi hogi,
jispar sawar hone par ke khayaal se hi main jhoom leta hoon baba,
har nukkad, gali, chauraahe mein, aapko dhund leta hoon baba !

bheed mein akelapan ka ehsaas aapke bin hota hai,
jab kabhi bhi pariwaar mein kisi ka janam-din hota hai,
sabse chupte-chupaate koi tauffa le aaoge,
jo humse naa bujhi, woh mom-battiyan aap bujhaaoge,
bas yehi sochkar jaan bujhkar, aankhein mund leta hoon baba,
kabhi na khatam hone wale intezaar mein.. aapko dhund leta hoon baba !

woh aakhri pal nahi bhoolta mujhse kisi bhi haal mein,
aap zindagi ki door thaame ashpataal mein,
mujhse tab yeh kaha gaya ki kuch hi pal ab sesh bachi hai,
laga jaise khusiyon ki duniya ab dher ho chuki hai,
lekin maut ke farishton se chupte-chupaakar,
rakha tha aapne kuch saansein bachaakar,
aapki pairon ko apne hatheliyon se malte huye,
maine haathon mein aapke pairon ko jakkad rakha tha,
kuch naa keh kar bhi kitna kuch keh rakha tha.

aapse thi saari muskuraahat, aap khusiyon ke jahan the,
mere aanshu tab sukh chuke the, jab aap be-jubaan the,
ab to bas aapki tasveeron se baatein kar leta hoon,
dil kaagaz ban jaata hai, jispar dard apna likh deta hoon,
ussi dard ki dabbi huyi aawaz mein, likhe huye har alfaaz mein,
aapko dhund leta hoon baba,
gujarte har lamhon mein..
aapko dhund leta hoon baba !

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts