Showing posts with label bewafa. Show all posts
Showing posts with label bewafa. Show all posts

waqt ke sath dayarein badaltein logg

waqt ke sath dayarein badaltein logg,
jab jee chaaha anjaan ho jaatein yeh logg.

jab marrzi padein dil-daar ho jaatein logg,
waqt be waqt sanngdil ho jaatein yeh logg.

apni marzii ke maalik hain yahan sabhi logg,
patharr ko bhi tord kar khush ho jaatein yeh logg.

kisi ki kamazori ko garz samajh kar muskuraatein logg,
nafraton ke shehar banatein aur 
uss mein basar kartein yeh sabhi logg.

kabhi garmi, kabhi sardi, kabhi baarish hai zindagi mein

kabhi garmi, kabhi sardi, kabhi baarish hai zindgi mein,
gham hi gham hai meri zindagi mein,

bithe lamhon ki yaad dilata hai yeh badlata mausam,
kho chuki khushiyon ki yaad dilata hai yeh mausam,

itna kuch dekha hai zindagi mein
ub jaane nahi chahate hain hum,

kabhi rishton mein garmahat ka ahsas,
kabhi sard pade rishton ka ahsaas,

kabhi anshuon ki barish hoti inn aankoh se,
kabhi mayusi jalkti inn aankoh se,

jisko samja tha apna woh bhi badla sa najar aata hai,
jiske sahare jina chaha, khush rehna chaha, woh hi aaj rulata hai.

jo pyar ek misaal tha zindagi mein,
wahi aaj bikhra najar aaata hai humein,

naaz tha jinki mohabat par humein
aab wahi thukrate hain humein,

pyar bhi badlte mausam ki tarah badal jata hai,
sukh-dukh mein sath nibane ki khai thi jo kasmein,

aaj un par bhi aitbaar uthta jaata hai,
kabhi garmi, kabhi sardi, kabhi baarish hai zindagi mein.

chahaat ko raakh hote dekh li

mohabbat ki sab rangat dekh li,
dil tordne ke sab harkat dekh 
li,
cheen li dillse dadkan kuch iss tarah,
dard mein jalne ki aag dekh li.

askh chalkengein tumari yaad mein,
jazbaat machlenge.. tardapkar,
toot kar chaahat ke andaaz sanam,
aaj kaise marrenge.. raah dekh li.

pyaar mein kabhi palat kar bulate,
har gham yunhi apne seene mein
sab ki nazron se chuppa late,
aaj lut jaane ki nazaakat dekh li.

dukhaya hai iss kadar mann ko,
sazaa dey bhi saanam magar
jaante hain.. lahu mera hi bahega,
khanzar ki dhaar aaj humne dekh li.

uth gaya hai aitbaar jahaan se sathi,
mit gayin hain sari tamannayein,
kho jaayengi saari hasratein khakh mein,
chahaat ko raakh hote dekh li.

teri yaad bhi kya-kya dusprabhav kiya karti hai

teri yaad bhi kya-kya dusprabhav kiya karti hai,
bhar chuke zakhamon ko phir harra karti hai.

mujhe har saaya tera hi akas lagta hai,
dil ki jalan bhi yeh kaisa dhuuan karti hai.

jab kabhi dekhta hoon baithi gul pe titlii,
lagta hai jaise tu mujh ko chhua karti hai.

mausam-e-bahar hum ussi ko kehte hain,
chaman mein jab teri aahat hua karti hai.

fursat mile to kabhi dekhna aake mere ghar,
maut ke saaye mein kaise zindagi jiya karti hai.

ajab hai aankh-michouli mujh mein aur mritu mein,
dhundha hai usse jitna, woh utna chhipa karti hai.

ek bewafa ko bhoola naa jaaye to kya kare

kaam aa saki naa apni wafaye to kya kare,
ek bewafa ko bhoola naa jaaye to kya kare?

abb dil mein hai ki unko bhula kar hi dekh le,
woh baar-baar yaad jo aaye to kya kare,

na gila tumse hai na khudaya tujhse ranjjish

diye hain apno ne humein ghum itne,
ki har ajnabi se lipat kar roote rahe hain hum.

khuli aankhon in ashqon pe na jaana doston,
ek umr ek sadi se bas soote rahe hain hum.

hai rahi mehfil-e-dil mein kahi jeene ki kwaaish,
kwaashishon ko kabhi seh-seh kar bhi jeete rahe hain hum.

na gila tumse hai na khudaya tujhse ranjjish,
bas aapne hi gile shikwoh ko kuch seete rahe hain hum.

paani se aangan yunhi bhigote rahe hain hum,
ke har ajnaabi se lipat kar roote rahe hain hum.

jalte huye dil ki kahani na pucho

jalte huye dil ki kahani na pucho,
kya kya sitam huye hum par na pucho,

chaha hai usko dil-o-jaan se magar,
chaahat ka anjaam kya mila yeh na pucho.

tut gaya dil aanshu bhi na bahe,
dil ki khamoshi ka aalam na pucho.

saaya bhi chhord kar chala gaya humein,
aur kya reh gaya mere liye yeh na pucho.

jaante the hum ki woh nahi aayenge,
phir bhi kyun intezaar kiya humne yeh na pucho.

khwaaish thi unko paane ki is janam mein,
par kitne janam intezaar karenge yeh na pucho.

mehndi kum pard gayi haathon mein unke,
khoon-e-jigar kyun diya humne yeh na pucho.

bewafai kar gaye woh jo wafa ka dawa kiya karte the

veeran si ho gayi rahe wafa meri,
kuch log yahan se bhi guzra karte the,

ab kabhi nazar hi nahi aate hain woh sitare,
jo kabhi chaand ke irrd-gird ghooma karte the,

dhardkan ki tarah iss dil mein the,
woh jo khoon ki gardish mein raha karte the,

saaya mera ban ke woh, 
tanhai main mere saath chala karte the,

aaj kya batayein daastan apni
bewafai kar gaye woh,
jo wafa ka dawa kiya karte the.

bethi yaadon

aaj main tannha baihti yaadon ko nakhuon se
maazi ki raakh kured raha hoon,

us aakhri shaam ki yaad ab tak
dil ke kisi kone mein pada ro raha hai,

jab mere sath saans lete hue aanshu
chilla chilla kar keh rahe the,

hamein chhord kar mat jaao
magar mere lab khamosh the aur tum,
mere aanshu ki aawaz sun nahi paaye the,

shaam dhire dhire dhalti jaa rahi thi,
parinde apne baseron ko laut rahe the,
aur tum mere dil ka basera chhord kar jaa rahe the

kahin door, shayad bahut door,
darakht khamosh khade the aur main
darakht ke kandhe par sar rakh kar ro raha tha,

tumne aakhri baar meri aur murd kar dekha aur
tumhari nigahon mein na jaane kya tha keha,

meri palkon pe thehra aakhri aanshu
ek nokeeli salakh ki maanind
dil mein utar gaya tha,

aah…. woh shaam kitni andheri thi,
amavas ki raat se bhi jada andheri,

magar na jaane kyon
itna waqt beet jaane ke baad,

aaj maine shaam ki gulaabi hatheli pe likha..
“meri bichhdi koi shaam ek baar laut kar aao,
main tumhare intezaar mein hoon".

woh lamha yaad aaya ek lamhein ke liye

woh tera muskurana, woh bahon mein mere aana,
woh pal-pal mein aana, woh har waqt mujhe satana,
woh lamha yaad aaya ek lamhein ke liye.

woh tera baat-baat par rooth jana,
woh tujh ko baaton-baaton mein manana,
woh tera pyaar karna, woh raaton ko intezar karna,
woh lamha yaad aaya ek lamhe ke liye.

woh chhup-chhup kar tera milna,
woh meri bechaniyon ko bardhana,
woh har lamhein mein khushiyan talash karna,
woh khushiyon ko samet kar daaman mein bharna,
woh lamha yaad aaya ek lamein ke liye,

woh tera yun hi chale jaana,
woh har kasam ko tord mujhe chord jaana,
woh mere aksh se bhi door na jaana,
woh chord kar mujh ko mere se door jaana,
woh lamha yaad aaya ek lamhe ke liye.

jaane kahan hain manzilein, jaane kahan raah-e-dagar

jaane kahan hain manzilein, jaane kahan raah-e-dagar,
phir iske kyun shikve karein, koi nahi jo humsafar.

haste rahein - rote rahein, baithe rahein - chalte rahein,
kya kya karein, kya naa karein, beete nahi shaamo-sahar,

har shaam par woh aag hai jalti jo tere naam se,
ek hai shama seene mein bhi, roye jo mere haal par,

tere hi kadamon k nishan rahein yaadon ke tanha registaan mein,
woh shaks kis taraf gaya poochha karein deewaro-dar,

subho ki hawa bhi hai yahaan, lekin badi hairan hai,
kisko jaga kare ab, khushbu se kar ke tar-batar,

hota agar main aayina, rakh leta usko kaid kar,
har zakham se deta raahat bankar woh mera doctor.

nahi mili khushi na sahi par uska gham to mila

nahi mili khushi na sahi par uska gham to mila,
ke issi bahane hi sahi hume ek sanam to mila.

sahi hai ke mohabbat haqeekat se door hi rahi,
par issi dard se mohabbat ka humein bhram to mila. 

kaun jaane ke mil jaaye rahe kahi par jakar phir se
issi baat se doston jeene ka humein dum to mila.

mat roko mujhe likhne se mere chahne walo,
ke nagmon ke roop mein hume dil ka marhum to mila. 

na jane woh mujhse kya chupati rahi

na jane woh mujhse kya chupati rahi,
chupke-chupke meri har adda ko aazmati rahi. 

na-gawar thi khushi meri shayad usse,
isiliye ghamo ko mera pata batati rahi. 

pahle dekar mujhe manzilon ka pata,
phir meri raahon mein kaatein bichati rahi. 

hairaan hoon main unke pathar dil par,
hamare dil ko jala kar sitam dhaati rahi. 

khaamoshi keh rahi hai kaan mein kya

khaamoshi keh rahi hai kaan mein kya,
aa raha hai mere gumaan mein kya?

ab mujhe koi tokkta bhi nahi,
yahi hota hai khaandaan mein kya?

bolate kyon nahi mere haq mein,
kamzor pard gaye zubaan mein kya,

meri har baat be-asar hi rahi,
nuks hai kuch mere bayaan mein kya?

woh mile to yeh puchhana hai mujhe,
abhi hoon main teri amaan mein kya?

shaam hi se dukaan-e-dil hai band
nahi nukasaan tak dukaan men kya?

yuun jo takkta hai aashmaan ko tu,
koi rehta hai aashmaan mein kya?

yeh mujhe chain kyun nahi pardta,
ek hi shakhs tha iss jahaan mein kya?

wajha to zaroor hai.. par mujhe pata nahi

ek ghutan si hai wajha pata nahi,
wajha to zaroor hai.. par mujhe pata nahi. 

dhardkan bhi tez hai pairo mein dhool bhi,
gaya tha main kaha.. mujhe pata nahi. 

mehfil mein tha har dum kisi ka intazaar,
par kaun tha woh.. mujhe pata nahi. 

koi tha bhi pass kabhi mujhe yaad nahi,
yaa kho gaya hai koi.. mujhe pata nahi. 

sayaa hai kisi ka mere ru-baru,
par hai kis taraf.. mujhe pata nahi. 

rehta hai aksar seene mein dard sa,
kaha hai mera shanti.. mujhe pata nahi. 

kaha tha kisi ko main tera hoon shayad,
suna bhi tha usne.. mujhe pata nahi. 

zulm to hua hai, dil par zakhm bhi hai,
par kya hai yeh kis ne mujhe pata nahi. 

zamane se hum ne wafa ki hai humesha,
kaun kehta hai sab bewafaa.. mujhe pata nahi. 

chala tha koi saath manzil ki taraf meri,
chhuta kaha haath.. mujhe pata nahi. 

kehte hain sabhi, tu pagal hai kya raaj
hai ek jawaab iska.. par mujhe pata nahi. 

kuch khud bhool gaye kuch nadaniyon mein gum huyi

mehfil ki sari raunk, tanhaiyon mein gum huyi,
ghadiyan jo kuch pane ki thi, mehrumiyon mein gum huyi,

saari muskurahtein woh chaahtein jaane kahan simat gayi,
khushiyon ki thi jo mushkilein, aashaniyon mein gum huyi,

karne ko to bahut kaam tha par hua kahan,
umar ki saari hasratein duswariyon mein gum huyi,

kaise kahe ki tannha ghadiyan kat rahi hai kis tarah,
kuch khud bhool gaye, kuch nadaniyon mein gum huyi,

ahad-e-hawas ki shaman hai charo taraf aaj,
woh sachhi mohabbat, ruswaiyon mein gum huyi.

koi zulm dhaata raha zindagi bhar

koi zulm dhaata raha zindagi bhar,
koi muskuraata raha zindagi bhar.

ho kaatein ke sholey na ki fikr koi,
woh daaman sajaata raha zindagi bhar.

woh kahta usse gham laga hi nahi hai,
to kyon muskuraata raha zindagi bhar.

haan ghar mein siwaa uske koi nahi tha,
woh kiski sunaata raha zindagi bhar.

thi maasum si kuch baras ki kahaani,
woh bachpan lubhaata raha zindagi bhar.

tha mera shajar yun hawaa ka khilauna,
main tinke jutata raha zindagi bhar.

us insaan ko yun khuda kar chale the,
woh minnat karaata raha zindagi bhar.

chahne par bhi na bhool paaye, lakh jo bhulaya humne

jinke-kan kan mein thi bewafaai ki khushbu,
dil ke aangan mein poudha aaisa mehkaya humne.

gir gaye woh khud hi aapni nazaroo se doston,
jab unka diya zakhm unhi ko dikhaya humne. 

bhale hi khud rote rahe hum sadda sitam se unke,
kabhi kissi baat par unko na rulaya humne. 

yaadein chali aati hain unki jab bhi tannha hote hain,
chahne par bhi na bhool paaye, lakh jo bhulaya humne. 

aaj woh hi sikhlate hain zamane mein tannha rehna,
jinhein kabhi yeh zaalim pyaar tha veeraan zindagi ka,
issliye baad unke saathi, mout ko banaya humne.

pucha jab kabhi humse raaz doston ne khamoshi ka,
aapni mohabbat ka ek alfaaz na batayaa humne.

sab loggo ne yahe jutai doulat zamane bhar ki,
khushiya ke baadle bas ghum hi tha jo jutaaya humne.

tum kabhi na karna mohabbat deewano ki tarha,
har aashiq ko iska kaaran bataya humne.

kisi ne phir iss dil ko dukhaya to kya hua

kisi ne humein phirse rulaya to kya hua,
dil ko ek baar aur dukhaya to kya hua.

tannha the kab se mohabbat ke bawjood,
kisi ne phir se ehsaas dilaya to kya hua.

kismat mein kya tha yeh pata nahi tha,
kisi ne isse bahot bura bataya to kya hua.

sachhe dil se chaahte rahe hum kisi ko,
kisi ne mohabbat mein tardpaya to kya hua.

dil-o-jaan lootate rahe hum raah-e-ishq mein,
kisi ne bewafai se aazmaya to kya hua.

hum ne bhool ki usse samajhne mein,
usne fareb mein behlaya to kya hua.

ab tak iss nadan dil ko main samjha na paya

woh kuch palon ka hi saath main bhula na paya,
apne man ke aaine se unka chehra mita na paya,

maine wada kiya tha har lamha muskarane ka,
iss liye unki yaad mein aanshu bhi baha na paya,

dil dhakta hai mera ab bhi unke hi naam ke saath,
ab tak iss nadan dil ko main samjha na paya,

maksad-e-zindagi meri ban gayi hai woh,
woh chale gaye magar yeh baat apne dil ko bata na paya,

ussi mord pe tannha khada hai “raaj” intezaar mein,
jis mord pe kabhi main aarzu-e-dil dikha na paya.

All Time's Favourite Posts