Showing posts with label diwali. Show all posts
Showing posts with label diwali. Show all posts

apni to duniya hi doston se hai

khushi bhi doston se hai,
gham bhi doston se hai, 

takraar bhi doston se hai,
pyar bhi doston se hai, 

roothna bhi doston se hai,
manana bhi doston se hai, 

baat bhi doston se hai,
misaal bhi doston se hai, 

nasha bhi doston se hai,
shaam bhi doston se hai, 

zindagi ki shuruvaat bhi doston se hai,
zindagi mein mulakaat bhi doston se hai, 

mohabbat bhi doston se hai,
inaayat bhi doston se hai, 

kaam bhi doston se hai,
naam bhi doston se hai, 

khyaal bhi doston se hai,
armaan bhi doston se hai, 

khwaab bhi doston se hai,
maahol bhi doston se hai, 

yaadein bhi doston se hai,
mulakaatein bhi doston se hai, 

sapne bhi doston se hain,
apne bhi doston se hain, 

ya yoon kahoon yaro,
apni to duniya hi doston se hai.

apne liye hi jo jiye to kya jiye ho tum

yun to kat hi jaati hai yaaron, rote hue bhi zindagi,
lagegi haseen magar, tum zarra sa muskura kar dekho,

miloge jab bhi mehfil mein, sada khush paoge humko,
gham dekhne ho to humare, tanhai mein aakar dekho,

raah-e-mohabbat mere yaaron, khel nahi koi baccho ka,
jaan jaoge tum khud hi, dil to laga kar dekho.

gar pyaar karoge pyaar milega, yaad rakhna tum itna,
milega gulshan badle mein, ek phool kilakar dekho.

apne liye hi jo jiye to kya jiye ho tum,
auron ke jeewan mein to zarra, tum deep jala kar dekho!

aao milkar phir se hum ek diya jalaye

aao milkar phir se hum ek diya jalaye,
hain andhiyaara jahan kahi mil kar hum hataye,

rahe sabhi khush diwali ke iss pawan avsar par,
aisa koi raag madhur mil kar sab gaaye,

hai kahin koi dukhi agar dukh door karein hum,
aisa ek sankalp hum sabhi apne dil mein laaye,

jeevan mein hardam sabke failaon ek ujiyaaraa,
yahi baat hum sab jan ko phir se sikhalaye.

tum har din naye saal si chali aati ho

khilkhilati dhoop mein barsaat si chali aati ho,
tum din ke ujale mein chandni raat si chali aati ho,
mere dil ki viraan pardi sadkon pe,
tum gaati-bajaati baaraat si chali aati ho.

andheron mein jhilmilate sitaron si chali aati ho,
tum patjhard mein baharon si chali aati ho,
hone hi nahi deti mujhe kabhi tannha,
tum saze huye bazaaron si chali aati ho.

raat mein purani yaad si chali aati ho,
tum har dua mein fariyaad si chali aati ho,
likhta hoon jab bhi kuch naya,
tum har sher pe daad si chali aati ho.

holi pe abeer aur gulaal si chali aati ho,
diwali pe deepon ke thaal si chali aati ho,
manata hoon roz tyohaar ab main,
tum har din naye saal si chali aati ho.

All Time's Favourite Posts