nazar na lag jaye pyaar ko zamane ki

kya karu main is berehm lamho ka,
har bar intezar main uska kar leta hun,

kya kahu main ab usse kuch yaaron,
uski sb baate main dil se sun leta hun,

karti hai woh pyaari baate sada mujhse,
main uski dil ki baatein samajh leta hun,

aadat si ho gayi hai ab uski mujhe,
ruthe woh to main sada mana leta hun,

hassi ke sath guzarte hain sath me pal,
raaton ki neend uski main chura leta hun,

nazar na lag jaye pyaar ko zamane ki,
chahat ko uski dil me chhupa leta hun,

har pal woh deti hai mujhe khusiyan,
aur ek main hun ki use yuhi rula deta hun.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts