saath tanhaiyon ka pakda diya

mujhe chahat ki pyaas thi unki,
unhone dard ka samandar pila diya,

haath khali na rahe mera isliye,
saath tanhaiyon ka pakda diya.

mita hua to kuch likha hua,
khat woh pakda gayi,

keh gayi ki bhula dena mujhe tum bhi,
par har arsa woh mujhe yaad aati gayi,

aye mere khuda.. kaisi woh khudgarz nikali,
khud bhi tannha rahi aur mujhe bhi rula gayi,

kehti hai ki woh bhul chuki hai sab kuch,
phir bhi uske dil mein ab tak pyaar mera hi hai basa hua,

kaisi yeh reet.. kaisi yeh chot hai aye khuda,
meri jism aur meri jaan hai mujhse juda,

khila khila hai manjar charo taraf mere,
par deep dil ka mere hai bhuja hua..

ajeeb apni yeh zindagi hai

ajeeb apni yeh zindagi hai,
sameto jitna bikhar rahi hai,

hum ek pal ko bhi jee na paye,
yeh lamha lamha guzar rahi hai.

ajeeb apni yeh zindagi hai,
mohabbaton ko samjh na paye,

haseen rishte nahi nibhayein,
hain khawaisho ke hi piche bhage,
hasraton ko galle lagayein,

yeh aaj aakhon mein jo nami hai,
yeh apne khawabon ki bebasi hai,
ajeeb apni yeh zindagi hai.

na jaane kyon tumse itna pyar karte the hum

na jaane kyon tumse itna pyar karte the hum,
zindagi tujhi se suru hoti thi aur tujhi pe khatam,

ek din aankh khuli aur toot gaya sapna,
humne dekha tum the geyro ki bahon mein sanam,
aur kahi dooorr sirf tannha khade the hum,

ab ek ek pal jeete hain aur marte hain hum,
ek jara si khusi ko taraste hain hum.

jante hain tum kabhi nahi aaogi

jante hain tum bhula chuke ho par
humein bhi yaad karne ki shayad addat si ho gayi hai,

ha pathar ki murat ho tum par
humein bhi pathar pe sar patkne ki shayad addat si ho gayi hai,

ab kisi chot par aah nahi nikalti,
har sitam sehne ki shayad aadat si ho gayi hai,

nahi thamte laakh kehne par bi aanshu,
inhein bina baat behne ki shayad aadat si ho gayi hai,

jante hain veeran rahega yeh aashian humara par
par humein bhi tinke sametne ki shayad aadat si ho gayi hai,

jante hain tum kabhi nahi aaogi
par humein bhi raah dekhne ki shayad aadat si ho gayi hai.

mano mohabbat nahi ehasaan kiya hai

iss tarah sataya hai pareshaan kiya hai,
mano ki mohabbat nahi, ehasaan kiya hai,

socha tha ki tum dusaron jaise nahi hogi,
tum ne bhi wahi kaam meri jaan kiya hai,

mushkil tha bahut mere liye rishta tordna,
ye kaam bhi tum ne mera aasaan kiya hai,

har roz sajaate hain teri judaai mein phool,
aankhoon ko teri yaad mein viraan kiya hai.

mujhe tum apna bana lo

rang khwaishon ke kitne roz hai bante,
gham-e-judai mein hum har pal hai jalte,
in andheron mein ujalo ke nishan bana do,
bohat kiya intezaar ki mujhe tum apna bana lo,
haan mujhe tum apna bana lo….

jayein kahan ki hosh mein kahan rehte hain,
sitam-e-zamana kaise ro ro ke hum sehte hain,
har dard-e-mohabbat se hume nizat dila do,
bahot kiya inkkar ki mujhe tum apna bana lo,
haan sanam mujhe tum apna bana lo….

khwaab-o-khayalon mein khoye zamana beeta,
tujh bin marta hoon, main nahi ek pal bhi jeeta,
band ho chuki saansen apne, deedar se chala do,
bahot jiya sansar... ki mujhe tum apna bana lo,
haan mujhe tum apna bana lo….

loote musafir sa teri rah mein khada hoon,
poori na hone wali ek chaah mein pada hoon,
nibha ke sath mera, yeh saccha pyar bana do,
bahot beete malhar ki mujhe tum apna bana lo,
haan tum mujhe apna bana lo….

hum teri sunne ko kitne baras ab tarse,
ashq na jane kitne meri aankhon se barse,
dariya-e-ishq mein khila mujhe ek kamal bana do,
bahot kiya izhar ki mujhe tum apna bana lo,
haan mujhe tum apna bana lo...! 

tere zikar bina har baat hai tanha

tere bin mere jazbaat hai tanha,
kitni yeh jawaan raat hai tanha,

kis se karoon bayaan jazbaaton ko,
lab par aate khayalaat hai tanha,

tum de gaye the apni ek nishaani,
uss muskaan ki sougaat hai tanha,

hai saji haseen sitaaron ki mehfil,
chand se apni mulakaat hai tanha,

bas gaye ho yun mere lafzon mein,
tere zikar bina har baat hai tanha,

dhoondhe tujh ko nazrein gali gali,
behte ashkon ki barsaat hai tanha,

bulaati hai paas tujhe yaadein meri,
wo mohabbat ke lamhein hai tanha.


All Time's Favourite Posts