bannd karo apni ye prem kahani tanha tanha

bita bachpan mera tannha, biti jawani tannha tannha,
shor samandar ka chup hai jaise, dariya ka pani tannha tannha.

raaz sine mein dabakar chup betha hoon patthar pe,
soch raha hoon biti baatein ek diwana tannha tannha.

log alag hai, mijaz alag hai, phir bhi kat jaati hai umare,
bunti hai ghar ki budhi dadi kaise, kahani tannha tannha.

ek choti si chingari se aag jo dil mein lagti hai,
pard jati hai mushkil woh phir aag bujhani tannha tannha.

woh jo khade hain bich agan mein, raat dhal jaane ke baad,
lagta hai jaise koi khadi ho raat ki rani tannha tannha.

ab bhi raaj sochte ho.. unse miloge kisi din tum?
bannd karo apni tum.. yeh prem kahani tannha tannha.

I can’t say goodbye

in the quiet of darkness,
in the stillness of night,
I still imagine you holding
me tight.

your voice is the music,
in my heart is the song,
please come to me now,
it’s with me you belong.

our love was so real,
for it captured my soul,
there’s no other feeling
that makes me feel whole.

when god made his angels,
he made you for me.
there’s no more mistaking,
we were meant to be.

I can’t live without you,
I can’t say goodbye,
when I think of you hurting,
the thought makes me cry.

please don’t give up now
because of my fears,
don’t dwell on the past,
come dry all my tears.

as the moon is my witness,
and the stars are my guide,
I will love you forever,
I will no longer hide.

come lay down beside me,
I can’t wait one more day,
to hear you still love me
the very same way.

kuch haseen yaadein palkon pe reh jaate hain

kuch haseen yaadein palkon pe reh jaate hain,
phir aankhon ke kone se chalak jaate hain,

lakh rokna chaho par behte hi chale jaate hain,
kuch door tak to hamare yaad bahut dilaate hain,

phir aap hi na jaane kaha gayab ho jaate hain,
aur ek haseen khawb banke palkon pe phir se sajj jaate hain,

kuch nagmein hoton pe reh jaate hain,
laakh rokna chaaho par wahi duharte chale jaate hain,

har labz mein har baat mein unhin ko paate hain,
yeh nagmein phir mishri ke tarah muuh mein ghul jaate hain,
aur mithas ban ke baar baar yaad aate hain,

har dua mein khuda se unnhi ko manga hai,
har aarzoo mein, har armaan mein, sirf unnhi ko chaha hai,

har yaad, har baat sirf unke hi hote hain,
seene mein jaage ek ek jazbaat unnhi ke hote hain,

har dhadkan mein, har saans mein, unnhi ka naam likha hai,
shayad uss khuda ne mere kismat mein sirf intezaar likha hai.

hue humko bichude barson

pehle woh ghar jalayein,
phir barish yeh bulayein,
hum ko gale laga ke
kehte hain bhool jayein.

mausam ke yeh ishare
samjho kabhi to pyare,
ab tord sab niyam hum
bas jhoomein nachain gayein.

khaiton mein phooli sarson,
hue humko bichude barson,
tanhaiyon ki mil kar
aao holi hum jalayein.

hai unka yeh bahana,
kehta hai kya zamana?
phir bhi jo darr lage to
sapno mein hi aa jaao.

kyun geet ga rahe ho,
humko yun bula rahe ho,
chahat ka hai takaza
khud aap daude aao.

apni yahi hai zannat,
hum mante hain mannat,
zulphon mein teri jaanam,
bas ungliyan phiraun.

meri yeh kahaani hai mera taraana

kis ki yeh kahaani kis ka woh fasaana,
mere yeh aanshun, hai mera taraana.

chubhenge armaan, woh toote huye,
rukh par unhein, holley se bahaana,

hum to lut kar bhi ameer hai yaaron,
mehlon mein tang-dil, gareeb zamana.

mujhe sambhalne ka junoon hai bada,
uth na paun kabhi aisa mujhe giraana.

jannat ki rah pe akhiri yeh zulmi aah..!
savaari ko meri phoolon se sajaana.

meri yaadein kahi zameen mein reh na jaye,
mujhe raakh kar, hawa mein urdaana.

har kisi ki kismet mein nahi sacha pyaar,
sochna samajhna phir isse aazmaana.

meri yeh kahaani, mera hi woh fasaana,
bikhre huye aanshun, hai mera taraana. 

kisi din gar aisa ho

mere priye.. 
mere antarman mein jagah paane wale,
mere har ehsaas ko janne wale,

jab kahi..
duniya se be-jaar ho jaao,
aur rone ka man kare,
mere paas aa jana!

wada to nahi tumhein hasane ka,
par itna to jaroor karoonga,
tum sang ussi tarah ro doonga.

phir kisi din..
tum iss be-zaar zindagi se bhaagna chaho.
bina jhijhak, mujhe bulana jaroor!

main tumse wada to nahi kerta
ki tumhein main rok sakoon,
par itna wada jaroor kerta hoon,
ki tum sang bhaag chaloonga.

khuda na kare..
koi aisa waqt aaye,
tumhein koi sunna na chahe,
to iss shaks ko pukaar lena.

main tumse wada kerta hoon
main bilkul chup rahoonga,

lekin mere dost, mere dard ke sahil,
kisi din gar aisa ho..

tum mujhe pukaaro.
aur koi jawaab na aaye,
to jaldi chale aana,

shayad mujhe tumhaari jaroorat ho,
shayad mujhe tumhaari jaroorat ho.

insaan ki fitrat kya kahiye

insaan ki fitrat kya kahiye,
murdon mein khazana doond liya,
kahaan beche jism ke ango ko,
uska bhi thhikana doond liya.

chordein na marghat mein woh kafan,
karte na har tan ko woh dafen,
insaan ki keemat kuch bhi nahin,
apno ne thhikana doond liya.

noukar ho chahe vyapaari,
chahe ho baabu sarkaari,
doulat ke bhukhe-nango ne,
unka bhi thhikana doond liya.

kishton mein jab log bikne lage,
apno ke sang woh dikhne lage,
ehsaas marre yun apno ke ,
unko fuslaana doond liya.

jab pal-pal yun hi marne lage,
aise manzer jab chalne lage,
to umra ghati shaitanon ki,
jab humraaz dewana doond liya.

kuch tum bhi kaho apni zubani

chun-chun ke kahi humne ghazal apni zubani,
kuch tum bhi kaho apni ghazal apni zubani.

humko mili har mord pe, bhar-bhar ruswaai,
tum bhi kaho kya hai mila , yun kar ke bhalaai,

har zulm ab kehta hai khud, apni hi kahaani,
kuch tum bhi kaho apni ghazal apni zubani.

dewaana banaa baitha tha jab husn pe dera,
iss ashiqi ke shole ko ek aag ne ghera,

aag ki tappis mein ab murrjhati jawaani,
kuch tum bhi kaho apni ghazal apni zubani.

shatranj ke har khel mein, hum uzde khade the,
aur taash ke patto ki tarah bikhre parde the,

jab dekha har patte pe ek ghazal apni puraani,
kuch tum bhi kaho apni ghazal apni zubani.

jaane kyun yeh rooh badnaam huyi

jaane kyun yeh rooh badnaam huyi,
gar huyi to kyun sar-a-aam huyi.

baithe the udaas jis mehfil mein,
jaane kyun ulfat-a-shaam huyi.

zindagi uski hai aazaab bani,
jaane kyun be-wafa mere naam huyi.

dekho toot gaya ab paimana,
zindagi bhi ab yun tamaam huyi.

ashiqui kerna badi mushkil hai,
zindagi badnaam huyi gumnaam huyi.

tannha dil aur tannha hai safar

tannha dil aur tannha hai safar,
na kisi ko meri fikrr na meri kadar,


chal raha hoon gumnaam rahon par,
tannha dil aur tannha hai safar.

preshan hoon duniya ke rang dekh kar,
rula jaate hai sabhi mujhe,
 jaate hain hass kar,

na meri koi manzil, sirf andheri dagar,
tannha dil aur tannha hai safar.

tapp raha hoon, ajeeb yeh tapish hai magar,
naa jal jata hoon, na mit-ta hoon jaakar,

zindagi bhar sulagte rahna hai sahyed mera mukadar,
tannha dil aur tannha hai safar,

viraan ho chuki basti ko phir se basaana aasaan nahi

toote taaro ke saath zindagi ka saaz bajaana aasaan nahi,
viraan ho chuki basti ko phir se basaana aasaan nahi.

kinaaro par rahene waale samandar ke toofan ko kya jaane?
mazadhaar mein toofan se tooti kashti paar lagaana aasaan nahi.

tanhaai, maayusi, na-umeed mere rag rag mein sama gaye hai,
dosto ab hamaare hotho par phir se muskaan sajaana aasaan nahi.

aankho ki boond kaagaz par girati hi to sher ban jaati hai,
dost.. kuchh iss tarah se ashkon ko bahaana aasaan nahi.

aaj log kuch bolate hain to kehte hain ab bas bhi kegeye,
barason se sabki sunn raha tha, ab mujhe chup karaana aasaan nahi. 

inn aankhon ki hai talaash anant

jeevan ek pyaas, pyaar hai saagar,
samandar gehra, pyaas anant.

pal bhar ka hai jeena mera,
jeene ki hai aas anant.

saaye mein jiske panapti zindagi,
meri dharti ka akash anant.

hadhaye nazar tak dekh rahi hai,
inn aankhon ki hai talaash anant.

honge fanaa teri aghosh mein,
woh din-e-kayaamat ho kash anant.

thoda dard, thodi hairaani, thodi tanhaai aur meri kahaani

yeh duuriyaan, khaamoshiyaan, berukhi, madhoshiyaan,
yeh bhi kuch andaaz hain meri chaahat ke.

thoda dard, thodi hairaani, thodi tanhaai aur meri kahaani,
yeh bhi kuchh pehlu hain meri muskurahat ke.

kaun in kitaabon ko padh ker kaabil ho jaayega,
kaun apni manzil per jaa ker manzil ho jaayega.

halaat ki lehron se dat ker lardna hi hai zindagi,
kaun in lehron se lard kar saahil ho jaayega.

thoda sa jhuth, thoda aadarsh, thoda aasmaan, thoda farsh,
yeh bhi kuch pehlu hain insaan ki banaawat ke.
thoda dard, thodi hairaani, thodi tanhaai aur meri kahaani,
yeh bhi kuch pehlu hain meri muskurahat ke.

itne nazaaron mein bhi yeh nazar tannha,
insaan ho gaya hai iss kadar tannha,

mitti ke chehre bas aks hi hain yaaron,
tay kerna hai sabko yeh safar tannha.

thodi jannat, thode apne, thodi si maang, thode sapne,
yeh bhi kuch pehlu hain khuda ki ibaadat ke.
thoda dard, thodi hairaani, thodi tanhaai aur meri kahaani,
yeh bhi kuch pehlu hain meri muskurahat ke.

zaroori yeh nahi ki pyar mein tum taj banaao

zaroori yeh nahi ki pyar mein tum taj banaao,
zaroori yeh hai ki bas pyar mein tum aap mit jaao,

gila karte ho kyun tum tez chalti inn hawaon se,
maza to hai tabhi, jab in-mein tum deepak jala paao,

hai nazuk perd jal jayega, jo dali dhoop nafrat ki,
isse do pyar ki chaya, hara gar dekhna chaaho,

yeh ego ka nahi masla, hai chahat bas yahi dil ki,
tumhein aawaz jab bhi doon, tabhi tum daudti aao,

jo lardte zar, zamin, zoru ki khatir, unse kehta hoon
ki jaao kho gaya jo bachpana, phir dhoond kar laao,

yeh udaasion mein rehna, nahi theek dekho raaj,
ab utho, do sar ko jhatka, chalo phir se khil-khilaao.

waah re zindagi kya rang to kya roop tera

waah re zindagi kya rang to kya roop tera,
kadi dhoop se bhi battar raha hai mukkadar mera,

manzilen hamesha se hi door banayi humne,
aur beech mein hi khatam ho gaya hai safar mera,

khuda ki adalat mein tujhe pata chal jayega,
na jee saka hai na mar saka hai,
jis par bhi toota hai kahar tera,

gar dum hai to gira ke dikha de aanshu,
jo pilaya tha tune, yeh shayri wahi to hai zeher mera,

sab kehte hain pathar dil hai raaj,
kaise pighal jata hai phir,
teri hi har baat par jigar mera?

zindagi tujhe tannha chhord jaaye agar

zindagi tujhe tannha chhord jaaye agar,
tu mujhe yaad kar lena koi sataaye agar.

mana hasil tujhe kuch nahi hoga iss se,
mera dil zinda rakhna, tera marr jaaye agar.

hai aawaz dil ki, khokhle alfaz to nahin,
aazma lena mujhe, dard tujhe aazmaaye agar.

hai andhera aaj to kal savera bhi hoga,
hamare pyar ki thandak yaad kar lena,
halaat tujhe jalaaye agar.

hum sapne dekhte hai sach karne ko,
aane wala kal tu bhi dekh lena,
zindagi tujhe aaj dafnaaye agar.

zakhm kitne gehre hain haathon ki lakiron ke

zakhm kitne gehre hain
haathon ki lakiron ke,
aashun bhi ab na nikle
inn be-zubaan tasviron ke.

himmat bhi haar chuki hai
khud apni hi chhoton se,
dekh zindagi darti hai
ab aane waali mauton se.

bikhar gayi sari khusiyan
ab ujhard gaya yeh registan.
hua aisa chalni-chalni
bikne laga sarhad ka imaan.

yeh meri tannhai

yaadoon mein udda le jaati hai mujhko
yeh meri tannhai,

aur bhi tannha kar jaati hai mujhko
yeh meri tannhai,

socha bhula doon tujhko to teri yaadein bhi mit jaayengi,
bhulne nahi deti kuch bhi mujhko
yeh meri tannhai.

tannha hoon main aur dil bhi mera tannha hai,
tannha huyi hai aaj
yeh meri tannhai.

marne ke baad mere reh jayengi bas yeh yaadein
reh jaayegi yahan bas...
yeh meri tannhai.

hum kitne nadan hain

wafa ke badle wafa ki chahat, hum kitne nadan hain,
pyar ko samjha ek ibaadat, hum kitne nadan hain.

tannhai mein baithke unke khaw sanjote hain,
unhein apne ghar
 mein dhundate hain, hum kitne naadan hain.

sham dhale to ghaer jayein, yeh soch ke baithe hain,
kab se rasta dekh rahe hain, hum kitne nadan hain.

unka daman kheench rahe hain waqt -e- ruksat par,
dhalti sham ko rok rahe hain, hum kitne nadan hain.

aank khule to raat ko apni chahat par bhi jayein,
unke ghar ko dekh rahe hain, hum kitne nadan hain.

unki baat bata dete, khas doston mein,
khud hi charcha aam karein hain, hum kitne nadan hain.

humse kuch khoya bazar mein barson beete gaye,
aaj bhi usko dhoond rahe hain, hum kitne nadan hain.

duniya se jeete par hum takdeer se har gaye,
na-ummeed hue baithe hain, hum kitne nadan hain.

mana ke humare sath kisine wafa na ki,
har insaan pe shak karte hain, hum kitne nadan hain.

apne naraz kismat ko hum roz manate hain,
kaanch ke tukde jord rahe hain, hum kitne nadan hain.

maa jab bhi loori geet gati

ek thappki nind le aati hai, maa jab bhi loori geet gati hai,
chehre ke bhaw ko dekhte hi, har baat samajh woh jaati hai.

meri naadani, meri shaitaani, meri tothali baatein bachhkani,
yaad kar meri bachhpan ki, woh aaj bhi aksar muskaati hai,

bigde jara si halat to, chinta mein woh pard jaati hai,
dekh-bhaal mein aksar meri, woh saari raat bitaati hai,

ek thappki nind le aati hai, maa jab bhi loori geet gati hai,
chehre ke bhaw ko dekhte hi, har baat samajh woh jaati hai.

khud bhukhi reh jaati hai, par bhookha na mujhe sulati hai,
woh khaali pet basar kar bhi, mujhko bhar pet khilati hai,

hairran hoon main, maa padhi nahi hai,
aksharon se kabhi woh laddi nahi hai,
na jaane kaisa jaadu hai, woh meri har dhadkan pard jaati hai,

ek thappki nind le aati hai, maa jab bhi loori geet gati hai,
chehre ke bhaw ko dekhte hi, har baat samajh woh jaati hai.

woh tappti dhoop mein saaya hai, woh pyaar ki paawan maaya hai,
maa ki aisi mahima ko to, khud bhagwaan ne bhi gaaya hai,

uske aashirwaad se hi, har dukh takleef mitt jati hai,
maa ki mauzudagi se hi to, har khusiyan ghar mein aati hai,

ek thappki nind le aati hai, maa jab bhi loori geet gati hai,
chehare ke bhaw ko dekhte hi, har baat samajh woh jaati hai.




एक थपकी नींद ले आती है, माँ जब भी लोरी गाती है,
चेहरे के भाव को देखते ही, हर बात समझ वो जाती है।

मेरी नादानी, मेरी शैतानी, मेरी तोतली बातें बचकानी,
याद कर मेरे बचपन की, वो आज भी अक्सर मुस्काती है,

बिगड़े जरा सी हालत तो, चिंता में वो पड़ जाती है,
देखभाल में अकसर मेरी, सारी रात बिताती है,


एक थपकी नींद ले आती है, माँ जब भी लोरी गाती है,
चेहरे के भाव को देखते ही, हर बात समझ वो जाती है।

खुद भूखी रह जाती है, पर भूखा न मुझे सुलाती है,
वो खाली पेट बसर कर, मुझको भर पेट खिलाती है,

हैरान हूँ मैं.. वो पढ़ी नहीं है, अक्षरों से कभी वो लड़ी नहीं है,
न जाने कैसा जादू है, वो मेरी हर धड़कन पढ़ जाती है,


एक थपकी नींद ले आती है, माँ जब भी लोरी गाती है,
चेहरे के भाव को देखते ही, हर बात समझ वो जाती है।

वो तपती धूप में छाया है, वो प्यार की पावन माया है,
माँ की महिमा को तो, खुद भगवान ने भी गाया है,

उसके आशीर्वाद से ही, हर दुःख तकलीफ मिट जाती है,
“माँ” की मौजूदगी से ही तो, घर में खुशियां आती हैं,


एक थपकी नींद ले आती है, माँ जब भी लोरी गाती है,
चेहरे के भाव को देखते ही, हर बात समझ वो जाती है।

maa aaj bhi tera baccha hoon

ghutno se rengte-rengte,
kab pairo par khada hua,
teri mamta ki chaao mein,
jaane kab main bada hua.

kaala tikka, dudh malayi,
aaj bhi sab kuch waisa hai,
main hi main hoon har jagah,
maa pyaar yeh tera kaisa hai?

sidha sada, bhola bhala,
main hi sabse accha hoon,
kitna bhi ho jaau bada main,
maa aaj bhi tera baccha hoon..


Happy Mother's Day !


घुटनों से रेंगते-रेंगते,
कब पैरों पर खड़ा हुआ,
तेरी ममता की छाँव में,
जाने कब बड़ा हुआ..


काला टीका दूध मलाई
आज भी सब कुछ वैसा है,
मैं ही मैं हूँ हर जगह,
माँ प्यार ये तेरा कैसा है?

सीधा-साधा, भोला-भाला,
मैं ही सबसे अच्छा हूँ,
कितना भी हो जाऊ बड़ा,
“माँ” मैं आज भी तेरा बच्चा हूँ..

bewafaa nikle zamaane waale

pyaar ke mayene bataane waale,
bewafaa nikle zamaane waale,
mujhe nayi duniya dikhane waale,
bewafaa nikle zamaane waale.

dilon se dil apne milaate hi nahi shayad,
woh simt mohabbat ke, jaate hi nahi shayad,
mere haath se haath milaane waale,

bewafaa nikle zamaane waale. 

hai shouq ameeron ka, hai nasha gareebon ka,
pyaar ki shai yaaron, hai khel naseebon ka,
karz na iss dil ka chukane waale,

bewafaa nikle zamaane waale. 

hum laut bhi aayein to, hume bhool woh jayenge,
hum laut na paayien to hume yaad woh aayenge,
mujhe swarg ke sapne dikhane waale,

bewafaa nikle zamaane waale. 

hai bade nahi phir bhi woh bade hi bante hain,
woh khuda ke bande khud ko khuda samjhte hain,
apne pairon mein sabko jhukane waale,

bewafaa nikle zamaane waale. 

hai shahar shareefon ka, yeh kahar shareefon ka,
ek main hi kaafir hoon, yeh duniya shareefon ka,
kaal ke masiha kehlane waale,

bewafaa nikle zamaane waale. 

yeh insaan hai andheron ka, roshni se draa draa rehta hai

baadal ki unchaaiyon ke kareeb kahi chaand chupa baitha hai,
zameen ki gehraaiyon mein door kaheeni insaan chupa baitha hai,
apne chehre par samaaj-numa nakaab dale huye,
sehma-sehma sa lagta hai bahar kaise nikle, 
badla badla sa lagta hai.

yeh insaan hai andheron ka, roshni se draa draa rehta hai,
kaan to hai.. phir bhi behra hai, aankh to hai.. phir bhi andha hai,

apne ird-gird faile samaaj ke daayre ko tordna chaahta hai,
apne raaste, apni haqeekat se jordna chaahta hai,
haath aur pair salaamat hain, phir bhi apaahiz hai,
apne dil ki aawaaz sunta nahi hai, woh hi kerta hai jo jamaana kehta hai
iss duniya mein shaamil ho ker bhi woh jraa jraa rehta hai.

yeh insaan hai andheron ka, roshni se draa draa rehta hai,
jaane kabse apni aazaadi ki aas lagaaye baitha hai,
koi aaker saath dega yeh kayaash lagaaye baithaa hai,
rota hai akser, magar hansta bhi hai kabhi kabhi.

kabhi apne haal par kabhi apne sawaal par hairaan ho jaata hai,
badaa hi bechaara hai yeh insaan jo,
door kahi jameen ki gehraaiyon mein chupa baitha hai,
sab kuch paas hoker bhi kuch admarra sa rehta hai ,
yeh insaan hai andheron ka, roshni se draa draa rehta hai.

bas tuta hai dil aur koi baat nahi hai

khushiyon se bhari yeh mulakat nahi hai,
tuta hai dil aur koi baat nahi hai,

khamosh hai dil, khamosh hain aankhein,
badal hai dil pe.. aankhon mein barsaat nahi hai,

chhupa liya hai khud hi se khud ko,
aagosh mein kho jaaye.. ab woh raat nahi hai,

saup diya tha jo apna sab kuch unhein,
lekin ab woh pyaar ki saugaat nahi hai,

tord diya jis bedardi se ussne mera dil,
lagta hai uske dil mein mere liye koi jazbaat nahi hai.

bhooli bisri baaton ko phir se yaad karogi tum

sheesh mahal ki deewaron mein
tannha yaad karogi tum,
bhooli bisri baaton ko
phir se yaad karogi tum.

chaand bhi shola ban dahkega
chaandni aag lagaayegi,
garmi ke aise aalam mein
thandi saans bharogi tum.

tere mahal ka har sheesha
mera patah jab puchhega,
dil ke aayene pe jhuk-ke
mujhse baat karogi tum.

raat ka maila mausaam jab jab
kohre ki gard urrdayega,
mera naam mitta ke har baar
baaram-baar likhogi tum.

“raaj” dhuyein ka baadal banke
ek din jab urd jaayega...
dono haath jord  ke rab se
phir faryaad karogi tum. 

woh saath hote to hoti zarurat bhi bahut

bichard gaya hai jo uska sath kya mangu,
zara si umar hai ghum se nijat kya mangu,
woh saath hote to hoti zarurat bhi bahut,
akela zaat ke liye kaynat kya mangu.

tumhaari kuch cheezein ab bhi mere paas baaki hain

tumhaari kuch cheezein ab bhi mere paas baaki hain,
tumhaare saath guzaare lamhon ke phool,
meri yaadon ke kitab mein ab bhi mehakte hain.


tumhari palkon se uthaaya ek bheega sa sapna, 

maine apni band mutthi mein ab bhi chupa rakha hai.

meri dehleez pe tumhaare kadmon ki aahat,
aaj bhi waise hi goonjti hai.

tumhaare honthon ka surkh rang, 
har shaam meri duniya ko rang jaata hai.

tumhaare kaano ki tooti baliyan,
mere aasmaan ke chamakte chaaand taare hain.

tumhare haanthon ke woh kanp-kan-paahat,
ab bhi mere gaalon par mehsus hoti hain.

tumhare dupatte ka woh rangeen saaya, 
ab bhi mere khayaalon par lehrata hai.

tumhaari kuch cheezein ab bhi mere paas baaki hain,
jo chaaho to waapas maang lena.

jaate jaate kucch faasle par
bas ek baar palat kar muskuraa dena.

mahakaal ka main naam japun

na punya hoon, na paap hoon main,
andekha sa koi shap hoon main,
mujhe dar nahi hai mantro ka,
ha khud mein hi maha jaap hoon main.

na andhiya na tunfaan hai,
mujh mein kahan koi jaan hai,
main pathrili ghati mein hoon palah,
meri khud nahi koi pechan hai.

tantra tana... yag jalana,
ha kaam mera bas yahi,
rakh mein hoon lipta hua.

bhu-tal mere naam sahi,
mahadev aur mahakaal ka
main naam jap japaunga..
mujhe swarg ka koi moh nahi...
mahadev ke naam se main
yehi swarg banaunga...

koi haar kar jeet jata hai kisi ki jeet kar haar hoti hai

kahin kisi par har taraf se gulon ki bauchhaar hoti hai,
kahin kisi ki zindagi ke har pehalu mein haar hoti hai.

ajab riwaaj hai teri duniya ka aye aasman wale,
koi haar kar jeet jata hai, kisi ki jeet kar haar hoti hai.

har ek insaan apne sath liye phirta hai koi-na-koi zakhm,
koi marta hai talwar se, kahin nigah dil ke par hoti hai,

har kisi ko raas nahin aate mausam baharan ke,
aise bhi phool hain jo murjate hain jab bahar hoti hai.

aaj har baat pe hanste hue dekha unko

mom ki tarha pighalte hue dekha unko,
rut jo badli to badalte hue dekha unko,

woh jo kanton ko bhi narmi se chua karte the,
hum ne phoolon ko masalte hue dekha unko,

na jaane kaun se ghum ko chupane ki tamana hai unhein,
aaj har baat pe hanste hue dekha unko.

mohabbat mein tardpne se kuch hasil nahi

mohabbat mein tardpne se kuch hasil nahi hua karta,
tera dil hai jo dil mein rah kar bhi sharik dil nahi hua karta,

mein khud ko bhool jata hoon kabhi aisa bhi hota hai,
magar teri kasam tujh se kabhi bewafa nahi hua karta,

tumhari kya shikayat, tum to phir bhi gaiyr ho lekin,
mohabbat mein to apna dil bhi apna nahi hua karta.

apne bhi begaane hote hain

mehfilon mein afsaane roz bayaan hote hain,
mujh jaise deewaane aur kahaan hote hain,
nahi hota hai sacha koi rishta koi nata
jhoothe yeh zamaane aur jahaan hote hain.

tha maatam jo kisi toote hoye sapne ka,
apne bhi begaane aur kahaan hote hain,
na talaashna tu raaj.. ek chota sa ghar,
bazaar mein thikane aur jawaan hote hain.

khud se ek wadaa kar loon

socha khud se ek iradaa kar loon,
jo pura kar saku, khud se ek wadaa kar loon,
na rounga ab aur na ashk bhi koi bahaunga,
iss tarah khushi sang koi naata kar loon.

bhula doon ab se woh yaadein purani,
jinhein yaad kar aankh mein sirf aata hai paani,
likhe hue un khato ko bhi mein jalaa doon,
socha khud ko ek aakhiri mein sazaa doon.

ho jaauon khamosh odh kar phir kafan,
na uthuu phir kisi ki bhi aawaaz se main,
hai phir bhi aakhiri aarzoo ek dil mein
ki arthi uthe aur dekh le phir gaur se,

ki keh doon unhein woh alfaaz saare,
ki reh gaye hain kuch saaz mere adhure,
choom loon unhein, phir na rahoon kuch bhi main
ki unke bahon mein aakhiri phir saans loon main.

mera yehi intezaar karna

yeh hi lamhe yaad karna, ab inhi se pukaar karna,
main safar pe jaa raha hoon,  mera yehi intezaar karna,

jaha dil yakeen karle, woh gumaan ka mord hoga,
jaha becheniyan ho, wahi aitbaar karna,

yeh samajh-daari ka fun mujhe aaj tak nahi aaaya,
jise dil na chahta ho, usse der-kinar karna,

woh to kahiye saare patther mere dushmano ne roke,
mere dost chahte the mujhe par prahaar karna,

abhi kadr kar yeh saanse bardi keemti hai "raaj"
koi khaaas hadsa ho to yeh jaa nisaar karna.

sath tera manzil tak mila nahi

zindagi se wafa humne bhi ki hai bahot par
ghamon ke siwa aur kuch mila bhi to nahi,

ek tujhko pakar bahut khush tha main ,
par sath tera manzil tak mila bhi to nahi.

All Time's Favourite Posts