kisi ne ghar mein bula ke loota,
kisi ne ghar mein aa kar loota,
jo ban ke dushman na loot sakta tha,
uss ne humein apna bana ke loota.
fareb nagri ke baasiyoon ne
prem sapne dika ke loota,
har ek loottere ka apna
apna tareeka wardat dekha
kisi ne manzar pe aa ke loota,
kisi ne manzar se hat kar loota,
kya khoob adda in lootaroon ki,
loot se kaun bach saka hai,
kisi pe jalwoon ka jaal phenka,
kisi ko dil mein basa ke loota.
kisi ne ghar mein aa kar loota,
jo ban ke dushman na loot sakta tha,
uss ne humein apna bana ke loota.
fareb nagri ke baasiyoon ne
prem sapne dika ke loota,
har ek loottere ka apna
apna tareeka wardat dekha
kisi ne manzar pe aa ke loota,
kisi ne manzar se hat kar loota,
kya khoob adda in lootaroon ki,
loot se kaun bach saka hai,
kisi pe jalwoon ka jaal phenka,
kisi ko dil mein basa ke loota.