kismat ka likha hum badal nahi sakte

rona to hum bahut chahte hain,
par takdeer dekho.. hum ro nahi sakte,

dil ko hum majboor nahi karna chahte hain,
par dil ki baat zubaan par laa nahi sakte,

aankho se hum bahut kuch kehna chahte hain,
par humari aankhein palkon ka bojh utha nahi sakte,

chahat to hum bahut karna chahte hain,
par humari chahat koi pehchaan nahi sakte,

sab ke liye hum duaa to bahut karte hain,
par khud ke liye hum duaa kar nahi sakte,

rab ko kya manjoor hai, jaanana chahte hain,
par yeh rab ki manjoori hum jaan nahi sakte,

kismat to sabhi likhwake duniya mein aate hai,n
par kismat ka likha hum badal nahi sakte.

mujh ko mere chahane wale hi na samjh sake

mujh ko mere chahane wale hi na samjh sake,
aankhon mein chupa dard, ankahi dastaan hoon mein to,

har kisi ki koi na koi manzil jarur hoti hai,
jiski koi manzil nahi woh raasta hoon mein to.

yun roz tardap-tardap kar marne se accha hai

hum to nikle the ghar se ek dost banane ke liye,
duniya mein ek poudha pyaar ka ugane ke liye,

suna tha iss raah per lakhoon mar mitte,
hum chale the lekar tamnna ussi raah ko apnane ke liye,

zindagi veeraan thi bina kisi humsafar ke,
sang lena tha koi humsafar sath nibhane ke liye,

andheroon ke darmiyaan ujjala bahut kam milta hai,
khud ko hi mitta baitha unki mehfil ko sajane ke liye,

kaise bhool jayein unke liye raat din tardpte hain,
aayein the zami par hum to unko paane ke liye,

juthe vaadon kasmon se kabhi pyaar nibhayi nahi jati,
yeh to woh rista hai jisme sadiyan beet jati hai banane ke liye,

amir hokar mehalon mein rahne se kya fayda,
chota sa dil hi khafi tha unko dil mein basane ke liye,

maykhanoon mein jakar logo ko pitte dheka hai,
unki yeh aakhen hi kafi thi umar bhar pilane ke liye,

yun roz tardap-tardap kar marne se accha hai,
ek hi baar aaja tu raj ko jalane ke liye !!

kyun raaj ki zindagi aaj bewafa ban gayi hai

woh kehte the ki aapki zindagi humari hai,
to kyun aaj unki zindagi koi aur ban gaya hai,

woh kahte the ki aap humein jaan se bhi pyare ho,
to kyun aaj koi aur unko pyara ho gaya hai,

fiza mein bhi na khili thi aisi kali sirf mere baag mein thi,
to kyun aaj kisi aur ke baagon mein woh khil rahi hai,

raaj ne to unki mohabbat ko sajda kiya tha,
to kyo aaj wo hi mohabbat raaj se bewafa kar gayi hai,

karta hai raaj shayar alvida zindagi ko,
kyun raaj ki zindagi aaj bewafa ban gayi hai.

tanhai mein aksar beeta waqt yaad aata hai

zindagi mein aisa waqt aksar aata hai,
ki apne hi dil tord ke gehre zakham de jaate hain,

humse sab rishta tord ke waqt ke saath badal jaate hai,
kehte hain waqt har zakham bhar deta hai,

waqt har cheez mita deta hai,
aur bitaye huye haseen lamhein waqt bhula deta hai,

par yeh waqt hi to hai jo,
aksar bitey huye lamhein yaad dilata hai,

tanhai mein aksar yahi waqt yaad aata hai,

nahi bhula sakte unn yaadon ko,
kyuki waqt khud hi unki yaad dilata hai.

har thokar par yeh sochta rehta hoon

chehare par muskaan liye huye bhi main to rota rahta hoon,
khwaabo mein to unse mil shaku, isiliye mein to sota rehta hoon,

kisi ko kuch fark nahi pardta, aur fursat bhi nahi ki sune meri aawaaz,
yaaro isiliye kabhi bhi... kahi bhi kuchh bhi main bolta rehta hoon,

nasha to karta hoon aur pe ke hosh bhi kho deta hoon auro k tarah,
par sharaab ki jagah gam pe k main dolta rehta hoon,

bahut kuch tabaah ho chuka hai, meri yahi ek aadat ki wajah se,
phir bhi na jaane kyu, har baat ko main apane hi taraazu se tolta rehta hoon,

kitna pyaara tha, aur maasoom bhi tha, pata nahi kaha kho gaya,
iss duniya ke mele mein ab bhi main apane aap ko khojata raheta hoon,

lardakhadaane lage hain ab to mere kadam zindagi ka bojh uthaate uthaate,
kab yeh safar khatm hoga, har thokar par yeh sochta rehta hoon,

baatein karna aur us par amal karna, yeh do alag alag pahelu hai yaaro,
kahne ko to main bhi bahut achha aur pyaara baatein bolta rehta hoon. 

koi nahi apne iss dil ko samjha paya

zindagi ke iss safar mein khud ko maine tanha paya,
yun to sab hai pas mere, yeh dard kaisa samjh na aaya,

toot jaate hain har riste jordne se pehle hi,
aisa kyun hota hai, iss sawal ka jawaab abtak dhoond na paya,

jamm gaye sab aanshoo mere yun hi apne aap,
koi nahi apne iss dil ko samjha paya.

zindagi mein banana chaha jinko bhi apna, raj ko unhi ne luta hai

kabhi kasti ne kabhi manzil ne luta hai,
tufaanon ke bich mein kinaroon ne luta hai,

kya shikwa karu ess bedard zamane se,
jinke pass dil nahi, isne dildaron ne luta hai,

na chah kar bhi jee raha hoon yehi bahut hai,
mujhe to har mord pe rahadaroon ne luta hai,

zindagi mein banana chaha jinko bhi maine apna,
raj ko unhi apne yaaroon ne luta hai !!


khud se lardun ya halaat se lardun

zindagi ke kis-kis sawalat se lardun,
khud se lardun ya halaat se lardun,

din ke ujjale se hi darr lagta hai mujhe,
kaise iss tanhai bhari raat se lardun,

chnnd sikkoon ki khn-khn ka daman tham liya hai tune,
kab tak tere ess badale huye khayalat se lardun,

de koi aisi duaa ki raj ki zindagi ki sham ho jaye,
aakhir kab tak main ess zindagi ki hawalat se lardun?

kaise kare yakin ab tumhari baaton ka

beet gaya waqt intezar karte-karte bahaar ka,
mil saka na zindagi ko ek pal bhi karaar ka,

ab tannha baithe rasta dekhte hain maut ka,
sahara reh gaya hai bas beete huye yaadon ka,

din ke ujjale ne to humko barbad kar diya,
darte hain andhere se kya bharosa raat ka,

kasame jo uthai thi woh bhi na nibha sake,
kaise kare yakin ab tumhari baaton ka,

chahat nahi hai ab to na sahi sanam,
guzara tha jo kabi shukriya us saath ka.

main bhula nahi paya uske sitam

uski har baat, har ekrar per shak hai mujhko,
uski mohabbat ka ab nahi etbaar mujh ko,

main uski kasamo, waadon per yakin kaise karu
uski har fitrat se hai malumaat mujh ko,

main bhula nahi paya uske sitam,
deti rahi woh pyar ka jhuta aawaz 
mujh ko,

mera dil aur dimag jalta raha khayalo se,
maine nandan thi laga pata aaj mujko,

umar bar main nafrat karti rahugi usse,
magar dil me kahi usse ab bhi hai pyar mujhko.


dil mera ek aag ka dari­ya dikhayi deta hai

main kya bataun ki kya kya dikhayi deta hai,
jahan bhi dekho maut ka saya dikhayi deta hai,

har taraf mujhe ek shor sa sunayi deta hai,
har shaks mujhe ghabraya dikhayi deta hai,

jisko bhi dekho bahut tannha dikhayi deta hai,
sara shehar mujh ko akela dikhayi deta hai,

yeh kya buri-balla aan pardi hai jahaan par,
jisko bhi dekho bas roota hua dikhayi deta hai,

jahan jahan bhi uska jalwa dikhayi deta hai,
kya bataun ki mujh ko kya kya dikhayi deta hai.

rang kadam kadam par ek naya rang badalti hai,
tera shehar bhi mujhko tum sa dikhayi deta hai,

haye! yeh ragoon me­in doulat josh-e-mohobbat,
dil mera ek aag ka dari­ya dikhayi deta hai,

kya yeh meri hi aankhon ka challawa hai??
ya phir tumko bhi sab jala hua dikhayi deta hai,

koi ja kar ke chaand se kuch roshni laaye,
har chiraag yahan bujha hua dikhayi deta hai,

kis tarah se mile humko unki khabar aur suraag,
woh ke jinke aankhon mi­en darr dikhayi deta hai,

chalo aaj ussi se jakar kar le dil ki baat hum-tum,
woh door mujh ko ek sitara dikhayi deta hai.

na tu sath deti hai na mera naseeb

kam se kam maut se aisi mujhe umeed nahi,
zindagi tune to diya dhoke pe dhoka,

na zindagi sath deti hai aur na maut,
na tu sath deti hai na mera naseeb.

hum se na poch kyon akele se reh gaye

tannhai jab mili to kayi dard bardh gaye,
hum se na poch kyon akele se reh gaye,

duniya ne hum ko chain se jeene nahi diya,
kuch hum bhi na samajhe the ke jeete chale gaye,

kuch dosto ki dosti bhi kaam na aasi,
kuch dost dosti ko bhi badnaam ker gaye,

duniya kuch is tarha se badali hai ki kya kahein,
apne jo the woh kahin ghairoo mein kho gaye,

ab kya kisi se shikwa shikayat karein hum,
unke khusi ke liye hum andheron mein chup chap so gaye.

jo mili woh bhi chnnd lamhon ke liye mili

mushkilon mein jo yaar ka sath na nibha sake,
aise bewafa yaar ka milna bhi kya,

jo mili woh bhi chnnd lamhon ke liye mili,
aise adhure pyaar ka milna bhi kya,

sawan mein barsi hai aakhein barsaat ki tarah,
be-mausam mein bahaar ka milna bhi kya,

jism se noch li lahu ka har katra-katra,
jism par zakhmon ki maar ka milna bhi kya,

unche-unche mehalon ki khwaish bhi kyon karu,
jisme tu nahi aise ghar-baar ka milna bhi kya,

raj zindagi ke hathoon hai majboor,
har dard ke sang jee raha hai zarur,

na dil ko, na jazbatoon ko jaha samjhe koi,
aise sansar ka milna bhi kya !!!

yet life goes on..

so hard to say it,
unable to type Goodbye.


made my fingers paralyzed
not to make it hard on you
not to make you suffer
like I do.

I smiled with tears in my eyes
sent you a flower
to stay with you never die.

I walked away thinking
we are still friends
but this feeling didn’t seem right.

something did really
hurt..deep..so deep inside,
tears dropped so hard
not from my eyes,
tears looked so red
from my heart I realized.

try to forget my pains.
go! fly away never look back,
keep flying don’t stop..

you found your way..
how can I fly?

you were my wings
how can I cry?

my tears dried up
when you took away with you
my feelings..
yet.. life goes on..

why am I trying to retrieve some thing which I never possessed

why am I trying to retrieve some thing
which I never possessed.

why am I waiting for my love to come back
when she was never mine.

why am I waiting for a caring hand
when I know I am all alone.

why am I waiting for my death
when my life has ended long back.

she left me and my dreams all broken

rivulets of the eye bearing the unexpressible emotions
emotions that often take the shape of tears…

flow through the eyes and take shelter on the lips
that have been silenced for eternity…

words have vanished in to the world of silence
filling the empty spaces with the pain of separation

she went away taking all her memories with her…
leaving the incarnadine heart that still craves for her love…

me and my dreams are all that I am left with…
awaiting the dark nights and the healing rain

I look up to share my dreams with her, but in vain
as she left me and my dreams. all broken…

dekhte rah gaye yunhi hum chand ko kaal raat

baithe the yunhi hum kal raat,
soch mein the tum humare kaal raat,

khudh se baat karte the tumhe soch kar,
jee ko behlate the tumhe soch kar,

yunhi sochte sochte,
yunhi mehsoos karte karte,

andheri aashman pe nazar pardi,
ek chadar thi jaise sitaron se bhari,

ghira hua tha sitaron ne chand ko kuch iss tarha,
bahon mein lipta ho chand ne sitaron ko jis tarha,

achanak kuch badalon ne chand ko diya chupa,
lagta tha ek lamhein ko yun sitaron ko diya ho rula,

ho gayi thi aur kaali woh raat,
lagti thi na guzaregi ab woh raat,

dekhete 
dekhete sochte sochte,
chand ne yun gardan apni nikali,
sitaron mein kudrat ne phir se thi jaan dali,

ussi lamhein ek pal ko hum bhi ruk se gaye,
dekh ke woh manzir hum bhi ruk se gaye,

surat tumhari nazar aayi chand mein kaal raat,
dekhte rah gaye yunhi hum chand ko kaal raat.

when you love someone

when you love someone – you will do anything
you will do all the crazy things – that you can’t explain,

you will shoot the moon – put out the sun
when you love someone.

you will deny the truth – believe a lie
there’ll be times that you will believe – you can really fly,

but your lonely nights – have just begun
when you love someone.

when you love someone – you will feel it deep inside
and nothing else can – ever change your mind,

when you want someone – when you need someone
when you love someone.

when you love someone – you will sacrifice
you would give it everything you got – and you won’t think twice,

you would risk it all – no matter what may come
when you love someone.

you will shoot the moon – put out the sun
when you love someone.

I wish I could turn the time back

emotions are running high
words are hard to come by

flowers don’t smell that well
the pain in my heart hurts like hell.

I love you with all my heart
now I cannot make a new start

for you, I would do any thing
I wish you knew, you are my every thing.

even heaven wouldn’t have been so fine
when your soul was dancing with mine

you have left me all alone in such a place
where there is no one to hear my case.

even the showers of rain
can’t get me through my pain

to get the place in your heart back
I wish I could turn the time back.

lost in your thoughts, writing the last
words of my wonderful past.

yaadein humari mulakaton ki

yaadein humaari mulakaaton ki,
dil mein mere zinda hain ab bhi,


woh gili hawa ke sarahon par,
woh thap thapi dhoop ke kinaron par,
tum the, hum the,

aur yeh jahaan tha hamare haathon par…!!

lag raha tha humaare paas,
tha wahi jo kuch hai khaas,
log dekhte the humein jali nazar se,
kyun ki tum the humaare pas.

khushi thi zindagi mein bhari,
na tha saaya dukh ki kabhi,
aaye jab bhi hum paas tumhaare,
mil jata humko apne manzil saare…

rukhe hain hum us pal ke liye yahin,
dekhenge tumko phir wahin,
tab tak hum saans lete rahenge bas,
tumhare un meete yaadon ke sahare..

woh tera mujhko satana yaad aata hai

woh tera chhup ke muskurana yaad aata hai,
woh tera yun khil-khilana yaad aata hai,

woh tera mujhko satana yaad aata hai,
woh tera mujh ko tardpana yaad aata hai,

woh tera chhat par aana yaad aata hai,
woh baahein faila kar bulana yaad aata hai,

woh tera rooth kar manana yaad aata hai,
woh baat-baat pe samjhana yaad aata hai,

woh dekh kar chehra chhupana yaad aata hai,
woh mere nishaniyon ko jalana yaad aata hai,

woh tere sang beeta zamana yaad aata hai,
woh aanshuon mein bheeg jana yaad aata hai.

all in just 1 minute

I look at the clock,
it says 3:41,
I know thinking of you,
I will never be done.

you run through my mind,
and occupy all my time,
wondering why you’re gone,
and why you’re not mine.

I think of you constantly,
for some reason I cant stop,
knowing that for always,
you will forever have my heart.

my days go by so slow,
cause you run through my head,
I said I did love you forever,
isn’t that enough said.

you also haunt my dreams,
if you know what I mean,
I wake up often,
with sweats and screams.

why do I sleep by myself,
I am alone in my bed,
I know I will be thinking of you,
till the day I am dead.

now still all these thoughts,
just run through my brain,
can't stop thinking of her,
I think I am going insane.

I feel I wanna kill myself,
people say thats not what to do,
but I turn and look at the clock,
and it says it’s only 3:42.

yaha har ek chiz bikao hai

duniya ke iss baazar mein har ek chiz bikao hai,
pyar mohabbat ulfat aur chahat.. har ek chiz bikao hai,

har shahks ki kuch na kuch keemat hai yahan,
jazbat ehsas sukun aur raahat.. har ek chiz bikao hai,

jada ya kam har chiz ka ek daam hai yahan,
rishte naate izzat aur soharat.. har ek chiz bikao hai,

sab bikte hain koudiyun ke mol yahan,
deen emaan zameer aur soharat.. har ek chiz bikao hai,

laga rehta hai khareedaro ka mela yahan,
khushiyan muskurahat aur khamosi.. har ek chiz bikao hai,

kahridne walon ko sab mil jata hai yahan,
jhut sach kanoon aur insaaf har ek chizs bikao hai,

yeh bhi, woh bhi, tum bhi, main bhi..
yahan har ek chiz bikao hai.

woh kaisa dard hai jiske gum mein rajkumar likhte hain

kaha usne ki aakhir kis liye bekaar likhte hain,
yeh shayer log kyu itne dhukh bhare shayari likhte hain?

kaha humne ki khud kuch nahi likhte yeh bechare,
unhein jab majboor kerta hai dil, tab ashaar likhte hain,

yeh sunker muskura ke, gor se dekh humein boli,
to acha aap bhi iss kisem ki shayari likhte hain?

woh kya gum hai jisse dohra rahe hain aap barson se,
woh kya dukh hai mitaane jisse har baar likhte hain?

magar afsoos hum samjha nahi paaye usse kuch bhi,
ki kyo hum bhi issi andaaz ke nagmein likhte hain.

woh kaisi aag hai lafzoon mein jisko dhaalte hain hum,
woh kya gum hai jo raatoon ko jaag dil-k-ghaw likhte hain,

hai aisa kaun jo saare jahan se hai humein pyaara,
woh kaisa dard hai jiske gum mein rajkumar likhte hain.

amrit samjh ker humne piya zindagi ko

tannha reh ker humne jeeya zindagi ko,
bhaut badnam humne kiya zindagi ko,


zindagi ka naam unhone zehar samjhaya,
amrit samjh ker humne piya zindagi ko.

patharon ke shehar mein pathar dil insaan

guzre huye tufaan ke bas nishaan reh gaye hain,
tute huye dil mein ghayal armaan reh gaye hain,

kisko sunayein haal e dil, kaun ashk dekhega?
andhi bastiyon mein log be-jubaan reh gaye hain,

dhua uthta dekha raat sab ne ghar se mere,
jalte dil ki aatish se log anjaan reh gaye hain,

waqt ke chabhukon ke nishaan dil par hai kaayam,
apnon ke hum par yehi kuch ehsaan reh gaye hain,

nazook dil torde jate hain sheeshe samjh kar,
patharon ke shehar mein pathar dil insaan reh gaye hain.

teri jheel si aankhein

gumsum kisi khayal mein har sham ye aankhein,
jhukte huye karne lagi hai sham ye aankhein,

jheel hain ya mouz mein behata hua sagar,
shayad inhi ka aakhri mukam ye aankhein,

hairan hoon main kya likhu inpar koi ghazal,
sabse hassi ghazal-e-mohabbat ye aankhein,

ye wo nasha hai jo utarna janta nahi,
sabse purani sharab ka koi jaam ye aankhein,

likhte huye aksar kahi apni kitabo mein,
chup chup ke phir pardti hai mera naam ye aankhein.

aakhiri dhardkan bhi daaw par lagayein kya

mohabbat ke raaz hum tumhein bataayein kya,
zakham hi zakham hain dil dikhaayein kya?

dhapta hoon mooh to pair dikhte hain,
puchhiye kafan se hum chhupayein kya?

hai khel zindagi ka takdeeron ke haath mein,
jo hona hai so hoga to ab ghabrayein kya?

uttha rahe hain tere dar se mujhko log,
tum kaho to duniya se hi utth jaayein kya?

unka shehar hai, unke log, unhi ki mehfil,
yahan kisi ko apni dastaan sunaayein kya?

shayad umeedon se baazi maar laaye ishq,
aakhiri dhardkan bhi daaw par lagayein kya?


tum ne mujhe badnaam kiya

khush rehne ki duwa dekar tum ne badnaam kiya,
apno mein gair bana kar tum ne badnaam kiya,

har kaam nyara har baat pyari thi tumhari,
appahiz bana ke gairon mein tum ne badnaam kiya,

kabhi mithi baaton ke samundar mein duboya tha,
ab reghistaan mein jhonk ke tum ne badnaam kiya,

hawaon mein mahal aur shishe ke ghar bane the,
khayalon mein hi chord ke tum ne badnaam kiya,

sara mahaul apna tha, swarnim sapne apne the,
sukoon chinn ke sara tum ne badnaam kiya.

All Time's Favourite Posts