kisi ajnabi ke liye sapne sajaye tumko dekha hai

andheri raat mein aapne armaan
jalaye tumko dekha hai.
kisi ajnabi ke liye sapne
sajaye tumko dekha hai.

dekha hai tumko barsat mein bheegi
thand se surkh laal hooth kaapte huye.
paani se bheegi garm shabnam ko,
haath rakhte hi sihar jaate huye.

aur kisi ke intzaar mein palke
bichaye tumko dekha hai.
kisi ajnabee ke liye sapne
sajaye tumko dekha hai. 

mushkil hai door tak rishton ko le jaane mein

lagta ek pal hai naya rishta koi banaane mein,
aati mushkil hai magar door tak usse le jaane mein,

waada karte to hain ta-umr saath nibhaane ka,
toot jaate magar rishte hain jaane anjaane mein,

aate kyun hai apna bankar koi dil ke kareeb,
jab hoti mushkil hai ek galti bhi bhulaane mein,

khair, acchaa kiya tord diya bharam mera,
sochta tha ki hoon accha rishte nibhaane mein,

toote huye rishte chubhte unko bhi to honge,
mera dil akelaa hi to aisa nahi zamaane mein.

reh jaayegi yeh zindaagi bhi ek samjahauta bankar

jhoote sapne aankhoon mein kab tak hum sajaayenge,
tut jaane par unke phir aanshu hum bahaayenge.

hain hum insaan...
insaan hona khud mein ek sazaa hai,
jaane kis roz hum ye baat samajh paayenge.

jeena humko hai khokle riwaazon ko nibhaate huye,
dharm-o-mazhab ke issi bandhan mein jiye jaayenge.

hote jo pancchi..
na baandh paati sarhadein bhi humein,
hain jo insaan..
bebas bin pankhon ke kaha jaayenge.

reh jaayegi yeh zindaagi bhi ek samjahauta bankar,
jaankar bhi hum kuch na kar paayenge.

zindagi bardi aajeeb si hai

zindagi bardi aajeeb si hai,
jo chahaat hai woh milta nahi,
jo kismat hai woh majoor nahi,
sab kuch kho dete hain hum isme,
soche kya paya to shyad kuch bhi nahi.

waise tujhe bhi to koi dil se yaad aaya hoga

jis tarha mujhe kisi ki yaad aati hai hamesha,
waise tujhe bhi to koi dil se yaad aaya hoga,

jaise meri aazmaishein chalti rahi umr bhar sanam,
tujhe bhi to kadam kadam par waqt ne aazmaya hoga,

teri nazar ne mera karaar hamesha ke liye chhina to kya,
meri berukhi ne tera chain kabhi tanhai mein churaya hoga,

mere hote hue zamane mein itna dum kya hai?
na tha main tab zamane ne tujhe sataya hoga,

tujhe ghum mile is se pehle main mar jaaon aye dost,
woh the log jinhone apni ulfat ka tamasha banaya hoga,

tere gham saare meri kismat mein aajaaye to bas tha,
kya pata kya khuda ke zehn mein aaya hoga,

na thi meri yeh khwahish ke tujhe gham-e-ishq mile,
par meri hi judai ne tujhe bedardi se tardpaya hoga,

raaj tujhe yaakin na ho jo apni mohabbat par to sunn,
kitab-e-dil ke har panne mein ussi ka naam aaya hoga.

mere jeevan sathi

jeevan sathi wo ban sakta hai,
jo har pal apne pyaar ka dil se sath deta ho,

jeevan sathi wo ban sakta hai,
jo hmesha sath nibhane ki himaat rakhta ho,

jeevan sathi wo ban sakta hai,
jo apne sathi ke har dukh-dard ko mitata ho,

jeevan sathi wo ban sakta hai,
jo mushkil bhare safar me sath chal sakta ho,

jeevan sathi wo ban sakta hai,
jo khud se bhi jaada sathi pe vishwas rakhta ho,

jeevan sathi wo ban sakta hai,
jo aakhri saans tak usko hasane ki iccha rakhta ho,

jeevan sathi wo ban sakta hai,
jo hamesha apne sathi ke sang musukura pata ho,

jeevan sathi wo ban sakta hai,
jo “jeevan sathi” ke rishte ki ehmiyat ko janta ho.

mere humsaya.. ab aajaad ho tum

chup-chup sa khoya rehta hoon,
har pal main roya rehta hoon.
ab uthta hoon, ab girta hoon,
gir-gir ke uthta rehta hoon.

kal tak tera saath raha,
jeevan tujhse aabaad raha.
ab chaon talaash raha hoon main,
ek chaon talaash raha hoon main,
mere sukh dukh ke saathi..
humraahi.. ab aajaad ho tum.

tan se tere lipte rehta,
jane kya kuch tha main krta.
socha shayad koi kah de,
tujhse bhi main pucha karta.

tere sundar jeevan-tan ko,
visdhara ban main leel gaya.
main visdhara samet rha hoon,
mere humsafar.. ab aajaad ho tum.

barish mein main khada raha, 
aanshu na tum pehchan sake. 
sukh ki uss hansi thi-tholi mein, 
dukh ka attish na bhaan sake.

main jaan luta baitha tujhpe,
tum mujhko hi na jaan sake, 
ab sikve sare bhoola raha, 
mere humsaya.. ab aajaad ho tum.

aye bewafa tujhpe ab ethbar nahi karte

aye bewafa.. 
koi bhi bewafa ki bewafai pe ethbar nahi karte,
oh gairo ki bahon mein rahne wali, 
hum tujhse pyar nahi karte.

jana hai to jaa, par ek baat humari yaad rakhna,
mushafir, ghadi bit jaane ke baad intezaar nahi karte. 

rishte dil ke dekho kaise-kaise hote hai yaaron,
tut gaye to tut gaye, bayaan dard ka ezhaar nahi karte,

maar ke khanjar dil pe, koi chala gaya,
aise bewafa ka hum intezaar nahi karte.

lakh safai de, mehboob ban ke bewafa,
magar jo ho gaya-so ho gaya, hum vichar nahi karte,

ek dafa hi jurdte hain, kisi se dil ke taar,
so dil ki adla-badli, hum baar baar nahi. 

aaj nah to kal

raasta kathin hai magar chhu leingey asmaan,
aaj nahi to kal hoga apna jahaan,

har shaks dhundta hai kuch muskurahat yahaan,
aaj nahi to kal hum payeinge manzilon ke nishaan,

chotte sapne hain magar roshan hoga humse jahaan,
aaj nahi to kal hum likhenge naye dastaan,

ruuthte huye kitne dil hain yahaan,
aaj nahi to kal zamana gayega humsa koyi kahaan,

wadiya bhul gaye apne geet jahaan,
aaj nahi to kal hoga bashera wahaan,

jhooti nahi sachi kahani dohrayega yeh jahaan,
aaj nahi to kal yaad aayenge tumhein hum yahaan,

bhul jate hain duniya apnon ke namo nishaan,
hum naa bhulenge yadaon kaa woh samaan,

gungunayega sath mere yeh sara jahaan,
tum sath ho agar pa lengey manzilon ke nishaan.

happiness in life lies in our hands

if we live in village or town, bungalow or hut,
happiness in life lies in our hands only.
if we satisfy and make secure family's future,
life will be joyful to live in this world.

so, what is important in life in this world?
love and good company need we to work and live.
not money and materials, which are immaterial,
yet they are needed to facilitate our work and life.

looking other's life one becomes only jealousy
and enters upon unhealthy competition to excel!
also, copying others one cannot improve much
but only one loses one's individuality in life!

each one's life is one's own to be lived
as to one's wish to fulfil one's will here,
that is the purpose nature has created all
and otherwise life will be meaningless one!

there should be some ambition in life
and life should be lived accordingly;
then only life will be lively in the world
and that is in our hands only to the end!

in history or nature cause and effect are common,
so, if the result has to be a good one in life,
cause and means followed should also be good,
that is the way to achieve joy in life here.

many live for power or pleasure or wealth,
some for love but few for knowledge or truth,
that is the nature of the people everywhere
we commonly see in this beautiful world!

many live for money believing that
with money everything can be bought!
for enjoying sexual life with friends
and spending in star hotels money is all!

so, if some business is started with politicians,
they feel quickly more money can be earned!
that is why there are crimes, violence and
destruction in all walks of life in the world. 

maangoon tumse main aaj ye saath umar bhar ka

saji khubsurat yeh mehfil hai mehak se rishton ki,
raushan huwa hai har kona mohabbat se yaaron ki,

gunje hawa mein bhi hai apnepan ke hi taraane,
saaz humne ek chheda hai, mila taal dhardkanon ki,

jorde dilon ko hain kaise anokhe pyaar ke yeh rishte,
ehsaas khaas ek jagaati hai yeh raat sitaaron ki,

kya khoob mere yaaron ka hai andaaz guftugu ka,
kis tarah dil mein utar jaati hain har baat doston ki,

maangoon tumse main aaj ye saath umar bhar ka,
ke saanson mein mere basti hai awaaz mere doston ki.

I have built my hut with care

I built my hut with love and care,
and in it added things that were dear,


and tired to mix lots of pleasure,
and in it also I broaden the narrow,
paths of happiness for my tomorrow,

and now I feel very blessed and alive,
because with joy in it I can survive,

because I have built my hut with care,
and in it added things that were rare.

yeh umeed na rakh

aa tu hi daud ke lipat ja seene se humare,
phir ishara iss taraf se hoga, 
yeh umeed na rakh,

ki ek baar mohabbat ki beekh mangi thi tujh se,
bar bar sar mera jhukega, 
yeh umeed na rakh,

na acha kiya tune iss dil ko thukra ker,
tujh ko na koi thukrayega, 
yeh umeed na rakh,

bahut hai tardpaya gum ne tere humko magar,
hum yun ghut ghut ker mar jayenge,
yeh umeed na rakh..

wishing you loved me again

Ask me,  just one more time
to be yours, forever more

To share, for better or worse
and this time I won’t let you go.

Tell me, just one more time
that you dream of me, and nothing else

That without me, you’re incomplete
and this time, I won’t be such a fool.

Hear me, just one more time
forget all that I said before,

Why, I do not know
but now, I really want you back.

Look back just one more time,
see the smile fade away,

See these eyes longing,
wishing you loved me again . .


and I always will

I want to run way with you,
to a secret place, 
where the world will never find us.

A beautiful place,
where our heart, minds and bodies, 
will know each other very well for the first time.

I want to search with you
and re-discover you,
I want to begin again with you,

I want to open the door,
to your deepest thoughts and feelings,
and make you happier than you have ever been.

I love you and I always will...

ek ajab bechaini hai is dil mein

jaane kyu lagta hai,
akela nahi hoon main is safar mein,
saath de raha hai koi mera bhi isi safar pe.

dil ke taar cherd diye unhone kuch is tarah,
ki labz nikalne lage is dil se, 

aur kuch aisa aalam cha gaya,
ki gham bhi na tha,
aur khushi bhi na mili mujhko.

ek ajab bechaini thi is dil mein,
jiska izhaar bhi na hua.

koshish to bahut ki humne
ki is dil ko cheer ke dikhla de unko,

labz to dhoondhe humne,
magar iss zubaan ne saath na diya.

kaise samjha tha main ke
unka pyaar mera khaas hai.

jaise pool pe bethi ek
gungunathi chidiya hai.

bas dhoone nikle tujko
hud ko door payaa.

kyun chupate ho dil ki baat

kyun chupate ho dil ki baat,
keh bhi do guzaar jayegi raat,

duriyan kis liye de do hathon mein hath,
dil bhi tumhara hai hum bhi tumhare hain,

dil mein machalte armaan humare hain,
dekho sitare karte ishare hain,

karlo mohabbat kamsin nizare hain,
dil hai dewana, kehna na maane,

rashmon ko, kasmo ko ye pagal na jane,
zidi barha hai, zid pe arda hai,

aajao, aa bhi jao is ko manane,
hum se mohabbat karte ho tum bhi,

hum jitna marte tum pe, marte ho tum bhi,
hum ko pata hai, dil janta hai,

tanhayon mein aahein bharte ho tum bhi,
kyun chupate ho dil ki baat,
keh bhi do guzar jayegi raat..


here I am all by myself.

Memories can fade
and so can love,
But since you’ve come along
there is nothing else I am thinking of.

I spend my days thinking about you
you have turned my world around,
Never thought this love would end
after it was found.

You never said you would make me cry
you made it so perfectly clear,
Maybe love will find us again
still I wish you were here.

You promised yourself
but to somebody else,
So here I am
all by myself.

It’s been hours, seem like days
since you went away,
You don’t answer the phone or my pages
so I guess you’re okay.

I am so deep in love with you
all my hopes through my fears,
Thinking of you
all my joy through my tears.

Maybe one day you’ll come back to me
hopefully in a matter of time,
and when that day comes
you will be all mine.

in my silent breaths

in the recesses of my mind I talk to you
words that I long to say,

words that you long to hear
floating from my lips,

scented in my perfume
let them consume you
in my silent breaths.

zindagi kam hai jeene ke liye

zindagi kam hai kuch pane ko,
zindagi kam hai kuch bantane ko,

zindagi kam hai kuch kehne ko,
zindagi kam hai kuch sunne ko,

zindagi to ek naam hai,
jeena to bas ek khwab hai,

issi khwab mein pure karne hai,
hasil armaan jeevan ke,

to utho, jaldi karo, kyonki,
zindagi kam hai jeene ke liye.

likhana meri aadat hai

likhna meri aadat si ho chuki hai,
issi bahane apne dard aur khusi ko,
main bayaan kar pata hoon.

zindagi sahi mayene mein kya chiz hai,
bas ussi ko samajhne mein apna kuch waqt bitata hoon.

uski jagah sabse alag aur kuch khas hai meri zidagi mein,
bas aadat hi hai meri kuch is tarah ki,
ke main dukh mein bhi khushi ke ehsas ko,
hamesha dhundhta hoon,

likhana meri aadat hai...

mere gum ko apna sako to pyaar mujhse kijiye

meri tanhahiyon ko samajh sako to saath apna dijiye,
mere gum ko apna sako to pyaar mujhse kijiye,

raahe nahi yeh aasan kanto se bhara safar hai,
aagar chal sako innpe to haath apna dijiye,
mere pyaar ko samaj sako to pyaar mujhse kijiye,

chand tare tord sakoon ye meri bas ki baat nahi,
tere siwa kuch bhi to mere pass nahi,

apna mujh ko bana sako to dil mein mujh ko basa lijiye,
mere pyaar ko samaj sako to pyaar mujhse kijiye,

iss duniya se hoon bekhabar, na kohi manjil na dagar,
apni duniya mein le ja sako to awaz mujhko dijiye,
mere pyaar ko samaz sako to pyaar mujshe kijiye,

gumnaam hoon main, na meri kohi pachaan,
iss duniya se bekhbar, hun khud se anjaan,

meri pachaan ban sako to pata apna dijiye,
mere pyaar ko samaz sako to pyaar mujhse kijiye,

zindagi bhar ke safar mein saath gar de sako to,
hamsafar hum ko bana lijiye,
mere pyaar ko samaz sako to pyaar mujhse kijiye.

unki yaadon ke sang yeh zindagi bhi bit jayegi

yeh raat itni tanha lagti hai, 
uski yaad to mujhe aa hi jayengi,
in dard bhare lammho ke sang,
meri aankhein anshu se bhar jayengi,

kyu karu main uska intezar,
ab zindagi mein meri,
jab use hi pyaar ka ehsas nahi,

bas zindagi to chalti rahegi ,
unki yaadon ke sang,
yeh zindagi bhi saari bit jayegi.

jeewan se hai maut sasti

yahan ek khilona hai insaan ki hasti,
yahan par to jeewan se hai maut sasti,

yahan ruh bikti hai saaman bankar,
yahan jism sazte hain bazaar bankar,
yahan pyaar hota hai vyapaar bankar,

yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,
bina pyaar ke ek pal bhi jeena yahan sazza hai.

tha koi dil ke armaano mein

dil ke armaano mein tha koi,
aankhon ke khawabon mein tha koi,
meri madh bhari nigahon se puchho,
mere haste labon pe tha koi,

cham chamati mehfilon mein nahi,
raashte ki galiyon mein tha koi,
meri dil ki tanhaiyon se puchho,
meri parchhaiyon mein tha koi,

mere din to guzar jate par,
raatein tanha na kat ti meri,
meri badalti karwaton se puchho,
raaton ki thandi hawaon mein tha koi,

sawan mein jab bhi bheegta main,
chand ko baahon mein bharta main,
mere jalte sulagte saanson se puchho,
un sawan ki boodon mein tha koi,

aksar unke aane se pehle,
maine ye mehsoos kiya hai,
sirf ye tanha dil tha mera ,
aur iske kareeb na tha koi,

dil ke armaano mein tha koi,
aankhon ke khwabon mein tha koi...

is baar dil ko rakha maine taiyyaar bahut hai

maine kaha hamein unse pyaar bahut hai,
woh bole humein bhi aap pe aitbaar bahut hai,

aitbaar hai jab itna phir mushkil kahaan hai,
woh bole ki shaadi ek bardha vichaar bahut hai,

kehte hain ki nahi chahate mujh jaise dost ko khona,
lekin dil mein unke ek gehraa vaar bahut hai,

kehne lage woh ke koi bhi mil jaayegi tumko,
kaise unse kehta ke ajeeb aapka vyavhaar bahut hai,

woh bole ke rahenge dost hum saat janmon tak,
samjhaoon kaise unko ke lambaa yeh karaar bahut hai,

jaana chaahte hain to huzoor shauk se jaaiye,
is baar dil ko rakha maine taiyyaar bahut hai.

humein koi chot pohunchayega kaise

bahut ro liye hum ab to aanshun bhi sukh gaye,
pani nahi bacha.. 
ab humein koi rulayega kaise?

zakhmi kiya hai zamane ne humara dil kuch aise ke,
ek aur khanjar ke liye jagha nahi..
humein koi chot pohunchayega kaise?

gum ke sholon ko apno ki dhaga ne hawa di hai,
hum to barso se jal rahe hain..
ab humein koi jalayega kaise?

zindagi se lardte lardte kuch thakan mehesoos huyi,
to so gaye maut ki godh mein..
ab humein koi jagayega kaise?

All Time's Favourite Posts