aye jaaneman apne dil ka password to batao

abhi abhi to pyar ka pc kiya hai chaaloo,
apne dil ke hard disk pe aur kitani files daaloo,

apne chehare se ruswaai ka error to hatao,
aye jaaneman apne dil ka password to batao,

woh to hum hain jo app ki chahat dil maein rakhte hain,
warna aap jaise softwares to bazaar mein lakho bikte hain,

roz raat aap mere sapne maein aate ho,
mere pyar ka mouse bana ke ungaliyon pe nachate ho.

phir pyar kise tum kehte ho

khamosh zabaan ke lafzon mein,
kuch posheeda si baatein hain,

in posheeda si baaton mein,
kuch chahat ki barsaate hain,

in baaton ko hum muddat se,
seene mein chhupaye beithe hain,

kuch paaye bina kuch kho dena,
yeh pyar mein humne seekha hai,

sooraj mein, chand sitaron mein,
har shai mein tumhi ko dekha hai,

dhadkan mein bhi naghma bankar,
saagar ki tarah tum behte ho,

yeh pyar nahi to tumhi kaho,
phir pyar kise tum kehte ho?

deep inside my heart

it is the key that you hold
that will unlock my heart,
treasure my love for you
inside a heart-shaped box.

always keep this box near
keep it close in your sight,
it will bring you happiness
whenever you hold it tight.

it won't play you a melody
but to your heart it will sing,
it holds my love deep inside
of this small precious thing.

only you will hold this key
never lose sight of this box,
unlock it when you need to
it holds the love of my heart.

yeh zaroori to nahi

nazrein tumhari nazro se milte hi jhuk jaye to kya,
tumhare samne aate hi aankho mein sharam se aa jaye to kya,

dil ki baat apni tumse kahu.. 
yeh zaroori to nahi,
chahata hu mein tumhein tumse kahu.. 
yeh zaroori to nahi

dost manta hun main tumhein apna, dost hi rahengi aap,
phir mere jahan ka khawaab bankar tum rahe to kya,

har baat ka ikraar tumse karu zaroori to nahi,
chahta hu mein tumhein tumse kahu.. 
yeh zaroori to nahi,

tumhari dosti mujhe har rishte, har saath se pyaari hai,
zindagi bhar ke liye tumhara saath na mile to kya,

meri tardap, meri chuban, mera dard tumse kahu.. zaroori to nahi,
chahta hu mein tumhein, tumse kahu yeh zaroori to nahi.
 

every time we say good-bye I start to cry

I have seen you a million times
and every time I see you
I fall in love with you all over again.

my heart starts to race
my frown turns into a smile
and all my worries are now in my past.

when you smile at me my heart melts
you give the sweetest hugs.

every time you hug me
your smile is like a new day
your sense of humor is like no other
the ability you have to make me smile.

is all you need you love me
your laugh is so soft and sweet
just looking in your eyes
makes me melt inside.

your lips look so soft
soft enough to kiss you,
yourself relive me from all pain
your hands are as soft as a pillow.

the way you comfort me is amazing
every time we say good-bye I start to cry.
I say good-bye to you too many times
but I also said I love you a million times.


dosti nibhate nibhate humein mohabbat si ho gayi

unke sath rehte rehte humein chahat si ho gayi,
unse baat karte karte humein aadat si ho gayi,

ek pal bhi na mile to naa jaane bechaini si rehti hai,
dosti nibhate nibhate humein mohabbat si ho gayi.

I just wanted to say that I love you

I got to get this off of my chest,
got to not worry about the rest,

I can't worry about rejection,
I must think of my one true affection,

I got to let you know it all today,
I got to let you know
how you took my breath away.

I got to let you know how you stole my heart,
and I am sorry that we must part,

I got to tell you before I am gone,
I got to tell you before I move on.

this is something I must say only to you,
this is something I just got to do.

I got to let you know how I feel,
I got to let you know that my love is real.

it's almost the end of the day,
and there's something I just got to say,

I am sorry that I have to go away but
before I do I just wanted to say,
I love you.

ghum mein mere saath chal sako to chalo

ghum mein mere saath chal sako to chalo,
kadam kadam pe hai mushkil sambhal sako to chalo.

humare beech hain rashmo riwaj ki diwar,
tum usko tord ke aage nikal sako to chalo.

yeh ishq nahi aag ka samandar hai,
lapakti mauz mein gar tum sambhal sako to chalo.

tumhari hasrat hai agar ghume toofan mein,
to meri tarha rukh toofan badal sako to chalo. 

tum hi to ho woh tum hi to ho

mere khawabon mein aane wali tum hi to ho,
meri neendein churane wali tum hi to ho,
mere dil mein samane wali tum hi to ho,
tum hi to ho woh tum hi to ho...

mujhe khushiyan dilane wali tum hi to ho,
mere ghum mitane wali tum hi to ho,
mere sine mein dhadakne wali tum hi to ho,
tum hi to ho woh tum hi to ho... 

mujhe palko pe bithane wali tum hi to ho,
mujhe apna banane wali tum ho to ho,
mera sapna sajane wali tum hi to ho,
tum hi to ho woh tum hi to ho... 

jo chaahu main woh keh na paau

jo chaahu main woh keh na paau, 
jo naa chaahu woh kehta hoon,

na jaane main uske saath, 
gumsum saa kyun rehta hoon, 

jo aankh dikhaaye mujh ko, 
usko aank dikhane wala main, 

na jaane aksar uske saath, 
maasum sa kyun rehta hoon. 

na karo naadani humein chahne ki

tere dil mein meri tamanna bahut hai,
par dil pe humne khaye zakhm bahoot hai,

teri aankhon mein tasveer meri basi hai,
par humari aankhon mein ashkon ki lehar chupi hai,

tujh mein aag bahoot hai mohabat ki,
par hum mein garmaiysh ki kami bahut hai,

na karo naadani humein chahne ki,
ki aapke dil mein armaano ka samundar umada hua hai.

tum ho roshni ka ujaala,
par hum andhere mein gum ho chuke hain,

yeh nahin kehte humein mohabat nahin tumse,
par tujhe apnana meri kismat mein nahin hai,

agar ho sake to yeh ehsaan karna,
har janam humein apni mohabat ka nazrana adda karna,

ek tu hi tu hai
jiski tamanna mein dil yeh betaab bahoot hai.

mohabbat naam hai mera

mohabbat naam hai mera, 
mujhe tum soch kar to dekho. 

agar chahoge tum mujh ko,
tumahari sans se pehle, 
tumhari jaan ban jaaunga.

agar dekhoge tum mujh ko, 
tumhari ankh se pehle,
tumhare khawab ban jaaunha.

agar sochoge tum mujh ko,
tumhare paon se pehle, 
tumhari rah ban jaaunga.

mohabbat naam hai mera, 
mujhe tum soch ke to dekho.

ek aisi gazal banayenge hum

yaad karega humko yeh jahaan, 
ek aisi gazal banayenge hum,
yeh jism gar na hoga to kya hua,
phir bhi zinda reh jayenge hum.

us ghar ki dar-o-deewar sab,
banayenge hum tum pyaar ke,
tere saath milkar mere sanam, 
ek aisa ghar banayenge hum.

hum jitni mohabbat karte hain,
tum bhi humse utni karna,
yeh tumse wada karta hoon,
tum ko na kabhi bhi rulaayenge hum.

tera pyaar hi meri puja hai,
ab tum hi ho bas mere khuda,
ho jaye khafa bhale saara jahan,
tumhein khud se juda na kar payenge hum.

jee sakta nahi ab ek bhi pal,
yeh "raaj" humdum tere bina,
is janam ki ab kya baat karein,
har janam mein tujhko payenge hum. 

to esmein mera kya kasoor

pardh ke soyaa tha raat mein
jab need khulli to laga
sapna adhuraa hai,
phir so gayaa tha yaad mein
ab exam chhut gaya
to esmein mera kya kasoor?

ja raha tha train mein
tujh jaisa dikha tha ek chehra
samjha tu hai to chal parda us ore,
samaan chori ho gaya mera
to esmein mera kyaa kasoor?

kitchen mein baitha
maa boli dudh dekh lena,
teri tarah ek awaaj sunayi di,
main dekhane nikala
aur dodh jala gaya,
to esmein mera kya kasoor?

paristhitiya nahi mere sang
jeevan chal raha hai mera bedhang,
gaadi ke neeche dab jata hoon
aspataal mein bherti ho jata hoon,
to esmein mera kya kasoor?


All Time's Favourite Posts